Ram-pitaji hum van main janey ke liye aapsey aagaya leney aaye hai humey apna ashirward dejiye merey saath sita aur laxman bhi van ko ja rahey hai
Dasharath-ram ram tum kyun yeah sab kar rahey ho vachan mainey diye hai tumney nahi tum veer ho kyun nahi youdh main mujhey hara kar ayodha le letey ho
Ram-nahi pitaji aap yeah kya khey rahey hai apsey youdh ki bat to main soch bhi nahi sakta aur apno se kaisa youdh aur van to main apni iksha se ja raha hoon waisey bhi issey mera bhala hi ho raha hai mujhey pran se pyaarey bharat ka rajyaabhishek mata pita ki aagya ka palan van main bardey bardey tapasvi ke saath rehkar gyan hasil karna mera to sirf kalyan hi kalyan hai
Dashrath-ishwar main kitna vivash hoon aaj sumant tum jao ram ke saath vanvas main humari vishal sena ram sita ki raksha kareygi kosh ghra main se adha khazane ram ke saath jayega ram jan rishi muni ke saath havan kareyga to apni marzi se dan kareyga
Kaikey-nahi sarey sukh ram ke liye aur merey betey bharat ko khali ayodhya mera beta is kangal ayodha ko kyun lega jabki aap sara khazana aur sena ram ke saath kardegrey aur waisey bhi aap bhool rahey hai ki aapney bharat ko mharaj sweekar kar liya hai aur bina mharaj ki izzazatke begar aap ram ko khuch nahi de sakteyaur mainey 2 vachan main ram ko tapsvi ki tarah van main rehney ko kaha hai woh yeah sab nahi le sakta
Ram-aap sahi khey rahi hai maa waisey bhi mujhey aapkey aur pitaji ke ashirwad ke elewa khuch nahi chahiye
Kaikeyi-mainey tumlogo ke vanvas janey ka sara prabandh kar diya hai tum logo ke liye mainey rishio ke vastr mangwa diye hai manthra
yeah tumahrey liye ram yeah laxman ka aur yeah sita
Vashishth-maharani kaikeyi tumney apna kul ka naam to kharab kar diya hai aab kya tum baki sanskar bhi bhool gayi ho sita is kul ki kul vadhu hai aur tum usko aisey vastr de rahi ho tumahrey haath nahi kaptey aisey kartey huey sita yeah vastr nahi legi woh van main bilkul 1 maharani ki tarah raheygi jaisey woh yeah rehti hai
Dashrath-sita tum van ko mat jao tum vaha kaisey rahogi mainey mahraj janak ko vachan diya tha ki tum maharani ki tarah rahogi agar tum ayodhya na rehna chaho jaha kaikey jaisi saas hai to tum apney pitaji ke yaha raho magar van mat jao
Sita-gurushreshtra aur pita saman sasurji aap khud hi baatiye agar merey rati van main tapasvi ki tarah raheygey to main 1 maharani
ki tarah kaisey reh sakti hoon mera to saari khushiya hi mery pati ki sewa main hai.merey pitaji aur mata ji ne mujhey shaadi ki waqt yeahi batya tha ki pati ki sewa se bardkar khuch bhi nahi agar main apney is dharam se peechey heti hoon to merey kul ki kaun si kirti bardeygi mujey raghunandan ke saathh janey ki aagya de .ma aap mujhey yeah vastr de aur batey issey kaisey phentey hai
Manthra-aao bahurani main batati hoon yeah sahi vastr aur aabhoshan(jewelery)utar do
Gurumata-nahi sita aaboshan mat utarna yeah suhag ki nishani hoti hai tum inehe nahi utarogi
sita-jo aagya gurumata
praja-agar ram van jayegey to hum bhi jayegey jaha ram wahi ayodha
episode ends