Har taraf Pyaar aur jajbaato ka junoon hai
Dard itna khubsurat hai ki apna hi sukoon hai
Dil ki khamoshiya ko hawa de rahi hai yeh rahen
Har dhadkan me unke saso ka jahaa hai
Unhe dekhte hai toh yakeen hota hai khuda pe
Jaroori nahi har jagah bhagwan ho
Ishq ka andaaz unka nirala hai
Har jajbe pe Mohobbat ka naam hai
Nidhi and Mallika were surprised to see Military staff had arrived there before their arrival in Lucknow.
Ashutosh aur Armaan ke paas aakar un sabne dono ko salute kiya.
Ashutosh:Abhi nahi,in sabke liye time nahi hai humare pass.Jaldi se kaam par lag jao.Yeh kisi jung se kam nahi hai.Save the life as much as you can.
All the best.And tab tak no rest.
Aur sare apne apne kaam pe lag gaye.
Ashutosh aur Armaan ne suit pahena tha.
Armaan:Ashutosh,main change karke aata hu.Tum nahi chaloge?
Ashutosh:Nahi,mere liye iska bhi time nahi hai.
Aur usne wohi apna coat utar diya.Apni bahe chadha di aur woh bhi apne military ke logo ke pas chala gaya.
Nidhi aur Mallika bhi wahaa ke kuchh patient ko lekar KGH aa gai.
Wahaa building ke neeche dabe logo ka haal bahut bura tha.
Ashutosh aur baki jawab unhe dekh sakte the lekin woh malbe ke neeche is kadar dabe hue the ki unhe sirf hath dekar nikalna na mumkin tha.
Unhone malbe ko hatane ke liye Crane bhi bulwayee.Par dar is baat ka tha ki Crane ke neeche koi na aa jaye.
Ab Ashutosh ko apne aappar gussa aaya.Usne kuchh socha aur apni shirt bhi utar di aur apne sathiyo se kahaa,"Jao jakar apna saman lekar aao.Hum machine ke sahare kuchh nahi kar payenge.Hum apne hatho se yeh malba hathayenge.Aur unhe turant hospital pahuchayenge.Quick jaldi.
Aur Ashutosh ne khud hi apne hatho se malabe ko hathane ka kaam shuru kar diya.Armaan bhi usike saath tha.
Ashutosh aur uske saathi malabe ko hathate aur jaise jaise logo ko bahar nikalte hospital pahucha dete.
Tabhi wahaa kuchh political leader aur saath me bahut sare Journalist aaye.
Ashutosh ne wahaa ke commissionar ko bulwaya.
Ashutosh:Commissioer,ek request hai aapse.Agar aap in sabki jaan bachana chahte hai toh please is area ko Cordan kar dijiye.Please take care ki nobody can enter in this Corden please.Baki main dekh loonga.
Commissioner:Sure Jawan.Hum bhi achhi tarah se kaam karna chahte hai
Ashutosh:Aur ek baat sir,please aap is jagah ka map,used material aur ise kisne approval diya uska naam aur Engineer ka naam sab documents muze lakar dijiye.Us engineer aur us builder ko saja main dilwaoonga.
Comm:Ji sir.Main sham tak lekar aata hoo.
Ashutosh:OK jaiye.
Ashutosh Armaan aur baki sare shaam tak logo ko bahar nikalte rahe aur patient ko hospital pahuchate rahe.
Tabhi unhe ek teen saal ki bachi mili.Uski sase chal rahi thi lekin bahut aahista.
She was in danger.
Ashutosh ne us bachi ko uthaya aur usne Armaan se kahaa," Main ise KGH lekar ja raha hoo.She is serious aur main kisi pe bharosa nahi karoonga.Main khud use lekar jata hoo."
Aur usne apni gadi nikali aur us bachi ko apne paswali seat par letaya aur nikal pada.
In KGH
Ashutosh KGH pahucha toh wahaa bhi logo ki bheed thi.Sare journalist wahaa pahuch gaye the.
Patient logo ko lekar jane ka rasta hi public ne band kar diya tha.
Ashutosh jor se chillaya,"Security,yeh kya ho raha hai?Hospital hai ya kya hai?
Security officer: sahab,inhe kabse hatane ki koshish kar rahe hai lekin yeh yahaa se janeko taiyaar hi nahi hai.
Ashutosh:[Addressing the people] Dekhiye please.Hum aap logo ki takleef samaz sakte hai.Lekin yu rasta rokenge toh patient ko le jane me takleef hogi.Aap bahar Garden area me chale jaiye.Waqt par ilaaj hoga tabhi toh log bach payenge.
Ashutosh ki bato ka unpar bahut achha asar hua aur woh sab bahar chale aur aur fir Ashutosh journalist ki taraf badha,"please yeh camera lekar sirf khade mat rahiye.Agar kar sakte hai toh in sab haadse ke kusurwaar ko sajaa dilwane me madad kijiye.Apne kalam ki takaat ko yuhi jayar mat kijiye aur apni suzbuz se doshi ko punish karwane me madad kijiye.
Itna kehkar woh KGH ke Coridor me aa gaya.Bachi ko toh Dr Rangnath apne saath lekar chale gaye the.
KGH me bhi kitne patient bahar hi baithe the.Tabhi Dr Kulkarni aur Dr Nidhi ek operation karke bahar aa rahe the.
Dr Nidhi : Sir aap ke liye main coffee lakar aati hoo.Fir hume turant OT me wapis lautna hoga.Maine dusre operation ki taiyaari ke liye Janaki bai ko bol diye hai.
