Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 6th Oct 2025.
GEETUs DEATH 6.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 6, 2025 Episode Discussion Thread
5 MONTHS LEAP 7.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 7, 2025 Episode Discussion Thread
Kyunki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi 2: EDT # 3
♧Bigg Boss 9 Discussion Thread♧
Parivaar Ki Izzat!!!
Bring her in Gen 5
SO mihir wants to leave Tulsi
Was Kajol over the top in Dushman? What a ridiculous movie
Sunday Dhamaka: Who's the better dancer? Madonna, Shahid, or Hrithik?
Anupamaa 05 - 06 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Like/Dislike/Neutral Week 6
Ananya Pandey - Chanel girl
One fine Morning .A girls steps down from stairs while chatting on her cellphone.
Girl: ya mei pohnch jaun gi don't worry, ya I will be there at sharp 9: 3o, ok bye.
She sits on the dinning table and call her Mom for breakfast, she sees her cell phone and text their friends, unaware about the fact that who is sitting in front of her.
A voice disturb her : Ye tarbiyat di hai tu nay apni beeti ko Surabhi, subha subha na dua na salam, lagi hai phone par.
Girl stands after seeing that Person
Girl: Amba aap, kab aaen .
Amba: dhayan kahan hai tera, subha subha pooja paat toh dour kinar bus tu aur tera phone, aag laga day is phone ko.
Girl: sorry Amba wo mei nay aap ko dekha nahi.
Amba: ye kiya hai?
Girl: kya Amba .
Amba: tere kapray , ye kaisay kapray pehnay hai tu nay aastenain kahan hai iski, toh tu meri ghair mojodgi mei aaisay kapray pehinti hai, had hai besharmi ki, aur tu surabhi tu nay isay mana nahi kiya? Na dupatta na dhang k kapray. Pehlay ja change kar k aa phir nashta milay ga.
Girl: ji amba ji.
Another girls come there.
2nd Girl: Jay shree Krishan Amba , aap kaisi hain aap , aap yatra say wapis kab aaen.
Amba: Jay Shree Krishan, subha hi loti hun.
2nd Girl: aap any humain bataya hi nahi k aap aa rhi hain
Amba: agar bata deti toh tum logon ka asli roop kaisay dekhnay ko milta. Ye meri bahu beti jin k sar say palu utra huwa hai toh dosri taraf meri potiyan jinhan na kapray pehnay ka tareka hai na hi sankaron ka aadar aata hai, ha inhen seekh day ga kaun jab in ki maaein hi aaisi hain. Ja tub hi ja k kapray change kar lay mujhe aaisay tight jeans shirt nahi pasand hai larkiyan saday shalwar kurti mei hi jajteen hain.
2nd Girl: ji Amba.
1st Girl: Chal Riya .
2nd Girl: ha chalo.
In their Room:
Ayesha: jaan tu nay bataya hi nahi k Amba aa rhen hai.
Riya: Dear agar mujhe pata hota toh mei ye pant Shirt pehan k nechay jaati.
Ayesha: kitni shanty thi na abhi tak , ab pata nahi kiya hoga.
Riya: Dear kitni aacha hota Amba yatra say wapis hi na aati kam iz kam hum apni marzi say toh dress pehan saktay.
Ayesha: Amba is too much jaan, humain toh aab saans bhi in say pooch k lena hoga, har pal ye karo ye na karo aaisay chalo ye kahao dhemay bolo etc etc etc.
Riya: Dear mujhe lagat hai Amba ko phir say kisi lambi yatra par bhej dena chaheay.
Ayesha: jaan idea bura nahi hai.
Riya: Dear mere ideas kabhi flop nahi hotay.
Ayesha: lagata hai humain phir in kapro ko wapis nikal lena chaheay jo hum nay suitcase mei band kar k rakh diay hain.
Riya: yes Dear mei bhi yahi soch rhi hun
Ayesha: jaan jaldi neechay chalo phir kahin Amba say kuch na sunnay ko milay.
Riya: ha ha chalo.
In dinning Table, Amba is waiting for them.
Amba: itni dyar lagti hai change karnay mei.
Ayesha: Amba wo bus'
Amba: Tera Dupatta kahan hai Ayesha.
Riya: Ayeha ye lay tera matching dupatta tu upar hi chor aai thi.
Ayesha: Thanks jaan.
Riya: you welcome Dear
Amba: ye kiya jaan aur Dear laga rakha hai, Surabhi teri auladen tere hath say nikal gaen hain, Abhi bhi waqt hai inki lagam khench k rakh aaisa na ho k tu pachtati reh jaey.
Surabhi: ji amba aainda dhayan rakhun gi.
