SS for all viewers -PYAAR (LAST PART10 on pg13)

725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
Hey all guys i m back with my new concept on AGNI . This time this SS is for ALL VIEWERS of AMRIT MANTHAN (OLD & NEW ) 😊
mai characters ko unaki need ke hisab se introdused karungi
PYAAR - KUCH IS TARAH
CHARACTERS :-
AGAM -- good human being , honest , thoda short tempered , reserved type aur apani goal pe focussed boy.
NIMRIT -- soft hearted , sweet, loving , carefull, good, loyal , light hearted girl.
TEJ -- friend of agam like brother , clean hearted, always helpfull, good human being.
DRASHTI -- friend of nimrit , sweet personality, always having smile on face.
INTRODUCTION
Ye kahani mere previious OS se inspired hai like continuation of it but AFTER THE 6 MONTHS LATER. kuch naye characters bhi hai. Isliye sabhi characters ka occupation same hai- docters.
Ye sabhi ek dusare ke dost hai. docters hai ek hi hospital me. inaki zindagi bhi ksushiyo se bhari huyi thi. apane ambetions ke saath masti aur shararate bhi khoob bhaati thi inhe.
par hamesha zindagi ek jaisi nahi rahati. khushiyo ke saath saath gum bhi aate hai. ek pal me zindagi puri tarah badal bhi sakati hai...par pyaar aur waqt har jakhm bhar deta hai...
ohhh pata nahi intro sabko achha lagega ki nahi par koshish karungi ki updates achhi ho...sorry agar achha na lage to...plzz tell me ...
summary:-:-:-:-
PART 1 :---ON PAGE 1
PART 2:----ON PAGE 2
PART 3 :----ON PAGE 4
PART 4 :----ON PAGE 5
PART 5 :----ON PAGE 6
PART 6 :----ON PAGE 8
PART 7 :----ON PAGE 9
PART 8 :----ON PAGE 10
PART 9 :----ON PAGE 11
PART 10 :---ON PAGE 13(LAST PART)
Edited by Anurna - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

107

Views

4.7k

Users

9

Likes

99

Frequent Posters

hirie thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
sounds good so far archu, intro is nice :)
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#3

Originally posted by: hiri_piri

sounds good so far archu, intro is nice :)

