Ariya Trust is Love

bloomie thumbnail
Posted: 8 years ago
#1

Trust is Love

Police Headquarters- Commissioner's Office

Commissioner apni chair par baitha hua hai, uska phone bajta hai

Ranjeet(commissioner): hello?...theek hai...ek minute main check karta hun...

Woh apna mail kholta hai, ek naya email...use padhkar woh shock ho jaata hai

Ranjeet: ye...ye sab kya hai?

Informer: yahi sach hai sir

Ranjeet: sach? Tumhe andaza bhi hai ki agar ye ho gaya toh iska kya anjaam hoga?

Informer: uska yahi plan hai sir

Ranjeet sigh karta hai: theek hai tum uspar nazar rakho...aage kya karna hai...main sochta hun

Informer: Sir!!

Call disconnect

Ranjeet tensed ho jaata hai

Ranjeet mv "ye toh bahot badi gadbad ho gayi...kuch na kuch karna padega par kaise? Use pata bhi toh nahi chalna chahiye...koi toh rasta hoga..."

Uske landline par secretary ka phone aata hai

Ranjeet: hello

Secretary: sir ek ladki aapse milne aayi hai

Ranjeet: main abhi nahi mil sakta...use kaho baad mein aaye...in fact mujhe kisi se nahi milna

Secretary: ji sir

Ranjeet phone waapis rakh deta hai par firse phone bajta hai, woh irritate ho jaata hai

Ranjeet(annoyed): maine kaha na mujhe kisi se nahi milna!!!

Secretary: ha sir par woh zid kar rahi hai, keh rahi hai ki uska aapse milna bahot zaroori hai

Ranjeet sigh karta hai: fine!!! Bhejo use

Kuch pal mein ek ladki andar aakar salute karti hai

Ladki: Jai Hind sir!!!

Ranjeet ke pairon tale zameen khisak jaati hai, woh uth khada hota hai

Ranjeet: TUM?!?!?!?!

Ladki janti thi aisa hi kuch reaction hoga: umm...ji

Ranjeet firse chair par baith jaata hai: I don't believe this!!!...(uske muh se sirf ek hi sawaal nikalta hai)...kaise??

Ladki: umm...sir woh actually...

Ranjeet (uske sochne samajna ki taakat chali gayi hai): never mind...forget it

Ladki chup ho jaati hai

Ranjeet soch mein chala jaata hai mv " ab ise waha kaise bheju? ... already itni badi musibat sar par hai aur...hmm..." uske dimag mein idea aata hai, uske chehre par smile aati hai

Ladki confuse hoti hai: sir??

Ranjeet: tumhari timing perfect hai!!!

Ladki: main kuch samjhi nahi sir

Ranjeet: sab samjhata hun.

Aur use baithne ka ishara karta hai. Woh use problem batata hai

Ab Ladki shock ho jaati hai: KYA????

Ranjeet: ha...ab meri baat dhyaan se suno

Aur use pura plan batata hai

Ranjeet: kya tum yeh karne ke liye taiyaari ho?

Ladki(determinedly) : main unke liye kuch bhi karne ko taiyaari hun sir...main aaj hi shuru ho jaati hun

Ranjeet: tumhe meri taraf se pura support rahega, tumhe kisi bhi cheez ki zaroorat ho, sidhe mujhse contact karo, main arrange kar dunga

Ladki uthkar firse salute karti hai: Sir!!

Ranjeet nod karke use jaane ki permission deta hai...

Ek mahine baad- wo blast wala case hota hai, Rathore ko Delhi bheja hua tha, Shree ka temporary transfer hua tha, aur Chotu ko dusre shehar special training par bheja tha, so... jab woh incident hua ETF mein sirf Arjun aur teeno ladkiyaan thi. Us blast mein sirf Ayesha, Liza aur Sakshi ki maut hoti hai, uske baad ka sabko pata hai, higher officials Arjun ko kusurwaar theherate hai

Arjun: Sir aapko bhi yahi lagta hai ki...

