🏏India vs Pakistan, Asia Cup-Super Four, Match 14 (A1 v A2) Dubai🏏
HONEYMOON🏩 20th and 21.9
Star Parivaar Ki Favourite Saas
Downfall is Real! No one even cares for SPA pics this year
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 21, 2025 Episode Discussion Thread
Meri ragon main to aapka khoon hi nahi hai
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
Saiyaaara spoof
Let's Discuss Abhir
👻😈😈😈Mask Of Zorro😈😈😈👻
Happy Birthday Kareena Kapoor 💐🎊
Thread for Round 1 Nerdtastically Navratri
ENTRY INTO RESORT 22.9
King leaked pictures - Shah Rukh, Abhishek and Suhana
Nine Nights of Devotion - Shubh Navratri
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
Mardaani 3 Rani Mukherjee 27 Feb 2026
Why is Deepika ALWAYS the victim?
Anurag Kashyap disliked Chhaava
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 22nd Sept 2025.
update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...
update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...update...
I am back with the update!!! Here it is:
Part 3:
Meanwhile outside the ICU, Najma and Dilshad had fallen asleep on the bench, exhausted from the day's turn of events. There was no one in the ICU either. Tanveer decided she wouldn't get a better opportunity. She took the poison filled hypodermic she had brought with her [don't ask me where she got it from. Tanveer is a potion master. We all know itđł.] and entered the ICU.
Inside the ICU:
Tanveer: Zoya, Zoya. Kitni koshish ki maine tumhe maarne ki, par tum fir bhi bach gayi. Kyun mere raaste se nahi haat jati ho tum? Ab aur nahi. Main koi chances nahi loongi. Is baar tumhe marna hi hoga!
She is about to inject the hypodermic into the saline drip when suddenly she feels a strong hand grab her arm and turn her around and then, THHHWWWAAACCCKKK!!!!
The intensity of the slap sends her crashing into the steel shelf. And under the impact of the jerk her lens falls down, which was covering her stone eye. She started to grope for it on the ground, knowing it was time up for her. But how?! How the hell did he know?!
Asad: KOI ZARURAT NAHI HAI LENS DHOONDHNE KI TANVEER!!! MAIN JAANTA HOON TUMHARA EK AANKH PATHAR KA HAI! AND HOW DARE YOU!!! HIMMAT KAISE HUYI TUMHAARI ZOYA KO KUCH KARNE KI?!
Dilshad and Najma barge into the room on hearing Asad's shout. The nurse follows in. They are shocked on seeing Asad and Tanveer there. And Tanveer's eyeâŠ.
Tanveer: Asad main to basâŠ.main to sirf Zoya ko dekhne aayi thi!
Asad: Achha! To tum zeher ki injection usey tohfe mein dene aayi thi?!
Tanveer: MainâŠ.main wohâŠ
Asad: EK AUR LAFZ NAHIN TANVEER! BOHOT JHOOT SUN LIYA MAIN NE AUR BOHOT BOL LIYA HAI TUM NE! KITNA BHAROSA KIYA THA MAINE TUM PAR! TUM TO MERI BACHPAN KI SABSE ACHHI DOST THI NA! TO PHIR KYUN MUJHSE MERI ZINDAGI KO CHHEEN NE KI KOSHISH KI BATAAO?! KYUN MERE PARIVAAR KO ITNA DUKH PAHUNCHAYA?! KYUN, KYUN, KYUN??!!!
Dilshad: Asad yeh tum kya keh rahe ho? Tanveer ne kya kiya hai?
Asad: Kya kiya hai? Yeh poochiye ki kya nahi kiya hai! Yeh suniye.
Asad plays the recording on the phone. Everyone is shocked.
Dilshad: Mujhe apne kaanon par yakeen nahi aata. Tanveer tum ne yeh sabâŠ.Kyun?!
Najma: Aapko Zoya se itni pareshaani thi Tanveer ki aapneâŠ.Chhhiii!!! Ghin hoti hai mujhe aapse!
