Hello guys
Hum sabne jo theory banai hai., usko lekar maine ye ff likha hai.
Isme sabka thoda thoda dimaag hai. So, dedicated to all purvir fans. ❤️
Hope u guys like it.
Ur likes and comments are always encourage me to write more and more. ❤️
Part 1
Purvi ne vir ko abhi tak maaf nahi kiya tha.
Is baat ko 7 din ho chuke the. Ek din purvi ko kitchen me akela paakar vir uske paas aata hai. Pur vir ko andekha kar apne kaam me buzy rahti hai.
Vir: ib bas bhi kar. Teri ye chuppi mere se bardaast na hoti. Ib maafi de bhi de. Aur jo tune maaf na kiya na to ib mai maafi maangunga bhi na. Sari galati mere akele ki na hai. Kuch teri bhi hai. Maine khud tujhe boys hostel jate dekha tha. Yo baat bhi tanne mere se chupai. Ek baar khud ko meri jagah rakh k dekh. Tujhe kaisa lagega agar mai kisi aur k saath.......
Dono ek dusre ko dekhte hai.
Vir wahan se chala jata hai.
Purvi apne aap se: mukhi ji sahi to kah rahe hai. Tu sach me bawri hai, purvi. Agar hum mukhi ji ko kisi aur k saath dekhte to shayad jaan hi le lete, sahan nhi kar pate is baat ko.
Bechare mukhi ji, kitni baar unhone humse maafi mangi.
Per ab bas. Abhi jate hai unke paas aur kahte hai, humne aapko maaf kar diya.
Vir painting room me sakshi ki tasweer k aage khada tha.
" Ye bawri mere man ki baat na samjhti. Sakshi mai tujhe dhokha na de raha. Per is bawri ne apne vyavahaar se sabke saath saath mere dil me bhi jagah bana hi li. Ek baar wo mujhse baat kare to mai usse bataunga ki mai us se kitna prem karta hu.
Chahe uska jawaab jo bhi ho.
Tabhi purvi wahan aati hai.
Purvi: aap yahan kya kar rahe hai?
Vir: sakshi se teri hi baat kar raha tha.
Purvi: Accha, to hamari shikayat kar rahe the(smile)
Tabhi purvi sakshi ki tasveer ke aage jati hai
" Sakshi ji, aap mukhi ji ki baat bilkul mat suniyega...... "
Aur tasveer dekhkar chaunk jati hai.
Tasveer me wahi aurat thi jiski madad purvi ne shivratri wali raat ko ki thi aur sudha k saath NGO bhej diya tha.
Purvi: ye.. Ye.. Kaun....
Purvi apne kadam piche leti hai
Vir: ke ho gaya tanne?
Purvi: ye tasveer......?
Vir: ye sakshi hai.
Purvi ne jo suna use vishwaash nhi hua. Uske paron tale zameen sarak gai. Wo bhagti hui apne room me kanha ji k paas aai.
Mukhi: bawri kahinke
Purvi: he kanha ji. Ye hamara jeevan kahan le ja rahe hai aap? Aaj hamara astitva kya hai, hamen khud bhi nhi pata. Sakshi ji zinda hai aur mukhi ji ko ye baat pata bhi nhi hai. Kya kya socha tha humne. Per ab nhi, mukhi ji ko pata nhi chalna chahiye ki humne unhe maaf kar diya hai.
Hum sakshi ji ko is ghar me wapas le kar aainge. Meri naarazgi mukhi ji ko sakshi ji k kareeb le aaigi.
Hum mukhi ji ko dorahe per nhi dekh sakte, jahan unhe sakshi ji aur hamare beech kisi ek ko chunna pade.
Waise bhi mukhi ji aaj bhi sakshi ji se hi pyar karte hai. Wo is haweli me aaigi to mukhi ji hamen kuch din me bhul hi jainge.
Purvi apne aap se baatein kiye ja rahi thi aur roye ja rahi thi kyunki usne ye nirnaya(decision) le liya tha ki uska pyar uske ander hi dum tod dega....