Dushyant ki Kahani - Kesar ki zubani

SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
Kesar's narration of yesterday's and today's episodes. You will only enjoy if you have seen it wide awake

Sunn ke baat kunaal ki maan ki
Mera damagh waise hi phir gaya
Chaa gaya meri ankhon par andhera
Mera dil nafraton mein ghir gaya
Mein baagha ghar ki taraf
Jaatey hi dushant bha pe chadh gaya
Abhi mera unn se pehla sawaal tha
Gulaal bhi aagaye, darwaze par Kunaal tha
Ruk ja kesar, Gulaal boli pehle kaam dooja kar lein
Kunaal aa gaya hai, pehle pooja kar lein
Mein pooja mein baith kar munh basoorta raha
Ek ek second ke baad, dushyant ko ghoorta raha
Rasm khatum hui toh khilaane ki baari aayee
mein ne Gulaal ko ghoora, uss ne mujhay aankhen dikhai
Sarru fai se daant khai toh Gulaal ne hilaya
Mien ne ussko aur uss ne mujhay khilaya
Rasm ke baad jab sub uth kar jaanne lagay
Mujhay ghussay se paith mein maror aaney lagay
Mein Dushyant bha keh kar peeche se lapka
Sub thum gaye wahin, na kissi ne palak ko jhapka
Raman bha yeh dekh kar beqarar ho gaye
Mujhay kaam se jana hai keh ke farar ho gaye
Mein ne dushyant bha par ilzaam lagane shru kar diye
Apni nafraton ke golay barsaane shru kar diye
Mein bolta chala gaya, na mujhe hosh aya
Dushyant bha ki chapaid ne mujhay khamosh karaya
Chapidein to Gulaal ne bhi 5 - 5 mari thi
Leikin ye ek hi un sab pe bhari thi
Phir wo bolay aur mein sunta gaya
Mein un ke munh ke daanth ginta gaya
Un ke tapadh ne mujhay ander tak hila diya
Jo mein bhool chuka tha, who bhi yaad dila diya
Jab mein baithi hui awaz mein JHOOT kaha
Gulaal darr gaye ke shayad mein ne BHOOT kaha
Phir mein ne sara bhaid khol diya
Gulaal ki 10 saal ki mehnat ko roll diya
Mein ne cheekh kar kaha, ye sab aap ka kiya dhara hai
Iss ghar ko dukh aap ne diye, Vasant aap ki wajah se mara hai
Mein ne badla liya unn se, unka thapad jo karara tha
"aap ne! aap ne! Vasant Bha ko mara tha!!"
Aap ne ghar, business par qabze ki thaan li thi
Issi liye aap ne Vasant Bha ki jaan li thi
Sub meri baat sunn saktey mein aagaye
Subhon ke munh latak gaye aur chehre murjha gaye
Show ke director bhi sar pakad ke reh gaye
"Kesar, yeh to aglay haftey kehna tha tum aaj hi keh gaye
Ab chup ho kar ke side mein kadhay ho jao
Tumharey dialog khatum, camera aaye to sirf aanso bahao
Lekin iss baat ki sazaa tumhe zaroor miley gi
Jo chapaid dushyant ko padhni thi, ab tumhey padhey gi"
Motabha ne ghussay mein mujhay hi dhar diya
Mein zameen pe ja padah, dil gham se bhar gaya
Gulaal ne lapak ke diya mujhko sahara
Mein chakraa ke reh gaya, jitni zor se tha mara
Motabha ne asl mein apna haath mujhpe test kya tha
Bachpan mein tha eik dafa uthaya, jab se rest diya tha
Motabha Dushyant se bolay kehde Kesar BAKRA hai
Dushyant bha chup rahe, keh Kesar bhi tak raha hai
Motabha Dushyant se bolay kehde Kesar ne BHOOT kaha hai
Dushyant rota raha ke kesar ne nahin JHOOT kaha tha
Dushyant ne B&W mein flashback phir chalaya
Vasant ko kaise mara tha, sab ko dikhlaya
"Aaj sub ke samney ye kehna mujhay gawara hai
Ye such hai, MotaBha, Vasant ko mein ne hi mara hai"
Sab ye sunn kar zor zor se ronay lagay
Mein heraan tha ke sub ke munh ajeeb se honay lagay
Itni der mein mera ghussa uttar chuka tha
Leikin tab tuk paani sar se guzar chuka tha
Dushyant Motabha ke pairon pe padh gaya
Unhone ne Dushyant bha ko wahin pe jadh diya
Phir woh Dushyant bha ko marte gaye
Dushyant bha, Motabha Motabha pukartey gaye
Motabha ne phir danda uthaya
Phir ek ke baad ek peeth par takaya
Jab beech mein star plus ne break diya
Dushyant bha ne bhi sukh ka saans liya

