New FF- My first love story. update ch 8

charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#1

New FF-

New FF- My first story.

New FF- y My first story on AKYA... Love story


HI Friends - Aap sabki stories muze bahot pasand aati hai. So maine bhi try kiya hai. Pasand aayi to please comment likhana. Kahani ke charecters same hai. Kuch naye charecters bhi hai wo kon hai ye story me pata chal jayaga. Koi achha nav suggest karo. Kuch galti ho gayi ho to please maf kar dena. Thank you.

Ch 1- page 1

Ananya college ke buildings se baher aayi, wo bahot ghusse mai thi. Shefali bhi uske piche bhagi "didi suno na please, i am very sorry, wo mai bhul gai thi fees ki last date hai, so aaj tumhe subah subah yaha aana pada". Ananya ne mudkar shefali ke taraf dekha our kaha " shefu ye tera first time nahi hai. har bar tu kush na kush gadbad karati hai or time pe kam karana bhul jati ho, our fir problem aa jati hai. aab hum kub bank jayange? kab draft bavayange? our kab mai airport pahucungi? aaj meri flight hai."

Shefali ne sar hilate huve kaha " didi i am really sorry aagese eesa kabhi nahi hoga, mai khayal rakhungi, ek kam karate hai aap wo kalpana hai na Mehera uncle ki bheti wo to aapke bank mai kam karati hai, aap usko phone karke puch lo. mai megha ko lekar bank chali jati hu our draft lekar aati hu. our fir college mai submit kar dungi."

" ha wo to thik hai per gadi chalate huve mai phone pe kaise bat kar sakato hu? ye sab ghar jake karana pedega our aaj muze pakki der honewali hai " Ananya ne gadi ka lock kholate huve kaha. " didi agar aap naraj na ho to mai ek idea du? aap phone pe bat karo, gadi mai chala leti hu. " Shefali ghabrate heve boli. " kya tu gadi chalayegi? nahi bilkul nahi." ananya ne kaha.

" Didi dekho aapko der ho rahi hai, aapko ghar jake taiyar bhi to hona hai, our aap ne hi to muze gadi chalana sikhya hai, mi bilkul kam speed me gadi chala lungi. tab tak aap kalpana se bat kar lo. uske sath aap bat karogi to hi wo man jayagi, fir chahe to aap bad mai gadi chalo lo." Shefu ki bat sunke ananya man gayi "dekh shefu gadi tu bilkul dhire chalna our jaise hi meri bat ho jaygi mai gadi chala lungi thik hai? "ananya ne kaha". thik hai didi " shefu de gadi ki chabi lete huve kaha.

Shefali ne aaram se gadi college se baher nikali, main road pe leke aayi. ye dekhate huve ananya ne kalpana ko phone lagaya. "hello kalapana ananya here... tum smaz gayi na,... thik hai,...ha mai shefali ko bank bhejati hu...kalpana thank you,... aaj mere flight nahi hoti to mai tumhe kabhi taklif nahi deti. thanks again. ok shefu ye kam to hogaya. ab tu bank mai ja, kalpana tera kam kar degi." ananya ne phone band karate huve shefali se kaha our samne dekha to use no entry ka board nazar aaya. our wo chillate huve boli "shefu kaha ja rahi hai? yaha no entry hai."

Eske pahele ananya kush karati aage se ek gadi aa rahi thi wo bhi kafi speed me thi our ananya ki gadi us gadi se takarati ke ananya ne jor se hand-break khich liya. Samane ki gadi bhi jor se break lagate huve ruk gayi, jaldi mai gadi se baher aake ananya gadi ke samane jake gadi ki taraf dekhane lagi. us gadi se kuch inch par ananya ki gadi ruk gai thi." thank god" ananya ne kaha. lekin us gadi ka driver baher aake chillana shuru kiya. " kay kar rahi ho? no entry mai gadi chalati ho? gadi kaha se chalana sikhaya? licence kisne diya tumhe? ...Raju ..." gadi ke piche se jor se aawaj aayi our raju chup ho gaya.

Ananya ne gadi ke pichale darwaje ki taraf dekha, ek aadmi jisne black color ka over coat phena tha baher aaya. " i am sorry wo meri behen... " ananya ki bat ko katate huve us aadmi ne raju se kaha " agar gadi ko kush nahi huva hai to chalo muze der ho rahi hai. airport yeha se bahot door hai, meri flight miss ho jayegi, our madam aap kisi acche driving school mai jakar gadi chalana kyo nahi sikh leti ?" our wo fir se gadi mai baith gaya.

Ese pahele ananya kuch keh pati raju ne gadi start ki our gadi ko piche lete huve wo baju se chale gaye. Ananya ne apni gadi ki taraf dekha fir use pata chala ki us admi ne use gadi sikhane ke liye kyo kaha, dar ke mare shefali driver ki seat se hatkar baju ki seat pe jakar baithi thi. " tu bhi na shefu, us admi ko laga ki mai gadi chala rahi thi isliye wo muze bate sunakar chala gaya." ananya ne aapani gadi start karte huve kaha. " didi sorry, wo mai dar gayi thi. per didi bat uski suni aapne? wo airport ja raha tha, kash wo aapki flight mai ho. jab use pata chalega ki aap pilot ho to uska chehera dekhne layak ho gayega." shefali ne kaha. " accha ? aabhi to tera chehera dekhane layak ho gaya hai " ananya ne hasate hvue kaha.

Ghar aake ananaya zat se taiyar hot gayi. room se bahar ate hi uski ma ne hat me doodh ka glass pakada diya use khatam karate huve usne maa our shefu se kaha" maa mai nikal rahi hu. aaj breakfast flight mai kar lungi. shefu wo bank ka kam thik se kar lena, mai rat ko phone karati hu.

Airport pahoch ne ke baad ananya ko Mr sen ka msg mila ki Mr Rohit Mafatlal use mialna chahate hai.uska wait kar rahe hai. isliya ananya Rohit Mafatlala ki office ki taraf gayi. "Good morning first officer Rawat " Ananya ko dekhte hi Rohit ne kaha. "Good morning sir " ananya ne bhi use wish kiya. "Miss Rawat inse milo ye hai hamare naye seinor pilot Captain Akash Saluja. aaj aapko inke sath Bangalore fly karana hai. aaj inka indeair mai first day hai "Rohit ne kaha. Captain Akash ko dekhate hi ananya ko shock laga. ye to wohi hai jiske sath subah gadi takrayi thi usne man hi mai kaha. na jane ye rohit sir ke samne kya bol dega. " Good morning officer Rawat Akash ne hasate huve hath aage badha diya our use wish kiya. wo dekhake ananya ne bhi hat badha diya our wish kar liya. " ab chale ? hamare flight ka time ho raha hai. Mr Mafatlala mai aapse bad mai milata hu." akash ne kaha. "Yes muze bhi meeting ke liye jana hai " rohit ne kaha.

