FF ..restart of new beginning UPDATED page no 12 - Page 8

Created

Last reply

Replies

94

Views

10.3k

Users

6

Likes

71

Frequent Posters

croziaxx thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#71
thank u vinnie ! 🤗
but my dear where is ur comment..🤔
i m curious to know what u felt through reading..tell me na..😳

ronshaan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#72
thik tha tera yeh naya chapter...
pata nai q per mujhe sugni k alawa koi pasand nai aa rhei .. i know then we wanted new girl for him per vikram ko kisi aur k saath imagine b nahi kar pari hon... chalo dheere dheere accept to kerna ha kya kahun it was good thik tha
croziaxx thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#73
hey ladhkio ! i m here again with my new chapter.. i know this time its lil late.. but i was too busy .. but now my new chapter is ready.. i m posting here..
please bhagwan ke naam par koi Translate kar dena baba.. 😉 😆
aur comment bilkul maat karna, mai phir bhi besharmo ki trah next chapter post karti rhoongi 🤔

Chapter-14

Dusre din subbah...
Vikram is almost ready, Rajeev and family Mumbai me thi.. so ghar ekdum suna tha.. shayad yehi sunapan vikraam ke andar tak utar aaya... usne khidhki khol kar bahar dekha..thandhi hwa ke jhoke ne use apne aagosh me leliya... aasman me suraj dheere-dheere upar aa raha tha ..na jane kyo.. achanak use mhuwari yaad aa gya.. wanha suraj ke upper chadhte hi dhoop me teji aa jati thi.. bundelkhandh ke pthar tapne lagte the..aankho me ganw ghum gya tha.. wo khet, khliyan , wo bag -bgiche.. talab.. wo log, priwar, aur wo ladhki... jehen me sabki tasveer ekdum saf thi.. kaise hoge sab ? kya mere bare me sochte honge ? shayad haa ya shayadd nahi.. aur wo ladhki... jiski wajah se mere zindgi me khusiya aayi thi.. aur ek din usi ki wajah se mujhe apna sab-khuch chodhna padha..itna gussa,itani nafrat andar bhar gyi ki sab barbad hota chla gya.. kaisi hogi wo ? apni zindagi me magn ?khush ? aur wo uska pati...? kya kar rahe honge ? aur rewa .. wo kanha hogi ..usne divorce paper sign kiye ya nahi.. usne kabhi janne ki koshish nahi ki.. kanha hogi wo ? ..mhuwari me yadelhi me ?( usne ek lambi sans li).. acha huaa ki yanha chala aaya nahi to sab-kuch khatm ho jata.. vikraam thakur kya zindagi hai tumhari.. kehne ko taqdeer ne sab kuch diya...par kuch nahi diya..jis mohbbat ko tumane dilo -jan se chaha... usi mohabbat ne tumhe baar-baar thukrane me koi kasar nahi chodhi..usne us kadhki ke bare me nafraat se sochana chaha.. par nafraat mehsus nahi hui.. ( vikraam ko ajeeb lga ) ek khalish jarur mehsus hui par ab wo dard nahi tha... jisse wo pehele humesha ghira rehta tha..
