New FF- My first love story. update ch 8 - Page 5

Created

Last reply

Replies

45

Views

18.3k

Users

10

Likes

47

Frequent Posters

charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#41

Originally posted by: saito

It was beautiful😊 😊
loved it
continue soon

thanks
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#42

Ch - 8


Dusare din subah flight delhi ke liye nikali. Cockpit pe pin drop silence tha. akash ananya dono sath bithe the par ek dusare se bat nahi kar rahe the. Akash ananya ko dekhke bahot guilty feel kar raha tha. Akash ne ananya ko awaj di "ananya" uspe ananya ne akash taraf ek cold look diya. Akash aage kuch nahi bol paya. Thodi dar baad Shruti coffee deke gayi. Akash our ananya ne bine dekhe cup uthane lage our akash ka hath ananya ko lag gaya. Hath me liye coffee ka cup ananya ne waha jorse patak diya. Akash uski taraf dekh raha tha ananya apane seat se uthi our cockpit se bahar jane lagi. Gusse me jaldi me bahar jate huve uska pair belt me atak gaya our wo niche gir padi. Akash ne use uthane ke liye hath diya par ananya ne hath liya nahi our uthane ki koshish ki par uske pair me moch aa gayi thi isliye wo uth nahi payi. Akash ne usse diya par ananya ne nahi liya fir akash ne use jabardasthi uthaya our seat par bitha diya our aawaj chadha ke kaha "chup chap baithi raho yaha pe" fir wo bahar jake Malam leke aaya our ananya ke pair me laga di. Delhi land karane par ananya ne chalane ki koshish kii par use chala nahi gaya. wo shruti our akash ki help se bahar aa gayi. Akash ne me sen se phone pe bat kar li our shruti se kaha tum yahi ruko mai gadi leke aata hu. Akash ne gadi me ananya ko bithaya our shurti se kaha "chalo tumhe bhi chod deta hu." " nahi captain aabhi muze formalities puri karani hai. our mai to airport ke pass hi raheti tu. Don't worry mai chali javungi." Akash ne ananya ki taraf dekha our gadi start kar li. Ananya ke ghar ke bahar usne gadi rok di. Ananya ko hath deke bahar aane ke liye uski madat ki. Gadi ki awaj sunke shefali our nanaji bahar aa gaye. Ananya ko dekhke shefali bhagi our usne ananya ko hath dete huve puchha" di ye kya hogaya tumhe?"

" kuch nahi huva shefu, pair me moch aayi hai" ananya ne shefali se kaha. "shefali tum ananya ko andar leke javo" nanaji ne kaha.

Shefali ananya ko andar leke gayi. "andar aavo beta" nanaji ne kaha par akash ne kaha "nahi nanaji ab mai chalta hu mai to sirf ananya ko chodne aaya tha. fir kaisi din aavunga" our wo gadi me baith ke chala gaya.

Rat ko shefali ne ananya ko malam laga diya our pucha "di mai ek bat puchu?" "ha bol" ananya ne kaha. " di wo captain akash aaise kyo chale gaye? mera matlab hai ke bine tumse bat kiye?" "are wo jaldi me the" ananya ne kaha. par shefali ko yakin nahi huva. usne kaha "unhe phone karke thanks to bol do." "ha bol dungi baad me"ananya ne bat tal di.

Rat ko akash our uske boss bat kar rahe the. "Akash muze samaj nahi aa raha mai kyakahu tumhe. ye aaise tum risk lete rahe to mission ka kya hoga? Akash kabir tumhe dekh leta to wo tumhare sath kya karata? May be goli mar deta. Tum keh rahe ho ki indeair la pura crew waha pe tha our un sabko tumhari asaliyat pata chalti to kya hota?" "sir I am very sorry aage se mai khayal rakhunga."akash ne kaha. "dekho akash aaj muze tumhe bahot jaruri bat karani hai. Rohit ke pitaji Mr Vijay Mafatlal ne police commissionar bat ki hai ke unhe protecation manga hai. unhe lagata hai ki unki jan ko khatara hai. unki protection ka approved kar diya hai our waha maine hamara ek admi bhi laga diya hai. ab shayad use kuch pata chale. "sir mahima kaisi hai? wo agar kuch bata pati to Rohit ke bare me ham aage ki step le sakate the." Akash ne kaha.