Dilshad: Kitni ghinoni soch hai tumhari Tanveer!!! Isiliye tum baar baar mujhe Asad aur Zoya ke nikaah ke khilaaf bhadkana chahti thi! Kya bigada tha meri bachhi ne tumhara haan! Woh toh tumhe apni behen jaisi maanti thi aur tumne!!
Tanveer: HAAN, HAAN, HAAN!!! Kiya maine yeh sab kuch! Aur sirf aur sirf Asad ko paane ke liye kiya tha!!! Kitni baar, KITNI BAAR koshish ki thi maine ki Asad Zoya ko ghar se bahar nikaal de! Kitni baar maine Zoya ke haathon aisi galthiya karwaya taaki Asad ko usse nafrat ho jaye par NAHI!!! Main naakamiyaab rahi! Maine usey apne raaste se hataana chaha par har baar Asad ne usey rok liya! Aur iss baar maine usey maar hi dala tha lekin phir bhi woh bach gayi!!! Pata nahi yeh kyun mere raaste se nahi hat ti!!! Pata nahi kaunsa kala jaadu kar ke rakha hai iss ladki ne Asad aur aap sab ke upar!!! Mujhe sirf aur sirf Asad hi chahiye tha par yeh kambhakat maani hi nahi!!! Par aaj main nahi haarungi! Main isse hargis haar nahi maanungi!!! ASAD KA NIKAAH SIRF AUR SIRF MUJHSE HOGA!!! ZOYA MAREGI AUR ASAD SIRF MERE HONGE, SIRF MERE!!!
TTHHHWWAAAPPP!!!!
Tanveer looked up, shocked. Dilshad stood there, burning rage evident on her face. When Tanveer was saying all those terrible things, she had been fuming with anger. Unable to control herself any longer, she had erupted. And this eruption resulted in another slap to Tanveer's cheek.
Dilshad: MAT LO MERE BETE KA NAAM APNE GANDI MOOH SE TANVEER! Ghin aati hai mujhe tumhari soch par! Itna sab kuch karne ke baad bhi TUMHARI ITNI HIMMAT ki tum yahan mere saamne khadi bhi ho!!! EK BAAR, EK AUR BAAR MERE BACHHON KI TARAF NAZREIN UTHA KAR BHI DEKHA TOH KASAM KHUDA KI, TUMHARI DOOSRI AANKH KO BHI MAIN PATTHAR MEIN BADAL DOONGI!!! Tum mujhe kuch karti toh main kuch nahi bolti lekin aaj tumne Zoya ke sath jo kiya hai, mera mann kar raha hai main tumhe yehin ZINDA GAADH DOON!!! Aur tum chahti ho ki main ab bhi tumhe meri bahu banau?? TUM TO JAANWAR KEHLANE KE BHI LAYAK NAHI HO TANVEER, INSAAN TOH DUR KI BAAT HAI!! Aur kala jaadu?! Jo tumne kiya hai usey kala jaadu kehte hain Tanveer naki jo Zoya ne kiya hai usey. Zoya ne sirf hum sab par pyaar ka jaadu kiya hai. Pyaar ka matlab samajhti bhi ho tum Tanveer?! Aur dekha jaaye toh Zoya ne sahi hi kaha hai. Agar Allah na kare Zoya ko kuch ho bhi jaye toh uski jagah Asad ke dil mein tum kabhi bhi nahi le paogi!!! Arrey Asad ke toh kya, tum mere aur Najma ke dil mein bhi uski jagah kabhi kabhi nahi le paogi! Pata hai kyun?! Kyunki woh hum sab se bina matlab le pyaar karti hai! Uski rooh paak hai aur dil mein koi khot nahi hai, naki tumhari tarah jo apne bachpan ke sabse ache dost, jo tum par itna bharosa karta hai, uska ghar todna chahti thi!!! Police ko phone karo Asad, main iss chudail ko apne nazar ke saamne ek aur pal ke liye bhi bardaasht nahi kar sakti!!!
Tanveer: Jammy please!!! Please police ko mat phone kijiye!!! Please humein maaf kar dijiye Jammy!!!
