I don't know ki muze kya ho gaya hai ki na main khana kha pa rahi hoon na kuch kar pa rahi hoon kuch bhi karne lagti hoon ki Taani ke bare me sochke rona aane lagta hai ,kya Karun haihi vo hum sabke liye important par samajh nahi aa raha hai ki kya Vrinda sach me show choda hai ya ye ek twist hai ?ye soch sochke shayad main pagal ho jaungi kyunki jab sneha ya Shakti ne quit kiya tha tab to pehle news aa gayi thi even offscreen bhi sabka interview hua tha unke quit karne pe ,har ek ka reactions puche the lekin is bar to aisa kuch bhi nahi hua na news aayi hai na offscreen kuch hua hai to samajh nahi pa rahi hoon ki ye kya ho raha hai aur kyun?
mana ki Taani Rey se naraz thi lekin uske liye use chodna yehi option tha uske pas kyun kiya hai cvs ne aisa pata nahi chal raha hai ki kab pata chalega ki sach kya hai bas itna hi chahti hoon ki confirm news to de de koi ki Vrinda abhibhi show me hai aur vo kahin nahi gayi hai sach me dimag fatne ko aa raha hai please koi to pakki khabar lao
kisi ne bataya ki shantanu ne ya archie ne kaha ki vrinda nahi ja rahi hai phir news aayi ki vo unke fake accounts hai sach me please cvs aise hamare emotions ke sath mat khelo aur bas hamari Taani ko jaldi leke aao