Part3
===============
To which Raavi just noded a no as tears made there way from her eyes down her cheeks. As she gulped the chewed bite..
Raavi: Mujhe pata hai Shiva.. ismein teri bhi poori glti nahi hai... Haalat hi aise thei... Par Shiva abb mujhse nahi jhela jaa raha.. mein khud hi uss jaal mein fass gyi jiss jaal se mein dhara di ko bachaana chahti thi... Meine Navaratri par hi... Sabko bataya tha... Par dhara di ne utla mera tere saath, dev ke saath, krish ke saath jo rishta tha bachpan se ussi par ungli utha di.. par sachi Shiva? Mujhe just fasaya gaya hai... Mein uss din sachmein Dhara di ke saath, unka dhyaan rkhne ke liye hi saath mein gyi thi... Sachmein mujhe toh pata bhi nahi tha ki anita di bhi waahan hain... Mein toh khud bhi shock mein thi.. Divorce papers pe bhi maasi ne mujhse dhokhe se sign krwaaye... Unhone upar complaint waapis lene ke kaagaz rakh diye aur uss jhoote eligations waale paper pe bhi sign le liye... Mein sach keh rahi hu... Meine much nahi kiya..
Shiva: (smiles) tujhe khud ko explain krne ki zarurat nahi hai raavi..
Raavi: Shiva? Tu..tune sachmein mujhpe vishvaas krliya?
Shiva: Haan gadhedi! Kitni baar bolun... Mein toh pehle bhi tujhpe vishvaas krna chahta tha... Par haalat hi kuch aise ho gye...aur mujhe bhi pata hai koi apne duur jaa chuke parents se jhoot nahi bolta... Bass abb yeh shiva Pandya... Naashte se pehle hi teri begunaahi saabit krdega.. (smirks)
Raavi: Shiva? Tu kya soch raha hai?
Shiva: chinta Matt kar... Kuch nahi hoga teri maasi ko..
Raavi couldn't control the tears from flowing down her cheeks... Shiva stood up from bed, and made her stand up too. cupped her face in his hands and brushed away the tears with his thumbs..
Shiva: abb kyu to rahi hai Chipkali?
Raavi: (Chuckles) I can't believe ki ek hi Raat mein sab theek ho gaya.....
He kissed her forehead... Though he was hesitant but he didn't drop it.. a blush rose her face... It was his first kiss when he knew she was awake... She hugged him... To hide her blush from him she buried her face in his chest... He too wrapped his arms around her.. both of them stood there in the moonlight hugging each other... Shiva mumbled,"I...I..Iloveyouraavi." closing his eyes... To which Raavi got another surprise... It was his first confession to her.. did he say I LOVE YOU?
Raavi: (keeping her chin on his chest) kya? Firse bol?
Shiva: Ek baar mein samajh nahi aata gadhedi?
Raavi: Shiva... Bol naa! Itni fast boldiya tuune toh..
Shiva: I. LOVE. YOU. MRS.RAAVI SHIV....OH MS.RAAVI
Raavi chuckled as she adored his face..
Shiva: Jawaab de?
Raavi: kya? Mein kyu du jawaab? Tu deta tha? Mein nahi deti jaa...
Shiva: uske liye meine sorry bola toh... Aur upar se meine toh maami ko expose karne ki responsibility bhi khud ke upar le li... Abb toh maaf krde!
Raavi: matlab uske pehle kuch nahi hua tha?
Shiva: kya?
Raavi: (breaks the hug) oh really... Mr.Chattan Pandya, tujhe sach mein yaad nahi?
Shiva: oh haan.... Uske liye bhi sorry... Abb se tujhe sab kuch bataunga... Par uske pehle waadah kar kisi ko kuch nahi bolegi... Chahe kuch ho jaye... Tere muh se woh baat nahi nikalni chahiye...
Raavi: promise... Tu bhi promise kar ki meri bhi har baat aaram se sunega aur apni bhi batayega...
Shiva: Promise...
Raavi: I. LOVE. YOU. TOO. SHIVA..
Both of them again hugged....
Raavi: Shiva?
Shiva: hmm?
Raavi: abb tu kabhi mujhe firse chodega toh nahi naa?
Shiva: kabhi nahi.... Mein kabhi nahi chodunga tujhe raavi... Agar tu bole toh bhi nahi..... Abb humaare beech koi nahi aa payega... Chal abb khaana khaate hain mujhe toh bohot bhookh lagi hai... Aur mujhe pata hai tujhe bhi lagi hai... Kyuki tuune bhi nahi khaya hoga khana...
Raavi: tujhe kaise pata?
Shiva: mujhe pata hai.. tu jab mein khaata hu tab hi khaati hai...
Raavi: par khaana toh thanda hogya.. Rukk mein firse garam krke laati hu...
Shiva: rehne de..
