Originally posted by: kamleshmehra
Azlan and Azka's Fanfiction:
1st Part- Pg 38
2nd Part- pg 40
3rd Part- Pg 43
4th Part- pg 44
Part 5
In the night also….Vo vahi sab soch raha hota hai…Azka ne akhir kuch kaha kyun nahi… she was just smiling at Zainab…ye kya baat hui… chahe kuch bhi ho.. she is his wife … Usko kuch toh kehna chahiye tha…Contract marriage hai toh kya marriage toh hai…Vo uska husband hai…Kya Azka ke dil me uske liye kuch bhi nahi hai…Koi ladki unke room tak aa gayi par Azka…she doesn’t care…he hates it when he is not able to read her…Hmesha aisa hi karti hai vo uske sath…cold expressions….That empty face….devoid of any expression… is only reserved for him…jaise koi feelings hi na ho…
Kuch Waqt baad Jab Azka room me aati hai toh she does not look at him aur apni jagah pe beth jati hai and starts checking her phone…Azlan use dekhta rehta hai ki shayad vo kuch bole…par vo toh uski taraf dekhti bhi nahi…Azlan se bardhasht nahi hota…
Azlan: Azka....
Azka: haan...
Azlan: mera koi fault nahi tha…mujhe nahi pta usne kyun kiya …par main hath hatane wala tha…aur vo yahan bhi khud aayi thi....
Azka looks at him…
Azka: Aap kya bol rahe hain?
Azlan: I mean..Us waqt mera koi fault nahi tha…Zainab ne aisa kyun kiya..I don’t know..I was also shocked aur main apna hath hatane wala tha tabhi tum aa gayi…vo room me bhi achanak aa gayi thi.. maine usko nahi bulaya....
Azka: Achha…
Azlan: Bas tumne yahi kehna hai..
Azka: Toh main aur kya kahu…Aap btana chahte hain…maine toh aapse kuch nahi puchha…
Azlan: Hmm…Main hi btana chahta hu…tumhe toh vaise bhi koi fark nahi padhta…
Azka: Toh… mujhe kya fark padhna chahiye…
Azlan: Pta nahi mujhe…Shayad padhna chahiye...
Azka: Aapki life hai toh aapki Marzi hai……Aap kisi ka hath pakde ya koi aapka...aur aap usko room mei bulaye ya kuch bhi karein...mujhe kyun fark padhega….
Azlan ko bahut gussa aata hai uski baat sunkar…Akhir kyun fark nahi padhta isko…Zain aur isko dekhkar uska toh jaise dil tut gaya tha…par Azka…uska dil nahi jalta in sab baton se…gussa nahi aata zara bhi…kuch feelings toh sab mei hoti hai....Aisa kaisa ho sakta hai ki vo itna bechain hai yahan aur ye aise normal behave kar rahi hai…jaise kuch hua hi na ho….
Azlan: So you just don’t bother....koi aitraaz nahi hai tumhe kisi bhi baat se....
Azka: Bhala main kaun hoti hu aitraaz karne wali...Aap toh Puri tarah se Azaad hain kuch bhi karne ke liye toh kijiye jo Mann mei aaye...aapko kaun hai rokne wala yahan....
Azlan: Azaad? Tum kehna kya chah rahi ho...aisa kya kar raha hu main..
Azka: Aapko pta hai aap kya kar rahe hain....Bas aapko hamare divorce tak ka wait karna chahiye tha… par agar aapko usse itni mohabbat hai …itni pasand hai vo toh… jo karein …ghar se bahar karein…ghar pe kisi ne dekh liya aur aapki mom ko bata diya toh unhe kafi dukh hoga…
Azlan: Mohabbat?…Kaun si mohabbat …kaisi mohabbat…aur kya karu main bahar jaake… jab maine kuch kiya hi nahi toh…Tumhe yahi btane ki koshish kar raha hu…
Azka: Jo maine dekha hai…vahi bol rahi hu…toh ab aap rehne dein…Majeed safai na dein is barei mei..
Azlan: Azka please ..jo bhi tumne samjha hai...its not true...
Azka: Maine Jo samajhna tha samajh liya aur uske aage mujhe kuch bhi mat samjhayein aap...
Azlan: Toh tum mujhe blame karo aur main kuch kahoon bhi na…Bas tumhe kuch bhi sochne du…
Azka: Main koi blame nahi kar rahi…bas aapko ehtiyaat karne ke liye bol rahi hu…aur aapko vaise bhi kya fark padhta hai ki mujhe kya lagta hai….toh bas chhodein….Hum baat hi kyun kar rahe hain is barei mei…
Azlan: Kya Ehtiyaat rakhu main…Azka aisi koi baat hai hi nahi…Aur mujhe fark padhta is baat se ki tum kya soch rahi ho…
Azka: Achha….Agar Aapko mera zara bhi ehsaas hota toh aap aisa kuch karte hi nahi…Aap jo uske sath itna free ho rahe the...
