tOpic Of the mOnTh - Sharm-O-Haya

Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 17 years ago
#1

Hello all SOS-ians... hOw dOin!😛

hOpe everything iz gOing awesOm...👍🏼

well, i thOught, frOm a lOng time, we have any activity here... sO wat abOt a new series Of therds here....😊 it will shOw yOur creativity as well..... as yOur inner pOet...😉

here i m gOing tO start a new series Of threads which i changed after every mOnth... hOpe it will gO awesOm every mOnth.... sO take a part...😃

I select a tOpic fOr shairy and we all have tO pOst Poetry related tO same tOpic here in this thread fOr whOle mOnth.......

wHaT tO dO...

    yOu can pOst yOur pOetry related tO given subject(Topic Of the mOnth) yOu can write yOur Own Shairs, ghazals and Other Poetry yOu can alsO cOpy frOm anywhere(eg.book, magazine Or etc..) but it must be related tO totm(Topic of the month)
  • yOu can discuss abOut the tOpic and pOetry related tO the tOpic as well...

sO guys... here we gO wid the first tOpic fOr mOnth.....

😳Sharm-O-Haya😳

sO start pOsting yOur pOetry related tO Sharm-O-haya

Edited by Lovers Ka Love - 17 years ago

Created

Last reply

Replies

9

Views

6.3k

Users

8

Likes

1

Frequent Posters

Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 17 years ago
#2
Ok... let me start this.....
here iz a Ghazal which i get frOm a buk... i lOve it...

Nafs farooshoon ki yeh basti hai wasf ka koi kam nahin
Esmat takoon per bikti hai zarf ka koi naam nahin

Sharm-o-haya sab doob gaie hawis ke bahte dharoon main
Jism ke sikke milte hain izzat ka koi daam nahin

Iffat ke parde chaak huye muhabbat bhi badnaam huie
Hawis inka mazhab hai ulfat ka koi naam nahin

Ikhlaq ke parcham ke neeche hawis ke bande palte hain
Dhuka in ki yebaadat hai khiffat ka koi naam nahin

Ishrat ke paimaanoon main ghurbat chalkaaie jati hai
Wahshat ke maikhanoon main azmat ka koi jam nahin

Sharafat ke bazaaroon main insaniyat bechee jati hai
Javed hain quin nam aankhain ansoo ka koi daam nahin
Edited by Lovers Ka Love - 17 years ago
OnlyHope thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#3
Sharm-o-haya ko bhula kar
unke pehloo mein jaa baithey
jhuki palkon ko utha kar
nigahein mila baithey
haule se muskurahat jo khili unke labon per
hum apna dil-o-jaan luta baithey
Reema_J thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#4
Ek pal mein unse nazarein milin
Ek pal mein unse pyaar hua
Humne tamaam mehfil ke saamne
Apni mohabbat ka izhaar kiya
Sharm-o-haya ki parwaa na ki
Aur kahin log ne hume badnaam kiya
Shayad yeh unse sahaa na gayaa
Toh humari maang mein sindoor sajaa diya



friend_125 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#5

sharm-o-haya se wo jab dekhte hain hume,
aisa lagta hai ankahe hi kuch kehte hain hume..
unki sharm-o-haya humpar itna sitam dhati hai
aur wo SITAMGAR kehte hai hume....

written by me-golu.

Edited by friend_125 - 17 years ago
OnlyHope thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#6

Tera betaab dil jab se mere dil me dharakne laga
her lamha zindagi ka tab se fursat ko tarasne laga

jab bhi teri phaili bahein barhti hain meri jaanib
nazron se sharm-o-haya ka ghoonghat sarakne laga

sard aahein bebasi se karti hain guzarish tujhse
laga le apne seene se ab to karvan guzarne laga

teri palkon ke saye mein chupi hain meri sari khushiyan
ashk bankar rahoon teri ankhon mein dil iltija karne laga

umeed ki chandni mein roshan hain sarey jazbaat apne
khawabon ki sej per dharkanon ka kafila sajne laga

duniya ke har sitam ko seh jayen teri khatir
mar mar ke jee uthne ka hausla phir sanwarne laga

sabm786 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#7
great shayari people keep em cumn
ashh786cool thumbnail
Posted: 17 years ago
#8
Maine chaha batadu haqeeqat apni
Maine chaha batadu haqeeqat apni
Par toone mere pyar ko raaz na samjha
Mere halaat, mere uljan yaha tak paunchay
Par teri aankhon ne mere pyar ko nafrat samjha
IMAN thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#9
Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota
Sharaab kam thi to paani mila diya hota
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha
To muskura kar sar hi hila diya hota
Edited by IMAN - 17 years ago
>>minhal<< thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 17 years ago
#10
na hamari ghazlein padha karo
na hi hum pe ghazlein likha karo

bas eik aag hi hai mere jism mein
mujhe is tarha na chhuwa karo

jo utha hai dast e talab tou phir
mere haq mein bhi tou duaa karo

wo hai bewafa hai usse khabar
mujhe keh raha hai wafa karo

yehi mere dil ki hai aarzoo
mere saamne hi raha karo

shab o roz hai tera zikr ab
kabhi mera bhi tazkira karo

jo hai sang,sang hi rehne do
na tarash kar ab khuda karo

yahan behayaee tou aam hai
zara paas e sharam o haya karo

kabhi ungliyon se fizaon mein
mera naam yoon na likha karo

na hamari ghazlein padha karo
na hi hum pe ghazlein likha karo
Edited by >>minhal<< - 17 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".