6 mahinon baad
In 6 mahinon mein Kalyani ne Aryan ko jitni chitthiyan likh dali, unki ginti bhi Kalyani ko yaad nahi thi. Par kabhi unka jawaab nahi aaya. Aata bhi kaise har roz hazaaron ladkiyan use khat bhejti thin, Kalyani ne Filmfare magazine me padha tha. Khabrein to ye bhi thin ki Amreeki band Backstreet boys bhi Aryan ke saath collaborate karna chahte the. In 6 mahinon mein Aryan ke do album aa chuke the- uske picchle teen album se bilkul alag. Jahaan Aryan ke pehle gaanon mein ek maasoomiyat aur saadapan tha, magar in 6 mahinon me release huye gaano me ek alag hi Aryan tha. Beparwah, dilfenk, charming... aur Kalyani asmanjas mein thi ki use kaun sa Aryan zyada pasand hai. Ab to radio par uske interview mein bhi ek ajeeb sa andaaz aa gaya tha jis par anchor bhi reejh jati. Jo bhi ho, aaj Kalyani pata laga kar rahegi ki asli Aryan hai kon? Kalyani ne apne kamre ki deewar par lage mask pehne huye Aryan ke poster se kaha. Haye! Uski samundar se gehri hari aankhein. Unhe dekhkar hi koi bhi ladki fida ho jaye!
Mumbai, Dilli ko chhorkar Aryan ne Sawantwadi mein concert karne ki kaise sochi, ye koi samajh nahin paa raha tha magar Kalyani ki tarah Sawantwadi ki har ladki ko lag raha tha jaise Aryan usi ke liye yahaan aa raha ho. Kalyani ne front row ki ticket li thi. Kal Aryan ko pehli baar dekhne ki khushi mein Kalyani raat bhar nahin soyi. Jaise taise usne shaam tak intezaar kiya. Baar bar apna salwar kurta badalti, aur ye accha nahin hai ye kehkar doosra kurta badalne chali jati. Aakhirkar, vo laal rang ka Madhubani style Kurta aur sarson rang ki legging ke saath sunehra dupatta liya. Aankhon mein kaajal, aur kano par do badi badi baaliyan us par badi fab rahi thi.
"Kalyani beta. Concert me Malhar ko lekar chali jaana. Bahut late ho gaya hai," Atul ne kaha.
"Baba,. main concert jaa rahi hoon, study tour nahin," Kalyani boli. Nahin Kalyani Malhar Ji ko kabhi apne saath nahin le jayegi. Hamesha use Ye mat karo vo mat karo bolte rehte hain. Kalyani chaat mat khao tabiyat bigad jayegi! Kalyani actors par itna dhyaan mat do. Vo log to paise kamaa rahe hain. Tum kyon unke chakkar mein apni padhai barbaad kar rahi ho? Kalyani Baba se gussa mat ho. Uff! Aur to aur vo concert bhi apne office pehenne wali shirt aur dedh sau rupay ki ghadi aur sau rupay ke joote pehenke aa jayenge. Pata nahin kis black and white duniya me jeete hain Malharji. Isi vajah se college ke first year me usse koi baat tak nahi karta tha. Sab use baba Adam ke zamane ke Malhar ki behenji dost kehkar chidhate the.
Concert ground time se do ghante pehle hi bheed se khachakhach bhara hua tha. Poore ground me Sirf Aryan Aryan ka naam goonj raha tha. Aur jaise hi concert ka time hua, Aryan turant stage par aa gaya.
"Maine to suna tha Rockstars ko apna intezaar karwane ki aadat hoti hai. Magar Aryan to mere Maths lecturer se bhi zyada time ka pakka nikla!"
Magar Kalyani ye sab sun kahaan rahi thi. Aryan ki awaz ne us par jaise koi jaadoo kar dala tha. Ek pal ke liye use laga jaise Aryan ki hari aankhein us par hi tikee huyi thin. Dhat! Pagli. Itne saare logon mein vo kyon tujhe dekhega Kalyani? Tabhi Aryan ne uski taraf apna Mike wala haath badhaya. Isse pehle Kalyani kucch keh pati, ek doosri ladki ne use dhakka dekar gaane ke agle bol poore kar diye. Tabhi Aryan stage se utarkar login ke beech aaya. Ladkiyan to jaise paagal ho gayin. Aryan ne Kalyani ke bagal me khadi ladki ke saath thoda sa dance bhi kiya. Kalyani to toast ki tarah jal bhun gayi.
https://youtu.be/rtjsj5Hq_QY
(Sorry, is chapter me gaana daalna to bhool hi gayi thi 🤦
Concert khatm hone ke baad Kalyani Aryan ke autograph ke liye intezaar kar hi rahi thi ki achanak kisi ne use pukara, "Kalyani itni late yahaan backstage kyon ruki hui ho? Tumhare baba ko kitni fikr ho rahi hogi pata hai?"