Azlan: Ehsaas hai mujhe tumhara…..tabhi tumhe samjhane ki koshish kar rha hu ki mera usse koi vasta nahi hai....Aur free hone se tumhara kya matlab…maine aisa kuch nahi kiya…main bilkul apni limit mei hu…
Azka: Hmm.. tabhi toh lounge mei usne aapka hath pakda tha ....aur vo iss tarah betakkaluf hokar yahan hamare room mei aa gayi....kyunki aapka usse koi vasta nahi hai....Agar aap apni limit mei hote toh aisa kuch hota hi nahi…akhir vo khud se kyun aisa karegi agar usko aapki taraf se koi sign na mila ho…kyun iss tarah room mei aa jayegi....
Azlan: Mujhe kya pta ye sab…meri taraf se maine koi aisi baat nahi ki usse.....Vo pta nahi kyun kar rahi hai aisa…
Azka: Aapko kafi pasand karti hai vo aur aap bhi karte hi hain…toh bas fir…iske aage koi bhi baat karna bekaar hai…aur akhir aap mujhe safai de hi kyun rahein hain....aapki marzi hai na...jo chahe karein....I don't care....But ghar se ye sab batein durr rakhein….
Azlan: Azka...meri taraf se aisi koi baat nahi hai...agar aisa kuch bhi hota toh main pehle hi shaadi kar leta usse…tab toh mom ki tabiyat bhi kharab nahi thi…mere paas poora mauka tha usse shaadi karne ka…maine nahi ki na…aur tumhe pta hai ye baat fir bhi tum aise…
Azka uski taraf dekhti hai aur fir apni nazre hata leti hai…
Azka: Believe me please.......agar aisa kuch bhi hota toh accept kar leta main… You know main jhoot nahi bolta..Bharosa nahi karti mujhpe zara bhi?
Azka Jaanti hai ki vo jhoot nahi bolte...aur aisa nahi ki usko unki baton pe yaqeen nahi hai…maan liya ki vo sach keh rahein hain..Par agar inhe vo pasand nahi toh akhir inhone Zainab ko itni liberty lene hi kyun di...Vo inke kareeb aane ki koshish kar rahi thi toh ye mana bhi toh kar sakte the usko.....Vaise toh pehle har kisi pe gussa kar dete the…aur uspe toh hmesha hi....batein sunana shuru kar dete the vo bhi bina reason ke...toh Zainab ko kuch kyun nahi bola…Usko kuch toh kehte….par nahi...inhone kuch nahi kaha hoga usko...Inhe kaunsi parwaah hai kisi ki ....Usko gussa aur badh jatahai ye sochkar...…
Azka jab koi jawaab hi nahi deti toh vo fir se uske expressions read karne ki koshish karta hai… he just wants to see through her for once and then what he see on her face surprises him….She was angry…really angry...There were so many emotions on her face...Anger...frustration...Disappointment ....complain …irritation.iska matlab ki…. she is affected somehow…Vo usse tabse lad rahi hai...batein suna Rahi hai.... chahe Azka na maane par AZKO KO FARK PADHTA HAI …and then a faint smile appears on his face....Vo khush ho jata hai...…Azka uski taraf dekhti hai…aur uski smile dekhkar hairan hoti hai.…yahan uska dimag kharab hua padha hai...aur inhe itni khushi kis baat ki ho rahi hai…
Azka: Kya….
Azlan: tumhe gussa aa raha hai….
Azka: Toh kya..
Azlan: Kuch nahi…bas tumhe gussa aa raha hai….
Azka then realizes ki usne fir se apne Jazbaat Zahir kar diye…nahi nahi nahi…use ye nahi karna tha…usne pehle hi sochliye tha ki she won’t react par usne fir se vahi kiya…usko khud par control rakhna chahiye tha… vo kyun unse ye sab kehne lag gayi? Uska kya haq hai sawaal karne ka…koi bhi toh nahi…Vo kya soch rahe honge uske barei mei...Use ye sab nahi kehna chahiye tha....Uska koi matlab nahi iss .sab se...