Akash our ananya flight ki taraf jane lage. tabhi akash ne ananya se puchha "Kya tum sachmuch pilot ho? tumhe to gadi bhi thik tarah se chalani nahi aati? Tum chaho to mai tumhe gadi chalana sikha dunga." ananya ne naraji se akash ki taraf dekha to wo has raha tha. us smile ko dekhake ananya ko bahot gussa aaya. usi gusse me ananya ne akash se kaha "wo muze uniforms aachhe lagate hai isliya pahan liya." Ha ha ha akash jorse hasne laga. ananya sochne lagi kaisa aadmi hai ? kitni jorse has raha hai. pata nahi iske sath pura din kaise bitaungi? Fir akash ne ananya ko flight ke bare me puchha our ananya ne bataya ki aaj unki Delhi- Mumbai- Banglore flight hai.

Dono flight ke andar aa gaye ananya ne akash ki pahechan shruti our mahima se karadi. Akash unse bate karne laga. Ananya sir hilate huve aandar cockpit mai chali gayi our take off ki tayari karne lagi. thodi der mai akash andar aaya our ananya ki taraf dekhate huve sochne laga. Subah kitni alag lag rahi thi our pilot ki uniform mai our bhi jada smart lag rahi hai. Etni sundar ladki pur wo bhi pilot, kya bat hai. Sochate huve seat par baith gaya fir ananya ki taraf dekhate huve kaha ki "first officer agar aapki tayari ho gayi ho to kya ham chale? time ho gaya hai. " ananya ne sar hilete huve kaha ki " yes sir." our flight ne take off kar liya. Ananya ka kam ka tarika dekhkar akash khush ho gaya tha use laga ki kitni alag ladki hai. beautiful our intelligent dono ek sath. thodi der mai mahima akash our ananya ke liye coffee our sandwich leke aayi. tab akash ne mahima se pucha "Sirf sandwich? vaise mahima tum jab bhi mere sath fly karne wali ho to kush parathe vagre laya karo. ya kya ghasfus khila rahi ho?" to hasate huve mahima ne kaha hi "captain ye sab to flight me allowed nahi hai. aap aabhi ye kha lo mumbai airport mai aapko parathe mil jayange".

Jaise hi flight mumbai pohach gayi. ATC se unhe informed kiya ki mumbai mai unhe tecinical problem ki wajah se 1 ghanta jada rukna padega. ye sunke akash ne ananya se kaha " chaliye first officer khana kha lete hai. " uski bat par ananya ne kaha "nahi captain aap khana kha lo mai to flight mai jada tar light kush le leti hu". lekin akash ne use kaha ki "nahi aapko mere sath chalan padega our khane ke liya company bhi deni padegi nahi to mai rohit sir se aapki complaint kar dunga ki aapne mere first day pe meri bat nahi suni. "ye sunke ananya na chahate huve bhi akash ke sath chali gayi.

Airport ke restaurant mai wo dono jakar bhith gaye. Akash ne aaloo parathe, dahi, fried rice, lassi ki order de di. khana khate khate akash ne ananya se pucha "first officer kya aapako aaloo ke parathe banana aata hai? nahi aate to sikh lo." ye sunke ananya ne akash se puchha" kyo aaloo parathe hi kyo sikhu?" tab akash ne kaha ki "dekho kal tumhari shaadi ho jayagi our tumhare husband ko aaloo parathe khane ho to wo kya karega? so sikha lo." Tab ananya boli "lekin captain mera husband aaloo parathe hi kyo khyega? wo to ubale huve aande bhi to kha sakata hai." per akash ne kaha ki nahi first officer nahi koi bhi husband aaloo ke parathe khana hi pasand karega dekh lo." our akash ne sath ke table pe bhaithe ladke ko pucha "kyo bhai aap apni babi ki hatho se kya khana pasand kareoge? aaloo ki parathe ya ubale huve aande?" to us ladke ne kaha ki" off course aaloo ke parathe." jawab sunke akash ne ananya ke taraf dekha our aakho se ishara kiya ki dekha mai kya kaha raha tha. tabhi us ladke ne aapne samne wali ladki se puchha "darling tumhe aaloo ke parathe banana aate hai na? "to wo ladki boli "nahi aate per aaisa kyo poch rahe ho?" to ladka jorse chillaya" kya ? tumhe parathe banana nahi ate to fir tum shaadi kyo kar rahi ho? " wo sunke ladki bahot gussa hogayi our usne ladke ko ek tappad mar diya our kaha ki "tumhe parathe banane wali chahiye to kisi our ladki se shaadi kar lo" our wo waha se chali gayi, fir ladka hosh me aate huve uske piche darling suno kehete huve bhaga. ye sab dekhkar ananya hairan ho gayi our usne akash se kaha "captain ye kya kar diya aapne? dono ka zagada ho gaya." To fir akash bola " are mere vajah se thodi zagada ho gaya ? wo to us ladki ko parathe banane nahi aate isliye donoka zagada ho gaya our isliye to tumhe kah raha hu ki parathe banana sikh lo. mai our ek lassi leke our bill pay karke ata hu." aaisa bol ke akash waha se chala gaya. ye sunkar ananya ne aapne sir pe hath mar liya our kaha ki is aadmi ka kush nahi ho sakata.

Bangalore pohoch jane ke bad ananya our akash ek dusare se bat karte huve hotel pohoch gaye. Isse pahele akash ananya se rat ke khane ke bare mai puchata ananya vaha se chali gayi our room mai aayi. bach gayi mai nahi to our aaloo parthe khane padate our pata nahi yaha kiska zagada ho jata ananya apne aap se bat karte huve hasne lagi. usne fresh hokar shefali ko phone lagaya. " shefu bank ka kam ho gaya na? college me sumbit kar diya kya?... Ha mai pohch gayi banglore, hotel me hu... sun na aaj kya huva jiske sath aaj subah gadi takrayi thi na...

Akash ne room me ate hi apni bag khola usme se dusara phone nikala our on karke kisise bat karne laga. ha mili thi aaj wo muze... kam hoshiyari se kar rahi hai... Nahi sir smart lagati hai... ...bat puri hone ke baad phone karta hu... baad me wo fresh ho gaya. our room service order kar di. fir balcony me khada hoke wo ananya ke bare me soch ne laga. uski chehera, uski baate yad karake use bahot accha lag raha tha. Rat ko khana khane ke bad usne khud se kaha ki chalo akash abhi kam shuru karate hai.

Rat bahot ho gayi, hotel mai sabhi so gaye ye dekhake akash dhira se aapne room se bahar aaya. vo rooms ka no dekhte huve aage badha. jo no use chahiye tha wo milne ke baad usne card ko door pe lagate huve dhire se door khol diya. andar jane ke bad usne aawaj n karte huve door band kar diya. "mai tumhara hi intajar kar rahi thi akash" aandhere se aawaj aayi our us aawaj ki our se light jal gayi. Mahima sofe pe baithi thi. use dekhkar akash ne smile kiya our wo bhi uske baju mai jake baith gaya. our usne puchha "mahima awaj bahar nahi jayegi na? kisiko pata nahi chalana chahiye ki yaha koi bat kar raha hai. don't worry akash. maine khidki band ki hai. aawaj bahar nahi jayegi, ab kam ki bat kare?"ye kahete huve mahima ne ek diary nikali our kaha " Akash aajtak jo bhi info muze mila hai wo maine is dairy mai note kiya hai, tum chaho to bad mai ise padh lo. mission ke bare me aage ka kam tumhe karana padega. shayad isliye hi tumne indeair join kiya hai."