hope ki aage ka bhi achha ho paaye...
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
part-1
Wo khidaki ke paas baitha khidaki ke bahar jhaank raha tha...bahar baarish ho rahi thi ...baarish ki bunde khidaki ki kaanch par padkar motiyo ki tarah bikhar rahi thi...baahar ka ye kudarat ka khoobsurat nazaara dekhakar usaka dard jo dill me tha thoda kam mahsoos ho raha tha use...par jaise hi usane apane side me dekha ki ek ladaki 3 maheeno se na jaane kitane dino se aise hi zindagi aur maut se lad rahi hai...unconscious...bejaan si...sirf usaki saanse chal rahi...naahi koi jaan hai usake haatho pairo me...naahi wo kuch sun sakti hai kisiki baat aur naahi bol sakti hai...usaki ankhein na jaane kabse band hai...usaka sharir koi harkat nahi kar raha tha... ... NIMRIT KOMA me thi peechale 3 months se...
agam bas dekh sakta tha apni nimrit ko is haalat me par usake liye kuch bhi nahi kar sakata tha wo...ye sochkar agam khud ko bahut lachaar mahsus kar raha tha...use bahut gussa aa raha tha khud ki is bebasi par...par agam har pal apane pyaar ke saath har waqt khada raha...usaka ye gum bhi wo khud lena chahata tha...nimrit ko aisi haalat me naih dekh sakta wo...
usane nimrit ke haath ko dheere se apane haatho me liya...aur dusare haath se usake maathe par haath pherane laga...nimrit ki aankhein phir bhi band thi...koi harkat nahi thi usake body me ...
agam nimrit se kahane laga ," nimrit please aankhien kholo...dekho meri taraf..mai tumhara agam hu ...dekho meri taraf nimrit...kuch to bolo...mai tumhe aise nahi dekh sakta...uthoo nimrit ...mere liye...hamare liye...agam ki aankhe bhar aayi...aur usaka ek aansu nimrit ke haatho par gira...
wo apani nimrit ki taraf bina palke jhapkaaye bas dekhe jaa raha tha... aur use wo din yaad aaya jab wo pahali baar ek dusare se miley the...
flashback :-------:-----:-----
"aaj humara hospital me internship ka pahla din hai drashti !!!, mai aaj bahut khush hu... aaj mera sapana pura hone jaa raha hai", nimrt ne chahakate huye drashti se kaha.
'haan nimrit , mai bhi bahut bahut khush hu ki hum dono ko ek hi hospital me job mila hai..." , aisa kahate hi drashti ne nimrit ko hug kar liya.
"ab chalo drashti , nahi to pahale hi din late ho jaayenge hum dono aur wo bhi tumhari vajah se samajhi..."
"aha ha ha ..meri vajah se kaise?? tab se to tum hi apane sapano ki baatein kiye jaa rahi ho aur der ho rahi hai to saara ilzaam mujh par daal rahi ho..."
"achha baba thik hai , tum hi sahi ho bas, ab chale varana job to gayi samjho !!!", nimrit ne drashti ko chidhate huye kaha.
nahi nahi plzzz chalo"
dono taxi mai baithkar hospital aa gayi ...dono taxi ki khidaki se hospital ki gate ki taraf badi badi aanko se dekh rahi thi.
dono taxi se utar rahi thi...jaise hi nimrit taxi se utrane lagi to usaka dupatta taxi ki handle me fas gaya wo use nikalane ki koshish kar rahi thi par usase nahi ho paa raha tha...
tabhi achanak ek haath ne usake dupatte ko pakada aur aasani se use handle se chuda diya... jaise hi nimrit ne upar dekha tab tak wo ladka apani bike par aage nikal chuka tha...aur usane helmate pahana hua tha isliye nimrit usaka chehara bhi nahi dekh paayi...
par nimrit ne apane dil me use 'thank u ' kaha aur socha ki kitna nek ladaka hai...kisi ko mushkil me dekhkar bina hichkichaye madad bhi kar di...bahut bhala ladaka lagata hai ye...
tabhi drashti ki awaaz nimrit ke kaano me padi aur wo apne khayalo se bahar aa gayi...
"nimrit chalo ,,,kabse kah rahi hu, late ho raha hai..."
"haan drashti chalo"
andar jaate hi drashti ko apani ek aur friend waha dikh gayi
"arey drashti kaha jaa rahi ho hume jaana hai na"
"bas ek min me aa rahi hu"
nimrit akele hi hospital ki sidhiya chadhane lagi .
tabhi usaka pair slip ho gaya aur wo sidhiyo se neeche girane waali hai ye sochkar usane apani aankhe band kar li ...
