Seyahat.....Sujal&Kashish.....Last Part.....12/16 - Page 4

Created

Last reply

Replies

147

Views

36845

Users

26

Likes

77

Frequent Posters

le_me_star thumbnail
Posted: 15 years ago
#31

great part girls πŸ‘ πŸ˜Š πŸ‘!!!!!...sujal trying his best too get to know kashish...par kashish is not interested n she told him that in his face 😭!!!..angad aur uske ideas πŸ˜†...dude she seems a really different kind of girl so i don't think your idea will work πŸ˜‰!!!....par anjali always has ideas and good one 😊!!!....kripa seems too excited to know that sujal has finally chosse someone to get married πŸ˜›!!!...anjali nain ushe convinice kar hie liya unlogo key saath agge jane key liye 😊!!!...they are all soo friendly with her but seems that she really worried abt someting ....n trying to hide that πŸ˜•!!!...the way she answer sujal back not 2 interfer in her life n all the stuff...wo bhie apni jaga pey sahie hay...they bearly know each other!!!!....safar bohot lamba hai....do din main bohot khuch h sakta hai...right πŸ˜‰!....continue soon yaar....i be waitting for the next part eagely

Edited by le_me_star - 15 years ago
jyothi_cool thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
#32
hey lovely part but why is kashish acting so wierd gr8 job cont soon
-Aarti- thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#33
kashish awesome part........ πŸ‘ ahaa  kya bata hai  ladakh jaa rahe hai dono πŸ˜† sujal puri koshish ker raha hai kashish ko patane ki lakin kashish itna khamosh kyun rehrahi hai..... kher waiting for next part plzz continue soon 😳 Edited by jina sirf - 15 years ago
Iqbal Neha1 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#34
mind blowing part
i liked the way anjali and kripa got kashish 2 sit with them they way they are behaving they will surely get kashish and sujal married soon
both of them are going to ladakh hope by the end of the journey they get together
cant wait 2 read why kashish seems worried about something
swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#35
Lovely part........πŸ‘Plzz continue soon
goodkashish thumbnail
Posted: 15 years ago
#36

 Part-4

Ab bus aage jake ek dhabe pe jake rukti hai..........sab se pehle kavya utarta hai aur woh Anjali ko haath deta hai aur Anjali kavya ka haath pakad ke utarti hai..........phir Angad aur Kripa..........ab bus me sirf Sujal aur Kashish rehte hai..........dono ek dusre ki aur dekhte hai........Kashish jane lagti hai lekin Sujal aage badhta hai aur dono ke sir takrate hai.........woh log phir se jane lagte hai lekin phir se takrate hai........

Sujal: tum rehne do......main hi chala jata hoon.........

Kashish: jee........

Sujal neeche utar ke piche mudta hai jaha Kashish bus se utar rahi hoti hai..........Sujal Kashish ki aur aage haath karta hai........Kashish pehle Sujal ko phir uske haath ko dekhti rehti hai...........Kashish bina kuch kahe Sujal ke haath me apna haath de deti hai..........aur sujal use bus se utarne me madad karta hai.........Kashish aage chalne lagti hai lekin phir se mudti hai..........

Kashish: thank you...........

Sujal: my plesure........

Kashish phir dhabe me jake ke ek khone pe rakhe table pe beth jati hai.........

Kripa: Kashish waha kya kar rahi ho yaha aao........

Kashish: nahi main theek hoon...........woh yeh book padhna hai........aap log baatein kijiye........main thik hoon..........

Kashish phir se apni kitab me kho jati hai jab ek ladka aata hai........

Ladka: mamsab aapke liye chai.......

Kashish: nahi muje nahi chahiye..........maine kuch nahi manga........

Ladka : jee woh us sir ne bheja hai.........

Kashish: kisne........

woh ladka sujal ki aur ungli karta hai aur chai rakh ke chala jata hai.........Kashish us glass ko haath me leti hai aur phir sochti hai.......lekin phir Sujal ki aur dekhti hai jo apne parivar ke saath kitna khush hota hai......woh phir se chai pine lagti hai aur apni book me kho jati hai lekin Sujal wapas mud ke Kashish ko dekhta hai aur ek ajeeb si hasi uske chehre pe aati hai.........

Kavya: kaha kho gaya.......

Sujal: kuch nahi.........bas abhi aaya..........

Anjali: ab yeh kaha chala gaya.......

Kavya: kaha ki aata hai.......dekhte hai janab kaha gaye hai,,,,,,,,

thodi dair bad Sujal apna guitar leke aata hai..........