Asad, who had been quiet all this while, reeling from the shock that he had just received, finally broke his silence.
Asad: MAT LO APNE MOOH SE WOH GHINONA NAAM TANVEER!!! NAFRAT HAI MUJHE TUMSE AUR TUMHARE US NAAM SE BHI!!!Maafi maangte huye bhi sharam nahi aayi tumhe?! Main tumhe apni sabse achhi dost maanta tha Tanveer, aur tumne meri dosti ka yeh sila diya!!! MERI ZINDAGI, MERI ZOYA KO MUJHSE CHHEEN NE KI KOSHISH KI TUMNE!!! HIMMAT KAISE HUYI TUMHARI HAAN!!! DIL TOH KARTA HAI KI MAIN ABHI TUMHARA GALA DABAA DOON PAR NAHI, TUMHARE UPAR DOOSRI BAAR HAATH UTHA KAR MAIN APNE HAATH GANDE NAHI KARNA CHAHTA!!! Aur kya socha kya tha tumne haan?! Zoya ko maarkar tum mujhse nikaah karogi aur tumhari koke mein jo bachha pal raha hai, na jaane kis ka khoon hai, usey tum mera naam dogi!!! Tum mujhe itna bewakoof samajhti ho Tanveer!! Aur tum ne soch bhi kaise liya ki main TUM se nikaah karoonga?! Mere dil Zoya ke jagah KOI bhi nahi le sakta hai Tanveer! Aur mujhe toh tumhare koke mein pal rahe bacche par taras aa raha hai ki uski kya galti thi ki usey tumhari jaisi ammi mail rahi hai!! Aur Ajmer sharif jaisi paak jagah mein aakar tum ne socha bhi kaise ki tum itna bada paap karne mein kaamyab ho jaogi! Aur dekha tumne, Allah bhi yehi chahte the ki tumhari sacchai mere saamne aajaye, isiliye Zoya ke bina kuch kiye hi tumhari saari baatein mujh tak pahunch gayi! Ab iske baad jo tumhare saath hoga Tanveer, woh tumne kabhi sapne mein bhi nahi socha hoga! Agar main ne tumhe tumhari saari zindagi jail mein nahi sadwaaya na, toh mera naam bhi Asad Ahmed Khan nahi! SAMJHI TUM! AAJ SE TUM MERE LIYE MAR CHUKI HO TANVEER!!! CHALI JAAO MERE NAZRON KE SAAMNE ISSE PEHLE KI MAIN KUCH KAR BAITHOON!!!
Najma: Bhaijaan, ammi aap dono please shaant ho jaayiye. Hum sab abhi bhi ICU mein hain. Zoya ko takleef ho rahi hogi!
Zoya's name finally brought Asad and Dilshad to their senses. They started to calm down.
The nurse, who had been shocked seeing all this drama, finally spoke weakly: Yes, please aap log yahan se bahar jaaiyye, patient ko takleef ho rahi hogi. Aap logon ke job hi problems hain usey bahar jaa kar hi solve kijiye please.
All the four go out of the ICU and Asad calls the police while Najma and Dilshad throw death glares at Tanveer who is still reeling from the fact that her game is finally over. She has lost.
Outside the ICU:
Asad: Hello? Police?...Ji main Asad Ahmed Khan bol raha hoonâŠAap mujhe phone karne hi waale the? Kyun?...Hamle ka hathiyaar aur dakaiti ke samaan jungle se mile hain?...Nahi aap logon ko usey finger-print test ke liye bhejne ki koi zarurat nahi⊠Kyun? Kyunki asli gunehgaar mere saamne khadi hai. Tanveer ne hum sab se jhooth bola hai. Asli gunehgaar who khud hai. Ussi ne meri mangetar ko maarne ki koshish ki. Mere paas iss baat ka saboot bhi hai hai. Aap sab yahan jaldi aaiye aur iss ladki ko yahan se giraftaar karke le jaaiyeâŠHaan main poore hoshon awaz mein yeh sab kuch keh raha hoonâŠaap sab jaldi aaiye. Khudahafiz.
