Gr8 work;)
BHAGODI MAIRA 8.9
Bigg Boss 19- Daily Discussion Thread- 9th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 9, 2025 Episode Discussion Thread
SUPER HEROO 9.9
🏏T20 Asia Cup 2025- AFG vs HK 1st Match, Group B, Abu Dhabi🏏
The Ba****ds of Bollywood trailer
Karan Nandini Kids are here
20 years of Salaam Namaste
3 Years Of Brahmāstra
Happy Birthday Akshay Kumar
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 10, 2025 EDT
Manav attends his friend's pre-marriage party. He was forced to consume 4 pegs of whisky, as the dulha was his best friend and he did kind of emotional blackmail with manav. It was an all men alcoholic party. Those 4 pegs were enough to kick Manav to the hell. He suddenly receives phone call from Archu to come back home as it was already 11 pm. Manav somehow manages to reach home. Everybody is asleep except Archu. Manav is very guilty of himself and he tries to lie to Archu. Even for Archu, it is hard to believe that manav can drink. She feels manav is unwell .
(Archu opens the door.)
Manav- Ji
Archana- Phir ji?
Manav- raat ko 11-12 baje aap hamare ghar mein? Main aap ko apne ghar chhod dun aap ki aai pareshan hoti hongi. Kya pata aap ki vahini kal ek FIR thok de hamare naam pe
Archana- ( hasti hai) mazak mat karo. Bahar kyun khade ho andar aao na
Manav- par ji aap
Archana- haan apne pati ke ghar hun. Aap ko koi shikayat
Manav- (yaad aata hai Archu se uski shaadi hui hai and then tries to make up) ha ha ha..main mazak kar raha tha
Archana- kya khaya party mein?
(manav ne kuch nahin khaya, Archana ke sath hi dinner karna hai usko har halat mein. Par abhi kahega kuch nahin khaya to usse jawab dena padega itni der raat tak kyun nahin khaya )
Manav- are bekaar items the..maine bas thoda thoda khaya. Tum ne nahin khaya?
Archana- kahan mann karta hai aapke bina khana khane ko.
Manav- itna pyar karti ho mujh se
Archana- hmm..kitni baar puchhoge?
(Manav aake gale lagane ko sochta hai lekin muh se daru ki smell hai is liye apne aap ko rok leta hai uske kadam lad khada jate hain)
(Archana dukhi ho gayi ki manav usse gale lagane aa raha tha aur ruk gaya)
Archana- aap itna hil kyun rahe ho?
Manav- nahin to ( darr jata hai) are wo to main dance karne ki koshish kar raha tha
Archana- sahi? Please thoda dance karo na. gaane ki tension mat lo. Apne aap bajne lagega.
( BT wale gaana baja deta hai "thodi si jo pee li hai chori to nahin ki hai)
Archana- hey bhagwan..yeh sharaab wala gaana..koi gaana change to karo
(ab bajne lagta hai "shishe se shisha takraye kuch bhi ho anjaam")
Archana- are yeh kya ho gaya hai manav? Yeh sharaabi gaane kyun baj rahe hain
Manav- ( pura darr chukka hai) are mujhe nachna nahin aata na is liye aise gaane aa rahe hain
Archana- abhi to keh rahe the aap nachne ki koshish kar rahe hain
Manav- (pareshan hai aur abhi daru itni chadh chuki hai ki ab khada nahi ho pa raha hai do pairon mein) Archana kyun nachana chahti ho mujhe..aise bhi tumhari ungli pe nachta aaya hun aaj tak
Archana- maine aap ko kab nachaya ji? Jhhothe' aap phir se hilne lage aur yeh filmy style mein kyun bol rahe ho
Manav- main thaka hua hun..thodi der baith sakta hun ( bed pe baith jata hai) tum khana lao na
Archana- aap ki aankhen lal kyun hain? Ro rahe the kya?