Phone ki ring ne uski soch ki ladhiyo ko todha.. phone uthaya... dusri traf mr. saxena the..
V - hello mr.saxena kya baat hai..? any thing important..?
S --- yes ! wo kal hum logo ne jo deal sign ki thi.. usme do jagah sign nahi huye hai.. isliye problem ho jayengi..aur humare clint ko wapas bhi jana hai .. isliye agar aap unke hotel aa jate hai..to bhut acha hota..
V - but mr.saxena ! unka hotel to bhut door hai..
S --- that's why mai aapse keh raha hoo..unka samay bach jayenga.. aaj hi unki flight hai..
V - ok ! let see.. abhi to maine nasta bhi nahi kiya hai ... hari kaka bhi apne kisi reshtedar se milne hospital gye hai.. unhone kuch bnaya to hai ????? ..subah maaine dekha tha.. shayad table par rakha hai.. ( usne table ki aor dekhte huye keha.. ) .. thik hai mai aa raha hoo aap sari formalities poori kar ke rkhiyegaa..
Office me---
Lunch time ho chukka tha but mr.saxena aur vikraam dono abhi tak office nahi aaye the.. luckly mallhar ke pass aaj bhut sara kam tha.. isliye usne jyada dhyan nahi diya.. preety ne aakar use apni wrist watch dikhai...
P --- time dekha hai ? sara kaam aaj hi kar logi..lunch nahi karna kya..
M - lunch ka time ho gya kya ? ( usne computer screen par nazar jmaye huye keha..
P - tujhe aas-pass se andaja nahi ho raha ? sari kursiya khali ho rahi hai..
M - yaar ! mere pass itna kaam tha ki realize nahi kiya.. mr. saxena ne kal mujhe diya tha...
But subah se maine unhe dekha nahi.. wo aakar ek bar check kar lete to..
P - wo aur vikraam dono me se koi bhi nahi aaya ab tak.. lagta hai kal ki thakan utar rahe hai..
M - may be ... kal kaam bhi to bhut tha...
P - but humne to chutti nahi ki..mujhe to abhi bhi need aa rahi hai..
M - ghar chalkar sona..abhi chalo kuch kha lete hai.. mujhe bhuk lag rahi hai..( wo khadhi ho gayii, lunch ke bad sab phir se apne kaam me busy ho gye..
agle din Sunday tha, Monday ko mallhar wapas aayi to use aaj bhi vikraam dikhai nahi diya .. to use thodhi chinta hui.. wo abhi soch hi rahi thi ki kisse jakr pooche.. ki preety ne aakar use aaisa karne se rook liya...
P"tumne kuch suna !! (usne dheere se keha) ... vikraam sir ka accident ho gya hai..
( mallhar ek pal ke liye sunn ho gyi..bdhi muskil se usne poocha)..
M -- wo thik to hai na...
P - haaa ! but chot lagi hai..
M - mai unhe dekhna chahti hoo ..kanha hai.. wo ? ( usne uthate huye kaha )
P - kal shaam ko hi unhe discharge mila hai. ..is samay wo ghar par rest kar rhe hai...
M --- mai unhe milne ja rahi hoo..( isse pahele kki preety kuch kehti wo bahar nikal chuki thi)

