-SYS- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
Okay so I sat down to study for tomorrow's big horrible test but my mind would keep straying towards ShaNak tou I decided to pen down a quick fun OS. It started out as something else and culminated as something different altogether.Unfortunately I can never keep on a straight path.
I do tragedy and drama better than funny and lovey-dovey tou forgive if its bad.
This is for you for reading it:
🤗


Shaan had just finished telling Khanak about the talk he had had with Bombay's leading heart specialist regarding Anand's case.Both of them were happy that this friend that they had found in an unexpected place in unforseeable circumstances had a chance at life.They were determined to make him avail it.
'Shantanu! Mujhe ek woh aya hai!' Khanak suddenly exclaimed.
'Woh?Kya matlab woh aya hai?Woh koi aane ki cheez thodi hoti hai Khanak.Woh tou karna hota hai.' replied Shaan as he grabbed hold of her wrist and started dragging her towards the charpai.
Khanak slapped away his hand as she blushed and tried to hide her smile.
'Shantanu aap bhi na!Mein keh rahi thi ke mujhe ek-woh kya kehte hain aap-aaideeya?'
'You mean idea?'
'Idea?Haan wahi.Mujhe ek idea aya hai.'
Shaan sighed as he folded his arms across his chest, leaned back against the wall and looked at Khanak.She looked charming in her red and orange saari and he was itching to get his hands on her.She however had other ideas.As usual.
'Haan bolo.Waise bhi tum hamesha bolti ho aur mein tumhari har baat sunta aur manta hoon.'
'Shantanu abhi tou mat hasaaein.Mujhe bahut zaruri baat kerni hai.'
'Kya matlab abhi mat hasaaein?Aisa kya kaha maine?!'
'Abhi rehne dijye Shantanu aur meri baat suniye..Mein yeh soch rahi thi ke ab tou doctor ne keh diya hai ke Anand ke theek hone ki bahut bari umeed hai.Tou kyun na hum iss khushi mein un ko ek bahut acha sa uphaar dein?' she said excitedly then waited for Shaan to agree.
'Arey kya yaar.Khanak yeh tumhara aur uphaaron ka kya rishta hai?Duniya jahan ko uphaar deti rehti ho.Kabhi mujhe tou koi gift nahi diya!Agar tum bhool gayee ho tou mein tumhe yaar dila doon ke mein tumhara eklauta pati hoon aur mujhe uphaar dena tumhare liye sab se important hona chahiye!'
Khanak rolled her eyes and said, 'Shantanu kabhi tou kisi aur ke baare mein soch liya karein.Abhi Anand ki baat ho rahi hai.Aap kahan se beech mein aa gaye?'
'Haan haan.Mein bahut hee selfish hoon.Mein hamesha apne baare mein sochta hoon.Aur tum hamein chod ke sab ke baare mein sochti ho!Aur anyway.Tum bhool gayi?Anand bahut ameer hai.Usse jo chahiye hoga woh khud khareed lega.Hum usse kya dein ge?'
'Shantanu uphaar se paison ka koi taaluq nahi! Uphaar de ker aap doosre insaan ko yeh batatay hain ke aap ki zindagi mein uss ki ehmiat hai.Aap uss ke baare mein sochte hain, khayal kertay hain. Woh uphaar uss ki zindagi mein aap ka ek chota sa hissa hota hai jis ko dekh ker usse aap ki yaad ati hai, aap ke saath guzre lamhon, aap se juday ehsaas ki yaad ati hai. Aur waise bhi mein Anand ko khareed ke kuch denay ki baat nahi ker rahi thi.Mein tou unhe ek anokha uphaar dena chahti hoon!'
Shaan looked up in interest at that.
'Kya matlab?Anokha kaise?'
'Shantanu mein soch rahi thi ke hum Anand ke liye ek ladki dhoondein!'

