Edit..
lvly update dr...
sasha shoping lvly n riya wanna to know about the girl..
n she wanted ...arjun ke life mein vo girl vapis aa jaye .,.
she is realy nice..
lv dinner part..
nice teaser...
update soon
Bigg Boss 19- Daily Discussion Thread - 7th October 2025
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 8th Oct '25
HIGHER COURSE 8.10
Katrina already welcomed a child via surrogacy?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 8, 2025 Episode Discussion Thread
Round 2 Thread 1 - Main Game
Abhimaan Edition: New Chapter Discussions
Kaun banenge PL ke Mummy aur Papa(New)
Naya safar college ka
Now that's what I call a Wildcard
Round 2 Thread 2 - Index
Saddist Pari, Mithali n Noina
Congratulations Gen 4 team !!
Ananya Pandey - Chanel girl
“Give Kangana a tight slap again if she dares to enter Tamil Nadu”
Anupamaa 07 -08 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Ananya Pandey can act.
Praising Janhvi for her great choice in movies
🏏Cricket Forum Banner Contest Results Announcement🏏
Songs on All Tranportation
In Sasha House;
Sameer: Ayesha ap yahan kiya kar rhe hain, sab log nastay par aap ka wait kar rhay hain.
Ayesha: mera mood nahi hai , aap nasta kar lyn mei bad mei kuch lay lun gi.
Sameer: kyun mood nahi hai?
Ayesha: sameer mei nay kaha na aap say aap nasta kar lyn, waisay bhi mujhe zayda logon ko dekh k bechaini hoti hai.
Sameer: aakhir aap kab tak in logon say dour bhagen gi.
Ayesha: pata nahi.
Sameer: plz aap mere sath chalen , agar kisi nay poocha toh mei kiya jawab dunga.
Ayesha: please sameer aap mujhe force nahi Karen, mera mood ho gat oh mei aa juaun gi .
Sameer; par Ayesha,.
Ayesha: sameer please don't force me to join breakfast with your family members.
Sameer: aap ko meri family say kiya problem hai, kiya wo log aap ko pasand nahi hain?
Ayesha: wo baat nahi hai sameer, mujhe aapki family say nahi mujhe zayda logon say problem hai, neechay jao toh har pal koi kuch na kuch pochta rehta hai, nasta kiya k nahi kiya, tabiyat kaisi hai, kuch chaheay toh nahi , beta yahan mere pass betho, etc etc etc. sameer mujhe zayda baatein karnay ki aadat nahi hai na hi mei itnay logon mei kuch ko kahin khoya huwa mehsoos karti hun, sab buhat achay hain magar shaid mujh mei hi koi kami hai. she shouts on him.
Sameer: I understand Ayesha take rest bye..
Ayesha: bye.
On dinning table:
Naina: kiya huwa sameer beta Ayesha nahi aai.
Sameer: mom wo ..
Naina: uski tabiyat toh theek hai na, kahin bukhar toh nahi hai usay, ya phir tum nay us say kuch kaha hai.
Sameer: mom aaisi baat nahi hai mei kyun larun ga us say..
Naina: phir kiya uski tabiyat kharab hai.
" nahi mom aaisi koi baat nahi hai, mei bikul theek hun, change kar rhi thi isliay dyar ho gai", Replied by Ayesha.
Naina: mei toh dar gai thi beta, aao jalsi say nasta kar lo, aur ha sameer Arjun ki call aai thi kaha tha k koi naya case aaya hai, tumhain us nay jaldi bulaya hai, keh rha tha k us nay tumharay cell phone par bhi try kiya tha, par tumhara phobe switched off aa rha tha.
Sameer: shit mom mobile ki battery down ho gait hi, socha tha k charged kar lun par bhool gaya.
Ayesha: koi baat nahi aap mera mobile use kar saktay hain, mei aap ka cell phone charged kar dun gi.
Sameer: thanks Ayesha.
Naina: dekha beta bahu tumhari kitni care karti hai.
Sameer: ji mom.
Ayesha handed him her cellphone and he say bye to her and leave for office.
In Ariya House:
After having breakfast Arjun left for office, and Riya starts collecting dirty plate from dinning table, she finds an envelop on the table, she take this envelop and think that Arjun left this envelop accidently but when she turns envelop on other side sees that her name written on that envelop and corner of envelop occupies by Written Arjun name. she reads " To Riya from Arjun", she opens the envelop and find some money on that envelop it's nearly 50 thousands rupees in the envelop.
