Originally posted by: sweet_tania
Woh ghar Kavya ka official sasural hai and ghar ki bahu ko ghar par samajik adhikar toh shaddi hote he pura samaj de deta hai ! baa Bapuji ka akele ka ghar samajik adhikar ke hisab se nahi bol sakte !
Jab baat ghar ki bahu ki razamandi ki aati hai tab shaddi se mile samajik adhikaro ka bhi utna he mahatva hai jitna legal adhikaro ka hota hai!
Kal ko mere ghar mai mere husband ki kisi business partner ko rehne aana hoga toh yeh nahi dekha jayega ki humare ghar jinke naam par hai woh saas-sasur he decide karege ki mere husband ki business partner ghar mai rahegi ki nahi ! Main uss ghar ki bahu hu so shaddi hote he mile hue samajik adhikar ke sath mai pure haqq se bol sakti hu Muje apne husband ki business partner ko ghar mai nahi rehne dena hai and koi Muje yeh bol kar chup nahi kara sakta ki yeh ghar tumhare naam par nahi hai so you can’t decide!
On paper ghar chahe kisi ke bhi naam ho lekin jab baat ghar ki bahu ki razamandi ki baat aati kisi baharwale ko ghar mai rehne dena hai ki nahi tab shaadi se mile samajik adhikar ka bhi mahatva hota hai.
Hahahha🤣 kya samjhaya tumne😆
Are yaar agar aaj mere ghar mere husband ko kisi ko dinner par bhi bulana ho na..to bhi wo pahle mujhse poochte hain..shaadi ke baad wife equal partner hoti hai to har decision me wo b saath hoti hai ofcourse..
Ab ye ghar mere naam nahi hai iska matlab ye nahi k I can not speak..ofcourse I can..
Yahan to ek baharwali ne aakar kisi 3rd person ko uske ghar me ghused diya hai..what nonsense..😡
2