Ariya&sasha: kya pyar mei paya hy pt 10 pg 43 19-7 - Page 3

Created

Last reply

Replies

280

Views

55.2k

Users

51

Likes

723

Frequent Posters

ll_piya_ll thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#21
Nice starting dr ...
Continue soon
fly.high thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#22
wow lovely start

this amba ji is much wierd for me

dekhte hai aage kya hot hai..

continue soon

nd thnx fr th pm
mishree thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#23
De awesome,brilliant ,superb,amazing
Thanx 4 pm me
Ambha g aap strict q ho
Kya hitler hai boss bt she love them
Riya and Ayesha convo awesome
Update soon
Love u and ur work
Mishti
KReyAS thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#24
nice
whts going to happen
anwy llove the concept
continue soon
Shanafr thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#25
Nice api thanks for pm cont soon
573339 thumbnail
Posted: 12 years ago
#26
nice update :) loved it
i don't like amba at all
poor riya and aisha :(
omg amba selected guys for riya and aisha
wow the guy is coming to see riya
can't wait to read more
thanks for the pm
continue soon

rkomal thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 12 years ago
#27
wow awesome start !!
waiting for the next update !!
devildiva21 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#28
superb start yar,...!!
but ye amba g to badi hi strict nikli...
aate hi itni restrictions...!!!!
riya and aisha scenes were lovely... their bonding is awsum...!!!
wow so dono ke lie dono ki pasand ke boys mil hi gye...!!!
continue soon...!!
sumbulqaiser thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#29
next part i try to update soon
sumbulqaiser thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#30
PART: 2
KYA PYAR MEI PAYA HAI:

Ayesha: Jaan abhi bhi waqt hai amba ko mana kar day is rishtay k laiy, poray 12 log hain un kay ghar mei, soch tu kaisay itnay logon ka khana banaey gi, kaisay patti k sath sath susural sambhalay gi, kaisay manage karay gi, abhi bhi kuch nahi bigara tu abhi bhi amba ka mana kar sakti hai

Riya: mujhe is rishtay say koi problem nahi hai dear, tu apna bata tu kiya karay gi , tere sasural mei tere patti k ilawa aur koi nahi hoga , sari din wo office mei rhay gat oh tu akeli ghar mei kiya karay gi , mere sath toh mere saas , bhabhiyan , nand sab hun gay par tere sath koi nahi .

Ayesha: bus itni si baat mei toh job karun gi , saari adhorapan dour ho jaey ga.

Riya: not bad.

Ayesha: aur tera toh sari jin apnay sasural wlon mei beet jaey ga , phir toh tere pass humaray liay zara bhi waqt nahi ho ga.

Riya: aaisi baat nahi hai Dear, sasural jisay tu qaid samjh rhi hai darasal wo saray dukhon say rehai hai.

Ayesha: wo Qaid nahi umar Qaid hai jaan.

A lady in a room reciting her holy book, Riya opens the door and stands for few minute waiting to finishes, after few minute wait the lady close the book and Riya takes steps towards her and hug her from back.

Lady: aa gai tu.

Riya: aai kab say intezar kar rhi hun k aap ab farigh hungi, itni dar lagti hai kya.

Riya's aai: bol kiya baat hai itni khush dekhai day rhi hai.

Riya: Aai aaj apki beti buhat khush hai buhat buhat khush, pata hai aai aaj mera result aaya hai aur mei nay poray college mei first position li hai.

Riya's aai: aacha wah mei janti thi meri beti zaror position lay gi.

Riya: aaj waqai aai mere liay buhat khushi ka din hai.

Surabhi enters in room.

Surabhi: aur ho bhi kyun na khushi ka din, Purvi aaj ek nahi do do khushiyan mili hai humari riya ko, aaj isay larkay walay jo dekhnay aa rhay hain.

Riya: aai aap dono dostein batein karo mei aati hun.

Purvi: kiya larkay waly dekhnay aa rhay hain meri beti ko aur kisi nay mujhe bataya hi nahi?

Surabhi: tum toh janti ho na Amba ji ko, unhon nay jo keh diya so keh diya.

Purvi: par meri beti k sapnon ka kiya, kya Amba ji meri beti ki khushiyan samjh paen gi, meri beti ko kaisa susaral chaheay, mei nahi chahti Surabhi k Riya k sapnay meri tarha sapnay na reh jaen.

Surabhi: tu fikar kyun karti hai Purvi Amba ji itni bhi buri nahi hai Purvi, unhon nay Riya ki pasand ko nazar mei rakhtay huway larka dundha hai, amba ji k mutabiq larka kafi shareef aur suljha huwa hai, ghar walay bhi aachay hai tu fikar nahi kar Purvi jo hoga aacha hi hoga, Humari Riya bhi toh itni aachi hai, dekhna uski kismet mei bhi koi aacha hi likha hoga.

Purvi: ha surabhi bus dua karo job hi ho meri riya k pasand k mutabiq ho warna meri bachi toot jaey gi, aaj tak us nay kabhi kisi cheez ki zid nahi ki , sirf apnay sasural ko lay k ek sapna dekha hai agar wo sakar nahi huwa toh'.

