"Sir Abrar aap kh de isse, ki ye duniya ka aakhiri mard bhi hua na to bhi mai isse shaadi nahi karugi," Kashaf said to Mr. Abrar in a loud high pitched voice, though her murderous eyes were fixed at Zaroon who was sitting opposite to her.
Mr. Abrar opened his mouth to say something, but Zaroon interrupted, "Uncle Abrar to aap ise bhi kh de ki bohat ho gaya iski minnate karna. Ab chup chap mujhse shaadi kr le warna uthakar le jauga ise." a smirk appeared on his face while he said so looking directly at Kashaf.
Mr. Abrar glared at Zaroon in disbelief and Kashaf amplified her voice even more, "Uthakar le jauga? mujhe uthakar le jaega, bol de isko Sir ki usse phle mai iska sar na phod du!"
Mr. Abrar tried to speak one more time"Dekho tum dono..." but Kashaf cut him short, "Dekha, dekha Sir apne ye hai iski asliyat... ye luchcha, lafanga, mawali..."
Mr. Abrar crossed his arms across his chest and rested his head against the headrest of sofa, wondering its better to keep mouth shut and enjoy this muft ka show rather than being kicked like a football from one goal to other.
Zaroon: Kab dekha hain kab dekha tumne mujhe mawaliyo wali harqat karte hue?
Kashaf: Kab dekha? Ye pucho kab nahi dekha! Sir Abrar University ki aadhe se jyada ladkiya to is admi ki girl friends thi Asmara, Nadeera,..., Farheen aur ek ladki nhi hogi university mei jisko isne phool na diye ho.
Zaroon: Phli baat to ek ladki thi jise maine kabhi flowers nhi diye aur wo is waqt mere samne bethkar mere dimag ki dahi kar rahi hai aur doosri baat ye jo meri girl friends ke naam liye na apne please usme se Farheen ka naam hata de, kasam se bohat zehr lagti thi mujhe.
Kashaf: Haan to wo to mai bhi zehar lagti thi isko Sir Abrar.
Zarron: Nahi nahi zehar nahi uncle ye to chudail lagti thi mujhe.
Kashaf: Sir Abrar mai bata rahi hu isko agar ek aur baar isne mujhe chudail kaha na to mai sach me iska muh tod dugi.
Zaroon: Theek hai Uncle ise bol dei agar ye chahti ho ki mai ise kabhi chudail na bolu to shaadi kar le mujhse warna mai to boluga, chudail chudail chudail Murtaza.
Kashaf: You besharam, badtamiz aadmi, shukra manao ki mai tumse shaadi nahi kar rahi warna tumhare liye ek chudail biwi hi saabit hoti.
Zarron: Haan to wo to mujhe ilm hai ki tum ho hi chudail aur shukra to tum manao ki duniya me kam se kam ek sarfira aadmi to hai jo tum jasi baddimag ladki se shaadi karne ke liye mara ja raha hai."
Kashaf: Tum jase aadmi se shaadi karne se acha to koi aurat nadi me kudkar apni jaan de de.
Zaroon: Ji bakiyo ka to pata nahi magar tum please mat kudna warna nadi ka saaf pani bhi tumhari tarah pagal, magroor aur kadwa ho jaega.
Kashaf: Zaroon!
Zaroon: Kashaf!
Kashaf: Zaroon!
Zaroon: Kashaf!
Mr. Abrar: Are bas! Khuda ke vaste bas karo ab tum dono! Ya Allah kutte billi bhi ek ho sakte hai magar ye dono nahi!
Fun Post