
One from my side
Swara - baby dad mummy hai nhi ghar pe
Sanskaar - aur badi ma
Swara - woh bhi nhi hai bade papa ke saath bahar gyi hai
Sanskaar- pari bhabhi toh hongi
Swara - woh bhi adarsh bhaiya ke saath bahar gyi hain
Sanskaar - uttara
Swara - nope
Sanskaar - tumhari chameleon sister toh hogi
Swara - nhi usne laksh ki bottle tod di toh laksh ne kaha woh aaj uska khoon pi jayega toh woh parlor me chip gyi hai jaake n laksh parlor ke bahaar uska wait kar rha hai
Swara-(hugged him more tightly n romantically) toh tumhe iska matlab pta hai😳
Sanskaar - haan ohh no matlab khana aaj tum ne banaya hai...mummy koi mujhe bachao...last time jo tumne daal baati banayi thi uski baati se mainey adarsh bhaiya ne or laksh ne 3 months tak cricket khela tha woh itni majboot thi ki bade papa ke to 3 daant bhi shaheed ho gyye the tumhari baati khakar...pehley sirf woh bina baal ke the ab toh daant bhi nhi bacche pta nhi mera kya hoga