Asad sat down on the bench and ran his fingers through his hair. So much had happened in one day. Everything had been so good in the beginning! He was so happy at the dargah. Even though he would not admit it, he was so glad that he and Zoya were getting married. She would be hisâŠforever. And now, within the span of 15 hours his life had turned upside down. Zoya was attacked; he somehow managed to save her, and now she was fighting for her life in the ICU with Heaven knows how many needles and pipes attached to her! And to top it all, one of the people who had been closest to him, whom he trusted with his life, turned out to be the biggest back-stabber in history! Of all people he had known, Tanveer had been the last person whom he had expected to be behind all thisâŠand now?!
The police arrive.
Inspector: Mr. Khan? Laaiye apne dost ko.
Asad: Mat kahiye usey mera dost! 'Dost' shabd ka apmaan hota hai! Aisa dost mere sabse bade dushman ko bhi na mile!!
Inspector: Shaant hojaiye Mr. Khan. Aur yeh who cheezien hain jo humein jungle main mili thi.
The Inspector gives Asad Zoya's purse, I-pad and Tanveer's bag. Asad takes everything except Tanveer's bag.
Asad: Issey mujhe mat dijiye. Main uski koi bhi samaan apne paas nahi rakhna chahta.
Najma pulls a struggling Tanveer by the hand and brings her to the police.
Tanveer: Chhodo mujhe!!! Maine kaha chhod do!!!
Najma: Bhaijaan! Iski himmat toh dekhiye? Yeh bhaagne ki koshish kar rahi thi par maine issey pakad liya.(To Tanveer): Tumhe sharam nahi aati! Itna sab kuch karne ke baad bhi tumhe laga ki tum bhaag jaaogi aur humein pataa bhi nahi chalega! Bahot dukh diya hai tumne humein, especially Bhaijaan ko. Tumhe toh sazaa-e-maut milni chahiye! Kitna ajeeb hai na humare desh ka kanoon?! Traffic rules break karne par jurmaana bharna padta hai par kisi ka bharosa todne parâŠkuch nahi. Par ab aur nahi Tanveer, ab toh tumhe jail jaana hi padega! Inspector sahib, giraftaar kijiye issey!!! Aur yeh chip bhi rakhiye, isme iske khilaaf saare sabot hain jo isne khud bayaan kiya hai.
Najma takes out the memory card from Zoya's phone and gives it to the Inspector. The police put handcuffs on Tanveer and drags her away. Tanveer is still struggling to run away but one yank by the lady police silences her. They all leave. Asad sits down again. His knees are too weak for him to stand and he feels as if he is going to faintâŠDilshad realizes that Asad needs her the most at this time. Calming herself somehow she sits down beside him.
Asad: Ammi, mere saath hi kyun?! Kya kiya tha main ne ki mere bharose ka iss kadar katal kiya Tanveer ne? Main toh usse apni sabse achhi dost maanta thaâŠusey ek perfect ladki maanta thaâŠUski tehzeeb, uthne-baithne ka dhang aur libaaz ko misaal maanta tha main. Par woh toh kuch aur hi nikli ammi! Usne aapko, Najma ko,mujhe aur ye teesri baar Zoya ko jaan se maarne ki koshish kiâŠitna dukh diya hum sab ko! Aur woh pregnant bhi hai, Wah!! Bohot achha sila diye usne mere bharose ka ammi! Aur yeh sab, mujhe pane ke liye, mere paison ko pane ke liyeâŠ?! Woh aisa soch bhi kaise sakti thi ammi?! Maine kabhi bhi usey us nazariye se nahin dekha. Aur uske dil mein mere liye yeh sabâŠ, mujhe toh soch ke bhi ghin aati hai yeh meri sabsi achhi dost thiâŠ.
