Does anyone know if this whole 'Farq' word is orignal or not?? Ekta's quite famous for picking up lines and scenes from other shows and films but I sincerely hope the 'farq' part was specifically created for this show because whenever I hear the word, mujhe bahut farq parta hai. 😛
Are their any dialogues which have stayed with you? I have a relaly bad memory but there have been some lines which I've absolutely LOVED!
'Mere saath hone se ya na hone se usse koi farq nahin parta hai, par uske saath na hone se mujhe farq parta hai'
'Ek ajnabi ne kuch hi dino mein sab kuch badal diya. Jiske kaaran mere apne mujhse pyar karne lage aur mein us seh hi pyar karne lagi....aur woh bhi mere apno se bhi zyada'
'Tumhe mujhse koi farq nahin parta hai, yeh mujhe pata hai...Lekin jinse tumhe farq parta hai unka gussa nikalne aayi ho na? Kyunki unpar tum gussa kar nahin sakti....just because (pause) mujhe tumse farq parta hai'
'Iss ghar mein aisa koi nahin jo mujhe tumhare jitna hasa sakta hai aur rula sakta hai. Koi aisa bhi nahin hai jo mera gussa seh leh aur kuch bhi na kahe. Yaha sab ne meri kismat toh parli lekin meri aankhein koi nahi par saka. Woh bas tumhi hi the...! Aaj kamre mein itne log the, mujhe kisi se farq nahin para par mujhe tumse farq para. Tumhe kisi aur larki ke kareeb jaate mein nahin dekh saki'
'Haa nafrat karti hu tumse isliye kyunki tumne meri aankhon mein aasoo toh nahin rehne diye lekin tum kab khud inmein rehne lage mujhe pata hi nahin chala.....! Haa mein tumse nafrat karti hu kyunki tumne mere gharwalo ke dil mein mere liye jage banadi mein dekh saki par tumne kab mere dil mein jagaa banali mein nahin dekh saki.....Chale jao tum yaha se...chale jao taake woh farq chala jaaye joh mujhe tumse parne laga hai. Yeh ehsaas chala jaaye ke mujhe tumse pyar hogaya hai.......HOGAYA HAI MUJHE TUMSE PYAR'.
Then the dialogues in the mandir scene...very beautiful! There's more but I have to go now. Feel free to add more!😃
Edited by *Reemz* - 16 years ago