Nazreen aur Hazraat,
Sunnay main aaya kay tareekh aapnay aap ko phir say duhra rahe hai aur aaj phir hum usse muqaam pay pahunch gayye hain jahan do saal qabl thay. Haalat kuch youn hain kay wohi nadaan wapis aachukay hain hum sub ko hairaan aur pareshaan kurnay kay leye..koi baat nahi.. duniya ka dastoor hai..aysa tu hota hai ayse baatoun main… tu khulasa ye hai kay jahan houn gein aysay shaitaan..wahan pahunch jaein gein hum jaisay qadar daan… kul Armaan ka masla tha..aaj Asad ka hai…koi baat nahi..
Jalnay ke bahut saari wajoohaat hote hain..aayee, chand cheezoun pay roshni daalein…
1) Asad… lamba chaura qud.. haseen zulfein..aur aafat aankhein – hamsa ho tu saamnay aae…
2) Asad kay rishtay nibhanay ka dhang…aik farmabardaar beta aur behan ka sahara.. aur aub.. ahem.. pyara dildara… "koi hero yahan..koi zero yahan..koi star hai.. koi bekaar hai..main koun houn..tum say main kiya kahoun..such tu ye dosto… I am the best..i am the best..i am the best"
3) Baaqi tareefoun kay leye ye khabar purhtay raheye…
Humara aur aap ka raabta rahay ga… tub tuk kay leye… pyaar say raho… achay bachoun ke tarha..jen ko ye pyaar bhara naghma pasand hai, who sunnein..baaqi barah e meharbaani, aapna channel badal lein…
Shukriya J
Before everyone starts wondering what all this was.. "ye hai sakheel urdu mere jaan" lol.. ;)
85