Akash ne sir hilate huve kaha "ha maine isi kam ke liye indeair join kiya hai. aage kya plan hai. rohit ke bare mai kush bato do". fir mahima ne akash se kaha" akash tumhe pata hai ki maine jan bujkar rohit ke se dosti badhai hai. wo jara aajib hai kabhi bahot aacha hota hai to kabhi bahot hi kharab lagata hai. waise to hum dono bahot achhe dost ban gaye hai. aajkal wo muze bahot jagah pe sath leke jata hai. kal bhi hum bahar ja rahe hai. par kal kuch alag plan hai aaisa muze lag raha hai."

"aaisa kyo lag raha hai tumhe? koi hint mili hai kya?" akash ne pucha, mahima sofe se uth gayi our room mai chakkar lagate huve boli "akash aaj tak to hun dono party, pub, hotels ya kisi mall me ya kisi dost ke ghar jate rahe hai par kal mai uske sathi kahi fly kar rahi hu, our wo kaha ye muze bhi nahi pata. first time rohit ne muze ye bat kisi se bhi kehene se mana ki hai. our hum indeair ki flight mai nahi uski personal flight mai ja rahe hai."

"kya ? ya kya kah rahi ho tum? sir ko bataya hai tumne? " akash ne puchha. tab mahima ne bataya "ha maine sir se bat kar li hai. muze jana hi padega nahi to rohit ko shaque ho jayaga our wo kaha jata hai? kya karata hai ? ye sab bate hame kaise pata chalegi?" ye sunke akash ne ek thandi sas li our usne kaha "kya kar rahi ho mahima tum ? muze tumhri chinta ho rahi hai. hamara kam aasan nahi hai ye mai janta hu par ye to aag me kudne wali bat hai. tum to janti ho na ki rohit ke bare me kuch to suspicions hai our wo ladaki ke mamle mai ..."

"Akash bat aadhuri kyo chod rahe ho? ye info bhi to maine hi diya hai na? mai janti hu ki meri jan ko bhi khatra ho sakata hai. lekin hame personal hoke kam nahi karana hai. tum chinta mat karo. mai aapna khayal rakhungi. Akash our ek bat us flight ka track ATC rakh legi par tumhe nahi pata chalega mai kaha hu". Lekin akash ne use kaha ki wo rohit ki flight ka track rakh lega, lekin use ek din kam ke liye mil jata to accha hota. Mahima ne akash se kaha ki ek din kaise bhi karke wo rohit ke sath jane se der kar degi. Fir akash vaha se apne room me chala aaya.

Dusare din subah Bangalore airport pe akash coffee le raha tha our thodi duri pe phone pe bat kar rahi ananya ko dekh raha tha thabhi mahima uske samne aakar baith gayi. our akash se boli "kya tumne sir ko bataya? yeha tum our ek mission pe kam kar rahe ho?" " Kya? Dusara konsa misson?" Akash ne hairan hote huve pucha. "Wo samane dekh rahe the vo mission" hasate huve mahima boli. Uspe akash bhi hasne laga our bola "wo mission to bahot jada mushkil lagata hai" coffee lene ke baad mahima ne akash se kaha "chalo mai chalti hu tumhara kam bhi to karna hai" isse pahele akash use kuch bolata mahima waha se chali gayi.

Ananya ki phone pe bat hone ke baad wo akash ke pass aa gayi our akash se puchha "captain mahima kaha gayi abhi to yaha thi? Akash ne kaha "ha use kuch kam tha. aapko coffee leni hai?" Ananya ne coffee our sandwich ki order de di our wo dono bate karne lage. Thodi der me waha shruti aayi our usne akash se kaha" captain wo mahima sidiyo se gir gayi our use chot aayi hai. Ye sunke akash our ananya uske sath mahima ki pass bhage. Use hospital leke aaye. Akash ne Dr se bat kar li our Dr ne bataya ki mahima ko jada chot nahi ayi hai wo ek/do din me thik ho jayagi. Use rest ki jarurat hai. Our wo abhi fly kar sakati hai. So ananya our akash mahima ko flight me leke aa gaye. Our flight take off kar li.

Akash Delhi airport ke piche parking area me ek car me bhaitha tha. Uske sath dinesh our jai bhi the. Akash wo dono ko apne plan ke bare samzaa raha tha. "Jai our dinesh ye sepical pilot parking area hai, yeha jada koi ata jata nahi. Pilots bhi ek bar apni gadi park kar dete hai to ek/do din wapas nahi aate. Sirf yaha ane jane ke liye mere parking id card ki jarurat padegi , jai tum mera driver banke mere sath aana. Our baad me yehi baithe rehena. Kisi ne agar pucch to bolo ki mera wait kar rahe ho. Flights details yeha her kisi ke pass nahi hoti so don't worry. Our dekho jai tumhe yaha se rohit ki flight ki track rakhana hai. Us flight ka No our time mahima msg kar degi. Hamane radar pe se signal catch kar lene ke liye waha ke ek bande ko pataya hai. Wo dinesh ko msg kar dega. dinesh airport ke coffee shop me laptop leke bhitha hoga waha se wo tumhe signal pass kar dega. Ye kam bahot risky hai par hame waqt rahetehi ye jankari hasil karni hai ki rohit ki flight kaha ja raha hai, location track karna most imp hai. our dinesh tumhe our ek bat ka khayal rakhana hai ki airport pe kisi ko tumpe sheqe nahi hona chahiye. Chahe to jagah badal badal ke baitho. Agar kush gadbad ho gayi to tum vaha se chale jana." dono ne "yes sir" kah diya. Akash ne vahase nikalate huve kaha ki "dekho khayal rakhana ki tum dono asal me DIB officers ho ye kisi ko nahi pata chalana chahiye. mai waha nahi rahunga so ab sub tum dono ko manage karna hai. Jab kam pura ho gayaga to muze code msg bhej dena. Thik hai na? All the best boys".



