Chand Chehra Gullab Lab Uskay By KAnwal MAlik

kanwalmalik thumbnail
Posted: 15 years ago
#1
kanwal malik born and brought up Rawalpindi / Islamabad
living in UAE very famous among young ppl bcz of her love & romantic Urdu/ Hindi/ English poetry poetry...
like ' never enough of u'
never forget u'
Love me'
deep blue sea.....
& much more...
23years old girl published 2 poetry books at v early of her age 2rd and 4th coming soon
after tumhain tum se hi manga hay'now
chand chehra gullab Lab uskay'
Chand Chehra Gullab Lab uskay'
Uss LAmhay se iss lamhay tak'
kal shaam thi kesi shaam kanwal~
wo shaks jo khawabon jesa tha,
Rangeen gulabon jesa tha,
wo jiski batain khushbu si
awaz thi jiski jadu si,
wo bolay to uss laehjay se,
kuch phool bikhar se jatay thay
ham bat kahan phir suntay thay...?
bus ankhom main kho jatay thay
tasweer se uski lag ker Ham
is dil ki batain kehtay thay
kehtay kehtay so jatay thay

wo chalta tha to chand usay
jhuk jhuk ker dekha karta tha
ye pagal si madhosh hawa
usay choonay ko ruk jati thi,
wo hont gulabon jese thay
wo jin se paani peeta tha
to dil main hasrat utthi thi
ay Kash katora hotay ham
un hoton ko choo laitay ham!

kal sham thi kesi sham kanwal...?
wo behkay behkay qadmon se
chal ker aya, kuch paas hua
un narm gulabi honton nay
ye hont chooye, ye jism chooa
ham ankh jhapakna bhool gaye,
phir palkain sharm se mond gaain,
us lamhay ye ehsas hua
un narm gulabi honton se,
hay jism ye sara mehka sa
har qadam hay kuch kuch behka sa,
uski sanson main ghul ker ham!
jis lamhay ko madhosh huay,
wo muska ker kuch dooor hata,
or See You" keh kar lout gaya!

or ham gum sum se chup chup se,
us lamhay se is s lamhay tak,
un lamhon ka ehsas liye
kuch mann hi mann main soch rahay!
un lamhon ka ehsas meri
rag rag main behta jata hay
us lamhay se iss lamhay tak
ye jism mehakta jata hay

By Kanwal Malik

Door gaggan par betha chand

Gum sum,chup chup,khoya khoya
Door gaggan par betha chand

Uss nay dekha farsh pe jab se
Khud se b ik payara chand

Jis k hont chalaktay saghar,
Or tha jis ka chehra chand


Soch raha hay tab se ab tak
Farsh pe kese utra chand

Uski aik jhalak ki khatir
Dekho jhukta jhukta chand

Aik nazar wo khud ko dekhay
Aik nazar phir mera chand

Usko takta jaltay jaltay,
Badal main phir chupta chand

Dil ki dadhkan taiz hay ab tak
Pas se mere guzra chand

Usko ussay maang hi laitay
Or zara gar rukta chand


Nazar laga day na E chanda
Tujhko takta takta chand

Jaan hamari lay jata hay
Aisay aata jaata chand

Day kar apni jaan mana lain,
Ham se rootha rootha chand

Jaanay itna chup chup kioun hay
Soch main khoya khoya chand

Janay kesa dikhta hoga
Raat main soya soya chand..?

Kaash k meri mannind ik shabb
Yaad main meri rota chand

Kaash mere bus samnay rehta
Kaash k mera hota chand

Soch rahay hain kese mangain
Or kisi ki chatt ka chand

Janay day ab chor bhi pagal
Hota hay kab kis ka chand..?

KANWAL MALIK

Mujay kioun acha lagta hay...?

Wafa ki raah per chalna,
tumharay payar main jalna..
tumhari aass main jeena
tumharai *bunny* pe marna..
tumhain naraz kar daina,
zara si baat pe larrna
ya khud naraz ho jana,
mobile off kar daina...
wo gheray gham main kho jana
khaffa ho kar in ashkon main,
ye bistar bhi bhigo daina
in apnay ansoun main
chand taroun ko dabo daina,

tumhain buss sochtay rehna
tumhari yad main khona,
tumharay payar main hansna,
tumharay payar main rona
dua main mangna tum ko
tumhari aarzu karna'
kabhi ansoo kabhi sajday
kabhi wo nafli rozay
kabhi wo maan'na man'nat
Khuda ki minn'anatain karna
kabhi in chand taroun se
kabhi ghar ki deewaroun se
tumhari guftagu karna

har ik chehray main bus
chehra tumhara dhoondtay rehna
khuli or band ankhoun main
tumhi ko dekhnay rehna
kabhi batoun hi batoun main
tumhari bat ajana
tumhari yaad main din ka guzarna
raat ajana
tumhi ko sochna or soch kar
gum sum sa ho jana
tumhari yaad ko orhay
wo shabb bhar jagtay rehna
subha main dair tak sona

tumhain shabb bhar jagana or
jahan se be khabbar hona
nashay main doobta lehja
tumhara neend main khona
tumhari jheel si ankhain
tumhara chand sa chehra
gulabi hont phooloun se
tumhara narm kho lehja
sabhi kuch acha lagta hay...
mujhay kioun acha lagta hay
mujhay kioun acha lagta hay.....

KAnwal MAlik

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".