Baad break ke Motabha thak se gaye
Budhay hain becharey, haath bhi pak se gaye
Phir sab Vasant ko yaad kar ke ronay lagay
Mere aansoo bhi mera munh dhonay lagey
Dushyant bha bada pachta rahey thay
Phone kar ke police ko bulla rahey thay
Nai PaanBa ne bhi Gulaal se afsos kiya
Dushyant ne tera suhaag ujaadh diya
Police aaye to Jamana kaki ronay lagi
Ab unko ehsas hua, jab beta khone lagi
Dushyant ne inspector ke samaney haathon ko badhaya
Inspector ne chup chaap hathkadi ko lagaya
Jamana kaki MotaBha ke pairon pe girkar
"Dushyant aap ka bhi to beta hai" yaad dilaya
MotaBha gussay mein thay, ya thuk gaye thay
Issi liye unho ne na apne sar ko hilaya
Jamana kaki ne phir Gulaal ko duhai di
"Iss ko kuch mutt kaho" Dushyant ne gawahi di
10 saal tak iss ne mere paap pe pardha daal ke dukh uthaya
Mein saath janamon tak iss ka reni rahonga ga, sub ko bataya
Ye sunn kar MotaBha ne apni gardan ko ghumaiya
PaanBa ne bhi kisi kachuway ki tarah sar ko uthaya
Jaatey jaatey Dusyant ne ek gandh kar diya
Gulaal ki aisi ki tareef ke huqa paani bandh kar diya
Yeh keh kar Dushyant Bha thanay ko chaley gaye
Giga Kaka, Jamana Kaki aur Sudha shayad ooper khane ko chaley gaye
MotaBha sher ki tarah garjay aur kiya Gulaal se sawaal
"Ye jo Dushyant keh gaya hai, tu janti thi" keh ke kiya munh ko laal
PaanBa jin ko ab tuk Gulaal ne seenay se laga rakha tha
Ab unhone bhi haathon mein sung (stone) utha rakha tha
"Jee" boli Gulaal "mein jaanti thi" keh ke ronay lagi
background music bajney laghi mujhay bhi kuth puth honay lagai
Jab Gulaal ka rang udha to mujhay phir samjh aaya
"att tere ki" ye toh mein Gulaal ko kiss chakar mein phasaya
Mein bhaaga uss ki taraf, ussey bachaane ko
time nahin bacha tha iss episode mein woh dikhane ko
bas precap mein dekh kar samjh aa gaya hai
Kesar toh apne hi ghar ke sakoon ko kha gaya hai
Ab mein phir se acha bacha ban jaon ga
Gulaal ki sab batein manoon ga, aur thapad bhi khaoon ga
Gulaal ki khushian ka toh mein naas maar diya
Ab uss ke gham mein zaroor saath nibhaon ga
Ye mera khud se wadah hai
ab aap hi bataarin, kya ye zyada hai???