Edited by charuta - 10 years ago

Created

Last reply

Replies

45

Views

18.3k

Users

10

Likes

47

Frequent Posters

saito thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#2
It was beautiful
loved Akya moments
Mahima flies with Rohit
what will happen
Loved it
update soon
and pm me
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#3

Originally posted by: saito

It was beautiful
loved Akya moments
Mahima flies with Rohit
what will happen
Loved it
update soon
and pm me

Thanks, I will update soon.
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#4


ch-2

Dusare din akash airport jaldi aagaya. Usne andar baithe jai ko aakhose ishara kiya jai ne gadi parking area me park kar di, akash ne use apan id card de diya our kaha kam hote hi wo waha se gadi leke chala jaye, our wo airport ke andar aa gaya. Wahape bhithe dinesh ko dekhke bhi use aankho se ishara kar diya our fir wo coffee shop me bhith ke coffee pine laga. Thodi der baad Ananya ko ate dekh kar usne hat hilake use apne pass bula liya our kaha ki "first officer aaj fir se hamari sath me flight hai. Our aaj aapko mere sath rat ka dinner karana padega. Ananya ne haske puchha "kyo aaj kush special hai kya?" "Ha hai lekin kya hai wo aabhi nahi bataunga. wo to rat ko hi pata chalega". Akash ne kaha. "Achha thik hai captain ham rat ko dinner ko jayenge par aap aaj fir se parathe to nahi khilayenge? " ananya ne hasate huve pucha. Ha ha ha akash fir jor se hasne laga.

Chennai ki hotel me rat ko akash aapne room me tension se chakkar lagate huve bar bar phone laga raha tha. Lekin phone nahi lag raha tha. Fir akash desparate hoke phone ki wait karne laga par phone nahi aaya. Thodi der hone ke baad akash ne time ko dekhate huve phone band karke bag me rakh diya our wo tayar hone laga. Usi hotel me ananya bhi tayar ho rahi thi. akash ki bato me aabhi bhi khoi thi. Akash ki company use achhi lagati hai ye to use khud ko kahate huve bhi achha lag raha tha. Ananya ne Pink color ka top our jeans pahen li. Bal khule chod ke halka sa makeup kar liya. Aapni purse leke room se bahar ake usne room lock kar diya our wo akash se milne niche aa gayi. Akash main door ke pass khada tha ananya ko dekhke usne hat hila diya. Ananya ko dekhake akash ne use bola "first officer aaj aap bahot sundar lag rahi ho." Ananya ne smile kar di our boli " thank you captain, ab chale?" " Ha chalo" kahte huve akash ne taxi bula li.

Akash our Ananya khana kha ke us hotel se baher aa gaye. "So officer Rawat aaj to maine aapko parathe nahi khilaye. lekin hum ice-cream to kha sakate hai na?" ananya ne sir hilte huve kaha ki "yes kha sakate hai, par abhi tak aapne muze nahi bataya ki aaj kya special hai. Jiske liye hum dinner ke liye aaye hai?" "Bata dunga etni jaldi kya hai? Chalo hum ice cream parlor chalate hai vaha jada choice milegi." Akash ne kaha.

Ice-cream parlor ke baher garden me akash our ananya beith gaye. Ice-cream khate huve akash ne kaha "first officer aaj mera birthday hai." "Kya? Sach me? Aapne muze pahele kyo nahi bataya?" Ananya jorase boli to smile karte heve akash bola "kyo? agar pahele batata to kya cake, candels our gubbare leke aati? Ananya ne hasate huve kaha "wo to nahi lati par aapke liye gift to jarur leke aati. anyway Happy birthday Captain." " Thank you. waise to muze tumhara gift mil gaya hai" Akash ne kaha. "Mera gift?" Ananya ne pucha. "Ha tumhari company" akash ne ananya ki taraf dekhate hevu kaha. Ananya ne halki si smile kar li our wo thodi sharam gayi.

Baad me akash kedam se shant hot gaya. Ananya ne vo dekhate huve kaha "chale captain rat bahot ho gayi hai." "Ha chalo kya thodi der hum walk kar le?" "Ha chalo" ananya ne kaha. Our wo dono wahase bahar aa gaye. Raste pe chalte chalte bhi akash shant tha. To fir ananya ne pucha "kya bat hai captain khud ke birthday pe aap bahot shant ho? Akash ne ananya ki taraf dekha our kaha " aaj muze mari maa ki bahot yad aa rahi hai". "Maa ki yaad? Kaha hai wo? Kahi dur hai kya? aap phone kar lo nahi to chutti leke milke aao" ananya ne kaha. Akash ne uski our dekhte huve kaha " itna asan nahi hai maa se bat karana ya milana." Ye sunke ananya akash ki taraf dekhne lagi use laga ki akash ki aakho me pani hai. "Kya huva captain?" ananya ne puchha. "nahi kuch nahi, Chalo ham taxi lete hai" ye kahate huve akash taxi ki taraf cross karke chala gaya. Taxiwale se bat karnete huve usne ne piche dekha to ananya abhi tak wahi khadi thi isliye akash ne use awaj de di. Apni soch me hi ananya rasta cross karne lagi. Akash ananya ki taraf dekh raha tha. Baju se aati car pe ananya ka dhyan nahi tha.

"ANANYA" akash jor se chilaya. Apana nam paheli bar akash se sun ke ananya chouk gayi our samane dekhne lagi. Akash uski taraf doudke aa raha tha our baju se car bhi pass aa rahi thi. Isse pahele car ananya ko takkar mar deti akash ne ananya ko apni our khich liya. Our dono raste pe gir gaye. girte huve ananya ke hath pe chot lag gayi. "tum thik ho na ananya" akash ne use hat dete huve pucha. "Ha mai thik hu" ananya ne uthate huve kaha. Ye sab dkhete huve khada taxi driver car wale ko gali dete huve unke pass aa gaya "ye log xxx aap dono thik ho? chalo sahab aapko hotel chod dete hai."Akash our ananya taxi me baith gaye our hotel aa gaye.

Lift me akash ne dekha ke ananya ke hath pe chot lagi hai. Wo dekhake akash ne ananya se kaha "tumhe to chot lagi hai chalo hum hospital me chalte hai" "nahi captain chotisi chot hai mai dawai laga lungi"ananya ne kaha. Room ke pass ane par akash ne ananya se kaha "chalo, tumhara dressing kar deta hu." Dono andar aa gaye, ananya bag se first aid box leke aayi. Wo thoda awkward feel kar rahi thi ye dekhake akash he kaha "Kya bat hai tumhare pass first aid kit hai?" "Ha ye mere maa ka kamal hai, unhone muze ye chota first aid kit banake diya hai. mai hamesha ise carry karati hu" ananya ne kaha. Maa ka nam sunke akash fir se chup ho gaya ye ananya ne notice kiya. "Captain aap maa ke bare me kuch bata rahe the?" Ananya ne desperate hoke puch liya. Akash ne ananya ko dekha our kaha "bahot rat ho gayi hai ananya tum so javo kal hamari flight hai" our wo wahase chala gaya.

Akash apni room me aa gaya our thodi der balcony me udas khada ho gaya. phone ke ring ki awaj sunke wo andar aa gaya. usne apana phone dekha. Lekin us pe koi msg ya miss call nahi tha so usne apni bag kholi our dusara phone nikala uspe jai ka msg tha so akash khush ho gaya. chalo ye kam to ho gaya.

Dusare din ananya jaldi taiyar ho gayi, apna saman pack kar liya. Room lock karke wo akash ke room ki taraf jane lagi to use samane se akash ata najar aaya. our akash ne use dekhake puchha "ananya tum yaha kaha ja rahi ho?" tab ananya ne kaha "wo mai aapke pass aa rahi thi matlab aapko thanks bolne, aapne kal meri jan bachai our airport janese pahale mai aapko thanks bolana chahati thi isliye. "It's all right ananya, chalo hum airport chalte hai." Akash ne bola.