"ha akash par Dr joshi ne aabhi thoda intjar karne ke liye kaha hai. mahima ke kuch test baki hai uske baad ham usse bat kar sakate hai" sir ne kaha. "hmm thik hai, sir chaliye khana to kha lete hai" akash unhe undar leke gaya.

Subah akash breakfast kar raha tha . tabhi mr sen ka use phone aaya. "yes mr sen. Kya bat hai? akash ne pucha. " akash wo Mr Rohit sir tumse milna chahate the. wise to aabhi tumhari flight me der hai par agar tum thoda jaldi aa sako to ..." Mr sen ne pucha. "ok mr sen mai thodi der me aata hu." akash ne kaha.

Akash Mr Mafatlal ke samane baitha tha. Rohit bina bat kiye kuch soch raha tha. "Mr Mafatlal aapne muze bulaya tha? kuch kam tha?" Akash ne unse pucha. Rohit apne khayalo se bahar aaya. "sorry captain akash, mai kuch soch me dub gaya tha. actually aaj maine aapko aaise bulaya par kya karata shruti our baki airhostess ne wo karan ke bare me written complaint ki hai our shruti me aapka reference bhi diya hai ki aap us bare me sab janate hai so maine aapko taklif di."


"ha sir, shruti ne jo kaha hai wo sach hai. maine karan se kaha bhi tha ki apana behaviour badal de. Sir hame shurti our baki ledies ke security ke bare me sochana chahiye. Ye indeair ke prestige ki bat hai. agar karan jaise pilots hi hamare airhostess ko taklif denge to passangers ki kya bat kare. Our ye bat bahar gayi to problem ho sakati hai. our karan ko ye samjana chahiye." akash ne kaha.


Rohit aapni jagah se utha our cabine me chakkar lagane laga. Fir usne kaha " yes captain akash, mai karan se khud bat karata hu. our usne meri bat nahi suni to muze kuch action leni padegi." Our tabhi apana mobile pocket se nikalne laga to uska wallet niche akash se pair ke pass gir gaya. akash ne use uthane laga tabhi akash ko najar aaya ki rohit ke wallet me mahima ki photo hai. usne wo wallet rohit ko de diya our puchha " mahima ki photo aap ke wallet me Mr Rohit? Sorry I don't have right to ask u that but..." rohit ne wallet apane hat me liye mahima ke photo ki taraf thodi der wo dekhata raha. Akash ko laga ki uske chehere pe udsi aa gayi hai.

"captain akash mai our mahima bahot achhe dost the. Ha mai janta hu ki wo ab nahi hai ..." Rohit kuch kahte kahte ruk gaya. fir usne achank se kaha

" captain akash kya aap janate hai mahima ke family kaisi hai? hame matlab indeair ko mahima ke ghar walo ko kuch madat karani chahiye. wo onduty thi our wo ghar akali chalati thi par ab to wo nahi hai to... our maine mr sen se kaha bhi tha ki wo mahima ke ghar jake mil ke aye."

" ha Mr Rohit aap thik kah rahe hai. par hame pahale mahima ke family se bat karni chahilye. Aap kahe to mai bat karata hu" Akash ne kaha. " thanks captain, aap bat kar lo our muze inform kar dena. Akash bahar aa gaya. our wo flight ke taraf jane laga tabhi mr sen ne use aawaj di.

" kya bat hai mr sen" akash ne puchha. " akash are wo tum IASS seminar ja rahe ho na uske liye tumhe our ananya ko form bharane hai." " thik hai mai bhar deta hu" akash ne kaha.

" are par akash wo ananya ka kya hoga? Kya tum ananya ne se bhi form bharake lavoge to achha hota kyonki muse wo time pe bhejana tha."

" sir meri to aabhi flight hai. mai kab javunga uske pass. our waise bhi ye to achha nahi lagata kisi bhi vajah se mai uske ghar chala javu." Akash ne kaha.

