
"ganga mayya" "devi" "dishayen" "dekho magar pyaar se" jese show me kaam kar chuki reena kapoor ko pehchaan mili "woh rehne waali mehlon ki" me rani mittal k kirdaar se. is show ne 5 saal tak darshako ka dill jeeta. is k baad reena chote pardey par maa k kirdaar me nazar ayi. reena multi talented hen. unhe personality act karna pasand he lakin daily soap me option kam hone k chalte kam umar me hi unho ne maa k kirdar ko swikaar kr lia. reena in dino colors ke show shakti me do betiyon ki maa ka role nibha rhi hen. pichle dino show ki promotion ke liye shehr ayi reena ne share ki dill ki baaten.
male actors 60 ki umar me bhi lead roles krte hen
tv serials me naye chahre aaye din dikhte rehte hen. shayed yehi kaaran he k hum jesi larkio ko maa ka kirdaar nibhana parta he. wohi, actor yadee 60 saal ka bhi ho jaye phir bhi aise lead role mill jata he aur ye apne aap me buri baat he. actress ke saath hi bhed-bhav kyu kia jata he. mujh jesi kayi actress hen jo maa ka kirdaar kr rhi hen. iska sabse bara kaaran yehi he k aaj kal jo larkia lead role kr rhi hen, wo 14-15 saal ya zyada se zyada 18 saal ki hen. mujhe nahi lagta ke me itni young girls k saath compete kr skugi.
karo ya ghar betho
jab mera acting career shuru hua tha, us waqt larkio ki umar 20, 22 ya 23 saal hua karti thi. ab aisa nahi he. kam umar me larkiya mature ho rhi hen. me iske khilaaf hu.
me kuch plan nahi karti
jahan tak sawal barey pardey ka he to mene do filmey ki hen. me kabhi kuch plan nhi karti. mere saamne jo aata he me wesa hi karti jati hu. mene ek reality show kia he. me uska naam nahi lena chahti kyun k reality show me real kam aur scripted zyada hota he. me tv par drama shows zarur krti hu lakin reality ke naam par faaltu ka drama, rona-dhona mujhe pasand nahi.
Translated by masu