Dr Kulkarni apne cabin me chale gaye aur Nidhi Canteen ki taraf badhne lagi.
Tabhi usne wahaa Major Ashutosh ko dekha.
Ashutosh:Dr Nidhi.Yeh itne sare patient bahar kya kar rahe hai?Nobody is giving first aid to them.They are very much injured you can see.
Dr Nidhi : Ha ,humare yahaa jitna staff hai woh sare duty pe hai.
Ashutosh ka gussa satve aasmaan ko chhu gaya.
Ashutosh:Dr Nidhi,what rubbish are you talking?Yeh hospital hai aur yeh emergency ke patient hai.And you are giving excuse ki aapke pas staff nahi hai.Toh inhe kahi aur bhejneka intejaam karna chahiye na aapko?You are doctors.Har ek patient ki resposbilities aapki hai.
Dr Nidhi:Lekin major
Ashutosh:Dr Nidhi.You all are iresponsible here.Nobody is serious about patients life
.
Tabhi dr Kulkarni cabin se bahar nikale.Woh Ashutosh ki baten sun rahe the.
Dr Kulkarni : hello young man.
Ashutosh ne apne gusse par kabu rakha.
Ashutosh: Hello dr Kulkarni.
Dr Kulkarni: hey angry young man.Peechhe dekhiye
Tabhi ek saath 5/6 Ambulance wahaa aa gayee aur usme sare drs,nurses aur Wordboys andar aa gaye aur bahar baithe sare patient ko andar le gaye.
Dr Kulkarni : Ashutosh relax.Humne humare peechhe wale garden area me tent bhi lagwaye hai.You don't worry young man.We are very much aware of our duties.
Ashutosh ne dr Kulkarni ko sorry bola aur wahaa se chala gaya.
Nidhi aur Dr Kulkarni coffee pikar OT me chale gaye.
Ashutosh wapis apne sight par aa gaya.
Raat ke barah baje Ashutosh aur Armaan ghar wapis aaye.Nidhi aur Mallika abhi tak wapis aaye nahi the.
Armaan and Ashutosh both worried about them.
Ashutosh toh sidha car lekar pahuch gaya hospital.
Nidhi raat ke 2 baje OT se bahar nikali aur usne Ashutosh ke dekha.
Ashutosh : Itni der?
Nidhi: Abhi toh aur do operation aur karne hai hume.Di OT No 3 main hai aur main aur dr Kulkarni OT No 1 me hai.
Ashutosh:Operation kitni der me start hoga?
Nidhi:bus aadhe ghante me.Kyon?
Ashutosh:kuchh khaya?
Ab Nidhi aur Ashutosh Nidhi ke cabin me pahuch chuke the.
Dono sofe par baithe the.
Ashutosh:fir se puchh raha hu Kuchh khaaya?
Nidhi : Ha,kisiki daat khayee na?pet bhar gaya.
Ashutosh ne Nidhi ke kandho par apne dono haath rakhe.
Ashutosh:I am sorry doll.I am sorry .
Nidhi:Kisliye?
Ashutosh:maine aapko daat diya na?
Nidhi:Toh kya hua?aap us waqt gusse me the aur kuchh had tak aapka gussa lajmi tha.Aur tab aap major the aur main ek doctor.
Ashutosh ne apni bahome nidhi ko bhar liya,"toh ab kya hai?"
Nidhi :haye aapki yeh bahe?kitna sukoon deti hai muze?aapko kya pata?
Ashutosh ne halke se Nidhi ke shoulder ki malish karni shuru ki.
Ashutosh:Doll,aaj bahut haekic day tha na?
Nidhi: Hmmm
Ashutosh:jawab toh dijiye doll?
Nidhi:aapke haatho me jadu hai major sahab.Aur muze is jadu ke saye me rahene dijiye.Muze bahut achha lagta hai.
Aur Ashutosh ki halki malish aur pyaar ne Nidhi ki thakaan utaar di.
Thodi der baad unke cabin me knock hua.
Nidhi ne uthkar kahaa,"Come in"
Aur hospital ke canteen ka waiter do cup coffee aur kuchh sandwich lekar aaya.
Usne tray table par rakh di aur wahaa se chala gaya.
Nidhi:yeh sab aapne mangwaya na?aapne bhi kuchh nahi khaya na?
Ashutosh: Meri doll toh badi samazdaar hai.Abhi tumhe aur surgery karni hai isiliye maine tumhare liye light Nashta mangwaya hai.Aur coffee taki tum energy feel karo.
Nidhi:jee,Aapne muze pyaar se chhua aur muze meri energy mil gai.Operation toh subah tal chalega.Aap tab tak rukenge yahaa?
Ashutosh:ha toh! tumhe yahaa se subah lekar hi jaoonga.ek baat kahu doll?
Nidhi:kya?
Ashutosh:you are too resposible and matured docter.I am very proud of you.I love you more and more as day pass.
Nidhi:main ek baat kahu?
Ashutosh:Shauk se
Nidhi: Aap shirtless bahut handsome lagte hai.
Ashutosh Nidhi ke pas aaya.Usne apni dono bahe nidhi ke gale me dali aur uske forehead pe kiss kiya.Aur fir uski aankhome pyaar se dekhkar kahaa,"Kya irade hai?
Nidhi:Haye main apne irade dikha pati?Duty is not beauty always.Ab main chalti hoo.
Ashutosh: Theek hai doc! main aapka yahi intejaar karunga.
Aur dono ne ek dusreko pyaar se gale lagaya aur Nidhi wahaa se chali gayee..