"Malharji?" Kalyani chaunkar peeche mudi. Magar vahaan to Aryan tha. Par pata nahin kyon, jiski awaz aur naam ke zikr bhar se Kalyani ke dil ki dhadkane tez ho jati thi aur ek ajib si bechaini use gher leti thi, use dekhkar Kalyani ko nervousness to door ek sukoon sa laga.
"Aryan? Tum Marathi lehje me baat kar rahe ho? Aur mere late hone ki chinta tumhe kaise ho rahi h? Aur tumhe kaise pata mera naam Kalyani hai?"
Aryan ne ek pal Kalyani ko aise dekha jaise vo use kucch yaad dilana chah raha ho magar Kalyani samajh nahi paa rahi thi kya? Vo to Aryan se aaj pehli baar mili thi.
"Vo, actually, " Aryan ne apne Delhi vale beparwah lehje me kaha, "Tumhare itne letters mere manager ke paas aate the ki use tumhari poori kahaani rat si gayi hai. Usi ne kabhi tumhare baare me bataya hoga to tumhara naam yaad reh gaya hoga."
"To aapne mere kisi letter ka jawaab kyon nahi diya?"
"Come on Kalyani," Aryan ne Kalyani ke nazdeek jakar kaha, "Tumhare jaisi laakhon ladkiyon ke fan mails aate hain mujhe. Kahaan tak main ek ek ka jawaab likhte baithoonga. Aur kaun sa tum bhi tumhe chahne vaalon ko har baar priority deti hogi? kabhi tumne bhi to kisi ki awaz ko ansuna kiya hoga na?" Aryan ki aawaz mein halki si kadwahat ghuli huyi thi. Magar na jane kyon Kalyani ko ye baat itni kyon chubhi? Aryan itna kaamyab tha aur thoda sa ghamand to har kaamyaab insaan par janchta hi hai.
"Kal se tumhare teen din ke Saawantwadi concert ki local coordinator main banoongi," Kalyani ne kaha.
"Excuse me?" Aryan ne kaha.
"Yahaan tumhe help karne ke liye koi local banda to chahiye hi hoga...aur Sawantwadi ko Kalyani se behtar koi nahin jaanta.
Tabhi Aryan se autograph lene ke liye ladkiyon ka hujoom umar pada aur Kalyani ko ek ladki se dhakka lag gaya. Vo girne hi vali thi ki Aaryan ne use thaam liya.
"Aram se, Kalyani," Aryan ki har cheez na jaane kyon use kisi ki yaad dila rahi thi magar kiski? Kalyani taktaki lagaye Aryan ko dekh rahi thi.
"Ab kya ghante bhar aise hi rehne ka irada hai, Kalyani madam,"Aryan fusfusaya, "I don't want ki mujhe gossip magazines tumhare saath linkup karen." Kehkar Aryan ne Kalyani ko jhatke se uthaya aur baaki ladkiyon ko autograph dene laga.
Kalyani aadhe ghante tak auto ka intezaar karti rahi magar koi auto na dikhai diya. Paas me koi PCO bhi nahin tha jo paanch rupay ka sikka dalkar apne Baba ko vo phone kar leti.
"Kalyani?" Ek helmet lagaye bike sawaar uske paas aakar ruka, "Yahaan akeli sadak par kyon khadi ho. Concert ground par hi mera ya Kaka ka intezaar karti. Pata hai maine tumhe backstage kitna dhoondha? "
"Are Malharji aapko to maine apne saath Concert le jaane se to maine mana kar diya tha. Mujhe laga aap mujhse gussa ho aur mujhe lene nahin aayenge? Aur backstage mujhe kyon dhoondh rahe the aap. Aapko kaise pata..."
Malhar uski baat katte huye bola, "Ab stage par tumhara vo Aryan nahin tha aur baaki ladkiyan bhi backstage ki taraf jaa rahi thi to mujhe laga tum bhi vahin hogi. Aur tumse chahe main jitna gussa hoon Kalyani, jab bhi tumhe itni si bhi pareshani hogi, tumhare awaz diye bina hi main tumhare paas aa jaoonga."
----
So meri pyaari behenon, batao kaisa laga ye chapter?
Edited by Autumn09 - 3 years ago