"Dua qubool nahi hoti tu aasray aur waseelay talaash karnay kay bajaaye sirf haath utha lijiye,Allah say khud maangain.Day dai tu shukar karain,na day tu sabar...Magar haath aap khud hi uthayain.
Zindagi ka qareena aur saleeqa nahi araha tu Uswa-e-Hasan Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam ki taraf chalay jayain,sab kuch mil jaye ga aap ko.
Ahtiraam her aik ka karain.Her wali ka,her Momin ka,her
buzurg ka,her shaheed ka,her Suaaleh ka,her Paarisha ka.
Magar apni zindagi mai hidayat aur rehnumaai sirf Hazrat Mohammad Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam say lain kiun kay unhone aap tak apnay zaati ahkamaat nahi pohnchaaye.Jo kuch bataya woh Allah ka naazil karda hai.
Dr. Syed Sibte Ali kaun hai,kiya hai,kaun janta hai ussay?Aap…….Aap kay ilawa chand 100 loag….Chand hazaar loag,magar jis Pir-e-Kamil(Salallahu Alayihi Wa'aalaihi Wasallam) ki baat kar raha hun unhain tu 1 arab kay qareeb loag apnay Roohani Paishwa mantay hain.Main tu wohi kuch kehta,duhrata phir raha hoon jo 1400 Saal pehlay Hazrat Mohammad Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam farma chukay hain.Kiya nayi baat kahi maine?"
An Excerpt From:
Pir-e-Kamil(S.A.W)
3