Tumko mallom nahi kitna dard hota hai
Jab jubaan sath na de, haal sunaya bhi na jaye
Koi hamdard na ho, na kisi ke aane ki umeed
Waqt katata to hai, par har waqt ahsas na jaye
sham hoti ho magar raat nahi dhalti ho
kaise kate ye shab-raat, jab neend hi na aaye
Ek saya jo andhere men dikhayee bhee pade
Pal do pal ho ojhal, fir koi nazar hi naa aaye
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><>