Raavi: abhi toh bol raha tha bhookh lagi hai toh abb kya hua?
Shiva: wahin chlte hain... Jaahan tu shaadi se pehle mujhe zabardasti leke jaati thi... 4 bjne ko aaye hain.. uncle aa gye honge...
Raavi: wow... But wait Mr.Shiva Pandya.. are you asking me on a date?
Shiva: abey yeh chochle mujhse nahi hote.. chal naa yaar Raavi.... Kyu aise sawaal pooch pooch ke dimaag khaa rahi hai... pata nahi log saath mein khaana khaake aane ko date bol dete hain.. yeh kya baat hui... Gadhede... Aise toh pata nahi tu mujhe kitni dates pe leke chali gyi hogi zabardasti.... Kyuki Raat ko toh tujhe meri hi neend kharaab krli hoti thi chipkali!
Raavi: Haa chal.. abb lecture Matt jhaad.. unromantic kaddu!
Shiva: mein? Unromantic? Kaddu? Tu Rukk chipkali...
(Starts chasing her) pehle mein confess krne waala tha... Aur meine kara bhi pehle hi tha, pehle kiss meine kiya... Aur unromantic bhi mein hi... Tu Rukk.. gadhedi abb kya bhaag rahi hai..
Raavi was running around the room giggling, and chuckling at his each word.... But confused too... When did he made the first confession? Soon he catched her and she was sandwiched between the walls and his body... Raavi shyly lowered her eyes... As his hands rested on the wall on her either sides caging her...
Shiva: abb bol? Mein unromantic hu!
Raavi: woh sab toh theek hai... Par tuune confess kab kiya pehle? Woh toh pehle meine kiya naa?
Shiva: wo..wo... Hehe... T..tu cho..chod naa... Chal hum Jalebi faafda khaake aate hain....
Raavi: please naa Shiva bata naa.. (as tears started brimming her eyes)
Shiva: abb tu rone kyu lagg gayi? Ismein rone waali kya baat hogyi.... Chipkali? Accha bataata hu..
Raavi: Gadhede.. mein iss liye to rahi hu... Kyuki tuune first time confess kiya aur mujhe yaad bhi nahi..
Shiva: abbey gadhedi... Tu tab hosh mein nahi thi... Tab toh tu uss van mein thi... Khaayi mein girne waali thi... Gadhedi tu...
Raavi: accha tab bola! Oh! Chal naa... Jldi bhookh lagi hai bohot...
Shiva: Chal...
They went out of the room... And sneaked out... While they were driving to the stall... Shiva's mind clicked the fact that Raavi didn't ask about the kiss... Did she not hear? Or She was awake then? Or she didn't want to know? Naa.... The first and third question are really really not true... Pkka yeh gadhedi ko pata hai kiss ke baare mein.. abb tu dekh Chipkali.. mere saath chalaki?
Shiva: Raavi?
Raavi: hmm?
Shiva: pakad ke beith... Gir wir gayi toh?
Raavi: pakad ke toh beithi hu aur kya tere saath khud ko baandhu?
Shiva: oh haa... Waise ek baat puchni thi poochu?
Raavi: haan?
Shiva: Jab meine tujhe pehli baar kiss kari thi? Toh tu jaag rahi thi?
Raavi: ka..kab..? M..mujhe nahi pata... Mein bhi sochu tu itne pyaar se kyu baat kar raha hai... Yeh maksad tha naa tera!
Shiva: (speeding up and slowing down the bike to frighten Raavi) bata... Tu jaag rahi thi yaa nahi?
Raavi: (wrapped her hands around his stomach clinging to him) yeh kya kar raha hai.... Shiva? (Closing her eyes)
Shiva: bata haa yaa naa?
Raavi: Shiva theek se chala bike..
Shiva: haa? Yaa naa?
Raavi: haa.. mein jaag rahi thi.. bass? Yahi sunna tha naa... Tujhe please abb bike ki speed kam kar...
Shiva: abb aai naa line pe! (Slowing down the bike) badi shaatir hai tu toh chipkali haa!... Shiva Pandya ko chakmein de rahi hai!
Raavi: woh toh mein hu hi... Tujhse toh mein starting se jeet ti aayi hu Bhootnath..
Shiva: Haa par cheating se dhara bhabhi ya gaumbi ko beech mein laa ke...
Raavi: Chal chal Ave.. jldi khaake ghar pohonchein...
As they reached the stall. They ate the jalebi-faafda's and left.... They were silent during the ride.. A peacefull silence... But Raavi broke it when Shiva didn't stop the bike infront of Pandya Niwaas...
Raavi: Shiva? Abb kahaan jaa rahe hain hum?
Shiva: Kahin leke jaana hai tujhe... Accha chal guess kar..
Raavi: umm! Subaah subaah.. tu koi aisi jagaah jaahan nature bohot ho?