Vikraam ke ghar---
Daawaja khula tha, Mallhar bhagti hui andar chali gayi, usne ek bar bhi kisi ko bulane ya pochane ke bare me nahi socha... do- teen rooms check karne ke baad use finely vikraam ka room dikh hi gya.. wo apne bed par leta huaa tha,mathe par aur klai par pattiya bandhi hui thi.. but sabse jyada chot uske left leg me lagi thi.. usme bandage bandha tha .. aur useke niche pillow lgaya tha.. chahre par roz si raunak nahi thi .. hodh sukhe the , dard ke asar se aankhe band thi.. but shayad use kisi ke ane ka ehsas huaa ..isliye usne apni aankhe khol di..
V - tum ? oh !!! mujhe dekhane aayi ho, mai thik hoo
( wo abhi tak darwaje par hi khadhi thi)..
M - yahi to dekhane to aayi hoo ki aap kitane thik hai ( wo aakar bed par pass me bath gayi)
V - really mallhar ! I m ok.. bas thodhi si chot lagi hai.. do -char din me thik ho jaunga..
M - kaise ho gya ye sab ?
V - wo Saturday ko kanhi se wapas aa raha tha to raste me achanak ek bacha aa gya , use bchane ke chakkr me maine turne liya tha ... aur bas gadhi mere control se bahar ho gyi..
M - aapko kuch ho jata to ?
V -- ho jata to kiski zindagi suni ho jati ? kisi ki nahi, vikraam ne kehna chaha, par keha nahi)
Par huaa to nahi..
M - thank god ! bhagwan kare aap humesha thik rahe...
( nurse ne aakar unhe disturb kiya)
N - excuse me sir ! mujhe aapki puls dekhani hai,aur dwa bhi deni hai..
M - oh sorry mujhe pta nahi tha.. please carry on..
Nurse ke jane bad ...
M - nurse kyo ? ghr me koi hai nahi kya jo aapki dekh-bhal kar sake..?
V - no ! actually sab log ek shadi ke liye mumbi gaye hai.. aur hari kaka ke reshtedar beemar hai , that's why wo aadha time yanha aur aadha time hospital me hai..
M - aap nahi gaye ?
V - nahi ! wo delegation aane wala tha, unhe bhi to attained karna tha.. ( usne baat bnai )Rajeev yanha nahi hai to mujhe to yanha hona chahiye tha..
M - ok I understood,but now don't worry ab mai yanha hoo .. jab tak mai yanha hoo.. aapko kisi ki jrurat nahi hogi.. ( usne faisla kar liya tha)
V - what do u mean ? nurse hai ..aur sham tak hari kaka aa jayenge.. its ok mallhar..
M - sshhh !!! (usne chup rehne ka ishara kiya) chuchap rest kariye.. tab -tak mai aapke liye kuch bana kar lati hoo.. bas mujhe bta dijiye kitchen kenha hai ?
V - mallhar tum !!!!!
M - maine keha na.. aap sirf rest kariye... aap office me boss hai,yanha par mera order chalega.. samjhe !!
Agale pal se hi mallhar ne vikraam aur ghar ki sari jimmedari aaise sambhal li jaise wo humesha se sab kuch sambhalti rahi ho.. nurse ko usne shaam ko hi vikraam ke mna karne ke bawjood chutti de di .. wo sirf sone aur change karne ke liye apne ghar jati..baaki time wo yanhi thi..
Do-char dino ke baad vikraam pahle se bhut behtar tha.. aur jab wo news paper aur chai ka mza le raha tha... mallhar almari me kuch dhoodhane lagi..
V - kya huaa.. ?
M - aaj mai sab-kuch change karna chahti hoo..
V - kya ?
M - aapki aur is kamre ki shakl, chaliye nha lijiye .. aap kal keh rahe the na.. mai aapke kapdhe nikal deti hoo..
V - what ? mallhar mai apne kapdhe roz change karta hoo..aur kal hari kaka ne mujhe sponge bath diya tha, tum kuch jyada hi personal ho rahi ho .. mai apne kapdhe nikal sakta hoo.. aur hari kaka ko aane do .. phir main nha loonga .
M - kyo ? mai aapki madad nahi kar sakti.. ( usne use ghum kar dekha) mujhse sharm aayengi aapko.. ( lehja shrarati tha)
V - mallhar !! please zid mat kro ! ( pichle char-panch dino me use ye ehsas ho gya tha ki mallhar bahut hi ziddi ladhkki hai..wo apne mann ki hi karti hai.. par is muskil waqt me usne sab kuch bhut ache se handle kiya tha .. vikraam ko ek pal bhi aaisa nahi lga ki wo akela hai.. wo mann hi mann uska bhut shukrgujar tha isliye uske sath sakhti nahi krana chahta tha...
M - kya mallhar , take showr u feel better..
V --- I know but abhi jaao ! ( luckly hari kaka aa gye).. thank u kaka aap aa gye ..please is ladhki se mujhe bchaiye.. please ab jao yanha se...( usne apne hath jodhe)..
M - ok .. kaka aap inki madad karne ke bad kitchen me aa jaiyiega.. meri madad ke liye..aur kaka please pahle bed sheet aur pillow cover change kar dijiye .. ( usne ghar ki malkin ki tarah order diye, "tab tak mai phool lakr vass me saja deti hoo, may be patient ka mood thodh acha ho jayega" usne vikraam ki aankho me direct dekhkar tease kiya...
Kuch der baad---
Mallhar kitchen ka kaam khatm karke vikraam ko btane aayi thi ki agar wo lunch karna chahe to wo lga degi...but vikraam so chukka tha.. kamre me aane ke bad usne realize kiya ki hari kaka ne uski har baat mani hai.. room ekdum saaf tha.. uske lgaye huye phool vass me mehak rhe the... usne vikraam ki taraf dekha.. uske soye huye chehare par bacho si masumiyat thi, wo pass me jakar bath gayi.. white kurte me wo bhut hi fresh lag raha tha.. hwa se uske baal halke-halke hil rahe the.. mallhar ne jee bhar ke use dekha.. apni bebasi par uski aankhe bhar aayi.. usne mann hi mann kuch lines dohrai...