" akash tum thik kah rahe ho par mai kya karu? abhi ananya ke ghar pe kisko bhju? Wo akali ladaki pilot hai to kisiko bhi uske ghar pe nahi bhej sakata. Waise tum dono dost ho isliye maine tumhe pucha. Agara tumhe nahi jana chahate to mai kisi our kp bhejata hu" mr sen ne kaha. " thik hai sir mai chala javunga par sham ko abhi to flight pe jar aha hu" akash ne kaha. " are ekdam thik hai." mr sen ne kaha.

Sham ko akash airport se sidhe ananya ke ghar aaya. corner pe use shefali mil gayi to usne gadi wahi rok di."are tum kahi bahar ja rahi ho? our ananya ghar pe hai na?" akash ne puchha. "ha, didi hai na ghar pe waise bhi ek tang pe kaha ja sakati hai?" shefali ne kaha. "shefali tum bahot naughty ho" akash ne kaha. " aap chalo na ghar, Didi hai upar terrace pe bahithi hai." Shefali ne hasate huve bataya.

" terrace pe waha kyo? uska pair thik hai?" akash ne pucha. "ha pair to abhi kafi thik hai par didi ke yaha na thoda problem hai." apne sar ki taraf ishara karate huve kaha.

" wo khali nahi baith sakati. use room me bithaya to ek tang pe wo room saf karati hai kabhi kitchen me gus jati hai. isliye maine use terrace me bithaya hai waha wo aram se kuch ghanto baith sakati hai. use kuli hava, akash bahot achha lagata hai"

"sach ? ananya ko akash achha lagata hai muze pata hi nahi tha" akash ne smile karte huve kaha. " captain akash ab aap naughty ban rahe ho, mai to aasaman ke bare me bat kar rahi thi" shefali ne kaha. dono bat karate terrace pe aagaye.


" Didi dekho kon aaya hai" shegali ne ananya ko awaj di. Ananya ne akash ko dekha to uske chehere pe halki smile aa gayi. " kaisi ho ananya" akash ne pucha, ananya ne jawab diya " ha mai thik hu." "captain akash aap baithiye mai coffee leke aati hu" sheali ne use kaha our niche chali gaye. " ananya sorry wo mai bina bataye aa gaya. actually mr sen ko IASS ke form fill karke chahiye the. Isliye unhone muze request ki nahi to mai aaise nahi aata ..." akash ne kaha.


" its all right captain, mai form fill kar deti hu." ananya ne form liya our akash ne use pen diya our ananay form fill karane lagi. " ananya mai janta hu tum muz se bahot naraj ho? I am vary sorry for every thing. Mai bhi kabhi kabhi pagalo ki tarah beheive karata hu. tu kaho to mai apne kan pakad leta hu par please muze maf kar do, jabse tumne muzse bat karana band ki hai, mai bahot gulty feel kar raha hu"Akash ne kaha. ananya ne akash ki taraf dekha uske cheherepa sachmuch gultyness tha.


" captain mai na aapko samaj hi nahi sakati. aap kabhi kabhi aaise beehive karate hai ke... anyway maine form fill kar diya hai." ananya ne kaha. tabhi shefali coffee our pakode our namkin leke aayi. Akash ne kaha " are ye sab ki kya jarurat thi" " captain aap sidhe airport se aa rahe hai na? abhitak pilot ke dress me hi hai." shefali ne kaha.

Coffee lete huve shafali ne kaha. "Captain akash aap ka our didi ka job kitana interesting / exited hai na? roj hava me udate rahate hai." tab ananya our akash dono hasane lage. "Exited? Interesting? Shefali? Tumhe nahi pata is job me kitne risks our tension hoti hai. har waqt 200 se jada logo ki jindagi ki jimedari leke udana padata hai. kuch bhi galat huva geye kam se" akash ne kaha. " our nahi to kya. shefu etna aasan nahi hai pilot banana." Ananya ne kaha. thodi der baad akash ne kaha. "Achha to mai chalta hu, shefali thanks for coffee and everything. Our nanaji se kahana mai agli bar time nikale ke unse milne aavunga."


