Jane kitne dost bane
jane kitne bichad gaye
Is kathor hradaya ki duniya mein
jane ve kidhar gaye
Jin-jin ko maine dost banaya
vada tha jeevan bhar saath nibhane ka
Kuch pal hi saath mein reh paye
ab yaadoon mein sab simat gaye
Ek tees si dil mein uthti hai
jab yaad mein unko karta hoon
Jeevan bhar ka saath nahi to kiya,
ab yaadoon mein un sang rehta hoon
Ab tanhaai ko hi dost banaya
na darr hai bichad ke jane ka
Ye jeevan bhar saath nibhayega
na kabhi ruth ke jaye ga
Jab jeevan ki mere shaam hogi
ye dost hi kaam mein aaye ga
Abhi har waqt saath mein rehta hai
marne par bhi saath mein jayega..!!!
author: unknown