Surabhi: tum fikar kyun karti ho mei hun na tumharay sath, mei tumhari Bhabhi baad mei pehlay tumharai Dost hun, aur Riya sirf tumhari hi nahi meri bhi beti hai aur mei apni beti k sath kabhi kuch ghalat nahi honay dungi.

Purvi: ek tumhara hi toh sahara hai Surabhi, warna merit oh himmat nahi hai Amba ji say kuch kehnay ki.

Surabhi: tum fikar nahi karo chalo tyar ho jao aakhir larkay walay jo aa rhay hain tumhari Riya ko dekhnay, larki ki maa ko toh aacha dekhna hi hoga na. aur mei Ayesha say kehti hun k wo Riya ko tyar kar day.

In evening:

Amba: Jay shree Krishan aaen na andar .

Lady: jay shree krishan wah ghar toh aapka buhat hi pyara hai.

Amba: array aap log kharay kyun hai bethen na.

Lady: mei hun Naina , ye meri beti hai Sanchi aur ye meri Bari bahu Neha.

Amba: apka beta nahi aaya.

Naina Devi: Nahi Amba , mei aapko Amba bula sakti hun na.

Amba: ha ha kyun nahi sab hi mujhe yahan Amba hi bulatay hain.

Naina Devi: wo kiya hai na Amba mera beta kuch alag khayalat ka maalik hai, wo humaray sath isliay nahi aaya k wo nahi chahta k wo kisi ki beti ko dekhay aur pasand na aaey toh thukhra day, uska manah hai k larki kisi dukan mei rakhi koi gurya nahi hai, jisay jee bhar nehar lyn aur pasand na aaey toh nukhas nikal k thukra dyan. Isliay wo chahta hai k hum us k liay larki khud pasand Karen , wo humari pasand mei raazi hai.

Amba: baray Ouchay vichar hai aap k betay kay, humari Riya bhi kuch kam nahi hai usay joint family buhay pasand hai, yakenan aap logon ko us say mil k buhat khushi ho gi. Surabhi ,Purvi kahan reh gay tum dono mehman aa gay hai

Surabhi: Amba hum mehmano k liay sharbat ka intezam kar rhay thay.

She serve drinks to all guest.

Amba: ye hai meri bahu Surabhi Aur ye hai meri Beti Purvi waisay toh ye meri behan ki beti hai par iski parwarish mei nay hi ki hai. Meri bahu ki bachpan ki saheli hai. Ayesha beta Riya ko lay aao.

Ayesha: ji Amba lai.

Ayesha goes to their room:

Ayesha: Jaan chalo tumhara bulawa aaya hai, apnay chriya ghar jaisay susaral walo say milnay ko tyar ho jao , kyun k tumhain bhi aab usi chirya ghar mei sari umar guzarni hai.

Riya: shut up Ayesha, agar tera susaral isi jaisa huwa toh kiya karay gi.

Ayesha: awal toh Amba nay mere liay aaisa susaral nahi chuna hai bilfarz agar meri sasural itna bara huwa toh mei simple si suicide kar lungi.

Riya: chill mei mazak kar rhi thi. Ab chalen.

Ayesha: itni jaldi hai un say milnay ki waisay tera prince charming nahi aaya hai.

Riya: kyun?

Ayesha: baray uchay vichar hai aap k honay walay patti dev k bina dekhay shadi par yakeen rakhtay hai Sahab, dekhtay hai kab tak tujhay dekhay bina rehen gay janab, do din bad doray chalay aaen gay .

Riya: shut dear.

Ayesha:Chalo bhi warna Amba wahen say chilaen gi , array larkiyun aa bhi jao kahan mar gai ho.

Riya: dear tu bhi na ab o gaya chalen bhi ya abhi bhi Amba ji ki awaz ka intezar hai.

Ayesha : ha ha chalo.

Riya : ek minute.

Ayesha: ab kiya huwa jaan.

Riya: sab kuch theek hai na.

Ayesha: ha buhat aachi lag rhi hai tu dekhna wo tujhay dekhtay hi ha keh dyn gay.

Riya comes with Ayesha.

Naina stands after seeing them.

Amba: kiya huwa Naina ji sab theek toh hai na.

Naina: nahi buhat pyari pootiyan hain aapki , mujhay aapki pooti pasand hai, munh meetha karwaen.

Amba: array itni jaldi pehlay aap apnay betay say toh pooch lyn aur phir bahu beti say bhi toh mashwara karna hoga aapko.

Naina: nahi mujhe pasand hai toh sab ko pasand aaey gi, kyun kiya kehti ho tum log.

Neha: ha mama mujhe meri dewarani buhat pasand aai hai .

Sanchi: waqai bhabhi toh buhat haseen hai.

Naina: jab in dono ko pasand hai toh mere betay ko bhi zaror pasand aaey gi , aacha ab hum chaltay hain aap log jald aaen humaray ghar hum aap ka intezar Karen gay.

Amba: ji buhat khoob.


I know this was slightly boring SS but i make this interesting after few updates so please bear me with this


Edited by sumbulqaiser - 12 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: LizzieBennet · 6 months ago

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: FFEditors · 7 months ago

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".