Azka: Aisi koi baat nahi…main koi gussa nahi hu…bas aapki mom ki khatir ek baat keh rahi thi…
Azlan: Achha ok…tum kehti ho toh…
Azka uski taraf dekhti hai…vo samajh jati hai…he is being sarcastic about it…
Azlan was now feeling very calm and composed...Azka ki in sab shikayato se vo khush ho gaya tha...ab usko sirf Azka ko samjhana tha....and he knew she will trust his words …
Azlan: Azka…meri baat suno...tum jaisa samajh rahi ho aisa kuch nahi…Mujhe Zainab se koi mohabbat nahi hai aur na hi main use pasand karta hu….main khud uske aise behaviour se surprised hu…I was about to release my hand from her hold..Main khud awkward feel kar raha tha...aur vo room mei bhi achanak aa gayi thi ...Mujhe toh khud uski ye harqat namunasib lagi thi….maine usko bola tha bahar jaane ko par vo nahi gayi aur tabhi tum aa gayi toh main ghabra gaya ki tum pta nahi kya samajh logi…aur haan main usse bilkul nhi milunga tumhare bina...mana kar dunga..Main usmei na pehle interested tha aur na ab ho sakta hu....Uska mujhe nahi pta….par main usse koi bhi aisa rishta nahi rakh sakta aur na hi rakhna chahta hu…
Azka unki taraf hi dekh rahi thi Sara waqt jab vo usse ye sab bol rahe the... aur unke expressions dekhke vo narm padh jati hai....Vo kafi sanjeeda the...…vo sirf yahi bol pati hai...... Kyun..
Azlan: Because I am married….Tumse nikaah kiya hai maine....Contract marriage ho ya kuch bhi ho…chahe koi bhi reason ho…Chahe hamara rishta kaisa bhi ho…aur chahe tum maano ya na maano…tum meri biwi ho aur main kisi bhi haal mei tumse bewafai nahi kar sakta…
Ye sab sunke uske hawase ud jaate hain…Uska dil joro se dhadakna shuru kar deta hai…Vo jaanti hai vo sach keh rahein hai…She can see that in his eyes…read out on his face….Is it all real or is she dreaming……
Azlan: Azka….
Azka comes back in her senses...haan
Azlan: Tum samajh rahi ho na…
Azka: Haan….Haan...
Azlan: Okay….main bahut preshan ho gya tha ki tumhe kaise samjhaunga...thank you for believing me....
Azka was again lost….she just says monotonously….I am sorry…mujhe aapse vo sab nahi kehna chahiye tha…
Azlan smiles....
Azlan: koi baat nahi…Ye toh achhi baat hai ki tumhare dil me jo bhi tha tumne bol diya…aur aage bhi tum mujhse puchh sakti ho kuch bhi…jo tum chaho…
She just nods….. .because she is speechless now…she has too much to digest....
Azlan was very happy about how all this turned out…Atleast now he knows that Azka was deeply affected by this incident…she was trying to hide it well but couldn’t…She was absolutely fighting him like a wife should be…It is giving him some kind of happiness…a ray of hope….She is not at all indifferent towards him as she shows… Azka ko fark padhta hai usse….Use toh vo bahut acchi lagti hai aur ab vo yeh bhi keh sakta hai ki usko usse mohabbat ho gayi hai…Aur koi jawaab nahi hai iske alawa uske iss haal ka..iss bechaini ka… Mohabbat kar betha hai vo usse…Par Azka ka kya jawaab hoga jab vo usko kahega…Maan jayegi ya gussa karegi…Shayad Gussa karegi…Vo gussa hi karti hai hamesha…He smiles thinking of that…Azka aur uska Gussa….
Azka bahut bechain hoti hai sab baton ko leke…Use Azlan Sahab aur Zainab ko dekhke bahut bura laga tha…bahut gussa aya tha….par usne socha tha vo kuch nahi kahegi…Azlan Sahab jo chahe karein…. Par use kyun itna gussa aa gaya…Usko itni jealousy kaise ho gayi … kya ho raha hai usko....Kyun unse shikayatein kar rahi thi…Vo jisse chahe rishta banaye…usko kya…Vo kyun sochne lagi hai Azlan Sahab ke barei me aisa...Vo uske shohar hai bas isiliye ya fir vo unse…
Vo usse bewafai nahi kar sakte…ye baat uske dil ko jaake lagi hai... Par ye toh kuch waqt ki baat hai… Vo toh unka nikaah hua hai toh he is loyal towards their marriage….iske alawa aur koi wajah nahi….Unke talaak ke baad kaunsi wafa nibhani hain unko..koi nahi....Aur kuch time pehle toh usne khud kaha tha unse ki vo shaadi karlein kisi aur se uske baad…par kya vo sach mei aisa chahti hai…nahi…Vo preshan ho jati hai ye sochkar…Ye sirf ek contract hai aur use isse aage nahi sochna chahiye....Kuch aur sochna bhi galat hai...Haqeeqat yahi hai ki she has to go from here...
