Part-3At evening,khirad chop the vegetables for dinner in kitchen.wo apne kaam mein itni busy thi ke usko pata hi nahi chala ke ashar kab kitchen mein aaya,jab tak usne notice kiya tab tak ashar uske kareeb tha.he looked into her eyes,his intense staring is something any girl can die for,khirad ka heart zor-zor se dhadak raha tha.he stood so close,he leaned forward to her.
ashar ne apna hath khirad ke waist ki taraf badaya,khirad ne apni ankhein niche jhoka li.tabhi ashar ne khirad ke piche rakhe knife ko utha liya aur dur ho gaya.khirad ko kuch samajh nahi aaya ye kya hua.tabhi ashar ne shararat bhare andaz mein kaha,"knife lena tha aaple katne ke liy".ashar samajh gaya tha,khirad ki kya halat hui hogi gabrahat ki vajah se aur ashar muskurate hue chala gaya.
khirad ko apne upar gussa aa raha tha,usne apne sar par hath marte hue kaha;"bewkoof ladki,ashar ke thode se kareeb aane par meri ye halat ho jati hai,saans aur dil itni tej chalne lagte hai,to jab wo sach mein kareeb aayenge to meri to jaan hi nikal jayegi...phir kehti hai ab main ashar ke kareeb jaana chahti ho,pehle apni gabrahat ka to kuch ilaaz kar"khirad apne aap se chidte hue kahti hai then she again starts chopping vegetables...
next day, ashar office mein kam karte karte thak gaya tha isliy change hone ke liy office ke bahir dekhta hai,musam kafi suhana
hota hai,uska man khirad ke sath time bitane ko karta hai,isliy wo office se jaldi ghar chala jata hai.
ashar ander aate hi khirad ka hath pakadte hue kehta hai,"chalo bahar chale,aaj acha musam hai."
khirad kehti hai,"acha aap pehle fresh to ho jaye"
ashar agree with her and said,"thik hai main 10 minute mein aata ho,tum koi bahana mat banana"
khirad replied with smile"nahi banaongi"
ashar changed his formal wear to casual t-shirt and jeans
coffee pine aur kuch khane ke baad dono beach par ghoom rahe hote hai,ashar hold her hand tightly,thandi hawa chal rahi hoti hai,khirad ke baal uske chehre par aa rahe hote hai,uska dupatta hawa mein lehra raha hota hai.they both enjoyed each other company.
kale badal aane lagte hai"oh god lagta hai baarish aane vali hai"ashar chidte hue aasman ki tarf dekhta hai,wo khirad ka hath khichte hue kehta hai "chalo ghar chale"
khirad ashar ko rokte hue kehti hai "thodi der aur rokte hai na ashar,kitna acha musam ho raha hai "
ashar say"yaar tumhe pata hai na mujhe barish mein bhigna acha nahi lagta"
tabhi raining starts heavily,ashar bhagte hue car mein ja kar baith jata hai,khirad bhi car ke paas aa jati hai,par bahir hi rehti hai.khirad asmaan ki taraf apna chehra kar ke thandi hawa,baarish ki boonde,mitti ki khushboo ko mehsoos kar rahi hoti hai.khirad bahut khush ho rahi hoti hai aur ashar khirad ko dekh kar khush ho raha hota hai.
thodi der baad ashar khirad ka hath pakad kar car mein bitha leta hai aur khud bhi baith jata hai,kehta hai"bas karo khirad,kitna bhigogi,bimaar ho jaogi,kuch dino baad afsheen ki shadi mein bhi jana hai ke nahi.bimaar ho jaogi to afsheen mujhe kahegi maine uski saheli ka dhyan nahi rakha"
khirad ashar ko kisi ziddi bache ki tarah dekh rahi hoti hai,jaise uski zid nahi puri ki gai ho,ashar ko uski masumiyat par hasi aa rahi hoti hai.they returned to home.
precap-afsheen mehendi...
hope u like it...
Edited by mishti.rain - 9 years ago