thanks for the reply dear...great work urmi di
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 2, 2025 Episode Discussion Thread
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 2nd September 2025
ABHEERA IN JAIL 2.9
UMAR KHAYID 1.9
What’s the upcoming track??
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
Mrunal Thakur Called Mean Girl
I wanted Abheera’s fate for Akshara
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Janhvi Kapoor In Talks For Chaalbaaz Remake
Anupamaa 02 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Real Woman Power Farhana
Jee Le Zaraa Is Happening
thanks for the reply dear...great work urmi di
thank you for reading my post and for such sweet comments ritz..Originally posted by: rituloveskmh
Woww Urmi...this was so touching!!!you made me cry!😭
awesome sweetz!
thank you for your sweet reply dear...Originally posted by: TheRoopsy
that is such an emotional post so beautifully written👏
Originally posted by: barbie2011
Hey All;The turmoil that deepak is going thru right now had moved me a lot,i have tried to portray the pain and hurt that Deepak issuffering thru my poem.. I hope I have done justice to his emotions. Just a word before you read, this piece of writing is probably the most emotional of all my poems so far...it has so much pain that it is just unbearable, i dont know how Deepak is able to bear this pain...EK Ummed Kesaath ghar se nikala tha,Apni beti ke aankhon ke aanson jo pochne the,Yakeen tha ki Gautam se ekbaar mulakat karlunga;To koi na koi raasta jaroor nikal hi aayega,Lekin ye kya dikha diya waqt ne mujhe,Jaise saari umeed tutkar kar bikhar si gayi..Jo Shak, Jo Dard main jhutlana chahta tha,wo hi Kadva sach bankar mere smane aakar khada ho gaya tha;Haan maine Gautam ko ek ladki , anjan ladki ke saath..Haste Muskurate aur kuch jyada hi kareeb se ghulte -milte dekha..Aankhon par jaise yakeen hi nahi ho raha tha,Aur mera dil jaise dard se bhilakh utha tha,Mann to kiya ki abhi jaakar gautam ko rok lu,Is giri hui harkat ke liye , use sabke samne sazza du,Lekin phir gudiya ka chehra aankhon ke samne aagaya,Aur maine apne gusse ko, aur naarazgi ko wahi rokliya,Tamasha banakar bhi kya matlab ikalta,Aakhir meri beti aur poti ki zindagi ka jo sawaal tha...Bada hi nazook sa mod hai, isse samabhlkar hi suljhana tha...Badi mushkil se khud ko sambhal kar main wapas ghar pahoncha,Raaste bhar jaise main apne kadamo ghasit raha tha...Aankhon dekha sach maine meeta ko sunaya,Darr gayi thi wo bhi,Par jaane kyun is sach ko man hi nahi rahi thi,Mujhe shayad koi galatfemi hui hai, aisa use lag raha tha,Kaise samjhata use, main bhi ek baap hun,Insaan ko pehchanane ki samajh hai mujhme..Phir, maine apni nazaroon se apni naarazgi bayaan kar hi diApni betiya ko kya kahun, kaise kahun,Yehi samajh nahi aaraha tha,sab kuch kahin khatam na ho jayeIs soch se dil betha jaa raha tha..Tabhi ek aas lekar renu mere paas aayi,Mere aur gautam ki mulakat ke baare main sach jaanan tha use...Baat badi ghambhir thi, par usko chupakar to kuh nahi milta,isliye badi himmat jutakar maine renu ko sab sach batahi diya,Jaise koi kaanch girte hi tutjaata hai,Usi tarah renu bhi ekdum se tut hi gayiUske aanson dekhkar, mere bhi aansu ruk nahi rahe the,Lekin phir maine apni himmat banayi rakhi,Mere sahare ki jarroorat thi use,Us waqt main kaise kamzoor pad sakta tha..Meeta ki baaton par yakin nahin tha muhes,Par shayad ek aur mauka miljaye is shadi koIsi umeed se maine, meeta ki baaton main apna yakeen dikhayaApni beti ko apne kandhe ka sahar de,keh to diya tha maine ki" Papa sab kuch thik kardenge"Par kaise yehi samajh nahi aaraha hai..Aaj pehle baar khud ko bahot majboor paa raha hun main...Kash kahin se koi umeed dikhjaye,Aur main ek baar phir apni bitiya aur gudiya ki zindagi sawaaar dun...For the first time I have tried to portray for someone other than Navya..i hope you guys enjoy reading it.Please press the LIKE button if you like my poem.I'll look forward to all your replies,advices/comments as always...Love you all