Next day vo Azlan se baat karne ka sochti hai...Par use subah time hi nahi milta toh vo sochti hai ki raat ko unse baat karegi…
Azlan was working on his laptop...
Azka: Aap busy hain?
Vo uski taraf dekhta hai...
Azlan: Nahi....kya hua?
Azka: Mujhe aapse kuch baat karni thi...
Azlan apna laptop side rakh deta hai and slightly turns towards her...
Azlan: Haan bolo...
Azka: Aap mujhe talaak kab de rahein hain?
Azlan uski baat sunke hairaan ho jata hai..vo fir se achanak aisi baat kyun kar rahi hai...aisa kya ho gya ab?
Azlan: Kya hua hai? Tumse mom ne fir se bachche ke barei mei baat ki hai? dekho main mom se baat karunga ki vo abhi...
Azka interrupts him...
Azka: nahi aisi koi baat nahi hai...unhone kuch nahi kaha mujhse...
Azlan: Toh fir tum kyun?
Azka: kya matlab aapka...ye toh hona hi hai na toh isiliye... mujhe mere Ghar mei bhi toh baat karni padhegi..unhe bhi toh sab kuch samjhana hai...I know ekdum se nahi ho sakta…fir bhi aap bta dete mujhe ki kab…toh main us hisaab se dekh leti apne ghar ka…
Azlan: toh kya tumne socha liya tum kya kahogi unse?
Azka: Vo bahut dukhi honge ye jaankar...Unhe toh yahi lagta hai ki Hum ek dusre se bahut mohabbat karte hain...khush hain sath mei...
Azlan: Jaanta hu main ye baat...tabhi puchh rha hu....
Azka: Aap ye mat sochein ki main kidney wali baat unko bataungi...Main unse yahi kahungi ki hum dono ne bahut koshish hai ki ye rishta nibhane ki...khush rehne ki par hamari soch kafi different hai...khayalat nahi milte aur hum adjust nahi kar pa rahe abhi tak bhi...toh hamne mutually decide Kiya hai separation ka...
Azlan: tumhe lagta hai ye kafi hai...shaadi ko din hi kitne huae hain Azka….Vo ye nahi puchhenge ki fir shaadi ki hi kyun...
Azka: hmmm vo puchhenge....Main keh dungi...Ki Hum hospital mein jab mile the toh hum kareeb aa gye the thoda because jo bhi situation thi aapki mom ke sath..toh uske basis pe hi aapne aur maine decide Kiya tha shaadi ka...
Azlan: Aur Vo Maan lenge...
Azka: Mere gharwale jante hain ki Aapki aur meri banti nahi thi pehle...aur jab maine iss shaadi ke liye haan ki thi toh vo hairan bhi the aur preshan bhi...fir bhi unhone mujhe support Kiya tha toh main yahi sochti hu ki abhi bhi vo mera sath denge aur mere decision ki kadr bhi karenge...
Azlan uski tarah dekhta rehta hai aur sochta hai ye sab kuch sochke bethi hai...
Azlan: Tumne toh kafi kuch soch liya...par ye sab kafi nahi hai...nayi nayi shaadi hai hamari... aur adjust hone mei time lagta hai...ye reasons valid nahi hain....
Azka: Hmm...par aur koi option bhi nahi hai mere paas...mujhe unhe convince toh karna hi hai kaise na kaise..main soch lungi kuch…
Azlan: Tumse ek baat puchhu...
Azka: Hmm...
Azlan: Agar maine us waqt contract na kiya hota toh tum sochti iss rishte ko nibhane ka...
Azka: Aap fir vahi puchh rahein hain...aapki mom ki khatir?
Azlan: Nahi main vo nahi puchh raha..main sirf apni aur tumhari baat kar raha hu...
Azka: Aap kya puchh rahein hai mujhse?
Azlan ke dil mei jo sawaal tha uske liye use words nahi mil rahe the sahi ki vo usko kis tarah se samjhaye apna sawaal...toh vo bahut soch samajh ke aur sambhal ke bolna shuru karta hai….
Azlan: Mera matlab...Maine contract kiya......par agar nahi karta...ek normal shaadi ka kehta ki we can try to work it out...chahe past me jo hua ho...toh mujhe shohar maan leti aur rishta nibhane ki koshish karti….I mean Bahut log hote hai jo kisi reason se shaadi karte hai...par baad mei bahut achhi Zindagi gujarte hai ek dusre ke sath aur khushi se...
