Umera Ahmed AT - Page 9

Created

Last reply

Replies

419

Views

33.8k

Users

41

Likes

285

Frequent Posters

Posted: 12 years ago
#81

Originally posted by: OnlyHope

DONE. Hinna, read ittt..it's just amazing..<3


Done! I will tell dads to read this to me after we are done with PEK 🤣
-Marie- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#82
Salaar kuch kahay baghair uth khara hua.Woh Khaana Kaaba kay darwazay ko dekh raha tha.Bilaashuba ussay zameen per utaari janay wali Suaaleh aur Behtareen auraton mai say aik bakhsh di gayi thi.Woh aurat jis kay liye 9 saal uss nay her waqt aur her jagah dua ki thi.
Kiya Salaar Sikandar kay liye naimaton ki koi had reh gayi thi aur ab jab woh aurat uss kay saath thi tu ussay ahsaas horaha tha kay
woh kesi bhaari zimmedaari apnay liye lay betha tha.Ussay uss aurat ka kafeel bana diya gaya tha,jo naiki aur Paarisaayi mai uss say kahin aagay thi.
Imama uth khari hui.Salaar nay kuch kahay baghair uss ka haath thaam kar wahan say janay kay liye qadam barha diye.Ussay uss aurat ki hfazat sonp di gayi thi,jiss nay apnay ikhtiyaar ki zindagi ko uss ki tarah kisi alaaish aur ghalazat mai nahi duboya,jis nay apni tamam Jismaani aur jazbaati kamzoriyon kay bawajood apni rooh aur jism ko uss ki tarah nafs ki bhaint nahi charhaya.Uss ka haath thaamay qadam barhatay hue ussay Zindagi mai pehli baar Paarisaayi aur Taqwaa ka matlab samajh mai araha tha.Woh uss say chand qadam peechay thi.Woh Haram Paak mai bethay aur chaltay loagon ki qataaron kay darmiyaan say guzar rahay thay.
Woh apni poori zindagi ko jesay Film ki kisi screen per chalta dekh raha tha aur ussay betahaasha khoaf mehsoos horaha tha.Gunaahon ki aik lambi fehrist kay bawajood uss nay sirf Allah ka karam dekha tha aur uss kay bawajood uss waqt koi uss say ziada Allah kay ghazab say khoaf nahi kha raha tha.Woh shakhs jis ka I.Q Level 150+ tha aur jo Photographic memory rakhta tha 9 saal mai jaan gaya tha kay in donon cheezon kay saath bhi zindagi kay bohat saray muqamaat per Insaan kisi andhay ki tarah thokar kha kar gir sakta tha.Woh bhi gira tha bohat baar...Bohat muqaamat per...Tab uss ka I.Q Level uss kay kaam aya tha na uss ki Photographic memory.
Saath chalti hui larki woh donon cheezain nahi rakhti thi.Uss ki mutthi mai hidaayat ka aik nannha sa jugnoo tha aur woh uss jugnoo say umadti roshni kay sahaaray zindagi kay her ghup andheray say koi thokar khaaye baghair guzar rahi thi.

<3 <3 <3 <3 A perfect Ending of Superb Novel <3 <3
OnlyHope thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#83
Hinna, Haasil is a one-sitting read...I'm serious!
I started the day before yesterday and only read about 2 pages, cause it was on my phone and I dozed off!
The next day I started again, and literally only took breaks when mom gave me something to do! Then she left for somewhere and I finished it! (of course didn't do ANY chores) 🤣
Very quick, but very very veryyy good..
-Hina- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#84
guys, i've also started reading Hasil <3 i am on the 19th pg, started reading it yest or day before .. and all Thanks goes to usman & Fari :D

I might finish reading it till next week or the one after, soo much shcool work to do, plus reading urdu isn't any easy task to do 😳 btw, its my third novel after :D
Posted: 12 years ago
#85
ill def read haasil next :D
dad was awake until 4am last night reading PEK 😆
TwilightHorizon thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#86
guys do read darbar-e-dil by UA it is also worth reading bs telefilm me bera garaq kr dia
Usman. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#87
^ I have read Darbaar-e-Dil.. really liked it
Posted: 12 years ago
#88
Im not reading darbar e dil since i already know the story
and I loved the TF <3
Posted: 12 years ago
#89
"Urooj her qoam her nasal ka khuwaab hota hai aur phir woh qoamain jin per ilhaami kitaabain naazil hui ho tu woh urooj ko apna haq samajhti hain magar kabhi kisi qoam per sirf iss liye urooj nahi aaya kay ussay aik kitaab aur Nabi day diya gaya jab tak uss qoam nay apnay aamaal aur afa'aal say urooj kay liye apni ahliyat saabit nahi kardi woh kisi martaba,kisi muqaam,kisi fazeelat kay qaabil nahi thehreen."

Pir-e-Kamil(s.a.w)
Posted: 12 years ago
#90
"Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna
ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha."

Pir-e-Kamil(S.A.W)

Related Topics

Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

6 months ago

Qubool Hai (EXPRESS) - Ahmed Hassan, Nausheen Ahmed, Javeria Saud

Ahmed Hassan, Nausheen Ahmed, Javeria Saud Saud Qasmi To Do An New Ramzan Drama Called Qubool Hai It's Teaser Is Out Now...

Expand â–¼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: heavenlybliss

3 years ago

Sanwal Yaar Piya (GEO) - Feroze Khan, Ahmed Ali Akbar, Durr E Fishan

https://reviewit.pk/iqra-aziz-and-imran-ashraf-all-set-to-star-together-again-after-ranjha-ranjha-kardi/

https://reviewit.pk/iqra-aziz-and-imran-ashraf-all-set-to-star-together-again-after-ranjha-ranjha-kardi/
Expand â–¼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

1 years ago

Humraaz (GEO) - Ayeza Khan, Zahid Ahmed, Feroze Khan | DT.N. Pg16

Ayeza Khan To do a New Drama With Geo After 6 Years Directed By Farooq Rind 👇🏻👇🏻...

Expand â–¼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

1 years ago

Faraar (GREEN) - Hamza Ali Abbasi, Sohai Ali Abro, Ahmed Ali Akbar

Hamza Ali Abbasi and Sajal Ali To Pair Up For A New Drama Titled Farar after 5 years 👇🏻👇🏻...

Expand â–¼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

7 months ago

Iqtidar (GREEN) #6 - Ali Raza, Anmol Baloch, Ahmed Randhawa

This Is The Part 6 Of Green TV's Hit Drama Iqtidar...

Expand â–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".