loved it
continue soon
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 29th Sept 2025.
PAAV PHISLAA 29.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Sep 2025 EDT
India Won Asia Cup 2025- Trophy Missing! Glory Without the Trophy?
And Janhvi gives another flop!!
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
101 ways to patau your pati
Trump's 100% tariff on Bollywood films
Aishwarya Rai at the Paris fashion week
Bhagwan Ke Charnon Mein Swarg
✦ Font-astic Voyage Contest Voting Round 1 | Invites ONLY ✦
What's next? (Multiple votes allowed)
The Pilot Pirates | Book Talk Reading Challenge 2025
Bigg Boss 19-Daily Discussion Thread- 30th September, 2025
Which faces u r fed up of watching
thanks dear, akya moments may be in next chapter.Originally posted by: akyalove0896
it was awesome.desperately waiting for akya moments.please update soon😊
thanks dear i promise next chepter akya momentsOriginally posted by: akyalove0896
Need akya moments😭
ch - 7
Dusare din akash our mahima nursing home aa gaye waha sir unka intjar kar rahe the. "Mahima ye hai Dr joshi our unki mrs vandana joshi ye bhi dr hai. Dr joshi ye hai mahima, Dr ye meri bati jaisi hai. mahima tum ab kuch dino ke liye Dr vandana joshi ke sath unke ghar me rahogi. nursing home me nahi." sir ne kaha. "Dr ye wo pawder hai jo mahima ko de rahe the." Akash ne unhe kaha. " sir meri maa our megha... wo kab aayegi?" mahima ne puchha. "mahima megha our maa kal ye parso me tumhe milne aayngi, aksah unhe bata dega." Sir ne kaha. "mahima ab ham chalte hai, mai tumhe baad me phone karata hu" akash ne kaha.
Ek kamare me - upane boss ke samane wo dono khade the. Our wo unpe ghussa ho raha tha "ek kam thik se hota nahi hai tumse. Kuch fayada nahi huva hame wo mahima ko pakadke. uski saman me wo jo diary mili usme kya likha hai wo aabhi tak ham samaj nahi paye. Sab cinema ke bare me likha hai. shayad wo ye diary nahi jo hame chahiye. our tumne jo admi mahima pe najar rakhane ke liye rakhe the wo ekdam nikkame nikale. Our ab to mahima hamare hat se nikal gayi. our ham kya kar rahe hai? kuch nahi hat pe hat dhare baithe hai" "per boss" unmese ek ne kuch kahene ki koshish ki. " chup raho tum, ab kuch nahhi bologe sirf meri bat suno. Mahima ko jaise chudaya gaya waisa planning to sirf akash hi kar sakata hai. wo is mission pe hi kam kar raha hoga ab tum sirf akash pe nazar rakhoge. Wo kaha jata hai? kya karata hai? kis se milata hai? muze har jankari chahiye. javo abhi our hath me sab kuch info hoga tabhi aana" boss ne kaha.
Akash airport bahot jaldi aa gaya kyonki wo ananya se milna chahata tha. apne flights schedule pe sign karate huve usne ananya ka schedule dekha tab use pata chala ki ananya ki captain Rathore sath pune ke liye flight hai. Usne time dekha our socha wo to abhi flight me take off ki tayari kar rahi hogi. Aaj bhi ananya nahi milegi ye soch ke akash udas ho gaya our mr sen se milne gaya.
Mr sen captain Rathore se bat kar rahe the. Captain Rathore bahot tense lag rahe the. Wo dekhake akash ne puchha "kya huve? Aap yaha? aapki ki abhi flight hai na?" use dekhake captain rathore bole "akash mere wife ka phone aaya tha, mere papa ko abhi hospital leke gaye hai. pata nahi kya huva hai, unki old age hai so mai mr sen se kah raha tha ki mai flight nahi leke ja sakata par akash kya tum mere flight pe javoge? ..."
"mai to chala javunga captain rathore par mare flight ka kya hoga?" akash ne kaha. "are akash tumhari flight to 3 ghante baad hai na ? tab tak muze kuch manage karane ka time milega. Ab imergency aai hai to kya kare. mai jara phones karake our pilots ko bula leta hu. tum abhi capatain rathore ki flight leke javo" Mr sen bich me bole.
"Thik hai mr sen agar aap manage kar sakate hai to mai abhi flight pe jata hu. captain rathore aap hospital ja sakate hai. don't worry sab thik ho jayega"
" thanks both of you, mai nikalata hu"captain rathore waha se jaldi me nikal gaye.