par phir use ehsaas hua ki wo giri hi nahi ...koi haath usaki waist ko ghere huye hai jisane use girane bachaya tha...
usane dheere se apani aaankhe kholi aur dekha ki ek ladaka use pakade huye hai... ek pal ke liye dono stare karate rahe par agle pal use awaaz aayi
" shayad bahut achha lag raha hai tumhe meri baaho me is tarah ??? hai na??" , agam ne gusse se kaha.
nimrit khadi ho gayi aur use gusse de dekhakar kaha
"kya kaha?"
"tumhe sunai kam deta hai kya? ohh ab samjha tum kahi kaan ki patient to nahi ho na??"
aisa kahate hi agam waha se chala gaya ...
aur nimrit gusse me use dekhati hi rah gayi...
present:-----:---
Tabhi use kuch mahsus hua apane haatho me...agam apane khayaalo se bahar aa gaya...usane dekha ki nimrit ne apane haatho ki ek finger ko hilaya jo usake haatho me tha...
use ek pal ke liye laga ki kahi ye sapana to nahi...
par phir ek baar nimrit ne apane haatho ki fingers ko hilaya...to agam ko pakka yakin ho gaya ki nimrit ki body me halchal ho rahi hai dheere dheere...
wo hosh me aa rahi hai...
ye dekhakar usaki khushi ka koi thikaana nahi raha ...
wo duad kar us room ke bahar gaya aur zor zor s awaaz dene laga...TEJ...DRAHTI...jaldi aao...kaha ho tum dono ...
agam phir se awaaz dene laga, " TEJ...DRASHTI... please jaldi aao...
tabhi TEJ aur DRASHTI waha aate hai aur agam se puchate hai ki "kya hua AGAM ?, sab thik to hai na/ ,, koi problem to nahi huyi?,nimrit thik hai na????
"sab thik hai TEJ ... wo...wo..."
"wo..wo..kya kar rahe ho , batao nakya hua hai?"
"wo NIMRIT ko hosh aa raha hai..."
"kyaaa? " , DRASHTI ne ekdum chauk ke kaha.
"haan drashti mai sach kah raha hu " , agam ne jaldi jaldi saanse lete huye kaha.
drashti , tej aur agam daudkar room me aaye...
nimrit abhi bhi pahale ki tarah behosh thi...
drashti ne usaka checkup karane ke liye nimrit ka haath pakada...aur usaki puls rate check karane lagi...
"haan agam, sach me thoda sudhar to hua hai nimrit ki stability me...
"but she is still unconscious...and unstable..."
agam nimrit ke bed par usake baaju me usaka haath pakad kar baitha tha...tabhi nimrit ne phir ek baar apana haath hilaya aur saath hi usake pairo me bhi kuch hulchul huyi...
tej aur drashti ne bhi wo hulchul is baar mahsus ki...
nimrit apani suji huyi ,brown ,khoobsurat aankhein kholane ki koshish kar rahi thi...par usase aankhe kholi nahi jaa rahi thi... itane dino se koma me rahane ke kaaran usaki body ekdum kamjor ho gayi thi...nimrit me apani naazuk palake tak uthane ki takat nahi thi...aankhe kholane ke liye wo ji tod koshish kar rahi thi...
usane dheere se apani aankhe kholi aur phir band kar li...waha faili roshani ka saamana usaki aankhe nahi kar paaa rahi thi...
agam nimrit ke haatho me haath pakad kar hi tha...
nimrit ne phir aankhe kholane ki koshish ki...usane dheere dheere apani aankhien kholi... par use dhundhala sa nazar aa raha tha...
to be continued...
umeed hai ki pasand aayega...
agar nahi aaya to batana...
cjs369 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5
wow! one more ss from u ...😊
and interesting begining...slightly mysterious ...how Nimrit went into a coma?
introducing a new character Dhristi..😊 is she to be paired with Tej ??
all doctors ...and I love the flashback of how they met... very cute, agam helping her with the dupatta and preventing her fall...
lookng forward to the next update
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#6
@charu :- khushi hui tumhe achha laga. Kyu gayi koma me ye to next update me pata chal hi jaayega. Jald hi. Thanks.
hirie thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#7
very nice story archu! i got totally lost in it, could see each scene, esp. the one where agam is trying to wake her up. flashback was amazing, esp. dupatta scene :)
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#8