----------------------------------------------------------------------------------------------

Shaan had tried to dissuade Khanak from her sure-to-end-up-in-disaster idea of finding a match for Anand but she was adamant.He knew that once she got hold of an idea it was next to impossible to make her change her mind but he had tried.In vain.
He had then changed tactics and told her she could do as she wished on her own but he would take no part in it.She refused to accept that too.
'Shantanu aap bhi tou Anand ke dost hain.Aap unn ki shaadi ki iksha poori nahi kerna chahte?Aur mujhe ek aadmi ki soch bhi chahiye hogi.Aap mardon ki 90% baatein mujhe samajh mein nahi aati tou aap ko meri madad kerni hogi!'
One look into those brown pleading eyes had him agreeing against his better judgement.Now he was stuck.
He glanced at Khanak.She was sitting with her hands cupping her face, her brows wrinkled in thought and her lips in a semi pout, deep in thought.He felt a surge of love for his wife who was a child in so many ways and a woman in others. He wanted to go hug her and hold her close as he inhaled her in. He got up determindedly to do just that as she looked up and sighed.
'Shantanu ye bahut mushkil kaam hai. Mujhe Anand ke liye koi ladki samajh meinnahi aa rahi! Woh baaju wali mausi ki jo choti beti hai woh bahut khubsurat hai lekin kabhi hansti hee nahi.Anand ke saath kaise rahe gi?Woh tou hamesha mazaq kerte hain.Agar woh kabhi unn ke mazaq per nahi hanse gi tou unhe bura lage ga.Aur jo Ada ke chacha ki patni ki behen ki beti hai woh pyaari bhi hai aur hansti bhi hai.Lekin thodi sehat achi hai.Pata nahi Anand maane ge ya nahi.Aap ko kya lagta hai?Waise ek ladki hai jo her tarah se Anand ke liye sahih hai.Sarpanch ada ke bhai ki beti.Lekin mujhe nahi lagta woh log usse shehr bhejne ke liya tayyar ho jain ge.Kya mujhe unn se jaa ker poochna chahiye?Abhi chalein?'
Shantanu waited for Khanak to stop speaking.When she finally ran out of steam he said, 'Khanak tum Dhulwadi mein Anand ke liye ladkian dhoond rahi ho?Tumhein nahi lagta hamein Mumbai ja ker ye kaam kerna chahiye?Anand itna bara aadmi hai, uss ko city types wife ki zarurat hogi.'
'Shantanu aap ab bhi Anand ko nahi samjhe! Unn ko ek aisay saathi ki zarurat hai jo unn ka khayal rakhe, unn se pyaar kare.Jis ke liye paison aur baaqi duniya ki cheezon se barh ker insaan ki ehmiat ho.Zaruri nahi ke woh parhi likhi ho lekin samajhdar ho.Zindagi mein jo cheezein ziada zaruri hain woh unn ki qadar kar sakay. Aur aisi ladki sirf Dhulwadi mein hee milay gi na ke aap ke shehr mein.Aur kya matlab city type?!'
'City type matlab shehr ki ladkyon jaisi.Matlab-'
'Shantanu mujhe pata hai city type ka matlab kya hai.Mein ye pooch rahi hoon ke aap ke yeh kehne ka kya matlab hai?Aap ne bhi tou mujh se shaadi ki thi! Mein koi city type nahi.Mein bhi tou Dhulwadi se hoon!'
Shaan looked at her with love and said, 'Woh tou tum ho. Waise Khanak mein ne tum se iss liye shaadi ki thi kyun ke tumhara yeh Dhulwadi ke log mujhe peet peet ke marne walay the.Bachnay ka sirf ek hee rasta tha!'
'Aap ka matlab hai ke agar woh aap ko martay nahi tou aap mujh se shaadi nahi kertay?' Khanak said with hurt showing in her eyes.
'Umm Khanak.Mein uss waqt Natasha se pyaar kerta tha.Remember?Aur tum mujh se nafrat kerti thi! Mein tum se kyun shaadi kerta?!'
'Oh haan.Mera matlab hai ke kya aap ko iss baat ka afsos hai?Kya aap ko bhi woh city type ladki hee chahiye?'
Shaan looked at Khanak mischievously.She was looking down and clenching her hands together.
'Ab tum pooch rahi ho tou mein aaj sach sach bata hee deta hoon...'
Khanak looked up for a moment and then abruptly turned away.
'Nahi rehne dijye..'She said as she started to walk away.
Shaan grabbed her by her shoulders and brought her close to him.
'Arrey ab poocha hai tou jawab tou sunti jao! Khanak-meray paas ek city type ladki thi aur woh mujhe bahut pasand thi.Lekin meri KFD ki tou baat hee kuch aur hai. Tumhari himmat, tumhara hosla, tumhara roothna, tumhara manana ye sab mujhe jitna acha lagta hai tum andaza nahi laga sakti.Tum jab roti ho tou mujhe dard hota hai, jab tum meri kisi baat pe muskarati ho tou mujhe apna aap acha lagta hai, jab mein apni family ke liya tumhara pyar dekhta hoon tou mujhe tum per pyaar ata hai, jab tum doosron ke liye pareshan hoti ho tou mera dil chahta hai ke mein duniya mein sab theek ker doon taake tumhein kabhi pareshan hone ki wajah na miley, lekin jab tum pareshan ho ker soch mein par jaati ho tou mujhe tum bahut cute lagti ho aur mera dil chahta hai tum aisay hee pareshan raho. Tum meray saamne na ho ker bhi hamesha meray khayalon mein rehti ho aur jab tum meray saath hoti ho tou sab kuch acha lagta hai. Tumse ladne mein jo maza hai woh kisi aur cheez mein nahi. Jab tum mujhe tang kerti ho tou mujhe samajh mein nahi aata ke tumhein daantoon ya apni bahon mein le loon. Khanak tum jab se meri zindagi mein ayi ho mujhe apne ilawa kisi aur ki fikr honay lagi hai. Tum se pehle ki zindagi ki yaadein bahut dhundli hain lekin tumharay saath guzara hua har lamha aisa hai jaise abhi abhi guzra ho. Khanak ab hindi bol bol ke meri zubaan thak gayi hai.Kya mujhe aur samjhaane ki zarurat hai ya kaafi hai?'
He whispered the last line in her ear as he had brought her closer to him with each line and now she was safely enveloped in his arms.Right where she belonged.
Khanak turned towards him, her cheeks aflame, her eyes wet.
They got lost in each others gaze, their eyes talking as their hearts beat in symphony and their hands held each other tightly.