Mr sen ko dekhake akash ne kaha " ok mr sen mai bhi chalata hu already flight ka time ho chuka hai." akash flight ki taraf jate huve socha ananya ko kitne dino ke baad mil raha hu.
Ananya cockpit me tayari kar rahi thi our soch rahi thi aabhi tak captain rathore kaise nahi aaye? Wo to kabhi late hote nahi hai. tabhi cockpit ka darwaja khul gaya. usne bine turn kiye bol diya "good morning captain rathore" "good moring to you first officer rawat" akash ne kaha. uski aawaj sunke ananya ne piche dekha our kaha "aap" "ha wo captain rathore ko family imergency aagayi isliye wo ghar chale gaye" akash ne kaha. akash our ananya dono ek dusare ko dekhake abhot khush ho gaye the. "kaisi ho tum ananya?" akash ne pucha. " mai thik hu captain, flight ka time ho raha hai" ananya ne kaha. pune pohach jane par wahi unka ghanta stop tha our wo wapas delhi aane wale the. Akash ne use kaha ki kuch kha lete hai par ananya tayar nahi huvi. Usne kaha "nahi captain aap kha lo muze bhuk nahi hai. akash samaj gaya ananya aabhi bhi naraj hai isliye wo bhi wahi baith gaya.
"ananya thank you" akash ne kaha. "thanks wo kis liye? Ananya ne pucha.
"Meri bat sunke tumne international flight ke liye ha kaha isliye" akash ne kaha. uspe ananya ne kaha " ha wo nanu our maa ne bahot insist kiye..." ananya ne kaha. pune se wapas aane par akash ne ananya se pucha "ananya abhitak muz se naraj ho kya? mere sathi khana khane bhi nahi aayi our jada bat bhi nahi kar rahi ho?"
"nahi captain aaisi koi bat nahi hai, mai chalti hu muze ghar thoda jaldi jana hai" ananya ne kaha. lekin thodi duri par jane par wo wapas aagayi our akash se kaha "captain aapki friend mil gayi thi muze."
Akash ne pucha "kon friend?"
"wohi Natasha mumbai wali, aapke bare me puch rahi thi?" ananya ne kaha.
uspe akash ne hairan hoke pucha ki "to tumne kya jawab diya?"
"muze kaha aapke bare me kuch malun tha jo mai jawab deti" ye kahake ananya chali jane lagi par tabhi un dono ko mr sen ka msg mila ke wo akash our ananya se milana chahate hai. isliye wo dono mr sen ko milne ke liye gaye.
"mr sen aapne hame bulaya?" akash ne pucha. "ha akash, ananya wo kuch dino me me IASS - Indain Air safety Seminar hai jis ke liye indeair ko invite kiya gaya hai so hamare yaha se captain rathore our karan jane wale the par tum to jante ho ki captain rathore unke family problem ki wajah se shayad ye seminar attend na kar paye. Our karan ne bhi mana kar diya to Rohit sir chahate hai ki aap dono wo seminar attend kare. Aabhi tak date to fix nahi huvi. Par seminar ke waqt tumhe kuch din wo seminar venue pe jake rahana padega isliye pahale bata raha hu. Actually tum log to IASS ke bare me sab kuch jante ho, samaj lo ye ek formality hai par attend karana imp hai So mai pahele hi tumhe inform karana chahata hu taki tum log tayyari kar lo." Mr sen ne kaha.
"thik nai mr sen" akash ne kaha our wo our ananya waha se bahar aa gaye. "tumhe koi problem to nahi aayegi na seminar attend karane ke liye?" akash ne ananya se pucha.
" nahi waise to koi problem nahi aayegi per nanu se bat kar leti hu. chalo mai chlati hu" ananya ne kaha.
" ananya mai tumhe chod deta hu mere gadi leke driver aaya hoga" akash ne kaha. "nahi mai chali javungi" ananya ne kaha. "ananya mai janta hu tum muzse aanhi bhi naraj ho par gadi me mere sath ghar tak aane me bhi tumhe problem hai kya?" akash ne pucha. Uspe ananya ne uski taraf dekha our kaha."Thik hai chaliye" our wo dono gadi ki taraf gaye.
