ye hota hai asli wala cherry :-
Lekin bhai ye kya hai ?
Ye konsi jati ka phurute hai ?
Aisa rang ka cherry to na howat hai !
Revti ji, zara acche se dikao zara, lets get a closer look,
Aare hume, hume ullu samaj rahi thi aap ? 😡
jis cheez se hum itni shiddat se nafrat karte hai, usse nahi pehchanenge ka ?
ye kuch bhi ho, ye cherry to ho nahi sakta !
Hum nahi maante ! 😒
Pervji, zara aur kareeb se dekhne ke liye madad karo,
Aare aare, ye toh.... 😳
😲......Tamatar ka baccha hai ! i.e. cherry tomato
Are bhai, naam sirf mein "cherry" laga dene se tamatar, cherry ban gaya kya ?
A Valuable lesson for Revti :
jaise Angad Jindal ke naam mein, 'A' & 'J' hone ke bawajud woh "AJ" nahin ban sakta, theek waise, tamatar ke naam ke aage "cherry" laga dene se woh cherry nahin ban sakta ! 🤓
Likh ke le lo ye !
& If you can't find cherry why substitute with some downgrade stuff in cake with "cherry" tag ? 🤢
why not go for strawberries instead ? 😉
Samaj gayi toh theek warna, Lord Krishna bhala kare tumhara !
Aur haan, pagal ki baat sun kar partnership mein cake ka dukan mat khol baitna !
& ye tamatar wala cake toh bilkul mat bechna !
Iss pagal ko ye accha lag sakta hai par ye bechogi toh bakion ka toh nahi par tera band zaroor bajega !
Baki teri life, teri maarzi .... 🤔
p.s. No offence meant to tomato & cherry lovers. Personally I hate cherries but love tomatoes but not in cake.
& Lakh di lanat tere mu tay Durga Jindal !