"Mana ki mumkin nahi Milan apna,
par is aas par bandha hai tumse dil ka rishta..
ki shayad kismet likhte samay,
dil bhar aaye us katibe taqdeer ka..
usne apni palke band karke aanshuo ko roka, aur apne hodh uske mathe par rakh diye..








Edited by croziaxx - 11 years ago
ronshaan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#74
Mansi ...

kripa kar ke itne badi badkam shabdo ka istemal na karo
hum jese nadano k samajh se bahir ho jata hay 😆

ronshaan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#75
Mansi .. i don't know why but your malhar irritates me .. she is tooo much .. ziddi .. vikram ko tang karti hay .. but thik hay helping him but i wonder kitne holidays spend karti hay just started job and having leave every week for 2 3 days
any ways thik tha.. hope this malhar won't be pain in vikram's head ... usey tang karti hay kahi woh obsesses to nai ho rehi ?


croziaxx thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#76

Originally posted by: ronshaan

Mansi .. i don't know why but your malhar irritates me .. she is tooo much .. ziddi .. vikram ko tang karti hay .. but thik hay helping him but i wonder kitne holidays spend karti hay just started job and having leave every week for 2 3 days

any ways thik tha.. hope this malhar won't be pain in vikram's head ... usey tang karti hay kahi woh obsesses to nai ho rehi ?



hi roshaan ! thanks to reply..
why she irritate u ? ( may be u don't like her because in ur mind most suitable girl for vikraam, is sugani ) nothing like that ..if u think vikram is very ziddi ..so use aaisi ladhki chahiye jo thodhi ziddi ho..other wise simple ladhki to usse apni baat manwa nahi payegi... and she is not obsessive ok ... she can do any thing for him.. without let him know and if u realize show me humesha vikraam hi apni feelings show krata tha..sugani kabhi nahi... that's why this time i want ki ladhki thodhi more expressive ho.. i hope u understand 😳
aur dear please translate kar do na...

ronshaan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#77
Well may b i want to see vikram with his lady sugni only
may b ...
but her being ziddi mujhe reva ki yaad dila deta hay 😆 woh b peeche pad jati thi , yeh shayd reva se behter ho lakin phir b... vikram ko kya yeh sambhal payegi ?
ronshaan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#78
achaa translate ki baat hay
kar dungi lakin padta kon hay ???
payal ?? she knows hindi
vinnie ?? she knows hindi too
so who else is reading ???
come in front so i will / or vinnie will translate it for u
croziaxx thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#79

Originally posted by: ronshaan

achaa translate ki baat hay

kar dungi lakin padta kon hay ???
payal ?? she knows hindi
vinnie ?? she knows hindi too
so who else is reading ???
come in front so i will / or vinnie will translate it for u



thanks yaar , u right ki ye sab ladhkiya... hindi janti hai... but bhut sari aaisi hai jo english hi janti hai for exa-- sara,rose aur bhi kuch.. and one interesting thing ki new chapter post karne ke baad atleast 250-300 hits hote hai, topic par if u notice... to un sab chupa rustam me bhut sari angrazn hogi..
unke liye 😉 😳 😆 ...

ronshaan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#80
to woh samne aye
shukriya karien kuch likhe
aise nai translate hoga

SO WHO ARE THE SILENT READERS WHO NEED TRANSLATE
TELL TELL ?

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".