Akash ko chodane ananya uski gadi tak aagyi. " lagata hai tumhara pair ab kafi thik hai"akash ne use chalate dekh kaha. " ha ab kafi thik hai. mr sen ne kaha ki agar muze Dr ki certificate our permission mil gayi to mai parso se fly kar sakati hu...caption thank you" ananya jawab diya. " ab ye kisliye?" Akash ne puchha. us din ke liye muze ghar tak chodne aaye the par mai bahot gusse me thi to...aap se thik se bat nahi kar payi" ananya ne kaha. "ananya galti meri thi our tumhara gussa barabar tha. jane do ab wo sab thank you vagare. Tum apana khayal rakhana. our jab Dr kahe to hi join karana thik hai?" akash ne kaha our wo gadi me baith gaya.

Raste pe gadi me kash our uske sir baith ke bat kar rahe the. " itni jaldi bulaya kya kam tha." sir ne pucha. " sir aaj mai rohit se mila. Bat karate huve uske hat se wallet niche gir gaya. usme mahima ki photo thi. rohit jaisa admi mahima ki photo apne jeb me leke kyo ghum raha hai? sir koi admi aaisa karega to wo usse pyaar karata hoga to hi karega na? Mahima ki our uski dosti ke bar me mahima ne muze bataya tha par wo to sirf mission ki info nikalene ke liye tha aaise muze lag raha tha par ab kuch our bat hai aaisa lag raha hai. waha jain ne info diya tha ki rohit mahima se shaadi karana chahata tha. ye sab kya hai? sir hamara mahima se jitni ho sake utni jaldi bat karana jaruri hai. aaisa n ho ki hamere pass matlab mahima ke pass imp info ho our hum hi ne puchane me der kar di."akash ne kaha. " shayad tum thik kah rahe ho. Mai abhi Dr joshi se bat karata hu." sir ne Dr joshi ko phone lagaya our bat kar li. "akash dr joshi ne kaha hai ki kal ham mahima se bat kar sakate hai, actually uske reports nahi aaye hai par ab wo thik hai par hame khayal rakana padega ki use jada presser na aaye." "Thik hai sir kal rat ko ham mahima se milate hai. dekhate hai mahima through hame kya info milata hai. mai aapko abhi ghar chod deta hu."

Akash dusare din rat ko sir ke sath mahima se milane gaya. "kaisi ho tum mahima? tumhari tabiyat kaisi hai ab?"

"thik hu akash, kitne dino ke baad mil rahe hai?" mahima ne kaha. "mahima agar tum thik ho to kya ham bat kar sakate hai? tum hame batvogi ki jab se tum rohit ke sath gayi thi tab se kuch yad aa raha hai tumhe?" sir ne pucha.

Mahima thodi der chup baithi. Fir usnke kuch yaad kiya. our kahane lagi...

" akash us din mai rohit ke sath chingarh ke pass uske gaov gayi thi. unki waha purani hawali hai. waha mai rohit ke papa se our rohit ke purne nokar narayan kaka se bhi mili. Wo bahot achhe hai. Hum din bhar idhar udhar ghumte rahe. Pata nahi jab sham ko ham vapas aane wale the to rohit uske papa se milne gaya our wo wapas aaya to bahot gusse me tha. jaise un dono me jagada ho gaya ho. maine use flight me pucha ki kya huva to usne bataya ki jo bat wo papa se karane ke liye gaya tha wo unhe jada pasand nahi aayi. wo bat kya ye to nahi bataya.

"mahima uske baad kya huva? matlab tum lok wapas aaye delhi tab... Tumne ghar contact kiya tha kya? " sir ne pucha.

"sir us rat ham bahot der se delhi aaye. megha our maa jaldi sote hai our meri bhi subah flight bhi thi isliye maine ghar rat ko phone nahi kiya our airport pe airhotess ke room me so gayi. subah flight me pata nahi muze kuch aajib log mile. Bahot jada tang kar rahe the sab ko. Maine caption shekhawat our karan se unki shikayat kit hi. Banglore hotel me rat ko wahi log muze dinning hall me dikhye diye the. Wo kisise bat kar rahe the uska chehera to mai nahi dekh payi. Sirf Uski awaj suni wo meri pahechan ki hai aaisa lag raha tha. baad me mai waha se chali gayi." mahima bat karate karate ruk gayi. " fir kya huva?" sir ne puchha.