Shiva: Okay!
Raavi: matlab sahi hai! (Happily) wow..wow... I'm so smart..
Shiva: chal chal Ave.. abb aage bata nature waali konsi jagah?
Raavi: Beach?
Shiva: uhm... Galat..
Raavi: ummm...... Garden?
Shiva: again a wrong guess..
Raavi: (thinks for sometime) Ae Bhootnath kahin jungle wgera toh nahi hai naa?
Shiva: who knows🙄... Yeh nahi bataunga mein..
Raavi: uhu..uh... Shiva? Shivaaaaaaa! Yeh..yeh raasta to..toh sacchi Jun.. jungle ki taraf jaata hai...! Hei bholenath iss Bhootnath ko akal doh...
Shiva: (as they reached the place) Chal utar.
Raavi: Shiva.. please tu aise kyu kar raha hai.. tu..tujhe pata hai naa mujhe darr lgta hai... Please chal naa ghar..
Shiva: Ae Chipkali! Mein hu naa.. Mein yaahan tujhe woh tree dikhaane laya hu jaahan mein tab aake beithta hu jab mein pareshan hota hu... Yeh meri secret jagaah hai..
Raavi: (holds Shiva's forearm tightly) ch..chal..
Shiva: Raavi? Itna kyu darr rahi hai... Dekh agar tujhe nahi jana hum ghar bhi jaa skte hain waapis..
Raavi: accha nahi.. nahi mujhe koi darr wrr nahi lag raha..... (Still holding onto his hand tightly, Shiva smiled seeing their entwinted Hands)
Shiva jumped up and sat himself on tree.
Raavi: Oye Bhoothnath meri bhi help kar... Mein koi teri tarah bandar thodi hu.. jo mujhe bhi ped chadhna aata hoga!
Shiva: oh haa.. aaja...
He gave her his hand and helped her sit up on the tree. His hand travelled towards her waist as her hands wrapped around his left arm and head rested on his shoulder. Next two hours went by talking about the misunderstanding since their marriage day, apologizing for their mistakes, supporting each other and assuring of being always at each other's side.. those two hours just cleared away all of their misunderstandings, which had been looking like Mt. Everest by now.. all their pain was drained into their talk..
Raavi: Shiva?
Shiva: Hmm?
Raavi: abb hum kabhi alag nahi honge naa?
Shiva: (as his head went on her's) kabhi nahi.. abb yeh shiva Pandya ka waadah hai ki.. mein kisi ko bhi humaare beech nahi aane dunga Raavi! Naa kisi insaan ko, aur naa hi koi bat ko.... Mein humesha tujhse baat krke sort out krne ki koshish karunga.. Meine pehle bhi baat naa krke Humaare rishte mein itni badi daraar laa di.... Raavi sachmein mera tab sachi tere character ko question krne ka iraada nahi tha..
Raavi: Shiv..
Shiva: aaj please hum dono bolenge bhi aur ek doosre ki madad bhi karenge... Raavi abb naa sab mujhe ghutan deta hai.. mein..mein sab kuch tere saath share krna chahta hu. Sab kuch...
Raavi simply tightened her grip on his arm gesturing him to continue as she separated herself from him and made an eye contact with him...
Shiva: Raavi? Mujhe kabhi bhi farak nahi pada koi mujhe kuch bhi kahe.. mujhe koi faraq nahi pada.. par jab koi yeh kehta hai naa.. ki Shiva se shaadi krke Raavi ki zindagi kharaab ho gyi... Toh mein nahi sun pata hu... Uss din bhi mujhe Sneha ke unn shabdo se problem thi... Sabhi ne mera yeh roop toh dekha hai.. par kabhi kisi ne mujhe poochne ki koshish nahi ki... Sivaay tere... Par meine tujhe bhi nahi bataaya.. kyuki pehle mein tujhe sirf MAAMI KI BEHEN KI BETI samajhta tha... Kabhi tujhe raavi samajhne ki koshish hi nahi ki... Toh kabhi nhi bataaya... Aur jab takk raavi ko pehchana toh pehle himmat nahi hui.. aur fir misunderstandings aa gyi..humaare beech... (As a tear escaped Raavi's from Raavi's eye) Raavi! Muj..mujhe na aaj tak kisi ne nahi poocha ki Shiva tujhe kya problem hai! Kisi ne nahi.. yaahan tak ki bhabhi ne bhi nahi.. par sirf tu thi jo ki mujhe poochti thi. Pata nahi ki kisi ko pata hi nahi chalta tha yaa.. jaanboojhke mujhe poochte nahi thei.. lekin sirf tuune tab bhi mujhe poocha hai.. jab hum dost bhi nahi thei shaayad! Raavi! Papa ke jaane ke baad naa. Meine apne andar ke bacche ko.. uss Shiva ko jo Humes khush rehta tha, sabse acche se baat krta tha, jo sabka favourite tha.. ussey maar liya.. aur surprisingly pehle pehle toh sab ne mujhe pyaar se poocha.. par di baadmein.. sab mujhe jangli bolne lage.. har koi raah chlta mujhe gawar bolke jaata tha.... Mein bhi toh insaan hu bura lgta hai mujhe.. par gaumbi aur bhabhi ko khush dekhke mein apna dukh pee jaata.. sach batau raavi? Par tu yeh baatien kisi ko Matt bataana... Haa! (To which raavi nooded assuring him that she won't repeat the mistake again)
Raavi: Apr Shiva? Tuune padhayi chodi kyu? Jab ki tu toh engineering karna chahta tha naa?