Ananya ko ghar chod ke akash ghar jane laga tab usne apne driver raju se pucha "raju maine tumhe jo kam karane ke liye kaha tha uska kya huva?" " sir wo mai mahima madam ke ghar ke yaha gaya tha wahi wo log aabhi bhi najar lagaye baithe hai. so aapne jaisa kaha tha maine waisa hi kar diya hai. unki maa jab walk pe jati hai to maine aapka note our sim card chupkese unhe de diya hai. ub wo aapko contact karegi." Raju ne kaha. "thik hai raju ab ghar chalo" akash ne kaha.
Rat ko akash ka phone baja mahima ki maa ka phone tha. " akash kya bat hai tum ne aaisa sim card kyo bheja? Our aaise phone karne ko kyo kaha? sab thik hai na?
"aunty maine aapko khush khabar dene ke liye phone kiya hai. mahima ki detha ke bare me hame jo doubt tha wo sach nikala. Wo dead body kisi our kit hi thi. mahima ki nahi. mahima jinda hai our hame wo mil gayi hai." akash ne kaha.
" sach kah raha hai tu akash. muze to yakin nahi ho raha. Muze dil se lag raha tha ki wo mahima nahi hai. mai kab mil sakti hu mahima se?" Mahima ki maa ne rote huve pucha.
" aunty please ro mat, aap ko to khush hona chahiye aap ki beti wapas aa gayi hai. ab mai jo kah raha hai wo suno. Aapke ghar pe najar rakhi ja rahi hai, mahima ke liye. so aapko har kam dyan se karana hai. mahima ek nursing home me hai waha ka address mai apko sms kar deta hu. aapko waha by appointment hi jana hai. taki kisi ko doubt na ho. Aap ki tabiyat thik nahi hai aaise bahana karo. Our waha jake sirf Dr vandana Joshi se milna hai unhe sab pata hai. par khayal rakhana ki megha bhi is bare me kisi se kuch bat na kare.our mahima ka kuch saman sath me chupkese leke jana. mahima ke sath bat karni ho to yahi no use karana.thik nai ? aap apana bhi khayal rakhana. mai aabhi aapko aake nahi mil sakata par phone karta rahunga." akash ne kaha. " thik hai akahs mai khayal rakhungi our megha ko bhi sab samja dungi. Mai mahima se milne ke baad tumse baad me bat karati hu. mahima ke maa ne kaha.
Ananya our akash ne flight se mumbai ja rahe the. Tabhi shruti cockpit me coffee/ sandwich leke aayi our usne akash se pucha. "Hello captain aap kab aye chutti se?" "are muze to 2/3 din ho gaye par tum kaha thi?" akash ne use pucha. "wo mai dusari flights pe thi. par hamne aapko bahot miss kiya. bahot udas udas the ham sab yaha, thik se khana bhi nahi khaya jar aha tha." shruti ne najarose ananya ki taraf ishara karate huve akash se kaha." akash sanaj gaya shurti ananya ke bare me bat kar rahi hai usne smile karte huve puchha "sach? Maine bhi tum sabko bahot miss kiya.chalo aaj mai sabko khana khila deta du." Shruti haste huve bahar chali gayi. ananya bhi unki bate sun rahi thi par usne koi raction nahi dikhaya. fir akash ne sandwich uthaye our ananya ke mu ke pass leke gaye our kaha " lo kha lo" "ye kay kar rahe hai aap. Mai khud kha lungi captain". Ananya aqward hote huve boli.
"are shruti ne to abhi kaha ke tumne muze bahot miss kiya. khana bhi nahi khaya. Bahot udas thi isliye khila raha hu" akash haste huve bola.
"captain wo mare bare me nahi sab ke bare me bol rahi thi" ananya jawab diya.
" to kya tum sab me shamil nahi ho?"sach bata do tumne muze miss nahi kiya? ye kha to lo " akash ne insist karate puchha.
"muze nahi pata" ananya ne idhar udhar dekhate huve kaha our akash ka hat jorse zatak diya
"aaa" akash chikha. Uske hat ko jaha stitches lage the waha jorka zataka laga.
"Kya huva capatain?" ananya ne pucha.
"Nahi kuch nahi" akash ne hath chupa diya par ananya ne apne seat se uthake uska hath dekh liya white shirt se bhi bahar khun nikal raha tha. fir usne shirt ki sleves upar ki. waha bandhi patti bhi nikal aayi thi our waha lage stitches dekhake wo boli "ye kya huva hai captain ? kaise huva? aapko to stitches lage hai. aapne bataya nahi"
"Wo chutti pe gaya tha to chotasa accident ho gaya tha." akash ne kaha. uspe ananya jake first aid box leke aayi usne akash ki dressing kar di our kaha "sandwich kha lo fir dawai deti hu."
