Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 25th Sep 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 25, 2025 EDT
ROOM SERVICE 25.9
🏏T20 Asia Cup 2025: PAK vs BD, Match 17, A2 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
Hawt Geetmaan Moments 🔥🔥💋💋
Sameer Wankhede takes Aryan Khan’s series TBOB to Court
Important Questions
Deepika to reunite with Vin Diesel for XXX 4?
DANDIYA NIGHT 26.9
Movies of Sonam Kapoor's which I enjoyed
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 26, 2025 EDT
Quiz for BB19 Members.
OTT vs. theatre: which one do you prefer?
How Salman Khan Would Address You in Weekend Ka Vaar? Quiz
Daayra shooting begins - Kareena and Prithviraj
Abhira master planner of breaking Arman relationships
Two Much With Kajol Twinkle Episode Reviews
🏏T20 Asia Cup 2025: IND vs SL, Match 18, A1 vs B1 - Super 4 @Dubai🏏
Hey All;
Todays epi..was a very emotionaland tear jerker..everybody did a increible job..bu wah lingers around is the love and the pain between the cutest couple ever ANYA..yes they are so close to reality that it is difficult to acept that they are mere characters of the silver screen...As everybody todays epi..touched me deep down and gere i am tryign to portay some of the emotions in my lines..there were many emotions at play today that i was having difficulty finding words to say it all..but have tried to capture a little bit of essence of that silent conve and the good bye...i am not sure abt my own lines today, te emotion inside me are so high,that i dont know where to start and whatto say...but i have made an lame attempt..I hope you guys enjoy it..
Khud ko sambhalkar, apne aansoons pochkar
Laut hi rahi thi main,
Ki achanak mare kadam ruk gaye,
Uski saanso ki garmi ka ehssas ho raha tha jaise..
Jaise wo yahin kahi tha, mere ass pass,
Aur jaise hi maine mud kar dekha to haan,
Wo yahin tha, bilkul mere samne,
Is lamhe se jitna dur bhag rhi thi main,
Sach mano to usse bhi jyada besabri se intezaar tha mujhe..
Jaane se pehle ek baar phir uska chehra dekhneka,
Shayad is judai ke dard ko sehne main,
aur thodi himmat mil gayi mujhko,
Hum dono ke dil main ek hi sa dard tha, judai ka..
Aur waqt se ek hi shikayat'
Hamare shabado ne bhi hamara saath choddiya tha shayad,
Par aankhon ne hamari ye mushkil bhi aasan kar di..
Wo jaise keh rah thi ekdusre se..
Aakhir main tumhe jaane se pehle ekbaar dekh hi paya..
Main bhi to tumhara chehra dekhne ke liye betab thi..
Kyun kyun mujhse itni badi baat chupayi,
Kya itna bhi jaan ne ka haq nahi tha mujhe?
Main janti hun, maine tumhara dil dukhaya hai,
Par main kya karti,
Kaise batati tumhe ki tumhari zindagi tumse dur jaa rahi hai,
Kaise batati ki hum kal parso nahi,
Ab bahot dino tak mil nahi paayenge..
Aur batane ke baad kya main khud ko sambhal pati?
Nahin,Tutkar bikhar jaati main,
Tumhe dukh pahochnae ki himmat nahi thi mujhme..
Kya tum mujhe maaf nahi kar sakte..
Nahi navya nahi..aisa mat kaho,
Mujhe tumse koi shikayat nahi hai..
Mujhe khush rakhne ke liye tumne saare gam khud hi seh liye,
Ab isse jyada kya kahun tumse..
Bus yehin ki main tumhare bina nahi reh sakta..
Main bhi kahan reh paungi tumhare bina..
Magar, hume is imtehaan se guzarna hi hoga,
Tumhare pyar ki yaadoon ko apne saath le jaa rahi hun.
Aur tumhara muskurata chehra bhi nazron main band kar liya hai maine..
Usne pocha;
Kya mujhe tumhara muskurata chehra apne saath lejaane ka haq nahi hai?
Apne aansu rokkar, humne phir ek bar muskura diya.
Par yekhushi, kuch hi pal hamare chehre par tik paayi,
judaai ka gam phi se hamari aankhon mai bhar hi aaaya,
Bus unhi yaadon aur muskurahat ke saath hume rehna hoga..
Par mujhse wada karo tum apna khyal rakhoge,
Apna dil tumhare pass chode jaa rahi hun,
Usse apne pyar se sambhal ke rakhna,
Main bhi tumhare dil ko bade jaatan se apne paas rakhungi'
Aur hamare Milan ki aas main har ek pal guzardungi..
Wo bhi to yehi kehraha tha mujhse ki,
Main bhi tumhare lautneka intezaar karunga
haan hum phirse milenge, mujhe yakeen hai'
Pleas hit the like button if my lines make any sense to you all...I'll as always look forward to your comments/replies
@barbie:
Laut hi rahi thi main,
Ki achanak mare kadam ruk gaye,
Uski saanso ki garmi ka ehssas ho raha tha jaise..
Jaise wo yahin kahi tha, mere ass pass,
Aur jaise hi maine mud kar dekha to haan,
Wo yahin tha, bilkul mere samne,
Is lamhe se jitna dur bhag rhi thi main,
Sach mano to usse bhi jyada besabri se intezaar tha mujhe..
Jaane se pehle ek baar phir uska chehra dekhneka,
Shayad is judai ke dard ko sehne main,
aur thodi himmat mil gayi mujhko,
Hum dono ke dil main ek hi sa dard tha, judai ka..
i really liked this part and especially the first few lines...how she sensed his presence behind her👏...