Bikhari Meri Duniya
Shaadi ke Bandhan mey yun Jam
gaya,
Damaad nahi Unka Beta bann gaya,
Saali Ko log kehtey aadhi gharwali,
Mere liye wah Meri Behan laadali.
Maa-Baba, Chotu ke liye mujhse badkar naa koi,
Bahu ki baat ayi to Vakalat uski karta har koi,
Meri Ardhangini Kahti mujhey,Suniye Ji,
Main Kahta aap to Sirf hukum kariye Ji.
Muskurati, sharmati woh Hasti,
Apni Hayya se Ghayal karti,
Yeh Saare karte mere liye har ek mannat,
Yeh choti si duniya Hi hai meri jannat.
Main Raste pe Subha chala ja raha tha,
Aisa Laga Ek shann Ek oor gir raha tha,
Dekha to Dharti Apna Dheeraj Kho chuki thi,
Apna Ugra roop Dhaaran kar chuki thi.
Jab dharti cheer gayi to Gharonde tuut gaye,
Apne Ashiyane ki sarr-jameen mey log dafann hogaye,
Dhas gayi Imarat,Mandir,masjid, Mehal, ghar jhopadi,
Dhas gaye Sapne, yaadein ,zindagi aur ujad gayi basti.
Mitti, salakhon key dheir se nikalta ek ek shav tha.
Dardnaak Nazara dekh Aatma mey laga ghehra ghav tha,
Bhukamp ke prakop ne meri duniya ko bhi bekhair diya,
Mujhe Shamshaan mey chod unhe jannat mey bhej diya.
...............................Bhoomikauttam