1997
"Yatrigan kripya dhyaan den Mumbai se Udupi Ko Jaane wali Konkan express Platform number 2 par khadi h."
Sawantwadi railway station me hamesha ki tarah kucch khaas bheed nahin thi to Malhar ko Wheelers se Surendra Mohan Pathak ka naya jasoosi upanyas lene me koi dikkat nahin hui. Fir aadtan usne station me lagi vajan ki machine par vajan kiya aur usse nikli tikat ko palat kar dekha to usme likha tha- "Aapki prakriti shaant, seedhe aur gambhir swabhav ke manushya ki hai. Kripya apne jeevan me Haas parihaas ko bhi sthan dein."
Fir wahi sandesh. Malhar jab bhi Poona office se apne ghar Saawantwadi aata aur vajan ki machine istemaal karta, to har baar weight ticket par yahi sandesh aata tha.
--------
One Two Three Four...One two three four....
Atul ne neeche se awaz di, "Are Kalyani. Chai pee lo. Shaam ke paanch baj gaye hain. Apni saheliyon ko baad me dance sikha dena."
Tabhi Kalyani ne chhat se awaaz di, "Baba college function ke itne kam din baaki hain aur mere alawa sab kucch kucch steps bhool rahe hain. Aaj chai aap akele pee lo." Aur Kalyani fir dance sikhane lagi.
Tabhi tape achanak chalte chalte ruk gaya.
"Uff..." Kalyani ne kaha, "lagta hai cassette fas gayi." Pen cassette mein dalkar ghumane par bhi cassette se kharr kharr ki awaz hi aati rahi.
"Baba," Kalyani chalte chalte boli, "Main nayi cassette me performance vala Gaana bharwane jaa rahi hoon."
"Par Beta?"
"Bye Baba!"
Kalyani jaa hi rahi thi ki ek cream shirt aur kaala pant pehne lambe ladke se takrai.
"Are Kalyani tum?"
"Malharji, aap Poona se kab laute? Accha main ghar aakar apse milti hoon..."
"Par Kalyani..."Malhar ki pukaar ka is baar bhi koi javaab na aaya. Aata bhi kaise, Kalyani to ek hawaa ka jhonka thi aur Malhar gehra samundar jo chahkar bhi hawaa ke saath nahin chal sakta. Bas hawaa ki shararatein uske man mein lehrein hi utha sakti hain. Vaise neele suit aur bade bade jhumkon me Kalyani badi saloni lag rahi thi magar Malhar ko to Kalyani hamesha hi pariyon si lagti thi.
Kaanon mein parne vale Samundar ke shor ne jaise Malhar ke man mein saawan laa diya. Kehte hain insaan samundar se door ja sakta h magar...samundar samundar insaan se door kabhi nahi hota. Aur Samundar ke alawa Malhar ka dil bhi to yahaan Sawantwadi me hi choot gaya tha...
comment:
p_commentcount