"par mai khavunga kaise ? right hand bahot dard ho raha hai our left ko to khun laga hai. our aaise shirt pe khun ke dabbe leke mai bahar gaya to logo ko doubt ho jayega. Ab tum muze khila do" akash ne smile karte huve kaha.
"kya ?bilkul nahi" ananya ne kaha. "thik hai mai try karata hu" kahake akash ne khane ki koshish ki par uske hath se swadwich niche gir gaya. wo dekhke ananya boli " mai dusara khila deti hu" our usne akash ko sandwich khila diya our coffee bhi pila di. Akash ka smile dekhake use gussa aa raha tha. hamesha aapani manmani karate hai.
Mumbai me sab crew hotel ke reception pe khada tha. Aapni rooms our keys ka wait kar rahe the tabhi hotel manager waha aa gaye. our unhone kaha " captain aaj holi hai so hame hotel ki taraf se sab logo ke liye piche chowpati pe programs our dawat rakhi hai aap sabko special invitation hai." Sab lok ye news sunke khush ho gaye. akash ne sabko kaha "chalo pahale fresh ho jate hai our fir niche milte hai." Akash fresh hoke niche jane laga to use ananya mil gayi so usne pucha " baki sab log, shruti vagere kaha hai?" uspe ananya ne kaha" shayad niche gaye hai ham bhi vahi chalte hai."
Niche chowpati pe sab lok enjoy kar rahe the. Holi jor se manayi ja rahi thi. Akash our ananya idhar udhar dekhate huve sath me chale ja rahe the. Ananya shruti our baki logo ko dhund rahi thi. uske sath chalte akash ne apana phone band kiya our jacket me rakh diya. Our samne dekha to uski najar samane se aate huve aadmi pe padi. Wo admi phone me kuch msg padhate huve aage aa raha tha. Use dekhake akash hairan ho gaya. ye yaha kaise? our yaha kya kar raha hai? agar isne muze dekha to pahechan jayega our meri asaliyat sab ke samne aa jayegi. ab mai kya karu? Yaha koi chupne ki jagah bhi to nahi hai our agar mai yaha se bhaga to uski najar me hi aa javunga to kya karu? Kya karu? Akash uski taraf bina najar hataye soch raha tha.
Us admi ne apana phone band kar diya. Pocket me rakha our samane dekhne ke liye apana sar utha liya. Isise pahle wo akash ko dekhata. Akash ne aapne sath chal rahe ananya ko apni taraf kich liye our use hug kar liya, Our apana sar ananya pe aaise zuka liya ke wo ananya ko kiss kar raha ho. Akash ki harkat se ananya shock hogayi, Usne apne aap ko chudane ki koshish ki par akash ne use aaise pakada tha ki wo hil nahi pa rahi thi. Usne bolne ke liye awaj nikali par akash ne apane dusare hath se uska mu band kar diya. Zuki nazar se akash us admi ko dekh raha tha. wo aadmi idhar udher our akash ananya ko dekhake hasate huve unki baju se nikal gaya. uski thodi dur jane par akash ki pakad dili ho gayi our ananya ne uska hat jor se kaat liya our usne apane aap ko akash se chuda liya.
"Ye kya kar rahe the aap? Aap ko ...sharam...yaha kitne log..."ananya ki sharam our ghusse se lal hogayi our jada bol nahi pa rahi thi. uski aankho me pani agaya. Our wo bhagate huve hotel ki taraf gayi. ananya ka chehera dekha ke akash ko realised huva ki usne kya kiya.
"Ohhh God bina soche ye kya ho gaya" akash ne apne aap se kaha our wo bhi ananya ke piche bhaga. "Ananya please meri bat suno" akash ne kaha.
"Muze aapki koi bat nahi sunani. "ananya ne ghusse se kaha our wo aage chalne lagi.
"ananya dekho I am vary sorry wo mai to sirf holi wish karna chahata tha par...muzse galti ho gayi." akash uske piche ja raha tha.
"samaj kya raha hai aapne muze?" mai koi aaise vaise ladki hu? jo aap kabhi bhi kuch bhi mere sath kar sakate hai?" ananya ne kaha."
"nahi ananya please aaisa mat bolo. Maine kaha na muzse galati ho gayi. mai mafi to mang raha hu. please muze maf kar do."akash ne uska hath pakad liya. "suno meri bat" par "don't u dare to touch me again" aisa kehake ananya ne apana hath chuda liya our wo lift me chali gayi.