Created

Last reply

Replies

29

Views

2.3k

Users

28

Likes

89

Frequent Posters

priya_cool_123 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#2
Awwwww......That was so cute.....
do we have a continuation for this....
-YasharanArshi- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3
Yumnaaaaaaaa .... Test main galti se Shanakisms mat likhnaa 😆

Matchmaker KFD .. Aaaaye Haaaaye ... Shaaan ko toh naughty hona hi hain .... Nice Nice Nicely Written .... Loved the Idea of Matchmaking .. Hope they incorporate this once in Mumbai instead of crappy SHOCKON !!!!!

I really doubt Shaan will actuallly speak so much of Hindi in BOLD below .... Thats tough enuf a task for him....

"Arrey ab poocha hai tou jawab tou sunti jao! Khanak-meray paas ek city type ladki thi aur woh mujhe bahut pasand thi.Lekin meri KFD ki tou baat hee kuch aur hai. Tumhari himmat, tumhara hosla, tumhara roothna, tumhara manana ye sab mujhe jitna acha lagta hai tum andaza nahi laga sakti.Tum jab roti ho tou mujhe dard hota hai, jab tum meri kisi baat pe muskarati ho tou mujhe apna aap acha lagta hai, jab mein apni family ke liya tumhara pyar dekhta hoon tou mujhe tum per pyaar ata hai, jab tum doosron ke liye pareshan hoti ho tou mera dil chahta hai ke mein duniya mein sab theek ker doon taake tumhein kabhi pareshan hone ki wajah na miley, lekin jab tum pareshan ho ker soch mein par jaati ho tou mujhe tum bahut cute lagti ho aur mera dil chahta hai tum aisay hee pareshan raho. Tum meray saamne na ho ker bhi hamesha meray khayalon mein rehti ho aur jab tum meray saath hoti ho tou sab kuch acha lagta hai. Tumse ladne mein jo maza hai woh kisi aur cheez mein nahi. Jab tum mujhe tang kerti ho tou mujhe samajh mein nahi aata ke tumhein daantoon ya apni bahon mein le loon. Khanak tum jab se meri zindagi mein ayi ho mujhe apne ilawa kisi aur ki fikr honay lagi hai. Tum se pehle ki zindagi ki yaadein bahut dhundli hain lekin tumharay saath guzara hua har lamha aisa hai jaise abhi abhi guzra ho. Khanak ab hindi bol bol ke meri zubaan thak gayi hai.Kya mujhe aur samjhaane ki zarurat hai ya kaafi hai?'"