Ya chalo contract bhi hai...toh tumne kabhi bhi...I mean ek pal ke liye ...kabhi socha ki hum sath reh sakte hain...hamesha....tumhe us waqt laga ya tum chahti ki talaak na ho aur hum sath reh jayein..tumhare mann mei aaya ye khayal kabhi bhi.....
Azka uski taraf dekhti rehti hai...aur vo shayad unka sawaal kafi hadd tak samjh gayi thi ya nahi bhi samjhi...use nahi pta.... fir bhi vo bahut soch rahi thi ki vo kis tarah se jawaab de unko...
Azka: Azlan Sahab…Aapne jab shaadi ki baat ki thi toh aapne saaf saaf kaha tha ki ye bas aapki majboori hai ... khawaish nahi hai ...jo ki sach tha kyunki meri bhi majboori thi...main aise insaan se shaadi nahi karna chahti thi kabhi bhi jo mujhpe zara bhi trust nahi karta... respect nahi krta... mohabbat toh Durr ki baat hai...Contract hota ya na hota….
Agar aap sirf zubaani keh dete ki Azka...kidney transplant ke baad tumhe divorce de dunga…main tab bhi Maan jati ...Kyunki main bhi aise rishte mei nahi rehti jahan mera shohar mujhse mohabbat hi na karta ho….Kher aapko trust nahi tha toh Zahir si baat hai aap contract hi karte...toh iss sab mei main ye kabhi nahi soch sakti thi ki hum sath rehte...mujhe pehle se pta tha iss shaadi ka maqsad..aur aap kya chahte hain...toh maine Aisa kuch nahi socha tab...
Azlan: Hmm...samajhta hu main tumhari baat...par aaj...aaj kya sochti ho tum...ab tumhe kya lagta hai...Kya chahti ho…
Azka: Ab iss barei mei kya sochna hai...sab kuch pehle se decided hai...main kya soch sakti thi ya kya chah sakti thi .... Kya fark padhta hai...Jo tey ho chuka hai...vo ho chuka hai...
Azlan: Mom nahi manengi...
Azka: Main jaanti hu...mujhse mohabbat karti hain vo...Hame hamesha sath dekhna chahti hain....Par aapko unhe btana toh padhega hi ..aap baat kar lena fir main bhi unse baat karungi..ki main aapke sath...
Azka uski aankhon mei dekhti hai aur chup ho jati hai...usse aage bola nahi jaata...
Azka: Aap samajh rahein hain...
Azlan just nods...Aur vo chala jata hai room se bahar...
Azka’s eyes start flowing after that...She was holding herself for so long... Azlan Sahab se alag ho jana uske liye asaan nahi ho pa raha .. bas use samajh nahi aa rha ki vo kyun itna ro rahi hai....Kya ho gya hai usko...vo bhi toh yahi chahti thi aur use pehle se pta tha toh kya badal gya hai...Kyun use itna dukh ho raha hai....
Azlan was too overwhelmed...Azka usse alag hona chahti hai ....kya usko apni mohabbat paane ka koi haq nahi...Jab vo Azka se mohabbat nahi karta tha toh vo uski zindagi mei aa gayi aur ab jab vo usse itni mohabbat karta hai aur uske bina nahi rehna chahta tab vo usse durr ja rahi hai....Kya allah talaa ne uski kismat mei sirf tanhai likhi hai...Kya Azka ko uski ankhon mei mohabbat dikhayi nahi deti... A lone tear escapes his eye...
When he returns to the room...Azka was sleeoing on her side....He also lies beside her and keep looking at her sleeping figure...She has traces of tears on her cheeks... He thinks about her....Why was she crying...because she has to get separated from him...kya ye wajah ho sakti hai....Kya vo alag nahi hona chahti aur contract hai bas islye talaak mang rahi hai kyunki vo chahta tha aisa.... toh kya vo uske sath rehna chahti hai....pta nahi....ye toh waqt hi batayega ki Azka ke dil mei kya hai...Par uske dil mei toh bas Azka hai aur vo usko khud se durr jane nhi dega chahe kuch bhi ho jaye...With this determined thought, he sleeps....
Next Morning…at the dining table…
Azka: Vo mujhe apne ghar jana tha thodi deir ke liye…
Azlan: Mere sath chalo …I will drop you…
Azka: nahi abhi nahi…I will go in the afternoon…
Azlan: ok…driver ke sath chali jana fir…I will pick you up after office…
Azka: Hmm…
Azka apni ammi ke ghar hoti hai….aur tabhi Abid wahan aata hai …Azka usko dekhke hairan ho jati hai kyunki vo toh jail mei tha…
Azka: Aap yahan kaise? Aap toh?