Shiva: Raavi? Tuune toh dekha hai naa gaumbi ko... Kitna kaam krte thei woh aur dhara bhabhi... Par jab raat ko woh dono ghar aate thei naa.. unke haatho pe nishaan, gaumbi ki peeth pe bore uthane ki wajaah se nishaan mein nahi dekh pata tha... Mu..mujhe unpe bojh jaisa feel hota tha.. Raavi bass issi kaaran meine apni padhaai chodh di... Aur sach kahu toh aajtak mujhe kisi ke mujhe gawaar kehne par bilkul apne decision pe shaq nahi hua.. par agar koi apna bole toh mujhe bhi bura lagta hai... Mujhe pata hai tuune kabhi bhi mujhe gawaar nahi kahaa... Par jab koi tera dost, ya maami tujhe bolte thei naa ki teri Zindagi kharaab hogyi.. mujhse shaadi krke toh mein tut jaata tha...
Raavi: Shiva? Par meine har baar unhein sabko mod ke jawaab diya hai... Par afsos tu tab takk gusse mein chala gaya hota tha...
Shiva: (as tears maid their way down his cheeks) uss din Sneha ki baatien sunke mujhe khud pe gussa aaya.. bohot jyada... Toh meine sharaab pi li.... Uss din mera koi iraada nahi tha teri diary padhne kaa.. par glti se padh li meine... Aur khud ko teri khwaaisho se bilkul hi ulta paa ke mein..kyuki mein dev ke jaisa bilkul nahi hu...meine decide krliya ki mein khud hi tujhse duur chala jaunga... Kyuki Raavi! T..tu mere saath compromise kar rahi thi.... Aur mujhe laga tu kabhi mujhse pyaar nahi kar payegi... Aur mein tab tak tujhse pyaar krne laga tha... Tujhse pasand krne laga tha Raavi mein!... Aur mein tujhe mere saath ghut-te hue jeete nahi dekh skta tha....
Raavi: (cups his face, wipes away his tears) Shiva pehli baat toh tu meri har khwaaish ko puura krta hai... Bataau kaise? Meine kya likha tha? GENTLEMAN.... Aur tu gentleman hai Shiva!... Jo ladka apni khud ki biwi ko touch krne se pehle bhi so baar sochta hai.. woh gentleman hai.. aur tu khud ko dev se toh hargis compare Matt kar.. jo insaan apni wife pe haath tak uthaane takk jaa skta hai.. woh gentleman nahi ho skta... Shiva! Tuune kabhi bhi mujhpe haath nahi uthaya.. fir chaahe situation koi bhi ho... HANDSOME.. woh toh tu hai hi...jo insaan itne saadharan kapdo mein itni accha lagta hai... The most handsome munda of Somnaath lgta hai.... Woh toh handsome hoga hi naa... Tujhe pata hai jab tu competition mein 3 piece pehnke aaya tha naa. Toh sabhi tujhe hi dekh rahi thei... Aur Isi liye meine tujhe woh kapde pehnne se mana kardiya... Kyuki yeh haq sirf mera hai mein kisi ko yeh haq nahi dungi.. Samjha? (To which Shiva Chuckled, making raavi smile) PADHA-LIKHA. Yeh hi tha na mera 2nd last dream! Toh tu bhale kamm padha likha hai... par Shiva tere paas har kaam ko samajhne ki art hai... Tu jo bhi kar raha hai usmein perfect rehke krta hai... Aur sabse last dream ki woh mujhse sabse zyada Pyaar krta ho.. Woh bhi checked hai... Kyuki jo insaan mujhe khush dekhne ke liye apne pyaar ko duur krde naa.. uss se zyada pyaar tumhe koi nahi kar skta... Tu har baar meri care krta aaya hai Shiva... Toh isliye tu meri har checklist mein fit beithta hai... Aur Shiva compromise krna bura nahi hota.. haa mei compromise krna chahti thi.. par tere saath.. tujhse nahi.. balki tere saath compromise krne chahti thi mein.. tere saath aage badhna chahti thi mein... Samjha?