Dilshad: Asad jitna dhakka aaj tumhe Tanveer ki sacchai pata chale par laga utna hi dhakka mujhe bhi laga hai. Main soch bhi nahi sakti thi ki jis ladki ko main apni beti ki tarah maanti thi who mere saath aur mere parivaar ke saath itni ghinoni harkat karegi. Aaj tak main tumse kehti rahi ki 'Asad, doosron ko unke kapdo se nahi judge kiya jaata' lekin aaj main khud hi dhoka kha gayi. Par ab tumhe yeh toh samajh aa gaya na ki upri tehzeeb aur libaas insaan ke dil mein kya hai who nahi bata sakte? Tum ne hamesha Zoya ko uski jeans pehenne ki aadat aur uski khush-mijaaz bartao ko lekar daanta hai aur na jaane kitni jali-kati baatein sunayi hainâŠkitna hurt kiya tumne bechaari ko. Par usne aaj tak jo kuch bhi kiya, tumhe, mujhe aur Najma ko khush karne ke liye kiya. Mere liye cake banaane se lekar tumko aur Ayaan ko milaane ka plan banaane tak, usne sab kuch humaare liye kiya. Aur Tanveer, jiski tehzeeb aur lihaaz ke misaalein hum dete rahe, aaj tak usne jo kuch bhi kiya, sirf humein dard pohonchane ke liye kiya. Sirf dard, aur kuch nahiâŠ.
Asad felt a pang of guilt at his ammi's words. As if it wasn't enough that he was dying a new death with every passing momentâŠBut she was right. Every time, every damn time something wrong happened he never thought twice before putting its blame on Zoya. Why? Because according to his great judgmental mind, any woman who wears jeans and has an opinionated mind and doesn't bend her head in front of others has to be 'wrong'. Asad felt like slapping himself that very moment. Every time he put a new blame on her what did she do? Try to prove herself innocent and most of the times she managed to do so as well. That would result in one of his guilt rides which lead to a half-hearted apology to her. And she forgave him. Every. Single. Time.
He had hurt her her so many times. He had told her so many awful things about not respecting other people's feelings, deeming everything as a joke and not caring about relationships despite knowing the fact that she did not have a family. He knew best that if there was anything on Earth that Zoya cared the most about, it was a family. Every time he scoled her it didn't even cross his mind even once about what he was taunting her for. He hurt her at that point where it hurt her the most. He was the reason behind so many of her precious tears. He hated to cee her cry yet he was the reason she cried the most. And what had she done in return of his hurtful words? One half-hearted apology from his side would melt all her anger and she would be back to normal, ASAP. This was how much she loved him. She loved him unconditionally and yet he never noticed. He had always dismissed this as her 'fickle mind' and never bothered to think twice about it. But now ihe could see it clearly. It wasn't her so-called fickle mindedness that led her to forgiving him. It was her love. Her true, unconditional love.
He had scolded her for leaking the gas. She knew she hadn't done it. Yet to apologize she had gone to the extent of making food for him, which, thanks to Tanveer contained his main allergen and he again blasted her even before realizing that she didn't know about his allergy and had actually been the one who saved his life! He deliberately forced her to leave the house and almost the country after the incident at the Siddiqui mansion even if wasn't her fault. She had only gone there for him, to make him happy. A few days ago when Tanveer's blood sample had been swapped with chicken's blood he had scolded her. Again. Just what made him think that she, of all people, would do such a thing?! Why didn't he just shoot himself dead before saying allthose terrible, terrible things to her, before blaming her for every single bad thing that happened?! Why?! Tears started to roll down his cheeks again as as he regretted every pain that he had given her. He wanted to shed as many tears as possible to perhaps atleast equal, if not exceed the amount of tears he has made her shed. His own words kept echoing in his ears:
"Aapke liye sab rishtey mazaak hain!"
"Aapko rishton ki koi kadar nahi, koi ehmiyat nahi hain!"
"Aap koi kaam karti kyun hai?! Jab bhi aap koi kaam karne jaati hain koi na koi badi museebat khadi ho jaati hain!"
"Aap itni gair-zimmedar kaise ho sakti hain?"
In anger and frustration he clenched his teeth and pulled his hair in his fists. He couldn't understand what to do.
