After reading this OS i become pretty emotional.😭👏 so i thought of writing a poem for you:
Neela aasman mein koi aisa sitara bhi hai,
jo khud jalta par dusron ko khushi deta hai,
sab dard andar hi andar samet ke rakhta hai,
aankhon mein hasi liye chalta hi jaata hai
uss sitare ko mein dekh raha hoon,
uski garmi mein apni ruh sek raha hoon,
woh bhi hai tanha,
main bhi hoon tanha,
uski aanchal mein apna dard kured raha hoon
uski ankhein bhi hai ojhal meri tarah,
uski seher main bhi hai hulchal,
aur log wahan bhi hai masgull.
unko nahi parwa kya khilta hai.
aur kya marta hai harpal
yahan par bas mein nahi,
aur hazaar bhi aate hain.
muh phulake sar pe haath rakh ke chale jaate hai.
sab thik ho jayega yahi sapna dikhate hain,
hume pyar se niharte nahi humdardi dikhte hain
par ye zakhm hame khud hi sehna hota hai.
apne aansoon ko dil ki zameen pe seench ke,
patthar ka beej bona padta hai.
phirse ek naya ashiyana banana padta hai,
hamare dard ko khushi ki jholi mein piroke.
sajana padta hai
aasman mein ek naya ghar to le lenge.
aur apni hasi se uss seher ko ujaala bhi kar denge.
par dard kisse baantein.
badi lambi hai hamari ye sooni raatein
❤️
Edited by becool97 - 6 years ago