Abid: Tumne kya samjha tha…main Jail me hi rahunga…Aur ye kya sun raha hu main tumne nikaah kiya hai kisi ameer ladke se…
Azka: Dekhein…Mera nikaah ho chuka hai…Ab mera pichha chhod dijiye?
Abid: Kya matlab hai tumhara….Pichha chhod do…Main tumhe kabhi nahi chhodunga…Tum sirf meri ho….ye wahi ladka hai na jo tumhe pehle ghar chhodne bhi aaya tha…Mujhe pehle hi samajh lena chahiye tha ki tumhara koi chakkar chal raha hai uske sath…Usi waqt uske hosh thikane laga deta…..
Azka: Main na tab aapki thi aur na kabhi ho sakti hu…Aur zara tameez se baat kijiye....Mere shohar hain vo ... Kisi ki biwi hu main ab…toh please ab ye sab band kijiye…
Abid: Azka…use Jaan se maar dunga main…Tum sirf meri biwi banogi…Jald hi tumse nikaah karunga… Uske jiteji ya uski maut ke baad….Tumhe kya lagta hai tum kisi se nikaah kar logi toh main jaane dunga tumhe…tumse mohabbat karta hu….Kya tumhe zara bhi ehsaas nahi hota meri mohabbat ka…Itne saal ho gaye…Maine tumhara bahut intezaar kiya hai….toh ab kaise chhod du…Aisa toh nahi ho sakta…
Azka darr jati hai…Kahin Abid sach me Azlan Sahab ko kuch nuksaan na pahuchaye….
Azka: Par main Aapse mohabbat nahi karti….Aapko ye baat samajh kyun nahi aati…Aur ab toh meri shaadi bhi ho gayi hai….main kabhi bhi aapse shaadi nahi karungi…chahe kuch bhi ho jaye…Aap mujhe preshan karna band kar dijiye…Aap jo chah rahein hain …aisa kabhi nahi hoga….
Abid: Acha mujhse koi mohabbat nahi hui tumhe itne saalo mei...aur apne kal ke aaye shohar se ho gayi...
Azka: Haan ho gayi bas...mere shohar hain vo....aur mujhe aapse koi baat nahi karni... jayein yahan se....
Abid: Mujhe isse koi fark nahi padhta…main tumhe apna banake rahunga bas….Tum chaho ya na chaho….
Azka ko bahut gussa aata hai ye sab sunke….Aap Jayein yahan se….Varna main shor machake sabko bula dungi…
Abid: Ja raha hu…lekin tumhe lene aaunga….samjhi tum…Tumhari mohabbat pe sirf mera haq hai…Aur tumhare us Shohar ko toh main chhodunga nahi…
Azka ko samajh nahi aata vo kya kare….Azlan Sahab ko btade…nahi unhe involve karna thik nahi…Abid ka kuch bharosa nahi…Agar isne sach me unko…she gets upset…
In the evening Azlan takes her home….Abid unhe jaate huae dekh leta hai toh he follows them and when they enter their home then Abid also comes in….
Azlan was talking on phone toh vo aage chala jata hai .. Azka piche hoti hai tabhi Abid aake uska hath pakad leta hai…Azka use dekhke ekdum ghabra jati hai aur Azlan ki taraf dekhti hai par vo toh aage chala gya hota hai….
Abid: Yahi hai na vo tumhara ameer shohar….Isike chakkar me tumne mujhe chhoda hai na…
Azka: maine aapse pehle bhi kaha hai ki mera aapse koi vasta nahi hai…Chhodein mera hath…
Abid: Nahi chhodunga…Chalo mere sath tumabhi…Tumhe kya laga tha main tumhe iske sath rehne dunga…tumhe abhi ke abhi mere sath chalna hai…ham abhi nikaah karenge….He tries to pull her….
Azka ko bahut gussa aata hai aur vo uspe chilla padhti hai...
Azka: chhodein mera hath…mujhe kahin nahi jana aapke sath…Nikaah ho chuka hai mera…Chhodein mujhe….
Tabhi Azlan unki Awazein sunkar mudta hai aur dekhta hai ki ek aadmi ne Azka ka hath pakda hua hai…
Azlan foran hi bhagta hua wahan aata hai…Aur abid ko dhakka de deta hai…
Azlan: tumhari himmat kaise hui uska hath pakadne ki…Ho kaun tum?….Azka tum andar jao….
Azka aur ghabra jati hai Azlan ka gussa dekhke...