PHEWWW ... !!!
saaaz thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#4
haila....kya baat hai.....

so cute and sooooo shanak....loved it SYS..brought a smile to my face...😃
-SYS- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 14 years ago
#5
@Priya
Thank you!
Umm continuation might happen if another evil test comes up soon😆

@Shalini
Hahah thanks.
I know I know.After I finished with his dialogue I was like uff this is too much for Shaan.But was too lazy to go and change it.

@Saaz
Thank you ji.
Haila I brought a smile to your face?I feel so accomplished😃
Edited by -SYS- - 14 years ago
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 14 years ago
#6
Tum jab roti ho tou mujhe dard hota hai, jab tum meri kisi baat pe muskarati ho tou mujhe apna aap acha lagta hai, jab mein apni family ke liya tumhara pyar dekhta hoon tou mujhe tum per pyaar ata hai, jab tum doosron ke liye pareshan hoti ho tou mera dil chahta hai ke mein duniya mein sab theek ker doon taake tumhein kabhi pareshan hone ki wajah na miley, lekin jab tum pareshan ho ker soch mein par jaati ho tou mujhe tum bahut cute lagti ho aur mera dil chahta hai tum aisay hee pareshan raho. Tum meray saamne na ho ker bhi hamesha meray khayalon mein rehti ho aur jab tum meray saath hoti ho tou sab kuch acha lagta hai. Tumse ladne mein jo maza hai woh kisi aur cheez mein nahi. Jab tum mujhe tang kerti ho tou mujhe samajh mein nahi aata ke tumhein daantoon ya apni bahon mein le loon. Khanak tum jab se meri zindagi mein ayi ho mujhe apne ilawa kisi aur ki fikr honay lagi hai. Tum se pehle ki zindagi ki yaadein bahut dhundli hain lekin tumharay saath guzara hua har lamha aisa hai jaise abhi abhi guzra ho.
Sooooooooooooooo Cuteeeeeeeeeee !!
Loved it !!!!!!!!
OlicityFan thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#7
amazing yumna!...
waitng for a fun-filled update....ur previous one was kinda a tragedy wid d kid dying and all......
love shanak and esp shaan in dis...
waitin for d update!!
-Deepali- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 14 years ago
#8
nice os yamuna..brilient and supperb👏
cute conver. between shanak awesome
'Arrey ab poocha hai tou jawab tou sunti jao! Khanak-meray paas ek city type ladki thi aur woh mujhe bahut pasand thi.Lekin meri KFD ki tou baat hee kuch aur hai. Tumhari himmat, tumhara hosla, tumhara roothna, tumhara manana ye sab mujhe jitna acha lagta hai tum andaza nahi laga sakti.Tum jab roti ho tou mujhe dard hota hai, jab tum meri kisi baat pe muskarati ho tou mujhe apna aap acha lagta hai, jab mein apni family ke liya tumhara pyar dekhta hoon tou mujhe tum per pyaar ata hai, jab tum doosron ke liye pareshan hoti ho tou mera dil chahta hai ke mein duniya mein sab theek ker doon taake tumhein kabhi pareshan hone ki wajah na miley, lekin jab tum pareshan ho ker soch mein par jaati ho tou mujhe tum bahut cute lagti ho aur mera dil chahta hai tum aisay hee pareshan raho. Tum meray saamne na ho ker bhi hamesha meray khayalon mein rehti ho aur jab tum meray saath hoti ho tou sab kuch acha lagta hai. Tumse ladne mein jo maza hai woh kisi aur cheez mein nahi. Jab tum mujhe tang kerti ho tou mujhe samajh mein nahi aata ke tumhein daantoon ya apni bahon mein le loon. Khanak tum jab se meri zindagi mein ayi ho mujhe apne ilawa kisi aur ki fikr honay lagi hai. Tum se pehle ki zindagi ki yaadein bahut dhundli hain lekin tumharay saath guzara hua har lamha aisa hai jaise abhi abhi guzra ho. Khanak ab hindi bol bol ke meri zubaan thak gayi hai.Kya mujhe aur samjhaane ki zarurat hai ya kaafi hai?'

superb👏---supreb👏pl update another os soon
tofeeees thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#9
Awww yumna that was adorable! :) SO cute! totally something i needed :) muah!
roadsidejunkey thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#10
Chuppi Rustam Nikali...gud job gurl!!!but aso do well in ur test...😊
Edited by deepa_01 - 14 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".