Amba: umeed hai tu aainda dhayan rakhay warna mujhe inhen sakanjay mei rakhna bakhoobi aata hai.
After taking breakfast they make their way to exit.
Amba: aaray larkiyun kahan chalen.
Ayesha: amba ji College.
Amba: jahan tak mujhe yaad hai tum dono ka college khatam ho gaya hai, phir kahan chali.
Ayesha: wo kiya hai na Amba ji humara aaj resultaanay wala hai isiliay hum college ja rhay hain.
Amba: mei itni bhi jahil na hun k tum log mujh say jhoot bolo, thora buhat parhna likhna mei bhi janti hun aur jahan tak result ki baat hai wo toh aakhbaar mei aaya karta hai na phir us k liay college k chakar laganay ki kiya zarorat.
Ayesha wo Amba ji saari dosten jar hi hain toh mei nay socha kyun na hum bhi..
Amba: Surabhi surabhi..
Surabhi: ji Amba ji.
Amba: dekha teri betiyan jhoot bolnay lagi hain. Yahi tarbiyat hai teri, inhon nay tujhay bataya nahi k ye kahan ja rhen hai. Teri auladen tere hath say nikal gaen hai Suarabhi abhi bhi waqt hai inki lagam khench lay warna mujhe in k paroon mei baariyan lagani aati hain.
Surabhi: ha bataya hai na ye college ja rhen hain aaj inka najeta jo aanay wala hai.
Amba: nateja aakhbar mei aata hai college mei inka kiya kaam.
Riya: please Amba janay dyan na humain.
Amba: Theek hai jao aur ha teen ghantay teen ghantay hain tum dono k pass teen ghantay k aandar tum dono is ghar k chokhat k aandar dekhni chaheay ab jao.
Riya: thanks Amba.
Ayesha: jay shree Krishan Amba.
Amba: jay shree krishan .
After three Hours.
Riya: bhaiya jaldi chalo humaray pass waqt nahi hai.
Ayesha: ha jaan agay hum ek minute bhi dyar say pohnchen toh Amba humain ghar say hi nikal dyn gi.
Riya: please Krishan ji humain bacha lyn.
Ayesha: bus bhaiay yahen rook dyan. Jaan hum pohnch gay.
Riya: bhaiya kitnay paisay huway.
Autodriver: 100 rupay
Riya: ye lyn and they enters in the house.
Amba stares wtch which is hanging on the wall.
Amba: buhat khoob aacha huwa tum dono waqt par aa gai.
Riya: Amba hum apnay room mei jar hay hai kapray change kar lyn phir miltay hain.
Amba: ek minute mujhe tum dono say kuch baat karni hai.
Ayesha: Kiya baat hai Amba;
Amba: mei nay tum dono k liay larka pasand kiya hai, bilkul waisa hi jaisa tum dono chahti ho, umeed hai tumhain bhi wo pasand aaey ga.
Ayesha: sachi.
Amba: ha Ayesha mei nay is baat ka poora poora dhayan rakha hai k tum dono ki pasand k aain mutabiq larka dhundun buhat dikat hui par bila aakhir mujhe tum dono kipasand k mutabiq larka mil hi gaya.
Ayesha: Thanks Amba.
Amba: mei itni bhi buri nahi hun k apni potiyun km pasand ko nazar andaz kar dun, aaj sham Riya larkay walay dekhnay aa rhay hai, kaafi bara pariwar hai, larkay ki aamdani thori kam hai par larka hai sanskari, Pariwar ka aadarsh beta hai, intehai shareef hai, par unka Pariwar mujhe buhat pasand hai kaafi aachay log hai .
Ayesha: wow jaan Amba nay aakhir teri pasand ka larka dhoond hi liya.
Riya: aut teri pasand ka larka Amba ko mila ya nahi.
Amba: kyun nahi milay ga iski pasand ka larka is nay kisi chand ki farmaish thori kit hi, Beta tere liay mei nay jisay chunna hai wo apni behan ka eklota bhai hai maa baaf bachpan mei hi foat ho gay behan bhi apnay ghar ki ho gai hai, aacha kamata hai, suljha huwa hai, apna ghar apni gaari ,sab kuch hai tu us k sath buhat khush rhay gi.
Ayesha: thanks Amba.
Kuch sapnay aaisay hotay hain jo kabhi sach nahi hotay inka bhi sapna kuch aaisa hi hai, kiya hungay in k bhi khawab sach ya reh jaey gi inki zindagi mei tootay khawabon k tukray, kya hoga in do doston ka ?
I hope you like the starting please hit the like button , if you really like this
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
41