Azka: Nahi main aapko chhodke nahi jaungi…
Abid ko gussa aata hai ye sunke…
Abid: Ye meri hone wali biwi hai…aur main ise yahan se leke ja raha hu…Isse nikaah karunga…
Azlan: Kya bakwas kar rahe to tum…Ye meri biwi hai…durr raho isse…dobara hath lagane ki koshish bhi mat karna…
Abid: Azka ….btao ise…tum meri mangetar ho….hamari shaadi hone wali thi….
Azka: Nahi ye jhut bol rahein hain…Aisa kuch bhi nahi hai….
Abid: Azka maine tumhe kaha hai tum sirf meri ho aur main tumse shaadi karke rahunga…chahe kuch bhi ho jaye…Mujhe koi rok nahi sakta….
Azlan ko bahut gussa aata hai aur vo uska collar pakad leta hai…Apni Zubaan se naam bhi mat lena iska…Tum isko kya iske saaye ko bhi nahi chhu sakte..Shaadi toh bahut durr ki baat hai….Aaj ke baad hamare aas paas bhi nazar aaye toh jaan le lunga tumhari…He pushes him away and asks his guards to throw him out….
Azka bed pe hairaan preshan bethi hoti hai….Azlan uske liye panni leke aata hai....
Azlan: Azka…Kaun hai vo…aur iss tarah ki batein kyun kar raha tha?
Azka: Vo…Vo Abid hain… Kanwal Bhabhi ke cousin…Mujhse shaadi karna chahte the…kafi salon se mere pichhe padhe the…Ek baar toh unhone dhoke karke mujhse shaadi karne ki koshish bhi ki thi…par allah ke karam se main bach gayi…Par unhone mera pichha nahi chhoda…Mana karne ke bavjood bhi baar baar rishta leke aa jate the…mujhe bahut preshan karte the…Fir Kanwal Bhabhi ne police complain karke unhe jail bhijwa diya…Par ab vo bahar aa gayein hain toh fir se mere pichhe padh gye hain…Vo mujhse abhi bhi nikaah karna chahte hain …..
Azlan: Par vo tumse nikaah kaise kar sakta hai…Tum toh already mere nikaah mei ho…
Azka: Unhe is baat se koi farq nahi padhta…vo bas mujhe pana chahte hain….obsessed hain…itne saal ho gaye par unhe abhi bhi samajh nahi aayi…Isiliye mujhe zabardasti apne sath le jana chah rhe the….taki nikaah kar sakein…
Azlan ko ye sab sunke bahut gussa aata hai….Azka ne kitni preshani mei life gujari hai…Abid Azka ko harass karta aaya hai….Unke ghar me koi male member bhi nahi jo usko protect kar sakta…Par ab aisa kuch nahi hoga…Vo hai ab Azka ke liye…Abid ki himmat kaise ho gayi ki vo isse shaadi karne ki baat bhi kare…Vo uski biwi hai…Jaan le lega vo Abid ki…usne agar Azka ko nazar uthake dekha bhi toh…
Azlan: Tum chinta mat karo…Aisa kuch nahi hoga….main sab dekh lunga…
Azka: Aapka bahut shukriya…aapne meri help ki aaj….par Aap iss sab se durr rahein…ye mera masla hai…main dekh lungi…Kanwal Bhabhi ko bta dungi…vo inki ammi se baat kar lengi…sab thik ho jaega…
Azlan: Tum kaisi baat kar rahi ho Azka…Tum Biwi ho meri…tumhari protection meri zimmedari hai....Aise kaise main iss sabse durr rahoon…
Azka: Azlan Sahab…ye meri problem hai aapki nahi hai…Aapko mere liye kuch bhi aur karne ki jarurat nahi hai…aur vaise bhi aap kab tak meri help karenge…Mujhe kuch waqt mei yahan se jana hai…tab bhi toh mujhe khud hi dekhna hoga na…aap rehne dijiye please…main khud manage kar lungi…Ye kehke vo chali jati hai wahan se….