Delhi pohach jane par akash ne bola "chalo first officer kal to chutti hai, aapaka kya plan hai?" "kuch khas nahi, maa ke sath bahar javungi ya shefali meri bahan uske shath kahi shopping" ananya ne kaha."shefali? ye wahi hai na jo us din gadi chala rahi thi?" akash ne puchha. " ha wahi hai shefu jo us din gadi chala...ek min captain iska matlab hai ki aapko pata tha us din shefali gadi chala rahi thi to fir aap bar bar muze gadi sikhane ke liye kyo kaha rahe the?" ananya ne gusse se puch liya. Akash ne jorase hasate huve kaha "sorry ananya wo to mai tumhari aaisehi khich raha tha, actually maine us din use drivng seat se baju ke seat pe jate huve dekha tha. Our agar muze tumhe gadi shikhane ka mouka milata to mai chodata kya?" tab ananya bhi hasane lagi our boli "captain aap bhi na". "chalo tumhe ghar chod deta hu" akash ne kaha our wo taxi ki taraf jane laga to ananya ne kaha "kya bat hai captain? mai fir se ne gadi thok du is dar aap ne gadi nahi layi?" ha ha ha akash fir se hasne laga. Dono taxi me baith gaye.

Taxi ananya ke ghar ke bahar ruk gayi our ananya bahar aa gayi our usne akash se kaha "captain chaliya na andar....lekin akash ne uski bat kat di our kaha "nahi ananya aaj nahi fir kisi din. Aaj muze ghar jaldi jana hai" our taxi waha se chali gayi.


Ananya ghar ke andar aa gayi uski nanaji ne puch liya "aagayi beta kaisi thi flight ? thak gayi hogi na jakar aram kar le" "ha nanu flight thik thi. Maa mai fresh hoke aati hu muze bhuk lagi hai" ananya ne jorse maa ko aawaj de di. Our apane kamre me aa gayi. Waha shefali khadi thi. Ananya ne use puch liya "kya huva shefu aaisi kyo khadi hai?" "kon tha wo" shefali ne puch liya. "Kiske bare me bat kar rahi hai?" Ananya ne bahana banaya. To fir shefali boli "achha kiske bare me? Aabhi batati hu. Nanu...

"chop ho ja meri ma ! batati hu wo captain akash the. Tumhe yad hoga hamari gadi..."

Akash taxi me ghar ja raha tha. Chehere pe udasi thi. Upane aap se wo kah raha tha kya kaha maine ananya se? ghar jaldi jana hai? Ha tas lok intajar kar rahe hai na ghar pe. Ghar ! my foot ! ye aaisa hota hai ghar ? jaha mere siva koi nahi hai?... sahab aagaya... taxi driver ki aawaj se akash hosh me aagaya our usne taxi chod di.


Darwaje ke pass aake usne chabi nikali par isse pahale wo lock kholata andar se darwaja khul gaya. darwaje pe aapni dayi ma ko dekhkar akash khush ho gaya. "dayi maa aap kab aayi? Ye kahate huve akash apni dayi maa ke gale lag gaya? dayi maa ne bhi akash ko gale laga liya our andar le aayi our boli. "Akash baba tum fresh ho javo mai chai banati hu".

Akash fresh hoke aa gaya chai pite usne dayi maa ko puch liya " aap kab aayi?" "kalse aayi hu, Tumhara janamdin tha na? par tumhara pata kaha hai? tum to hava me udate rahate ho" dayi maa ne hasate huve kaha. Us bat pe akash ne smile kar di. Fir khidki se bahar dekhate huve usne dayi maa se puch liya " ghar pe sab kaise hai dayi maa? Maa our Major Saluja?" "aapne papa ko nam se bula rahe ho akash ?" dayi maa ghusse se boli. " to kya bolvu? our mere papa bulane se kya sab kuch badal jayega? maa kyo nahi aati yaha? Nahi kabhi muze phone karati hai. kya unaka man nahi karata? muze pata hai kyo nahi aati, papa nahi aane dete unhe. Us ghar me jate hi sab log military me bharati ho jate hai. Shayad mere ek galati ki saja muz ko jindagi bhar bhugatani pedegi." Akash bhi gusse me bola. " shant ho jao akash baba" dayi maa boli. tabhi akash ka phone bajane laga akash ne jake phone utha liya.

" Happy birthday to u... Happy birthday to u" phone pe koi gana ga raha tha. Awaj sunke akash khush ho gaya. gana khatam hote ki usne kaha " anu !!!! thank you my dear little sister" " ye kya bhaiya mai kal se aapaka phone try kar rahi hu, kaha the aap?" Anu ne puch liya. " anu meri flight thi kal, par muze tera greeting pahelehi mil gaya tha so maine socha ki atleast mere choti bahan ko to mera birthday yad hai U S jake bhuli nahi tu aapne bhai ko" akash ne kaha. "Kya bhaiya aap har bar meri tang khichte ho. Our ab mai waha nahi hu to our kisi ko target kiya hai ya nahi" Anu boli. akash hasne laga our bola " I miss u anu, waise tu bata kaise hai tu our teri padhai kaisi chal rahi hai?" I miss u too bhaiya, mai thik hu our meri padhai bhi abhot achhi chal rahi hai"... Baiya dayi maa aayi hai na? kal maa ka phone aaya tha muze, aapko bahot yad kar rahi thi" anu ne bataya. " ha maa tuze U S phone kar sakati hai, lekin muze phone nahi kar sakati. muze sirf yad kar sakati hai" akash ne kaha. " bhaiya aap to jante ho na? ...anu kuch our bol pati ki akash ne kaha " anu muze us topic pe koi bat nahi karani". "ok bhaiya wo sab chodo, ye batado indair me koi interesting mila ke nahi? Maine suna hai indeair ki airhostess bahot sundar hoti hai" anu ne bat badalate huve puchha. "hmm mila to hai par airhostess nahi, pilot hai." Akash ne hasate huve kaha. "Kya matlab? lady pilot hai? Sach me? Kaisi hai bhaiya? Our nam kya hai? Our ...Akash ko anu ke sath hasate bat karate huve dekhkar dayi maa aankhe pochati huvi andar chali gayi.

Dusare din subah dayi maa akash ke kamare me aayi. Akash gehari nind me tha. Akash ... akash baba dayi maa ne awaj de di." kya hai dayi maa, sone do na aaj chutti hai." Akash ne kaha.

Dayi maa ne use kaha ke koi gadi our chabi deke gaya hai our uska phone bhi baj raha tha. Phone ki bat sunke akash zat se utha gaya. usne apana phone dekha fir bag me se dusara phone nikalake dekha waha 2 miss calla the. Akash ne wo no dial kar diya. Our bat karne laga " yas sir...thik hai sir...mai ek ghante me pohach javunga, dayi maa muze kuch urjant kam aaya hai, mai tayar ho jata hu aap please chai bana do".