Asad: Ammi kyun?! Kyun maine kaha unse itna sab kuch?! Kya ho kya gaya tha mujhe?! Kyun mujhe Tanveer ki sacchai dikhai nahi di ammi? Ab main kis mooh se maafi maangoonga Zoya se?! Aur kya who mujhe maaf bhi karegi? Kyunki agar main uski jagah hota to main apne aap ko kabhi maaf nahi kar pata! Main usse nazrein kaise milaunga ammi? KahinâŠkahin woh mujhe maafi maangne ka mauka hi na.âŠ
Dilshad puts her hand to cover Asad's mouth and says: Chup! Ekdum chup karo Asad! Kya hogaya hai tumhe? Kaisi baatein kar rahe ho tum haan? Kahan gayi tumhari saari himmat? Kuch der pehle toh tum keh rahe the ki tum Zoya ko kuch bhi hone nahi doge? Ab kya huya? Iss tarah mat tooto Asad. Agar tum aise toot jaoge toh Zoya ko kaun sambhalega jab usey hosh aayega tab? Aur woh tumhe pehle hi maaf kar chuki hai Asad. Woh tum par gussa thodi der ke liye bhi nahi reh sakti Asad, kyunki woh tumse pyaar jo itna karti hai! Tumhe apni ghalti ka ehsaas ho gaya hai, bas yehi kaafi hai. Aur maine kaha hai na, kuch nahi hoga Zoya ko? Toh kuch nahi hoga.
Asad: Aaj agar aap yahan nahi hoti ammi toh na jane main kya karta. Main nahin sambhal paata khud koâŠ.
Dilshad: Bas bas bohot bol liye ab! Abhi mere saath chalo. Mujhe pata hai ki tum chaho bhi toh nahi soo paoge, isiliye mere saath aao, hum Zoya ke liye dua maangenge. Dekhna, Khuda humari dua zaroor qubool karenge aur kal subah tak woh zaroor khatre se bahar ho jayegi.
Asad: Aap se behtar mujhe koi nahi jaan sakta ammiâŠ.sona toh dur ki baat hai, aankhein bandh bhi karta hoon toh woh khaufnaak nazaara mere saamne aajata haiâŠchaaron taraf khoonâŠbeech mein ZoyaâŠdarr lagta hai ammi, bohot darr lagta ki main usey kho na doonâŠ.
Dilshad: Aisa kuch nahi hoga Asad! Ab chalo mere saath.
Inside the prayer-room:
Dilshad and Asad have covered their heads and are kneeling on the ground, eyes closed and praying for Zoya's life while silent tears rolled down their eyesâŠ
Dilshad (in mind): Ya Allah, zindagi ne mujhe bohot dard diye hain, par maine kabhi bhi koi shikayat nahi kiya hai aap se. Lekin aaj, mujhe aap se shikiyat hai. Mere bete ne bachpan se sivai dard ke aur dhoke ke kuch nahi paaya hai. Uski zindagi mein khushiyon ne dastak dena bohot pehle hi chhod diya diya hai. Lekin sirf Zoya hi thi, jo uske andhere zindagi mein ujla-savera ban kar aayi thi, usey sirf khushiyan dene. Aaj woh zindagi aur maut ke beech mein jhool rahi hai aur mera beta bhi ek pal mein hazar baar mar raha hai. Agar Zoya ko kuch ho gaya to uska dil is kadar tootega ki jodna naamumkin ho jayega. Main mere Asad ko aise toot kar bhikarte huye nahi dekh sakti. Mere bete se uski pehli mohabbat, pehli khushi mat chheeniye. Main apne liye kuch nahi maangti, bas aap mere bete ki khushiyon ko bacha lijiye. Meri doosri beti ko bacha lijiye. Aye Khuda, meri yeh dua qubool kar lijiyeâŠ..