Ranjeet: nahi Arjun, main janta hun ki yeh ek sochi samjhi saazish thi lekin mere haath bhi bandhe hue hai, main kuch nahi kar sakta, enquiry toh baithegi aur apna investigation bhi karegi, tum thoda sabar rakho

Arjun(gusse mein): SABAR RAKHU!!!! MERI AAKHON KE SAAMNE MERE TEEN OFFICERS MAUT KE GHAAT UTAR GAYE AUR GUNEHGAAR KO PAKADNE KI BAJAYE AAPKO ENQUIRY BITHAANI HAI!!!!!!

Ranjeet: Arjun main samaj sakta hun...

Arjun: KUCH NAHI SAMAJTE AAP!!!! AB BAS BAHOT HO GAYA MAIN JAANTA HUN EH KISNE KIYA HAI, MAIN JA RAHA HUN USKE PICHE

Ranjeet: nahi Arjun ruko!! Agar tum chale gaye...toh aur musibat mein pad jaoge...Arjun...ARJUN!!!

Par woh jaa chuka hai

Ranjeet sigh karta hai mv "mujhe maaf karna Arjun , main chah kar bhi tumhe sach nahi bata sakta"

Wahi hota hai jiska Ranjeet ko dar tha, Arjun ko farar ghoshit kiya jaata hai... Arjun Prachand baba tak pahunche isse pehle woh bhag jaata hai, par waha mile sabuto se Arjun ki begunahi saabit ho jaati hai, lekin Arjun toh Arjun hai, woh apna Resignation de deta hai

Ranjeet: Arjun please ek baar fir soch lo, ab toh Rathore, Shree aur Chotu bhi waapis aa gaye hai, tum ETF ka ahem hissa ho...

Arjun: main soch chuka hun

Aur chala jaata hai. Woh puri tarah se bikhar chuka hai, pehle hi woh Roshni ko ho chuka tha, aur ab jisse woh apna pariwar manta tha, woh bhi nahi... Unhe bhi nahi bachaya paya woh, use andar hi andar guilt khaya jaa raha hai, woh kaise ETF firse join karta, kisi ko face karne ki himmat nahi bachi thi usme...kaise karta? Kya kehta woh unse... ki uski aankhon ke saamne unke dost maare gaye aur woh waha hote hue bhi kuch nahi kar paaya...aur Sameer...woh toh already use Roshni ki maut ka zimmedar manta tha aur ab...usse bhi uska pyaar chin gaya...uski Ayesha...aur team mates...

Ranjeet us Ladki ko phone karta hai

Ladki: ji sir

Ranjeet: Arjun ne apna resignation de diya hai

Ladki: WHAT!!!!!

Ranjeet sigh karta hai: ha

Ladki: lekin...lekin unke bina...sab kaise hoga aur...

Ranjeet: main janta hun, maine use samjhaane ki bahot koshish ki par woh maane ko taiyaar hi nahi

Ladki: sir ...main koshish karu?

Ranjeet: kaise karogi?

Ladki: pata nahi sir...par try karne mein harz hi kya hai

Ranjeet: theek hai

Call disconnect

Woh Ladki Arjun ko dhundhte hue uski regular chai ki tapri par pahunchti hai, woh paas ki jhadiyon mese use dekh rahi hai, Arjun waha bench par baitha hua hai, koi bhi dekh kar bata sakta hai ki uska haal bahot kharaab hai

Ladki mv " main janti hun sir aapko guilty feel ho raha hai, par aap haar maan jaaye, main bardaasht nahi kar sakti, aapko manane ka sirf ek hi rasta hai, hey bhagwaan...mujhe bacha lena"

Uske paas se chai wale ke yaha kaam karne wala ek 12-13 saal ka bacha glass lekar waapis jaa raha hai

Ladki: oye!! Chote idhar aa

Woh ladka use dekhta hai, ek Ladki waha jhadiyon ke beech, uske chehre par scarf bandha hua hai

Ladka: main?

Ladki: aur nahi toh kaun? Idhar aa

Ladka uske paas jaata hai: dekho behan, pehli baat mera naam Munna hai Chote nahi, dusri baat chai khatam ho gayi, dusri lekar aata hun

Ladki uska haath pakadti hai: mujhe chai nahi chahiye

Munna: toh kya chahiye?

Ladki: ek message pahunchana hai. Aur ek paper upar karti hai

Munna: kise?

Ladki Arjun ki taraf point karke: unhe

Munna: Arjun dada ko?