Akash ne road pe apni gadi rok di idhar udhar dekha us road pe koi nahi tha tabhi dusari gadi waha aake ruki. Akash apni gadi se utar ke dusari gadi me jake bhith gaya. "kya bat hai sir? Etna urgently muze kyo bulaya? Waise to hum rat ko milne wale the" akash ne puchh. "Akash mahima is dead " sir ne kaha." What ? kya bat kar rahe ho? Akash ne puchha. "akash hame subah jaldi pata chala par TV pe aabhi news aayi hai ki mahima ne banglore ke hotel se kudkar suicide kar liya." sir ne bataya. "that's imposible, sir aap janate ho ki mahima bahot strong hai. Wo aise nahi kar sakati, kuch to gadbad hai, sir muze thik se puri bat bata do, " akash ne kaha."

" akash mahima us din rohit ke sath gayi thi, location chandigarh ki thi. rat ko der se wapas aayi. Rohit ki personal flight jaha land hoti hai waha kisi ko jane ki permission nahi hai isliye waha saman uthane wale ladake ko hamane pataya tha usne dur se ek ladki ko rohit ke sath us flight se utarate dekha tha. Kal tum delhi wapas aaye tabhi mahima ki banglore flight thi. Our mahima ne board kiya tha ye record hai. lekin problem ye hai ke mahima ne wapas aane ke baad aabhi tak hame contact nahi kiya hai. Isliye doubt ho raha hai" Sir ne kaha. "Sir mai pahele banglore our baad me Chandigarh jata hu" akash ne kaha. " nahi akash maine jai ko chandigarh bhej diya hai wo puri jakari hasil karke aayega. Tum is mamlese dur rahoge. Hame mission ko bhulana nahi hai. Our muze pata chala hai ki rohit ne comissonar se bat kar li hai mahima ki body kal yaha aa jayegi. Dinesh mahima ki family ke sath airport chala jayega. Tum sirf aaj mahima ke ghar jake bat kar lo. Mahima ne agar apne ghar pe koi phone ya msg choda hoga to pata karo our." Sir ne pura plan bataya.

Akash mahima ke ghar pe aaya. megha ne darwaja khola. Akash ko dekhake wo rone lagi. Akash use pakadake andar leke aaya. usne megha se puchha "aunty kaha hai?" "upar apane kamare me" megha ne kaha. "Chalo wahi chalte hai" kah kar akash our megha upar kamare me aa gaye. " akash ya kya ho gaya, meri beti mahima eesa nahi kar sakati" mahima ki maa bhi rone lagi. Akash ne dona ko samzaya. Thodi der baad usne megha se kaha ke "megha chai bana ke lavo. Maa ko dawai deni hai na?" to megha niche chali gayi.

Ye dekhate huve akash ne mahima ki maa se kaha "aunty maine jan bhuzkar megha ko niche bhej diya hai. Sirf aap janati hai mahima kya kam karti thi. Aapko himmat se kam lena padega. Hame mahima ke suicide ke bare me bahot doubts hai. Aapko hamara sath dena padega. Sach kya hai ye ham janke rahenge. Kya mahima ne is ek do din me ghar pe koi phone ya msg bheja tha?" "phone to nahi aaya par wo our megha ek dusare ko roj rat ko msg karati thi. Waisa msg aaya tha." Mahima ki maa boli. "muze wo msg dekhana hai" akash ne kaha. Mahima ki maa ne use mobile dikhaya. Us pe msg tha "seeta our geeta movie dekh rahi hu. Time pass movie hai"

Megha chai leke wahi aa gayi. Aksha ne fir unhe bataya ki kal dinesh unke sath airport jayega. Thodi der baith ke akash waha se chala aaya.

Edited by charuta - 10 years ago
saito thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#5
First to comment
It was beautiful and interesting
loved it
continue soon
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#6

Originally posted by: zubiya92

Wow
Awesome update
Love it
Cont soon

thank you so much
akyabiggestfan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#7
It's a great chapter...loved It...when will you update next one??
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#8

Originally posted by: akyabiggestfan

It's a great chapter...loved It...when will you update next one??

thanks, will try update very soon
charuta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#9

ch 3


Dusare din airport pe akash Mr Rohit Mafatlal ke office me baitha tha. Rohit bahot pareshan lag raha tha. office me wo idhar udhar chakkar kat raha thaa. " aapne muze kuch kam se bulaya tha?" akash ne puch liya. "Ha wo tum senior pilot ho isliya kuch bat karana chahata tha. maine captian Rathore ko bhi bulaya hai." Rohit ne kaha. akash samaj nahi pa raha tha ki rohit kya bat karana chahata hai? Mahima ke bare mai? Lekin uske bare me wo hamse kya bat karega? Our kyo? Kahi use mahima or mere bare me pata to nahi chal gaya? nahi nahi agar hamare bare me hota to wo captain Rathore ko kyo bulata? "captain akash wo maine ...rohit ki bat puri hone se pahale Mr sen achanak waha aa gaye to rohit unpe naraj ho gaya " Mr sen andar aanese pahale aapko knock karana chahiye "sorry sir lekin police aayi hai wo mahima ke case ke bare me kuch puchane" mr sen ne kaha. "captain akash ham baad me bat karate hai ye kahke rohit waha se mr sen ke sath chala gaya.

Ananya airport pe aa gayi wo mahima ki news sunke bahot udas thi. Ek mahima hi thi jo indeair me uski bahot achhi dost ban gayi thi. Ananya pilot waiting room me gayi waha koyi nahi tha fir wo coffee leke baith gayi. uski aaj banglore flight thi captain Rathore ke sath. Our unhe mahima ki body ko leke aana tha. wo apni soch me dubi thi ki waha akash aa gaya.

ananya ko aaise udas baithe dekha ke akash uske pass baith gaya our usne ananya ko aawaj di. "first officer aap thik hai?" akash ki awaj sunke ananya apne khayalo se bahar aa gayi. "captain aapne news sunhi? wo mai mahima ke bare me soch rahi thi." akash ne sar hila diya. Ananya fir boli "captain mahima bahot achhi thi.shefu our megha ki wajah se ham dono bhi dost ban gaye the. ham dono ne bahot bar ek sath fly kiya hai our jab sath nahi hote tab bhi phone ya msg karte rahate the. Parso bhi usne muze msg kiya tha." ye bat sunke akash alart ho gaya. usne ananya se puch liya "kya msg baheja tha mahima ne? our kab" " kuch khas nahi use movie dekhana bahot achha lagata tha. us bare me kush tha, wo ham khana khane gaye the na us din" ananya ne kaha. Akash uska phone dekhana chahata tha. isliye usne bahana bana diya. Our apana sar pakad liya our ananya se kaha " first officer aapke pass koi sar dard ki dawai hai? Mere sar me bahot dard hai." "oh abhi deti hu" eesa kahake ananya apne bag ke pass gayi goli nikalne lagi our akash ne waha pe rakhe uska phone utha liya our msg padh liya our wapas rakh diya. Ananya goli our pani leke aayi akash ko de diya. Akash ne pani our goli hat me lete huve puchha "aap kaha ja rahi hai aaj our kiske sath?" "banglore ja rahi hu Mr Rathore ke sath, our mahima ki body bhi ate time hamari flight pe hi hogi. Ham sham tak wapas aa gayenge". Ananya ne kaha our puchha "our aap?" akash ne flight ki announcement sunte huve kaha " Aurangabad, chalo sham ko milte hai".