Originally posted by: hiri_piri

very nice story archu! i got totally lost in it, could see each scene, esp. the one where agam is trying to wake her up. flashback was amazing, esp. dupatta scene :)

thanks a lot. Mujhe thoda doubt tha ki pata nahi pasand aayega ya nahi par glad u liked it. Will continue soon
richa.amonkar thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#9
nyc update dea 😊
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#10
Hey guys here is the next part of previous...kal hi likhane waali thi par net me kuch problem ho gaya tha but now its all right...so hope u like it...
part---2
previous :- nimrit ko hosh aa raha tha aur wo apani aankhein kholane ki koshish kar rahi thi...ab aage...
continue :-
nimrit dheere dheere aankho ki palake uthane ki koshish kar rahi thi...ankhein thodi se kholane ke baad kamare me faili roshani jaise usake aankho me chubh rahi thi...par jab himmat karke usane apani aankhe kholi to use sab dhunndhala sa nazar aa raha tha...jab thodi derr baad use thoda saaf dikhai dene laga to usane dekha ki usake saamne teen log khade hai jo use uthata dekh muskura rahe the... ... wo itana kuch samajh nahi paa rahi thi ki kya ho raha hai usake saath?? wo log jo usake saamne khade the wo kitana pyaar karate hai usase...abhi tak wo apani bekaboo saanso par control nahi kar paa rahi thi...aur aankhein khole rakhane ke liye use bahut mehnat karani pad rahi thi...
phir nimrit ne agam ki tarf dekha wo se kah raha tha ki , "dekho nimrit ab tun bilcul thik ho jaaogi...kuch nahi hoga tumhe ...hum sab tumhare saath hai."... nimrit usaki aankho me dekh rahi thi...ek ghahrayi ...aur dherr saara pyaar use agam ki aankho me dikh raha tha...nimrit ki bekaboo saanse thodi normal ho rahi thi...wo lagatar sirf agam ki or dekh rahi thi...
tabhi DRASHTI aage aayi aur nimrit ka haath pakad kar usaki puls check karane lagi...agam tab bhi nimrit ke hathoo me hath dalakar hi baitha tha ...drashti ne agam se nimrit ka haath chodane ko kaha taaki wo nimrit ko medicines aur injection de sake...
jaise hi agam ne nimrit ka haath choda waise hi nimrit ki saanse phir se bekaboo hone lagi... wo apani saanso par control nahi kar paa rahi thi...usaki puls bhi low ho rahi thi...
kisi ko samajh nahi aa raha tha ki aakhir aisa achanak kyu ho raha hai... tabhi drashti ki samajh me aaya aur usane agam ko phir se nimrit ke hi paas baithane ko kaha jaise wo pahale baitha tha...
agam ne phir se nimrit ka haath apane haatho me le liya... tab kahi jaakar nimrit ki saanse phir se normal hone lagi...jaise ki nimrit kah rahi ho agam se ki , " tum mere hi paas raho...kahi mat jaao..."
tab drashti ne use need ka ek injection usaki left arm par lagaya... dheere dheere neend nimrit par haavi hone lagi aur neend use apane aagoish me lene lagi... nimrit bas agam ki or dekhe jaa rahi thi...agam ne usase kaha, " nimrit ab tum dheere se so jaao tab tak hum sab tumhare uthane ka wait karenge...hum sab yahi hai thumhare paas..."
thodi derr me nimrit ko neend ne apane aagosh me le liya...
nimrit ke soo jaane ke baad bhi agam wahi baitha tha apni nimrit ke paas...
"kyu dr. agam aapako kya kabhi bhuk nahi lagati hai??" , tej ne muskuraate huye agam se kaha.
agam ne koi jawaab nahi diya.
"agar aisa hi haal raha to tumhare hisse ka khana hamesha ki tarah mai hi khaa lunga...phir mat kahana ki maine pucha nahi tha tujhase" , tej ne phir mazaakiya andaaz me agam se kaha.
"mujhe bhuk nahi hai , tej"
"arrey aise kaise nahi hai ...tumhe pata hai jabse nimrit ki ye haalat huyi hai ,,,,,naa to tum dhag se khaate ho aur naa hi sote ho...sirf nimrit ka khayaal rakhate ho...par kabhi socha hai ki tumhe apana khayaal rakhana kitana jaruri hai ?? aakhir tum hi to nimrit ka sahara ho..."
"achha thik hai, mai khana khaaunga bas..."
"ok dr. agam to mai aapake liye khana lata hu bas abhi gaya aur abhi aaya." , aisa kahate huye tej kamare se bahar chala gaya.
