Hey guys, I had said that I would be starting an SS on HaiRaAn but didn't get time. So now I got time , Here is Chapter One... Hope you like it! And let me make one thing clear - HaiRa consummation scene did not happen!!!
----------------"------------------------------------------------------------------------------------------
Iss Din... Iss din ki main kab se intazaar kar rahi thi. Issi Dulhan ke jode mein , Issi aine ke saamne, Yahi gehne pehen kar baitke unka intazaar karna. Bas 'vo' ab ek alag insaan hai!
Pehle Yeh sare sapne maine Ayaan ke saath dekhi thi par aaj kisi aur ke saath meri nikkah hone waali hai. Mujhe tho Infact Khush ... Nahi Bahut Khush hona chahiye par kyun nahi hoon main khush? Iss Savaal ka java ab bhi nahi mil rahi hai mujhe! Shayad Iss liye kyunki main yeh nikkah Ammi aur Abbu ke marzi ke khilaf kar rahi hoon ya kuch aur jo mujhe nazar nahi aa rahi hai!
Ya Allah! Yeh kya ho raha hai mujhe. Main hi to Haider se nikkah karna chahti thi par kyun... Kyun mujhe Aisa lag rahi hai ki kuch hone waale hai aaj! Kyun???
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aaj... Aaj mera barson ka intazaar khatam ho jayega. Aaj main apni Chutki, Ammi , Abbu aur Mausi ke mauth ka badla loonga!
Humaira se nikkah kar ke uski zindagi tabaa kar doonga! Aur agar usse ek kharoch bhi aayi tho uske Ammi aur Abbu bikhar jayenge!
Main usse itna dard doonga, itna tadpaaoonga , ke woh jeete jeete marjaayegi!
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Finally! Finally! Aaj main Bhopal vaapas aagaya hoon! Maine Apne aap se vaada kiya tha ki jab tak main khud ka pehchaan nahi banaa tha main vaapas nahi aaoonga!
Paris mein maine ek Sangeet ka school shuru karke apne pehchaan bana liya. Aur ab main vaapas aagaya hoon apne begum ko le jaane ke liye , Mere Humaira aka Malik-E-Ayaan!
Usse Nikkah kar ke apne zindagi ki sab se badi khwahish pura kardoonga! I'm coming Humaira!
I'm coming! Main aa raha hoon tumhara paas! Bas kuch hi ghanton mein...
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------
So... How was it? Don't be too lazy to drop in comments and likes before going ;) !
Characters:
Ketki Kadam as Humaira Siddiqui
Vikrant Massey as Ayaan Ahmed Khan
Mohit Sehgal as Haider Sheikh
Archana Taide Sharma as Nikkhat Ahmed Khan
Vishal Nayak as Farhan Qureshi
Karan Singh Grover as Asad Ahmed Khan
Surbhi Jyoti as Zoya Asad Ahmed Khan
Amarapali Gupta as Tanveer Siddiqui
Neha Laxmi Iyer as Najma Imran Qureshi
Tej Sapru as Gaffur Ahmed Siddiqui
Alka Kaushal as Razia Siddiqui
Vishal Singh Chauhan As Imran Qureshi
Farhina Parvez as Nuzzhat Ahmed Khan
Shalini Kapoor as Dilshad Ahmed Khan
Vaquar Sheikh as Rashid Ahmed Khan
Shabnam Azeed as Shirin Ahmed Khan
Edited by KSGmaniac_24579 - 10 years ago
125