Aurangabad ki flight me akash rohit ke bare me our mahima ki msg ke bare me soch raha tha. Aurangabad me pochan ne ke baad usne apane co pilot se kaha ke wo airport manager se milake aata hai. Bahar aake akash ne apane sir ka phone lagaya. "Ha bolo akash, kaha se bat kar rahe ho?" sir ne puchha. " sir mai aurangabad me hu meri turn around flight hai. Isliye muze jaldi jana hai, Sham thak wapas aa gavunga. Par mzue kuch urgent bat karni thi isliye phone kiya. Sir mahima ne ek hi msg dono ko kiya hai our muze lagata hai wo hame kuch hint de rahi hai, aap mahima ka body ka DNA test karava lo. Hamare pass to sab officers ke DNA our blood group vagare sab info hota hai. Ham use match karava lenge. Muze doubt ho raha hai jo lagaki mari hai wo mahima nahi hai" " kya ? par thik hai akash tum kah rahe ho to mai ye sab karava leta hu. Hum rat ko dinesh ke ghar pe mil rahe hai. aagaka plan banana hai." Sir ne kaha. ok sir kahake akash firse flight ki taraf gaya.

Ananya ki flight delhi wapas aa gayi. mahima ki maa our megha ko dekhake use bahot bura lag raha tha. mahima ki body ko ambulance leke gayi fir ananya waha nahi ruk saki wo bhi ghar chali gayi.

Rat ko akash dinesh ke ghar aa gaya. dines ne use drink offer kiya. "tension kam karne ke liye de rahe ho dinesh"? akash ne puchha. "nahi sir ye to kushi ka jam hai" dinesh ne kaha. "kya matlab" akash ne puchha. "akash good news, tumhara doubt sach nikala. Wo body mahima ki nahi hai. DNA match nahi kar raha" Sir ne bich me kaha. "Iska matlab ye hai ki mahima jinda hai." Akash ne khush hote huve kaha. "yes akash, mahima jinda hai. ye sab DNA ke wajah se pata chala par tumhe ye khayal kaise aaya?, " Sir ne puchha. "sir mahima ne megha or ananya donko ko ek hi msg bheja tha. shayad so hame kuch msg bhejana chahati hoti par bhej nahi pai. Wo msg me koi to bat hogi aaisa muze lag raha tha. fir maine socha seeta our geeta to bouble role ki movie hai shayad mahima veisa kuch kahena chahati hogi to? Isliye maine DNA karane ke liye kaha." akash ne kaha.

" pahele ek bat yad rakho ke ye bat sirf hamare bich hi rahegi, jab tak hame hat me kuch pakke sabut nahi aate, sir ne kaha. "chalo ab aage ka plan karate hai." Dinesh ne kaha. " pahele kuch khana to milega ke nahi? Akash ne kaha. yes sir keheke dinesh vaha se tayari karane gaya. tabhi sir ne puchha "akash ye ananya tumhari co pilot hai na? mahima ne megha ko msg kiya ye mai samaj sakata hu par ananya ko msg kyo kiya? " sir kyonki mahima janati thi ki megha se or ananya se bhi muze hi mil hi jata." Akash ne kaha. " ananya tumhe hi kyo batati? Iska matlab hai ki aajkal tum ye co pilots ke sath bahot waqt bitate ho aaisa lagata hai." Sir ne kaha. " nahi sir eeisi koi bat nahi hai." Akash ne idhar udhar dekhate huve kaha. "akash ye tum kya kar rahe ho ? hamara mission our us ladaki ki safety dono ko tum dav pe laga rahe ho." Sir ne kaha. tabhi dinesh waha aa gaya isliye wo our akash chup ho gaye. unhone khana khate khate bate karana shuru kiya.

Ek kamare me mahima soi thi, usne aapni aankhe dhire dhire kholi lekin use sirf aandhera najar aaya. thodi der wo idhar udhar dekhati rahi our fir uski najar saf ho gayi use dikhne laga. Usne dekha ki chota sa kamara hai, jaha jada saman bhi nahi hai. Ek taraf bathroom hai our dusari taraf ek khidki our baher jane ka darwaja hai. ek kone me pani tha. tab use ahsas ho gaya ki use bahot pyass lagi hai, wo diwar ki madat leke khadi ho gayi. usne jake pani pi liya our apane chehere pe bhi pani dalke fresh kar liya. Baad me jake usne darwaja our khidki kholne ki koshish ki par wo nahi khula. Use pata nahi chal raha tha wo kaha hai. Fir wo aakar bed pe baith gayi. maa ki our megha ki yaad se use rona aane laga. Tabhi darwaja kholane ki awaj aai. Our mahima waha dekhne lagi. Ek ourat anadar aa gayi, usne aake khidki kholi. Mahima ko usne chai our kuch khane ke liye diya. Mahima ne wo chai pi li. Our use puchha ki wo kon hai ? our ye konsi jagah hai? Par us ourat ne jawab nahi diya our khidki band karke bahar chali gayi. our darawaja bhi bahar se band kar liya.

Subah aananya tayar ho rahi thi. aaj uska mood bahot kharab tha. tabhi uske nanaji waha aa gaye our usne ananya se kaha ki wo aapni maa se bat kar le wo bahot upset hai. Ananya apani maa ke kamare me aayi. Ananya ko dekhake uski maa ne aapana chehera dusari our kar liya our aapni aakhe poch li. Itne me waha shefali chai leke aayi. Ananya chai our dawai apani maa ko de di. Shefali ke waha chale jane ke baad ananya ne ma se kaha " maa kya kar rahi ho? Unke liye ro rahi ho jinko kabhi tumhari parva hi nahi thi? unhone kabhi tumhare bare me nahi soch. tume pareshani, dookh-dard ke siva khuch nahi diya. Our aap hai ke unko aabhi tak yad karake ro rahi ho."

Ananya ki maa ne use dekha our kaha "bata aaj tera janamdin hai our aaj ke hi din tere papa hame chod ke chale gaye the. Ye bat tu bhul payi hai? Us din ke baad tumne kabhi aapana janamdin bhi nahi manaya. Mai unko yad karake nahi tere liye ro rahi hu. Agar tu ye bat nahi bhuli to tum apana janamdin kya nahi manati?" maa ki bato ko sunke ananya chup ho gayi. aapne maa ke gale lagake rote huve boli "ye sab mai bhulana chahati hu maa lekin nahi bhul pati ke mere papa mere birthday ke din hame chod ke chale gaye. aaj ke din muze wo sab purani bate yad aati hai. Mera pura bachapan, aapka akela pan, logoki bate. Our fir aap hi batodo mai kaise manvu apana janamdin?