Baahar ki baarish abhi thodi derr ke liye ruk gayi thi...par agam ke andar tufaan utha hua tha nimrit ko is haalat me dekh...wo nimrit ki taraf dekh kar phir se apne khayaalo me kho gaya...kitana khoobsurat din tha wo jab hum manaali gaye tahe conference ke liye...
FLASHBACK :----:-----:-----:----
"WOW !!! MANAALI.!!!kitana mazza aayega na agam" , nimrit ne chahkate huye kaha.
"haan par hum waha kaam ke liye conference ke liye jaa rahe hai nimrit."
"mujhe pata hai ...par waha kitana khoobsurat mausam hota hai ...chaaro taraf barfili unchi unchi pahado ki chotiya... har disha me barf hi barf faili huyi...ghaatiya...snowfall...wow !!!! sochakar hi itana achha lag raha hai to jab hum waha jaayenge to kitana achha lagega na agam"
"haan jarur...par agar tum sirf khayaali pulaav pakati rahi na yaha to hamari train miss ho jaayegi aur hum hai na yahi pe sirf sapane hi dekhate rah jaayenge samjhi dr.nimrit" , agam ne gusse se kaha.
"ohh no ,sorry wo time ka dhyan hi nahi raha mujhe."
"ab chalo nimrit humein derr ho rahi hai."
MANAALI pahunch ne ke baad dono ko guest house me thaharna tha...agam aur nimrit ne apana apana bag apane apane kamare me rakh diya...lunch karane ke baad dono baazar me ghumne ke liye nikal padate hai...
"wow !! kitana khoobsurat nazaara hai gaadi ke bahar ka agam... dekho to.."
"mujhe nahi dekhna tum hi dekho..."
"sirf dekhane ke liye kah rahi hu kuch bhaari kaam nahi bata rahi hu tumhe" , nimrit ne thoda gusse me kaha.
"tumhe sach me kaano me problem hai kya?? sunayi nahi diya mujhe nahi dekhana...
"to mat dekho mujhe kya ? " , nimrit ne muh banate huye kaha.
raaste me waha halka halka snow fall start ho gaya.
"snow fall ...wow !! bhaiya gaadi roko na please..", nimrit ne driver se kaha.
gaadi rukate hi nimrit teji se gaadi ke baahar nikali...nimrit ne apane dono haath hawa me faila diye aur apani aankhein band kar li...aur wo apni haatho par pad rahi soft white barf ko mahsus kar rahi thi...jald hi wo us khoobsurat anubhuti me khoo gayi...nimrit gol gol ghum rahi thi dheere dheere...usake liye to jaise wo lamha wahi ruk gaya tha...
agam pahale to gaadi me baitha tha par nimrit ko u khushi se jhoomata dekh wo bhi gaadi se bahar nikala...wo bas nimrit ki taraf dekhe jaa raha tha...usaki khoobsurati me kho gaya tha wo...nimrit ki maasumiyat, saadagi usake dill me apani jagah bana rahi thi...aur use pata bhi nahi chala...
thodi derr baad agam apane khayaalo se bahr aa gaya aur dekha ki nimrit to puri tarah se gili ho chuki hai ... par nimrit ko is baat ka ehsaas hi nahi tha...wo to bas apane hi dhun me snow fall ka mazza le rahi thi...
agam nimrit ke paas gaaya...nimrit aankhien band karake khadi thi...wo usake aur paas gaya...kuch derr use dekhata hi rah gaya... jaise hi nimrit ne apani aankhien kholi agam ko itane paas dekhakar usaka balence chala gaya aur phir ek baar agam ne usaka haath pakd liya aur use girane se bachaya...dono kuch edrr tak waise hi khade rahe...agam ne dhaare se apana haath aage badhaya aur nimrit ke baal jo usake gaalo par bhikar gaye the unhe usaki kaano ke peeche kiya...
agam nimrit ke aur thoda kareeb aaya... usake kareeb aate hi nimrit ne apani aankhien band kar li...agam ne apana haath nimrit ke gaalo par dheere se rakha...
usake touch karate hi nimrit ki dill ki dhadkan badh gayi aur usaki saanse bhi jor jor se chalane lagi... agam ne nimrit ko itane paas se pahale kabhi nahi dekha tha...wo aur aage badhane hi waala tha ki achanak use ek awaaz aayi..
"sir , madam !! aap puri tarah se bheeg chuke hai...hume ab chalana chihiye varana aap dono ki tabiyat kharab ho jaayegi" , driver ne gaadi ke andar se dono se kaha..
agam aur nimrit usaki awaaz se hosh me aa gay aur ek dusare se thode door ho gaye..
gaadi mai baithane ke baad dono ek hi baat soch rahe thi ki aakhir wo kya tha jo kuch derr pahale unake saath hua ...aisa unhe pahale kabhi mahsus nahi hua tha...
to be continued...
pata nahi kaisa likha hai maine ab aap sab hi ye bata sakte hai friends...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".