" itnay sare paisay mujhe inhon nay kyun diay", she puts money back in the envelop and find a note in which written " Pocket money for your shopping and accessories". Riya POV " shopping k liay itnay paisay kaun karta hai itni shopping, khud mujhe nahi day saktay thay ye paisay , in paison say toh mere poray 6 mahinon ki shopping ho jaey gi, par inhon nay itnay paisay mujhe diay hi kyun, kiya karun wapis kar dun inhen, nahi inhen agar bura laga toh, phir kiya karun, Ayesha say pochti hun, nahi ye theek nahi hai, agar ye paisay Ayesha ko milay hotay toh wo kitna khush ho jati" she smiles and put them back on table and collect all plates and put them on washbasin.
Suddenly her door bell rings, Riya sees the wall clock and say " is waqat kaun ho sakta hai, Arjun itni jaldi kaisay wapis aa saktay hain", she opens the door and sees Amba in on the either sides of door , she opens the door and take aside to ive her way , Amba enters in her house and taje a look around her house.
Amba: kaisi ho Riya.
Riya doesn't reply her.
Amba: Arjun nahi hai ghar par.
Again her lips sealed.
Amba: office gaya ho ga shaid.
She doesn't say anyword to Amba.
Amba: bethnay ko nahi kaho gi.
Amba is waiting for her answer but she still keep quite.
Amba: itni narazgi mujh say k mujh say baat toh dour meri shakal bhi nahi dekhna chahti, yahan dekho Beta.
Amba try to turns her face to her, but she turns her face on other side.
Amba: kuch toh bolo beta.
Riya still want to keep silence.
Amba: mei janti hun mei nay jo kiya ghalat kiya , abhi naraz ho mujh say par dekhan beta tumhain ek din mere isi faisalay par fakhar ho ga beta. Riya beta meri taraf dekhao.
Riya walks away from her.
Amba: ruko riya meri baat suno.
Riya stopped in middle and Amba takes steps towards her.
Amba: dekh mei ajnti hun mei nay jo kiya wo buha ghalt kiya , beta isiliay mei aaj yahan tujh say maafi mangnay aai hun please beta mujhe maaf kar day, kuch toh bol beta kab tak baat nahi karay gi mujh say dekh beta teri ya khamoshi mujhe khaey jar hi hai, kuch toh bol riya kuch toh bol.
Riya break the silence: " jab aap nay mujhe hamesha k liay khamosh kar diya hai toh mei kuch kaisay bolun Amba, aap yahan kyun aai hai ye dekhnay k mei zinda bhi hun ya mar gai, aap nay toh mujhe usis roz mar diya tha amba, bus ye sharer bacha hai isay bhi dafna dyn, zinda lash toh aap nay mujhe bana hi diya hai Amba, aab kiya dekhnay aai hai aap, aap keh rhi hai mei kuch bolen amba aap nay hi toh mere mun par chup ka taala laga diya, aap janti thi tanhai mujhe katti hai, phir bhi aap nay mujhe tanha kar diya, mei logon k beech rehany ki aadhi thi aap nay mujhe weraniyun mei chor diya, khamosh mujh say raha nahi jata tha par aap nay mujhe hamesha k liay khamosh kar diya hai, mei tanha ho gai hun Amba, I am alone here, Arjun wo toh itni nafrat kartay hai mujh say k mujh say baat karna bhi pasand nahi kartay, kiya mei isi kabil thi Amba, bolen jawab dyn, Amba janti ho hamaray darmiyan sab kuch ajnabiyun jaisa hai , hum is ghar mei ek ajnabi hai Amba, kehnay ko toh sath hai, magar fasalay milon k hain Amba, kis ghalti ki saza di hai aap nay mujhe, kyun us shaks k sath chor diya mujhe jo kisi aur ka hai kyun Amba kyun? I hate you I hate you soo much Amba , chali jaen aap yahan say na aap say mera koi rishta hai na aap k kisi family member say wo rishta usi din toota tha, jab aap nay mere sapnay toray thay, mujhe umer qaid ki jis din saza di thi aap nay usi din aap nay mujhe sooli chehrha dya tha, mei aap say nafrat karti hun aur us shaks say bhi jis ka naam aap nay mere naam k sath jora hai, mujhe poori dunya say nafrat hai, I hate each and every person of my life, I hate you I hate him, I hate him Amba I hate him"
Some one puts hands on her shoulder she turns her face to see that person he is none other than his Arjun.
Amba has tears in her eyes , she wipes her tears and say to Arjun.
Amba: plz Arjun beta meri Riya ka khayal rakhna wo buhat tanha ho gai hai usay aur tanha mat karna
Arjun nodded his head in positive and she leaves.