Manav- nahin archana thoda sone ko mann kar raha hai
Archana- kuch to gadbad hai. Tabiyat to theek hai na? ( paas aa jati hai)
Manav- mere paas mat aao aaj ki raat maine kuch nahin karne ka socha hai
Archana- chhi gande!! Mat karo kuch. Main thodi na aapko kuch karne ko keh rahi hun
Manav- nahin haath tak mat lagao mujhe ( muh udhar karke so jata hai)
Archana- aise kaise muh udhar karke so gaye? Mujhe khana kaun khilayega
Manav- (sochta hai kitne jhooth bolun yaar) Archana keh to raha hun tum kha lo mujhe pareshan mat karo
( Archana naraz hoke zameen pe bistar dalke so jati hai bina khana khaye. Manav ko bhi hosh nahi woh behosh pada hai. BT wale sochte hain kuch bhi karke manav ko neend se jagao warna Archu bhuki reh jayegi. They start playing "yeh raat aur yeh doori tera milna hai zaroori")
Manav ' (neend se jag ke dekhta hai archu zameen pe leti hai aur khana rakha hai) Archana tumne khana kyun nahin khaya
Archana- mujhe bhuk nahi
Manav- khana kha lo na jaan!!
Archana- main aap ki jaan nahin
Manav- ( Archana ke paas aake usse zameen se uthane ki koshish karta hai. Wo bhul chukka hai uske muh se sharaab ki smell aa rahi hai)
Archana- chhodo mujhe'manav yeh kya smell hai
Manav- ( darr jata hai) wo garage mein kaam kar raha tha na petrol ki smell hogi
Archana- aap ne sharaab pi rakhi hai kya ( shocked )
Manav-nahin to
Archana- jhooth kyun bol rahe ho..main itni bhi buddhu nahi..shak to mujhe tabhi ho gaya tha jab situational gaane bajne lage the
Manav- wo doston ne force kiya dosti ki kasam de di na isliye
Archana- ek kaam kar doge..wo almari ke upar bada sa bag rakha hai wo de doge mujhe..
Manav- haan kyun nahin'do baara honeymoon jane ka plan hai kya? Samaan pack karogi?
Archana- nahin main apne aai baba ke paas ja rahi hun..
Manav- kya keh rahi ho
Archana- mujhe nahin rehna ek sharaabi ke sath
Manav- nahin aisa mat karo main do baara nahin piunga
Archana- yeh chlormint ka ad nahin hai. jhooth pe jhooth bolte ja rahe ho manav
Manav- are maaf kar do ( keh ke Archana ko kiss karne ki koshish karta hai. Par Archana hata leti hai apne ko)
Archana- dekho subah hote hi main aai baba ke ghar ja rahi hun'
Manav- thik hai abhi khana to kha lo kaafi raat ho chuki hai
Archana- aap mere wo manav nahin rahe
Manav- ab maaf kar bhi do
Archana- aap so jao
Manav-bhuke pet kis ko neend aati hai
Archana- aapne bhi nahin khaya khana?
Manv- nahin
Archana- aur mujhe kaha tak bhi nahin ? aap kaafi badal gaye ho
(Archana khane ka plate lake manav ko khilane lagti hai. Aur manav usse khila deta hai)
Archana- par yeh mat samajhna ki maine aap ko maaf kar diya ya main aapke sath yaha rahungi..kal subah hote hi main aai ke paas chali jaungi
Manav-main nahin reh paunga tumhare bina
Archana- doston ke sath daaru pi lena aur aake behosh hoke so jana..dance karne ka mann kare to gaana apne aap bajne lagta hai idhar..meri kya zaroorat hai
Manav- pyar kis ke sath karunga
Archana- chhi'mujhe pata hai aap ko meri zaroorat bas usi keliye hai..mujhe nahin karna pyar aap ke sath
Manav- are pyar matlab yeh wala nahin dil wala pyar
Archana- dil wala pyar aap mujhe karte nahin..warna aaj drink karke nahin aate
Manav- bola na galati nahin hogi aur
Archana- nahi..main kal apne maike ja rahi hun
Manav- nahin'please
( dono aise hi jhagadte hain..subah kya hota hai yeh janne keliye padhte rahiye yeh post)