Akash bahar aake waha apana sar pakadake baith gaya. oh god ye kya ho gaya? aaj apani identity chupane ke liye maine ananya ko use kiya hai our ye thik nahi hai. wo to ye sab ke bare me, ya mere bare me kuch nahi janti. Wo kya soch rahi hogi mere bare me? mai janta hu ananya ek sidhi sadhi sharmili ladki hai firbhi mai use kitna pareshan karata hu. Ab mai kya karu? Wo muze kabhi maf nahi karegi. Agar indeair ke kisi bhi crew member ne hame dekha hota to kya hota? mai bhi bine soche samze kya karata rahata hu. par aaj mai our kya karata? Agar wo muze dekha leta to sabko pata chal jata ke mai ek DIB officer hu. our mere mission ka kya hota? Sir to muze kabhi maf nahi karate.
"are captain aap yaha hai ham sab aapko kabse dhund rahe the, chalo holi khelate hai our ananya kaha hai.?" shruti ne akash se pucha. Akash ka utara huva chehera dekhake shurti ne fir pucha " kya huva captain aap pareshan lag rahe hai? uspe akash ne kaha "wo kuch nahi, tum log javo holi khelo." "Captain ananya kaha hai?" shruti ne fir pucha. " wo ...akash kuch bol nahi paya. Shruti ne baki logo ko aage bhej diya our akash se pucha "kya huva? ananya our aapke bich me kuch?" "ha wo naraj ho gayi hai. maine sorry kaha par ...akash kuch bata nahi paya. " don't worry captain. Mai janti hu aap janbhuj ke annaya ho hurt nahi karenge. aap to hamesha sabki sirf tang khichate rahte hai. mai usse bat karungi." Our shruti waha se chali gayi.
Thodi der ke baad akash apane room me aaya. use kuch samaz nahi aa raha tha ke kya kare. Wo ananya ke liye pareshan ho gaya tha. Par use yaad aaya ki us admi ki information sir ko deni jaruri hai our usne bag me se dusara phone nikala our sir ko phone lagaya. "bolo akash kaha ho tum?" sir ne phone uthaya.
"sir mai mumbai me hu our aaj maine kabir ko dekha. Yad hai aapko hamare last mission me maine use goli mari thi our wo pakada gaya tha. use kuch salo ki jail bhi huvi thi par wo jail se bahar itne jaldi kaise aagaya ye muze samaj nahi aa raha?" akash ne kaha.
"what? Kabir our mumbai me? Jail se bahar? That's bad news. Our tumne use kaha dekha? our kya usne tumhe dekha?" sir ne puchha.
"nahi sir usne muze nahi dekha. Actually sir mumbai hotel ke piche chowpati pe wo tha mere samane aaya our..."akash aage batata ke sir ne pucha " tumhare samane tha our tum keh rahe ho ke usne tumhe nahi dekha? Aaisa kaise ho sakata hai?"
"sir wo maine..."akash kuch kahate ruk gaya.
"wo mai kya akash.? Aage bolo" sir chilla rahe the.
"Sir mai... mere chehere pe rang laga tha. waha sab log holi khel rahe the. wo muze nahi pahachan paya. Agar pahechan leta to kya mai aabhi aap ke sath phone pe bat kar raha hota?" akash ne kaha.
" ha! shayad tum thik kah rahe ho, agar kabir tumhe pahechan leta to bahot badi mushkil aa jati, par maine tumhe kitni baar mana kiya hai ke aise risk mat liya karo par tum meri bat sunte kaha ho? Kya jarurat thi tumhe khule aam holi khelne jane ki. I am shure wo ladki bhi waha hogi? hai na?" sir ne pucha.
" sir aap ananya ko bich me kyo la rahe ho? indeair ka pura crew waha pe holi khel raha tha. Our mai her waqt hotel ke room me baitha raha to un logo ko bhi aajib lagega."akash ne kaha uspe sir ne kaha "akash tumne indeair holi khelne ya us ladki sath rommace karane nahi join kiya hai ya yaad rakhana. Delhi aake muze contact karana. Rakhata hu"
Akash ne phone band kar diya. Usne balcony me aake ananya ki room ki taraf dekha waha light jal rahi thi. Fir apni hath ki taraf dekha jaha ananyan me kat diya tha. kya ananya muze maf kar payegi?
Thanks dearOriginally posted by: akyalove0896
It was great dear.continue soon😊