Originally posted by: Not_James_bond
Dekh she will definitely face him , I won't judge her so soon.
Waisa it's his fault as well matlab khelna aaya hain na toh khel na kai ko baki cheezo ki magazmaari kar raaha hain.😂
For her to face she still needs time to process through. Once she is ready woh khudh face kar legi. Woh bhaag nahi raahi hain bhag na hota toh woh kamre sa bahar nahi nikalti , bhagna hota toh woh uska ghaav pai paati nahi lagati.
Vaisa woh konsa Turam Khan hain rejection ka waqt Monami boli meri aakhon main dekho tab toh uski aankhein chaardham yaatra par chaali gayi.
He rejected his choice ab now when he sees she's still not in the state to come terms with it he needs to stop shoving himself in her face.😂😂😂
Vaisa ek minute why are you defending karan and me monu but I guess love makes you defend that person to his grave 😂😂 .
@bold iss bhaagne ki baat nahi kar rahi hu main. Her ignorance when she said to Karan that she doesn't know want he wants to say uski baat kar rahi hu. Aur aise toh rooz Karan ke aage-peeche ghoomti rehti thi, aaj jab kuch kehna chahta hain toh uski 2baatoon ka gyaan sunne ke liye time nahi hain mohtarma ke paas. Kya Karan ne uske saath aisa behave kiya when she confessed her feelings to her? Kya usne usse mauka nahi diya poori baat kehne ka? Diya na, uska confession bhi suna. Phir woh itna ignorance aur cold shoulder kyu de rahi hain Karan ko? Aise kyu dikha rahi hain jaise uska proposal reject karke bande ne koi gunah kar dala ho, saari galti ussi ki ho...
Monami aise toh bada kehti hain ki Karan ke ankhon mein dekh sab padh leti hain, toh uske confession par Karan ka pehla reaction dekh ke hi usse samajh jana chahiye tha na ki he doesn't feel the same for her, par jab aankh pe pyaar ka patti bandh ke rakhegi toh aankhon ke saamne kuch bhi ho, dikhega wahi jo insaan dekhna chahta hain.
Ab Karan ne sirf usse zyada hurt na karne ke liye nazre mila ke nahi kaha toh Mohtarma ne apne aap samajh liya ki Karan uske liye feel toh karta hain par deny kar raha hain🤦🏻♀️, ab aise pagal logon ko kaun hi samjhaye...
Main Karan ko defend pyaar ke wajah se nahi personal experience ke kaaran kar rahi hu.
Aur mujhe pata hain jab aapke kadphoodva jaise dost ho jo baar-baar aap ke saamne rattu tota bankar aapka sar khate hain and dusri taraf agar Sid jaise influential dost ho to dono dost milkar samosa jaisi baat ko khaata-meetha, mirch-masala, noon-chutni, dahi, sev aur pyaaz dalkar poori duniya ko woh baat samosa-chaat jaise serve karte hain😂😂😂
Edited by kavya1994 - 3 years ago