Abhi filhaal Raj aur Kranti ke bich me koi taji ladai nehi chal rahi hai.
Aaj holi ka din hai. KRANTI ko khus karne ke liye RAJ ne aaj apne sasural ke sare logo ke apne ghar bulaya hai. Mamiji bhi aye hai sanjay ko yeah kahke ke dekho pehle tu bhi to aisa tha aab to teri bhikari se bhi battar halat hai. Baki sab bhi aaye hai khali Sanjay thodi der me anewala hai. Sare aurate niche baithi thi, aur ghar ke ledke log bahar baith ke baat kar rahe the. RAJ kisi kam se bahar gaya tha who abhi abhi lauta hai. Ghar me ghuste hi KRANTI ka khila hua chehra dekh ke RAJ ka dil khus ho gaya. RAJ ne kaha main kapde badal ke ata hu KRANTI uske paas ake dhire se boli jo kapde nikal ke rakhi hu wohi pehnna bilaiti barrister. RAJ muskura ke upar chala gaya. Fir thodi der me NIRMAL ne kaha abhi Sanjay aa jayega to usine sab ko pehle rang laga dena hai. Par jijaji ko to pehle main hi rang lagaungi. KRANTI ko yeah sun ke maja aaya, usne kaha ja ja us bilaiti bandar ko niche ane se pehle hi rang laga de nehi to sabke samne bhao khayega aur tu kuch nehi kar payegi. NIRMAL rang ki ek thali le kar upar gayi KRANTI bhi chup chap uske piche piche ayi aur thodi dur khadi ho gayi. RAJ tab tak kurta paijama pehen ke apne kamre se bahar aa raha tha aur NIRMAL mil gayi. NIRMAL ke hath me rang ki thali dekh kar RAJ ko uska irada pata chal gaya par woh to soch raha tha ke KRANTI ko sabse pehle who rang lagayega to badle me KRANTI ne bhi to usko apne pyari pyari hatho se rang lagana hoga. To woh thoda gambhir mu se age aya aur isse pehle ke NIRMAL kuch kahe ya kare bahat seriously usne pucha ke KRANTI kaha hai kyun ke chaije ne kaha tha ke yeah un dono ki pehli holi hai to puja ke baad hi koi bhi rang lagaye. Yeah sun kar NIRMAL rukh gayi. KRANTI thodi dur darwaje ke piche khadi ho kar unlogo ki baten sun rahi thi, usne socha yeah barrister kabhi baaj nehi ayega kitna confidence se juth bolta hai kyunke chaije ne aisa kuch bhi nehi kaha agar bolni hoti to use na kahke RAJ ko kahte keya. Aur RAJ NIRMAL ko budhhu bana raha tha yeah soch kar use aur bhi gussa aa gaya woh samne aa gayi, aur NIRMAL ke piche aa kar khadi ho gayi. Phir dhire se uske kan me kuch kehne lagi aur kisike kuch samajh ne se pehle hi usne NIRMAL ke dono hatth pakad ke puri thali RAJ ke taraf uchal di aur RAJ ka chehra pura rang gaya. NIRMAL aur RAJ hake bake reh gaye aur KRANTI dil khol kar hasne lagi aur haste haste kaha sab jagah pe barristery nehi chalti. NIRMAL ko bahat achhi lag rahi thi KRANTI ka yun muskurana. RAJ waise hi khada tha aur jaise KRANTI ke muskurate chehre ko apne akhon se dil me kaid kar raha tha. Fir achanak NIRMAL ne RAJ se kaha yeah keya barrister sahab KRANTI ko jabab nehi dena hai keya aap to sawal ban kar khade hi reh gaye. Yeah baat sun kar KRANTI ne ulta chor kotwal ko dante aisa dekha NIRMAL ki taraf aur dekha ke RAJ ke hontho pe ek ajib si sararat bhari muskaan hai. Usne jaldi kaha are mujhe chat se kuch saman niche lana hai bolke chat ki tarfa douri, RAJ ne dhire se NIRMAL ko thank you kaha aur KRANTI piche bhaga. Chat ke darwaje ke samne usne KRANTI ko rok liya. KRANTI ke pith dewar ki taraf thi aur do siri niche RAJ khada tha ektuk uske taraf dekhte huye. KRANTI ko ek ajib si halchal ho rahi thi woh muh uthake RAJ ki taraf dekh bhi nehi pa rahi thi, uski najre jhuki thi. RAJ ne kaha bura na mano holi hai to keya aaj main tumhe rang laga sakta hu? KRANTI ko kuch samajh nehi aa raha tha woh keya kare, lekin ek baat tay hai usko gussa bilkul nehi aa raha hai par ghabrahat jarur ho rahi thi. RAJ lekin wohi khada tha jaise ke uska jabab ka intejer kar raha tha. Achanak KRANTI ki najre RAJ ke hatho ki taraf gayi par woh to khali hai to who rang kaise lagayega, usko ghabrahat me bhi hasi aa gayi. Apne aap ko samhal ke fir usne RAJ ki taraf dekha aur natghat si muskurahat ke sath kaha ke are bilaiti barrister agar abhi laga sakte ho to laga do rang, par lagaoge kaise rang to laye hi nehi apne saath. Tab RAJ ko kheyal aya are such me uske pas to abhi rang hi nehi hai. Dono ek dusre ko dekh rahe the. Aur fir RAJ KRANTI ki taraf badne laga, aab KRANTI bhi uske range hue chehra ki tarfa dekh rahi thi. RAJ ne apna chehra ekdam KRANTI ki chehre ke samne le gaya. KRANTI ne apni ankhe bandh kar lit hi. Raj ne apne daye gal se KRANTI ke daye gal ko chuya aur baye gal se baye gal ko fir KRANTI ko dekhne laga. Itne karib se sayad kabhi fir woh use kabhi dekh paye yeah nehi. KRANTI apni ankhe bandh karke khadi thi aur uske chehre pe khusi ki ek ehsas jhalak rahi thi. RAJ ke dil me to bahat kuch aya lekin woh apne aap ko rokh ke KRANTI ke kan me dhire se kaha Happy Holi Mrs Lal aur satwe asmaan me udte hue waha se niche chala gaya. KRANTI uske rang me rang ke wahi khadi reh gayi……..😳
Now its time for a short kabita
Dil me mere jo bhi aya dil khol ke likh diya
Pata nehi yeah scene kahi dekha hai ke imagine kiya
Keya kare R K ka jadu dil pe buri tarha hai chaye
Phir bhi umeed karta hu ke aap sabko pasand aye
Scene common hai keya? Maine pehle kahi nehi dekha but likhte waqt lag raha tha ke pehle kahi dikhaya hoga to mujhe to daat paregi 😕, to agar copy lage to maaf kijiyega.