Sad Shayari Part 2--- Closed - Page 38

Created

Last reply

Replies

390

Views

46.7k

Users

8

Likes

787

Frequent Posters

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: urooj92

yaaay

finally got this forum to be a bit active



ya i know ...when this will be 50 pages i will create new one😉
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
tu na mil saka teri yaad ka sahara bohot hai
hamen apne zakhmon se shikayat nhi

tere pyaar ka marham bohot hai
marr sakon teri bahon mein to naseeb samjhun


warna dil mein hasraten to bohot hain
dharakta hai tu hi dil mein dharkan ki tarha


tu na ho to ye jaan bhi na rahe
kehne ko is jism mein saansen bohot hain
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
zindagi mein chaha tha ek shaks ko magar uski chahat na pa sake
jise chahte the hum sache dil se use apna na bana sake

mujhe dard nhi is baat ka ke wo mere nhi
mujhe dard hai to bas is baat ka k wo mera mukkamal jahan na pa sake

jo bana rakha tha shishe ka mehal meine unke liye wo usme reh na sake
mujhe dard hai to is baat ka ke sachai se chahte huwe bhi hum unhen na paa sake
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
udas mosmon mein muskurana na tere bas mein na mere bas mein
judai ke rog ko chupana na tere bas mein na mere bas mein
wo fasl-e-gul ab to dhal chuki hai chita muhabat ki jal chuki hai
wafa ki mayyat ko ab uthana na tere bas mein na mere bas mein
khizan ke purkhar raston ki aziaten jab naseeb thehren
gulab rut ko gale lagana na tere bas mein na mere bas mein
wo pyaar k pal wo chand raten wo dil nasheen phool jesi baatein
haseen yadon ko bhool jana na tere bas mein na mere bas mein

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
shiddat-e-judai ka gham us ko bhi satata hoga
jab wo meri nazam parh kar gungunata hoga
raat ki tariki se usko khof to ata hoga
jab koi jhilmilata tara toot kar muskurata hoga
hamare bichharne ka manzar jab bhi us ke khwab mein ata hoga
raat ki ruswai mein uth kar aansu to bahata hoga
jab ho jata ho ga nidhal to meri yaad mein
sajda-e-aajzi mein gir kar khuda se ek bar tu mujhko mangta hoga

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
zawal-e-shab mein sitaron ne saath chor diya
saba chali to chiragon ne sath chor diya
mila jo moka mujhe unse baat karne ka
mere naseeb ke lafzon ne saath chor diya
wo roo-ba-roo tha magar usko dekhte kaise
wo rang-e-noor tha aankhon ne sath chor diya
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
aazma kar dekhte hain
qasam Khuda ki
hamein kuch nazar nhi aata
teri galiyon se jo hum door ja kar dekhte hain
tumhare baad faqat reh gyi hai tanhai
chalo ise bhi gale laga kar dekhte hain
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
apni yaadon ko mere ghar pe barasta dekho

ek aahat pe mere dil ko machalta dekho

lagi he aag judaai ki kitni shiddat se

ek pal ke liye aao mujhe jalta dekho

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
do pal ki zindagi yunhi beet jaye gi

kaali raat ke baad nayi subha aye gi

agar doston ki yaad sataye gi

to kasam se aapki yaad sabse pehle aaye gi
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
taare asmaan mein chamakte hain
badal door hain phir bhi baraste hain
ham bhi kitne nadan hain
aap dil mein rehte hain aur
ham milne ko taraste hain

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".