Ladki: ha

Munna: toh khud dedo

Ladki: main nahi de sakti

Munna: toh main kyun du?

Ladki mv "hey bhagwaan! Kya bacha hai..kitne sawaal karta hai"

Ladki(sweetly): dekh tu agar mera yeh kaam karega toh main tujhe...chocolate dungi

Munna: main paanch saal ka nahi ki ek chocolate se mera kaam ho jaaye

Ladki(annoyed): toh phir kya chahiye

Munna: paisa!!

Ladki sigh karti hai: theek hai 200 dungi

Munna: sirf 200!!!

Ladki: aur kitne chahiye?

Munna: 200 mein post office chalta hai, mera ghar nahi

Ladki: theek hai 500 se ek rupya zyada nahi

Munna: yeh hui na baat

Ladki use chithi aur paise pakdati hai : ek baat ka dhyaan rakhna unko mere baare mein kuch pata nahi chalna chahiye... agar puche toh bolna ki tune sirf mera haath dekha andhera bahot tha samaj gaye?

Munna: samaj gaya

Ladki: ja abhi aur ha agar mera kaam nahi hua na toh tere ghar aakar paise waapis le jaungi samjhe?

Munna: samajh gaya

Woh mutter karte hue jaata hai

Munna: dono ko samjhaane ka shauk hai.

Woh Arjun ko paper deta hai

Munna: dada ye aapke liye

Arjun: kya hai ye?

Munna: chithi

Arjun use look deta hai

Munna: mera matlab aapke liye kisine bheji hai

Arjun: kisne?

Munna: pata nahi. Itne main chai wala use bulata hai toh woh chala jaata hai

Arjun us letter ko kholta hai...

Created

Last reply

Replies

174

Views

115.5k

Users

26

Likes

919

Frequent Posters

wordsofwisdom thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#2
Kya yrr
Suspense mein chod diya
Itne deeno baad hum aapse mile
Voh bhi itni cool story k liye
Aur aapne humein suspense mein chod diya
Yeh toh Sara sar nainsafi hai
Yeh acchi baat nhi
Hum aapke update ka wait krenge
Aur yeh toh kehne ki zarurat nhi
Ki I love your update yrr
Update soon
Thanks for pm
wordsofwisdom thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#3
Yo first comment mera
After so long
Yipee
But fir bhi yrr cliffhanger pr chod diya
rvss thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
#4
Bas aadha..pura part kyu nahi...
Ek new story..

Please continue.
balan04 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#5
Nice story and start...
Voh ladki jaroor riya hogi...
I think arjun will rejoin etf soon
Thanks for the pm
Continue soon 😊
zubiya92 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#6
Awesome update
Love it
Cont soon
Thanka for pm
spatika thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
#7
interesting start.
awesome update..
thanks for pm
ariya143 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
#8
ohh new story..
awesome staring.
like it..
Continue soon..
waiting...
etfr thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#9
Mind blowing concept
Awesome story
Amazing superb update dear
Perfectly written
I thought wo ladhki is none other than our Riya..
Love it
Thanks for PM
Continue soon
cuteariya thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
#10
interesting concept
poor arjun all broken seeing Aisha liza & sakshi's
death in front of him 🥺
he felt guilty that he couldn't save them just like roshni 😭
arjun even left ETF as he couldn't face Sameer & choree 🥺
I know that girl is riya & she is trying to bring arjun back
even commissioner tried to stop arjun but he failed
hope riya will do it
loll that munna is so smart & greedy also 🤣
continue plz

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

7 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-34 Updated (Page-63)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: bloomie

8 months ago

Ariya The Suspect

hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: Lekha_Acharya

5 months ago

Ariya : Destined to Love

Hey guys, i know that i am very late and i have left my book incomplete. Actually had problems that forced me to focus on my life for a period...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

5 months ago

Riya/Ariya FF: Aakhri Umeed {A/N on p.1 | Update 14}

⚠️ Statutory Warning ⚠️ This story is going to be an emotional rollercoaster 🎢. If you have a sensitive heart 💔, proceed with caution. There...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

4 months ago

Ariya/ETF TS: Naye Rishte {Completed}

Naye Rishte The ETF office buzzed with an unusual energy that morning. The scent of freshly brewed coffee lingered in the air as Riya sat at her...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".