Kripa: wow..........sujal apni guitar ke saath..........lagta hai janab ka mud to bahot achcha hai.......

Sujal: haa....koi sak........

Angad: hey chill.......ab Sujal koi achcha sa gaana suna de........

Anjali: jo dil me hai woh jubah pe lade...........

*************************************************************************

Kahin to.. kahin to. Hogi woh (Sujal apni guitar bajana shuru karta hai)

Duniya jahan tu mere saaath hain (Kashish apni book se nikal ke Sujal ko dekhti hai)

Chaha mein chaha tu (Sujal Kashish ki aur dekhta hai)

Aur jaan bas tere mere zajbaat hain (kashish puri ki puri tarah uske labzo me kho gayi thi)

Hogi jahan saba teri Palkon ki kirano mein (Sujal dheere dheere kashish ke pass aane lagta hai)

Lori jahan chand ki Sune teri bahon mein...(Kashish apni palke zuka ke dusri aur dekhne lagti hai)

Jane na kahan woh duniya hai (Sujal Kashsih ke piche khada rehta hai)

Jane na woh hai bhi ya nahi (Sujal uske dupatte ko chuta hai)

Jahan meri zindagi mujhse Inti kafa nahi (Kashish ko ehsaas hota hai aur woh apna dupatta aage kar leti hai)

Saasein kho gai hai kiski aahon mein (Sujal aake Kashish ke table pe bethta hai)

Mein kho gai hoon jane kiski baahon mein (Kashish jaise kuch ghabra jati hai)

Manzilon se rahe dhondte chali (Phir woh sujal ki aur dekhti hai jiski aankhoin me kitna apnapan hota hai)

Aur kho gai hai manzil kahin rahon mein (Bus woh dekhti hi reh jati hai)

Kahin to kahin to hai nasha (Kashish apni palke zuka deti hai)

Teri meri har mulakat mein (jab kashish ki aankh bhar aati hai)

Hoton se hoton ko (Kashish waha se jane lagti hai lekin Sujal use rokta hai)

Chumti o rehete hai hum har baat pe (Kashish Sujal ke haath ko dekhti hai jisne Kashish ka dupatta pakda hua hai)

Kehti hain fiza jahan Teri zaameen aasman (Kashish apni zuki palko se Sujal ke kareeb jati hai)

Jahan hai tu Meri hasi meri khushi Meri jaan....(Kashish apne dupatte ko chodne ko kehti hai)

Jane na kahan woh duniya hai (Sujal kuch kahe bina bas Kashsih ko dekhta hai)

Jane na woh hai bhi ya nahi (jab kashish apna dupatta khichti hai)

Jahan meri zindagi mujhse Inti kafa nahi (Sujal hosh me aake dupatta chodta hai)

*************************************************************************

Kashish kuch kahe bina sharmake waha se chali jati hai.........aur sujal use dekhta rehta hai kyunki ek choti si muskaan kashish ke chehre pe hoti hai.................Kashish bus ke piche jake khadi hoke abhi ke pal ko yaad kar rahi hoti hai........jab woh samne ek car ko dekhti hai aur jisme kuch logo ko..........Kashish ghabra jati hai aur mathe se pasina chutne lagta hai.....

Kashish: nahi woh log...................nahi aisa nahi hoga.........

Kashish wapas ghabrate huye bus me jane lagti hai jab woh Sujal se takrati hai.........Kashish ghabrahat me zor se chilati hai........

Sujal: Kashish main hoon..........sujal pehchanti nahi kya..........

Kashish: nahi woh.......

Sujal: lekin itni ghabrayi huyi kyun ho..........

Kashish: kuch nahi........

Sujal: kisi ne kuch kaha..........

Kashish: kaha na kuch nahi.........aap rasta chodiye muje andar jana hai...........

Kashish andar jake phir se apni last wali seat pe bethti hai aur aaspass ke khidki bandh kar deti hai............Kashish ke chehre se lagta hai ki woh kitni dari huyi hai........lekin woh normal hone ka natak karti hai..........jab sab log wapas bus me aate hai...............

Kripa: tum wapas piche kyun chali gayi..........yaha aage aao na..........

Kashish: jee nahi main thik hoon..........aur waise bhi muje neend aa rahi hai..........

Angad: itna to bata do ki tumhe gaana kaisa laga kyunki yaha pe kisi ko neend nahi aayegi............

Kashish: jee.......kya........

Anjali: gaana kaisa laga.........Sujal kafi popular singar tha college me.........

