Gam ka Saya
Gam ka Andhkar tha,
Bheeter hahakar tha,
Kuch samajh na paye hum,
Is kamarey se kaise bahar aye hum,
Socha jo ho, Apno ka saath to hai,
Socha jo ho, Thamaney ke liye kissika haath to hai,
Is kamare mey roshni badhti jati hai,
Prem ki varsha, Asso samet le jati hai,
Shayad safalta ke shikar ko nahi chhu payenge,
Chalo hum In gamoo se to Chhut jayenge,
Kamare se bahar Ate hi darr bahut lagata hai,
Jab andhkar kuch nahi kar paya to ujala kya kar sakta hai,
Sapney Apney kahin kho gaye the,
Kya kare hum apney aap ko Kho gaye the,
Lekin jo hai usey khush rahaker swikaar karna hai,
Apney jeevan mey har pal bas pyaar hi bharna hai,
Aaj Shrm karte hain aur sukoon hai,
Paise se Khushi milati hai is brahm ka nahi junoon hai,
Jeevan mey gam ka andhkar mit sakta hai,
Tufano ka samna har aadmi kar sakta hai,
Bas Apno ka saath aur pyaar ho,
Apne ander Hausla aur vishwas ho,
zindagi anmol hai na yaad karo dukh ko,
Muskurao aur jeeyo har pal sukh ko,
Khushi har gam ka chaader ban use dakhti hai,
Vishwas rakho zindagi khubasoorat bansakti hai.
Gam ka andhkar Bhi tab mitt jayega,
Bheeter mann pyaar paker nikhar jayega.
...............Bhoomikauttam