Arjun holds her with her shoulder and jerk her.
Arjun: you hate me na tell me you hate me, why you hate mei? Tell me why? Mei nay kiya aaisi baat tum say chupai hai jo tum mujh say nafrat karti ho Riya, tumhain shikayat hai na mei tum say baat nahi karta ya tumhain mujh say batein karna pasand nahi hai, apni amba k samnay kiya sabit karna chahti thi k mei tumhara khayal nahi rakhta bolo Riya, ya tumhain meri fikar nahi hai, kabhi tum nay mujh say ye pocha k mujhe kiya pasand hai aur kiya nahi ,aaj mera man kiya khanay ko kar rha hai kabhi ye janay ki koshish ki k mei kiya chahta hun nahi na phir kis haq say keh rhi ho k mei tumhara khayal nahi rakhta, ek patio honay k saray faraz toh mei nay nibhen hai Riya phir kyun ? he shouts on her.
Riya: do mahinon mei pehli bar aap k mun say do shabd sunay ko milay wo bhi is tarha , Arjun why you do this with me? Aap kehtay hain k mujhe aap say baat karnay mei koi interest nahi hai par aap toh mujh say baat kar saktay thay na. Phir kyun Arjun aap itnay dino tak chup rhay jawab dyan mujhe kyun Arjun? Meri toh majboori thi par aap ki kaisi majboori Arjun bolen jawab dyan mujhe , mei aap k pyar k beech nahi aana chahti thi isliay ajnabi bani rhi par aap nay aaisa kyun kiya bolen'
Arjun: kyun k mei darta tha k mei nay agar tum say talaq barhana shru kar diya toh mei kahin us say kho na dun.
Riya: aap nay usay paya hi kab tha Arjun jo aap kho day gay usay.
Arjun: sahi kaha tum nay mei nay paya kab tha usay, magar tum ek baat hamesha yaad rakhna mere dil mei jo uska muqam hai wo jagha koi chah k bhi nahi lay sakta isliay please meri care karna chor do .
Riya: nahi chor sakti aap mere Pati ho, rahi baat uski usay ek din aap ki zindagi mei wapis la k hi aap say dour jaun gi.
Arjun: wo meri zindagi ka hissa ban chuki hai Riya , kismet nay usay mere liay likh diya hai, is k liay muhe kisi k ehsaan ki koi zarorat nahi hai.
Riya: mei aap par koi ehsan nahi kar rhi , mei apna patni dharma nibha rhi hun.
Arjun: nahi tumhain mere liay kuch karnay ki koi zarorat nahi hai.
Riya: mei aap k liay nahi khud ki khushi k liay kar rhi hun.
Arjun: why?
Riya: iska jawab mei khud nahi janti Arjun, bus itna janti hun k usay aapki zindagi mei lana mera maqsad hai.
Arjun doesn't say anything to her and goes to his study room, whole day passed silently, they join in dinning table but eat silently, after that he goes his study room again , he unlock his draw and takes his diary out, he turns the pages of diary and write some thing on it , he again turns the pages a takes a picture out and start talking with the picture.
" janti ho tum Riya nay kiya kaha mei nay tumhain paya hi kab tha jo mei tumhain kho deta, sahi kaha na us nay, par wo nahi janti tumhari ek jhalak hi mere jeenay ka maqsad hai, tumhain meri ho ye janti ho na tum. Tumhain hi deekh k mei jeeta hunt um hi mer jeenay ka sabab ho, Riya nahi janti k tum meri life mei kiya maenay rakhti ho, I love You"
He kisses on the picture, while Riya stands on his back hearing all things , she also sees the picture of that girl , she steps back and hold the wall of the study room , while Arjun takes rest on the chair back and closes his eyes , the photo of that girl is still on his hand and riya sees her and can't believe in reality.
Riya can't able to move tears continuously rolling from her checks. She gathered all her courage and steps out from the room, she lies on her bed and still weeping. She wipes her own tears.
" mei nay khud say jo wada kiya tha usay pora karnay ka waqt aa chukka hai, par ye kaisay mumkin hai, jo bhi ho mei nay usay Arjun ki zindagi mei lanay ka wada kiya hai aur mei usay inki zindagi ka hissa zaror banaun gi chahay mujhe is k liay kuch bhi karna paray kisi bhi had tak jana paray mei jaun gi"
This is all part 10, i hope you like this , sorry for errors and mistakes.Wow super awesome update api thank you plz cont soon
Originally posted by: sumbulqaiser
sara this for you , subha sehri k bad light nahi thi isliay update nahi kar pai sorry
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
41