Kashish: bahot hi achcha...........jaise dil se ho.........bahot apnapan hai aap ki aawaz me........wake hi muje aapka gaana bahot hi pasand aaya...........

Sujal: sach me .........

Kashish: jee......ab main .....mera matlab.......

Sujal: haa.....tum so jao.........main hoon tum ghabrao mat.......

Kashish jaise ehsaas hone laga ho ki koi hai uska khayal karnewala........

Kashish (to herself): tum aisa nahi kar sakti Kashish..........yeh jante huye ki woh log tumhare piche hai........tum apni jaan ke saath saath Sujal ki zindagi khatre me nahi dal sakti.........nahi Kashish yeh log bahot achche hai tum unke saath aisa nahi kar sakti........is liye bhool jao........koi nahi hai tumhari zindagi me .........apne dil ko samja do........haa main nahi chahti ki meri waje se...........main tumse durr rahungi bahot durr..........

Phir Kashish apni aankh bandh karke so jati hai..........lekin aankh se aanshu behte hai jo Sujal dekhta hai.........

Sujal (to himself): aisa kaunsa raaz tum chupa rahi ho........pehle tum itni ghabrai huyi aur upper se ab yeh aanshu..........aisa kaun sa dard hai jo tum akeli seh rahi ho.........main tumhara dard batna chahta hoon lekin tum hoki mujse durr ja rahi ho.........lekin main vaada karta hoon ki tumhe main apna banake rahunga...........

*************************************************************************

aise hi sab log so jate hai...........thodi dair ke liye..........do ghante ke bad bus rukti hai...........aur isse sab log neend se jag jate hai........

Kavya: driver bus ko kyun roka.......

Driver: jee woh aage ek ladka aur ladki khade hai............

Sujal: main dekh ke aata hoon.........

Angad: dekhna koi lafra na ho..........

Sujal: jab jaunga tab dekhunga.........

Sujal jake neeche dekhta hai aur us ladka aur ladki se baat karta hai aur wapas bus me aata hai...........

Sujal: suno........yeh Prem aur yeh Heer hai............yeh log musibat me hai aur unhe hamari madad chahiye.........

Kripa: musibat........

Prem: jee woh baat yeh hai ki main Heer se bahot pyaar karta hoon lekin gharwale hamare ristey ke khilaf hai is liye hum bhaag gaye hai...........bas aage jate hi kisi mandir me shaadi kar lenge lekin ab hamare piche police hai.........

Anjali: police...........Sujal yeh kya kiya tumne...........

Sujal: Anjali ........bechare pyaar karte hai ek dusre se.........

Anjali: lekin Sujal.........

Angad: ise samjana na mumkin hai........yeh pyaar karnewalo ke liye apni jaan de dega.........aao betho..........

Kavya: aap log ek dusre pe yakeen to karte hai...........

Heer: ab itni dur Prem ke saath aa gayi hoon to itna yakeen ban gaya hai apne pyaar pe............ab jina marna sab Prem ke saath...........

Kripa: lekin Shaadi ke bare me kya socha hai...........

Prem: shaadi karne ke liye hamare pass kuch nahi........is liye pata nahi.........

Kashish: tumhari shaadi zaroor hogi.........main karvaungi.............

Sujal: tum..........

Kashish: haa...........do pyaar karnewalo ko shaadi karana koi buri baat hai.........main aap dono ke saath hoon.........

Sujal: tum thik keh rahi ho.......hum sab milke tum dono ki shaadi karvayenge............

Prem: aap sab ka bahot bahot sukhriya..........

Sujal: sukhriya nahi balke vaada karo ki Heer ko hamesha khush rakhonge...........

Prem jee vaada raha........

Angad: kya ajeeb safar hai...........pehle hum che log bus me ab.safar me shaadi........ab aage kya kya dekhne ko milega............

Sujal: jo hum sabki seyahat me likha hai.........suno aage jake jo mandir pehla aaye waha rukna zara.......

Driver: jee saab....................

Love

pihu and Kashish

swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#37
Lovely part Kashish........πŸ‘ really liked the song.....very curious to knw abt kashish's Raaz................PLzz continue soon.....😊
Daebak thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 7
Posted: 15 years ago
#38
Nice  part.........Ye kashish ke peeche kaun log pade hain?
-Aarti- thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#39
kashish & pihu gr8 part.....  
plz continue soon
Iqbal Neha1 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#40
amazing part
cant wait 2 read who is after kashish and what she is hiding
i liked the entry of prem and heer
the song was really good