Thodi der baad wo shant ho gayi. our usne apni maa se kaha " maa meri flight hai muze jana hai. Aap meri chinta mat karo. Aap apan khayal rakhana. Mai rat ko phone karati hu. Ananya ne shefali se maa ka khayal rakhane ko kaha our wo airport aa gayi.

Akash airport ki taraf gadi me ja raha tha. wo aapni khayalo me khoya tha. wo bar bar mahima ke bare me our rohit kya bat karana chahata is ke bare me soch raha tha. usne aapne sabi informers ko kam pe laga diya tha, par aabhi tak kahi se bhi kuch khabar nahi aayi thi.

Goa ki flight me akash ko laga ki ananya aaj kuch chup chap hai. Usne ananya se puch liye par ananya ne bat tal di. Rat ko akash ko ananya kahi najar nahi aayi isliye akash uske kamre ke pass aa gaya our wo door knock karata ke use ananya ki bate sunai di.

" nahi shefu mera mood nahi hai kahi jane ka... ...ha era birthday hai par aaj tak kabhi maine aapana birthday manaya hai jo aaj manavungi?... tu ma ko bol de mai thik hu, our ma ka khayal rakhana. phone rakahti hu.

Ya sunke akash hairan ho gaya, aaj ananya ka birthday hai fir wo etni upset kyo hai? Muze kya karana chahiye abhi? Kuch soch ke wo waha se chala gaya. thodi der baad ananya ke room me usne phone kiya our kaha " ananya jaldi niche aao. bahot urgent kam hai." Ananya ko laga ke akash ko kuch huva hai isliya wo jaldi me niche aayi. Akash najar ate hi usne puch liya "kya huva captain?" "chalo mere sath" kaheke akash use beach pe leke aaya waha ek motar boat khadi thi us pe wo jake baith gaye our motor boat chalane lagi. Thodi duri pe jane ke baad akash ne kuch flowers nikale our ananya ko diye our kaha " happy birthday ananya" ye sab dekhake ananya hairan ho gayi, flowers lete huve usne akash ko thanks kaha. akash ne kaha


" ananya sorry maine tumhe phone pe bat karate sun liya. Mai janta hu tum kisi bat se upset ho. Par aaj ke din to tumhe khush hona chahiye". Apane aakho me aaye pani ko ananya ne poch liya our usne akash ki taraf smile kar diya. Thodi der baad akash ne kaha " ananya tum us din puch rahi thi na mere maa ke bare me. Kuch wajah se ham sath nahi rahete. Lekin mai unko bahot miss karata hu. Par tum to lucky ho apane family ke sath rahati ho. Hamesha maa, shefali , nanaji ke bare me bat karati raheti ho. Mai janta hu aaj tumhari pass bhi koi wajah hai upset hone ki lekin maa ke liye tum khush nahi rah sakati? Atleast dikhana to kar sakati ho. Unhe, nanaji ko khushi mil jati." Ananya ne uski bat sunke sar hila diya our kaha "thanks captain." "ananya ab ham dost hai na fir ye thanks kyu? Our captain kyu?" akash ne kaha. "matlab?" ananya ne puchha. Fir hasate huve akash ne kaha "madam dosti me no sorry and no thank you. our tum muze akash bula sakati ho mai bura nahi manuga." Uski bat pe ananya ne smile kar di. Thodi der boating karke wo wapas aa gaye. akash ne use khane ke liye pucha lekin ananya ne kaha ki wo room me jake shefu se our maa se bat karana chahati hai.

Room me aake ananya ne ghar pe phone lagaya our shefali se kaha ke wo kal sham tak ghar ja jayegi our rat ko wo sab ananya ki birthday ki khushi me dinner ke liye bahar jayange. Maa our shefali ki aawaj sun ke use pata chal raha tha ke wo sab kitne khush ho gaye hai. Thodi der wo unse bate karati rahi. Baad me uske room ki door bell baji ananya ko laga shayad akash hi hoga isliye usne bhagake darwaja khola. Lekin darwaje pe waiter tha uske hath me bada milk shake ka glass tha. uske sath ek note tha

" janamdin par bhuka nahi rahete" ananya wo leke andar aayi. Our wo lete akash ke bare me sochane lagi. Ye sab kuch kyo kar raha hai akash mere liye? Isliye ke ham dost hai? Sirf dost ? Ya use kuch jada? Ye soch ke ananya ka dil jorse dhadake laga.

Akash apne kamre me aa gaya. usne apana dusara phone nikala usne sabhi informers ko phone lagana suru kiya. Kisi ke pass mahima ke bare me koi jankari nahi thi. fir akash ne unhe kuch instructions diye our wo aage ke plan ke bare me sochane laga.

Mahima kamare me rat ko khana kha rahi thi. us ourat ko firse se wo sawal puchane lagi. Aap batati kyo nahi mai kaha hu? Aap kon hai? Muze yaha kyo pakadke rakha hai? Par fir us ourat ki taraf se koi jawab nahi aaya. our wo chali gayi. fir mahima sochate sochate rone lagi. Akash kaha ho tum? mai janati hu tum muze dhoond rahe hoge. Lekin kya akash ko mere meg mil gaye honge? Our msg ki meaning samaj aa gayi hogi? Ya wo sab ye man chuke hai ke mai mar gayi.

Dusare din airport pe jate huve ananya ne akash se thanks kaha. "sirf thanks?" akash ne puccha. Ananya ne hasate huve kaha abhi to sirf thanks lekin hamari agali flight pe wo akash ko party degi. " parathe khilane padenge" akash ne kaha. ananya "ha khila dungi " kahake hasane lagi.

Delhi ane pe akash ne Anaya se kaha muze kuch kam hai mai chalata hu. Our wo apni gadi leke chala gaya. ananya bhi taxi leke ghar aa gayi.

Rat ko ananya apani family ke sath dinner karake aai. Sab lok bahot khush the. Wo dekhake ananya ko akash ki bate yad aa rahi thi. wo terrace pe gayi. our waha se usne akash ka phone lagaya par laga nahi isliye usne akash ko msg bhej diya. "Yaha kya kar rahi ho didi" shefu ne puchha. Achanak shefu ki awaj sunke ananya chowk gayi our usne kaha"nahi kuch nahi." " didi ye sab kiska idea tha? tumhara to nahi ho sakata. shefu ne fir puchha. Fir ananya boli " hmm sach kahu ? akash ka, use hi msg bhej rahi thi." uspe shefu boli" ohhh akash ka? didi pahale to captain saluja baad me captain akash our ab sirf akash? Kya bat hai. Ye sunke ananya smile karne lagi. Wo dekhake sufu boli "di kya tum captain akash se pyar to nahi karne lagi? Uspe ananya boli "kuch bhi mat bol shefu. Ham to sirf dost hai, chal niche chalate hai." ye kahake ananya hasate huve niche chali gayi.

Edited by charuta - 10 years ago
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#10
Hey nice part and nice suspense

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".