"Exatacly muze baad ka kuch thik se yaad nahi aa raha. " mahima tum thak gayi hogi thodi der break lete hai our baad me bat karte hai? tum baitho mai abhi aaya." akash ne kaha. our wo niche jake coffee leke aaya. wo sab coffee lene lage. Mahima hath me coffee ka cup leke uski taraf dekh rahi thi. " kya huva mahima coffee kyo nahi le rahi? kuch our chahiye tha kya?" akash ne pucha. " nahi akash wo coffee" mahima ne kaha. " kya coffee?" akash ne fir pucha.

"akash us rat maine room me rat ko coffee order ki thi. room me boy coffee leke aaya. miane coffee li our baad me wo hotel ka boy coffee ka trey wapas lene aaya our use paise dene ke liye mai undar ke room me purse lene gayi bahar ate waqt muze kuch chakkar aa raha hai aais laga. Bahar aake dekha to waha our do log khade the. Unhe dekhke mai hairan ho gayi wo log wahi the jo mere flight me the our muze tang kar rahe the. Mai unse kuch kahe pati ise pahele mai behosh hogayi. Pata nahi akash us coffee me kya milaya tha. jab mai hosh me aayi to us kamre me thi jaha tum muze chudane aaye the." mahima ne kaha. "lekin mahima tumne jo msg kiya tha ananya our megha ko wo"? akash ne pucha. " kitna bada coincidence tha wo mai bata nahi sakati. mai wohi movie dekh rahi thi jab maine coffee order ki thi. lekin baad me us msg ki wajah se muze clues mile our tumhe maine dusare msg kiya our mai bach gayi. wo log mere room ke bahar hamesha mere bare me bate karate rahate the isliye muze baki sab pata chala." mahima ne bataya.

"mahima lekin tumhari bat se hame aaise kuch nahi pata chal raha hai ki kisliye tumhe un logo ne pakada tha? our rohit ke bare me bhi to kuch nahi pata chala" sir ne pucha. "actually sir un logoke bare me sach me muze kuch nahi pata ke wo log muze kyo leke gaye the. Par rohit ke bare me ek bat muze yaad aa rahi hai wo aapko batana jaruru hai" mahima boli. " konsi bat?" akash ne pucha. "akash indeair bahot ghate me chal rahi hai. indeair ko loss ho raha hai. our rohit ke pitaji chahate hai ki indeair band kar de par rohit nahi man raha." " kya ? sach kaha rahi ho tum?" akash ne pucha. " ha akash mai sach bol rahi hu. rohit ke papa ne use time limit diya hai isliye to rohit ye company bachane ki bahot koshish kar raha hai" mahima ne kaha our wo thak ke baith gayi. "Mahima tum ab thodi der aram karo ham chalte hai. fir baad mai ham firse bat karenge." Sir ne kaha.


Akash our sir dono car me jate huve bat kar rahe the. Akash ne kaha"Sir muze lagata hai ki mahima hamr puri bat bata rahi hai" " kya matlab hai tumhara? Sir ne pucha.

"sir jai ne hame bataya ki rohit mahima ke sath shaadi karana chahata tha kya wo bat mahima ko pata nahi hai? kuch to aaisa hai jo aabhi tak hath me nahi aa raha." Akash ne kaha.

-AnnieQueen- thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#43
Oh no.ananya abhitak gussa hai aakash se.in dono ki problem kab dur hogi?😭
saito thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#44
It was beautiful
loved it
continue soon
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#45

Originally posted by: akyalove0896

Oh no.ananya abhitak gussa hai aakash se.in dono ki problem kab dur hogi?😭

Thanks , ananya akash se jada der nahi gussa rah sakati don't worry.
Edited by charuta - 10 years ago
Gauri_21 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#46
Waiting for the update.

Pl update soon.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".