Page 1 of 1
Next Topic
Prev Topic
Newbie
Joined: 26 April 2010
Posts: 4
Direct Link Posted: 06 May 2010 at 12:03am | IP Logged
wo shaks jo khawabon jesa tha,
Rangeen gulabon jesa tha,
wo jiski batain khushbu si
awaz thi jiski jadu si,
wo bolay to uss laehjay se,
kuch phool bikhar se jatay thay
ham bat kahan phir suntay thay...?
bus ankhom main kho jatay thay
tasweer se uski lag ker Ham
is dil ki batain kehtay thay
kehtay kehtay so jatay thay
wo chalta tha to chand usay
jhuk jhuk ker dekha karta tha
ye pagal si madhosh hawa
usay choonay ko ruk jati thi,
wo hont gulabon jese thay
wo jin se paani peeta tha
to dil main hasrat utthi thi
ay Kash katora hotay ham
un hoton ko choo laitay ham!
kal sham thi kesi sham kanwal...?
wo behkay behkay qadmon se
chal ker aya, kuch paas hua
un narm gulabi honton nay
ye hont chooye, ye jism chooa
ham ankh jhapakna bhool gaye,
phir palkain sharm se mond gaain,
us lamhay ye ehsas hua
un narm gulabi honton se,
hay jism ye sara mehka sa
har qadam hay kuch kuch behka sa,
uski sanson main ghul ker ham!
jis lamhay ko madhosh huay,
wo muska ker kuch dooor hata,
or See You" keh kar lout gaya!
or ham gum sum se chup chup se,
us lamhay se is s lamhay tak,
un lamhon ka ehsas liye
kuch mann hi mann main soch rahay!
un lamhon ka ehsas meri
rag rag main behta jata hay
us lamhay se iss lamhay tak
ye jism mehakta jata hay
By Kanwal Malik
Door gaggan par betha chand
Gum sum,chup chup,khoya khoya Door gaggan par betha chand Uss nay dekha farsh pe jab se Khud se b ik payara chand Jis k hont chalaktay saghar, Or tha jis ka chehra chand Soch raha hay tab se ab tak Farsh pe kese utra chand Uski aik jhalak ki khatir Dekho jhukta jhukta chand Aik nazar wo khud ko dekhay Aik nazar phir mera chand Usko takta jaltay jaltay, Badal main phir chupta chand Dil ki dadhkan taiz hay ab tak Pas se mere guzra chand Usko ussay maang hi laitay Or zara gar rukta chand Nazar laga day na E chanda Tujhko takta takta chand Jaan hamari lay jata hay Aisay aata jaata chand Day kar apni jaan mana lain, Ham se rootha rootha chand Jaanay itna chup chup kioun hay Soch main khoya khoya chand Janay kesa dikhta hoga Raat main soya soya chand..? Kaash k meri mannind ik shabb Yaad main meri rota chand Kaash mere bus samnay rehta Kaash k mera hota chand Soch rahay hain kese mangain Or kisi ki chatt ka chand Janay day ab chor bhi pagal Hota hay kab kis ka chand..? KANWAL MALIK Mujay kioun acha lagta hay...?
|
tumharay bin ye alam hay.... kabhi jab chand ki kirnain jo aksar jhilmilati hain kabhi jab barf lamhoun main, hwa'ain gungunati hain, mujhay ik bean lagta hay tumhari chah main rasta, har ik be chain lagta hay tumhari aass main, deewar o dar be daar lagtay hain sabhi phoolon bharay rastay mujhy pur khaar lagtay hain mehakti sard shamon main badan aisay sulaghta hay December june' lagta hay" har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... jo dilkash roop thay jana! bohat ujray se rehtay hain meri choori, mere bunday, mera kangan, meri payal, sabhi khamosh rehtay hain... sunehri dhoop main tum bin, mere is kapkapatay jism ki bhi jot hay jana! tumharay bin mera jeewan, adhoori mout hay jana! dhanak iss surkh anchal ki mujhay weeran lagti hay mera kajal , meri mehndi, bohat heraan lagti hay in hathoun main hina ka rang Dil ka khoon lagta hay koi ghanti bajay mujhko, tumhara fon lagta hy har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... har ik aahat pe darwazay pe ja kar laout ati hon tumharay rastoun main ansoun ki lo jalati hon meri ujri hui subhain, meri bikhri hui shamain meri ye jaagti ratain tumhari muntazir jana! kisi se kuch nahi kehti bohat khamosh rehti hon hijar ki taiz mojoun main, bohat chup chaap behti hon... mere ye kaasni se lab batatay hain hijar ka zehar peeti hon... na marti hon, na jeeti hoon har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... Kanwal Malik |