PS
ye Raman bha kahan chaley gaye, wohi mere mentor hain
Koi keh raha tha gaon mein ke wohi iss problem ke center hain
Khair mujhe kya, mein toh abhi baccha hoon
Dil ka mein hoon bahut saaf, maan ka sacha hoon
Ab aap sab meri tarref karen warna gussay mein aa jaon ga
Gala baith gaya toh kiya, haathon, pairon ko hilaon ga

Acha ab mein chalta hoon kaal bhi aana hai
Abhi bahut kaam hain karne, Gulaal ko bhi bachaana hai

Edited by SlingShooter - 14 years ago

Created

Last reply

Replies

21

Views

6.1k

Users

8

Likes

15

Frequent Posters

minidixit thumbnail
Posted: 14 years ago
#2
👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏
👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼
SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3
Pehlay taalian peetein, phir tuth (thumb) dikhaye, aakhir aap chahtey kya ho
Iss sare forum par, sirf aap hi ko samjh aaye, aakhir aap khatey kya ho

Shukriya. 🤔

pritirays thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#4
wah wah wah wah kya baat hai yaar! ⭐️ ⭐️ ⭐️
Itni awesome poetry with the whole story! 👏 👏 👏

some of the line are very funny and amusing! I will post them here as soon as I am done reading! 😃

pritirays thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#5
These are my favorites! 😆
Very well written! 👏


Originally posted by: SlingShooter


Mein pooja mein baith kar munh basoorta raha

Ek ek second ke baad, dushyant ko ghoorta raha
Rasm khatum hui toh khilaane ki baari aayee
mein ne Gulaal ko ghoora, uss ne mujhay aankhen dikhai


Chapidein to Gulaal ne bhi 5 - 5 mari thi
Leikin ye ek hi un sab pe bhari thi
🤣 I totally agree!


Phir wo bolay aur mein sunta gaya
Mein un ke munh ke daanth ginta gaya
What? 🤣



Mein ne badla liya unn se, unka thapad jo karara tha
"aap ne! aap ne! Vasant Bha ko mara tha!!"
Loved how you have written these once specially! ⭐️


Show ke director bhi sar pakad ke reh gaye
"Kesar, yeh to aglay haftey kehna tha tum aaj hi keh gaye
🤣🤣 🤣


Ab chup ho kar ke side mein kadhay ho jao
Tumharey dialog khatum, camera aaye to sirf aanso bahao
🤣 Man you are too much! I am on floor now laughing! 🤣


Lekin iss baat ki sazaa tumhe zaroor miley gi
Jo chapaid dushyant ko padhni thi, ab tumhey padhey gi"
ohh aa raha hai Motaba ka bhi! 😆

Motabha ne ghussay mein mujhay hi dhar diya
Mein zameen pe ja padah, dil gham se bhar gaya
Gulaal ne lapak ke diya mujhko sahara
Mein chakraa ke reh gaya, jitni zor se tha mara
🤣 🤣 🤣 I agree! 😆

Dushyant ne B&W mein flashback phir chalaya
Vasant ko kaise mara tha, sab ko dikhlaya
"Aaj sub ke samney ye kehna mujhay gawara hai
Ye such hai, MotaBha, Vasant ko mein ne hi mara hai"
Nice confession lines! 👏


Ye sunn kar MotaBha ne apni gardan ko ghumaiya
PaanBa ne bhi kisi kachuway ki tarah sar ko uthaya

🤣 Oh my God, kachua!!! 🤣


Jaatey jaatey Dusyant ne ek gandh kar diya
Gulaal ki aisi ki tareef ke huqa paani bandh kar diya
😆






Jab Gulaal ka rang udha to mujhay phir samjh aaya
"att tere ki" ye toh mein Gulaal ko kiss chakar mein phasaya
Mein bhaaga uss ki taraf, ussey bachaane ko
time nahin bacha tha iss episode mein woh dikhane ko
Love this breaks! 😆

bas precap mein dekh kar samjh aa gaya hai
Kesar toh apne hi ghar ke sakoon ko kha gaya hai
Ab mein phir se acha bacha ban jaon ga
Gulaal ki sab batein manoon ga, aur thapad bhi khaoon ga
@ RED: 🤣 🤣 🤣


SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#6

Originally posted by: pritirays

wah wah wah wah kya baat hai yaar! ⭐️ ⭐️ ⭐️
Itni awesome poetry with the whole story! 👏 👏 👏

some of the line are very funny and amusing! I will post them here as soon as I am done reading! 😃

Kal se post kar ke baitha tha, koi to padhney aaye ga
Acha likha ya burra, koi toh ye bataaye ga
Chalo ab ek ne Taalian peetein aur tuth dikhaye
Ab dekhna ye hai ke doosra kya dikhaye ga

Thanks Bhai log..😊



SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#7

Originally posted by: pritirays

These are my favorites! 😆
Very well written! 👏


Thanks, meri mehnat wasool ho gayee hai. 😎
kiran_trudecent thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 14 years ago
#8
hahahha 🤣 nice one slingshooter, balkay very nice one 👏 poora epi in shairi style, excellent 😆
minidixit thumbnail
Posted: 14 years ago
#9

Originally posted by: SlingShooter

Pehlay taalian peetein, phir tuth (thumb) dikhaye, aakhir aap chahtey kya ho
Iss sare forum par, sirf aap hi ko samjh aaye, aakhir aap khatey kya ho

Shukriya. 🤔

Hamari "tareef" ko "tuth" hi bataya aapne

Meri encouragement ka kaisa mazaak banaya aapne

Maana ke aap ho gayein hain bade shayar ab

Par ye end mein kaisa emoticon hai chipkaya aapne?

Aur jahan tak sawaal hai hamari diet ka, hum khaate hain gulaal ki handi ka woh saag

Kabhi jiska mudda tha uthaya aapne….

P.S. Humne bhi padhi thi Paanba waali voh kuch panktiyan

Jiska zikr tha post mein farmaya aapne

Bas isi umeed mein dobara farmaayish ki thi

Ke likh daalein vo sab bhi unke talent ke baare mein jo abhi tak kahin hai chupaya aapne

Warning: No tomato or show hurling is allowed on this forum (not even virtual ones), however bad some shayari may be Ermm
SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#10

Originally posted by: minidixit

Hamari "tareef" ko "tuth" hi bataya aapne

Meri encouragement ka kaisa mazaak banaya aapne

Maana ke aap ho gayein hain bade shayar ab

Par ye end mein kaisa emoticon hai chipkaya aapne?

Aur jahan tak sawaal hai hamari diet ka, hum khaate hain gulaal ki handi ka woh saag

Kabhi jiska mudda tha uthaya aapne'.

P.S. Humne bhi padhi thi Paanba waali voh kuch panktiyan

Jiska zikr tha post mein farmaya aapne

Bas isi umeed mein dobara farmaayish ki thi

Ke likh daalein vo sab bhi unke talent ke baare mein jo abhi tak kahin hai chupaya aapne

Warning: No tomato or show hurling is allowed on this forum (not even virtual ones), however bad some shayari may be 🤔

Kuchuay ko dekh kar kachuay ne rang pakda hai
Oops!
Kharboozay ko dekh kar kharboozay ne rang pakda hai
Mere shairon ne kaisa asr dikhaya hai
Jo so raha tha aap ke ander kharatey laiker
Uss shaair ko mein ne kaise jagaya hai

Itni achi shairi kar dali, apni misaal aap ho
Do hi shairon mein bata dia, shairi mein mere baap ho

Thumbs up ko mein ne tuth kaha
Aap ki tareef ko sarhaa hai
Mein ne muzaak udhaya hai aapka?
Ye aap se kiss ne kaha hai

Emoticon ko le kar kaisa sawaal jadh diya
Aapne mujh ghareeb ko utha kar zameen mein ghad diya
Iss se pehlay ke badal dalta emoticon ko
Wohi kyun mere dimagh mein aya tha
Abhi jawab hi socha raha tha ke dekha
Aap ne bhi ussi se kaam chalaya hai

☺️

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".