Asad (in mind): Ya Allah, maine hamesha se mohabbat se dur bhaaga hai. Kabhi bhi kisi se mohabbat na karne ki kasam khaayiâŠAmmi hamesha se chahti thi ki main nikaah karoon, aur unki ek bahu ho. Maine kabhi inkaar nahi kiya lekin main hamesha se ek aise ladki chahta tha jo bilkul ammi ki jaisi ho, aur jo mujh se zyaada meri ammi se pyaar kareâŠMujhe jo chahiye thi woh mujhe mil hi gayi lekin main kabhi samajh hi nahi paaya, na to mere dil ko aur naahi usko. Baar baar maine sirf usey dard ke siva kuch nahi diya. Aur jab tak mujhe meri ghalti ka ehsaas hota tab takâŠYa Allah, meri pehli mohabbat, meri Zoya ko mujhse alag hone mat dijiyeâŠmain nahin jee paunga. Usey kharoch bhi lagti hai toh mujhe dard hota hai, woh thodi dair zyaada ghar se bahar rehti hai toh ghar soona soona sa lagta hai aur abâŠMeri Zoya ko kuch mat hone dijiyeâŠuske na hone meri zindagi mein andhera chha jaata hai. Dar lagta hai mujhe iss andhere se ab, jo mere zindagi mein tab tak thi jab tak Zoya usme roshni aur rang bharne nahi aayi thiâŠis roshni se mujhe judaa mat kijiye, meri Zoya se mujhe judaa mat kijiye aye KhudaâŠZoya ko bacha lijiyeâŠZoya ko bacha lijiyeâŠ
They keep praying like this till morning, not realizing how time passed. Zoya was the only thing they could think of.
Outside the ICU:
Najma had dozed off to sleep after Tanveer was arrested, tired after the day's set of tragic events. Asad and Dilshad had not woken her up when they had gone to the prayer room. The doctor who had come to check on Zoya to see if their was any improvement in her condition, woke her up.
Doctor: Suniye, uthiye aap se zaroori baat karni haiâŠ
Najma: HaâŠha..kaunâŠdoctorâŠDoctor! Main soo rahi thi?! Par kaise?! Mujhe pata bhi nahi chala kabâŠ?! Ji Doctor sahib, kahiyeâŠ?! Zoya kaisi hai? Who theek toh ho jayegi naa? Please bataiye!
Doctor: Dekhiye aap pehle apni ammi aur bhai ko bulaiyeâŠMujhe aap teeno se zaroori baat karni hai.
Najma: Par ammi aur bhaijaan hain kahan? Main dhoondti hoonâŠ
Najma searches the entire floor and corridor, not finding them anywhere. She was sure that they hadn't gone back to the hotel; that was the last thing they would do. Then she realizedâŠthe prayer room! Why, she hadn't checked the most obvious place! She rushed in that direction.
In the prayer room:
Asad and Dilshad are still immersed in praying. They break out of their reverie as Najma barges into the room.
Asad: Najma! Tum kabâŠ
Najma: Bhaijaan jaldi chaliye! Doctor sahib hum sab se Zoya ke baare mein zaroori baat karna chahte hain!
Asad and Dilshad did not need another word to be said to them. Asad ran like there was no tomorow as Najma and Dilshad followedâŠ.
Outside the ICU:
Asad: DoctorâŠ.!!!ZoyaâŠZoya kaisi hai ab?! Woh ab theek hai naa? Meri Zoya ko kuch nahi hua hai naa?? Please bataaiye!!!
Doctor: Dekhiye aap shaant ho jaayiyeâŠAap sabke liye khabar utni acchi nahi haiâŠ.
And i stop here. Simply because i am EVILđ !!!
So here goes the third part guys!!! Do tell me whether you liked it or not and whether it was up to ur expectations!đ Ur comments, even a small 'nice' mean a lot to me.đł so please do like and comment and if possible, review. Please!!!!đ
P.S: Please read the note I posted above if you haven't đ
Asya FF: Rendezvous with Honor Asad Ahmed Khan is the prodigal son. All the tabloids say so. Coming from an affluent family in Bhopal, he's done...
[NOCOPY] Hello everyone! Happy to be here. I was searching for an opportunity to be here with all of you as a member after a long time as writer...
125