Azlan ko bura lagta hai ye sab sunke…Vo janta hai Azka bas usse duri banake rakhna chahti hai..Uski koi madad nahi chahti…Par vo Uski responsibility hai…It is his duty to protect her as her husband…lekin Azka aisa nahi samajhti …Use apna shohar bhi nahi manti…apna koi haq nahi samajhti….Par vo toh maanta hai na…usse mohabbat bhi karta hai….aur vo apna farz jarur nibhayega…Azka chahe kuch bhi kahe…
Azka kitchen mei hoti hai aur sari baton kebare mei soch rahi hoti hai… Ab vo Kya samjhaye Azlan Sahab ko…Abid toh criminal hai…kuch bhi kar sakta hai…Usne toh unko maarne ki dhamki bhi di hai… vo aisa nahi hone de sakti…Behtar yahi hai ki Ye durr rahein iss maamle se…Aur vaise bhi vo unki zimmedari nahi hai…kuch waqt mei talaak ho jaega…tab bhi toh Abid hoga aur use khud hi handle karna hoga…Vo iss sab se bhaag nahi sakti…Use kal hi Kanwal Bhabhi se baat karni hogi taki iss problem ka koi hal nikle…
In the night…both of them were lying on their side …..lost in their thoughts…tabhi unhe shor sunayi deta hai….Dono window ke paas jaate hai toh dekhte hain ki Abid ne ek Guard ko injure kar diya hai…He is in the garden …..he has pistol in his hand and guards are also trying to fight him…Azka darr jati hai…Azlan bahar jaane lagta hai…but Azka helds his arm…
Azka: Aap kahan jaa rahein hain?
Azlan: Bahar…tum yahi rehna…kuch bhi ho bahar mat aana….okay…
Azka: nahi please…aap bahar mat jayein…please nahi…
Azlan: Azka kuch nahi hota…main dekh lunga…tum preshan mat ho…
Azka: Nahi…main nahi jaane dungi…Vo aapko kuch kar dega..usne mujhe kaha bhi tha…Please mat jaiye…
Azlan hairaan hota hai ye sunke …..Kya isiliye vo chahti thi ki vo iss sab se durr rahe…Usko uski itni parwaah hai….
Azlan: Kuch nahi hoga…main bol raha hu na…
Azka: nahi….please…aap yahin rahiye…mat jaiye…Uske sar pe toh khoon sawaar hai…Vo sach me kuch kar dega…Usko koi farq nahi padhta iss sab se….Us par bas mujhe paane ka junoon hai….
Azlan Azka ki haalat dekhta hai…Vo bahut ghabrayi hui hoti hai….
Azlan: Acha ok…main yahin hu…kahin nahi ja raha…..bas police ko phone kar raha hu…you just relax…
Azlan police ko phone karta hai….and within minutes police reaches there…and arrests Abid…
Then Azlan goes outside...settles the matter and the injured guard is sent to hospital for treatment…
Azlan enters the room again aur Azka asks him about Abid…
Azlan: He is arrested ….so don’t worry…he won’t bother you again… okay…
Azka nods and thanks him…
Azka: Aapka Bahut Shukriya…Aapne mere liye itna kuch kiya…Aur mujhe maaf kar dijiye…meri wajah se aapko itni problem hui…Shukar hai Aunty ko kuch pta nahi chala….vo toh bahut preshan ho jati…
Azlan: Isme kaunsi badi baat hai…I am your husband toh ye toh mera farz tha na tumhe protect karna…Aur tum sorry kyun bol rahi ho…ismei tumhara koi fault nahi hai…Jiski galti hai..usko saza mil jaegi…
Azka use dekhti rehti hai par kuch nahi bolti…
Azlan: Tum preshan ho gayi thi mujhe leke…Tumhe meri itni parwah hai mujhe pta nahi tha….
Azka looks in his eyes and then they get lost in eyelock..but then Azka comes back to the reality and says...
Azka: Azlan Sahab….Jaan kisi ki bhi ho…bahut kimti hoti hai…aur meri wajah se kisi ko jaan ka khatra ho main aisa kabhi nahi chahungi….
Azlan just smiles at her…nods... and asks her to sleep…
Azlan was thinking about whatever happened …Azka kabhi nahi kahegi ki she cares for him but he knows ki usko hai parwah…Agar aisa na hota toh vo use bahar jaane se nahi rokti…Vo jitna preshan ho gayi thi usko leke…he can’t ignore this fact…Vo jaanta hai Use hi saare faasle tey karne hain…Unke bich ki duriyo ko mitana hai…Vo uski taraf dekhta hai...She was just an arm length away...Uska dil chahta ki use khich ke apne seene se lagale aur kahe ki vo safe hai uske paas...Par Abhi vo waqt nahi aya…
Azka was thanking the god ki Azlan Sahab ko kuch nahi hua aur Abid arrest ho gaya…unhone uski bahut badi madad ki hai...Agar vo na hote toh Abid toh usse nikaah kar leta…tab kya hota...Par uski Wajah se aaj unki jaan khatre me padh gayi thi…Vo toh mar hi jaati agar unko kuch ho jata toh…Allah ka shukar hai sab thik ho gaya….Ab jab vo yahan se chali jayegi toh atleast Abid ki taraf se koi problem nahi hogi aur vo sukoon se reh sakegi…Akhir kuch toh asaani hogi uski Zindagi mei…
To be continued


742