Cut to: Excel College Library
Gunjan is looking for some books and Samrat is standing by her side, looking at her. As she feels him looking, she turns and they both smile. This has been going on for a while.
Gunjan: Samrat, main kitni der se dekh rahi hu ke tum yahi khade hoke bas has rahe ho. Books leni bhi hai ya nahi?
Samrat: books lene kaun aaya hai chshmish? Main toh tumhe dekhne aaya hu.
Gunjan: (blushing a little) thik hai, ab dekh liya na? Toh please mujhe toh books lene do.
Samrat: itni aasani se nahi. Uske badle me tumhe mujhe kuch dena padega.
Gunjan: kya?
Samrat: apne saath ek date?
Gunjan: tum phir shuru ho gaye?
Samrat: come on chashmish, hamesha mana karti rehti ho. Aaj main kitna khush hu pata hai? Hamari dosti ke beech ab koi jhuth nahi hai, koi mushkil nahi hai. Is baat ko hame celebrate toh karna hi chahiye na?
Gunjan: lekin…
Samrat: haan agar tum is dosti se khush hi nahi ho toh baat aur hai.
Gunjan: maine aisa kab kaha?
Samrat: toh tum chalogi right?
Gunjan: main –
Samrat: haan obviously tum Gunjan! Bolo, bolo, bolo!
Gunjan: acha baba. Thik hai.
Samrat gives a little scream and moves forward to hug her. She backs off just in time.
Samrat: ok ok main tumhe hug nahi karunga. Jab tak tum na chaho. Kam se kam date ke liye toh raazi hui. Aaj mera lucky day hai.
Gunjan: mera bhi.
Cut to: Excel College Canteen
Vatsala and Benji are sitting together, discussing something seemingly urgent. Benji however is keeping a strict lookout for Pooja, in case she spots him with Vatsala.
Vatsala: aur uske baad me use rose de dungi thik hai na? Benji, tum sun rahe ho ya nahi?
Benji: haan haan main sun raha hu. Bas ab sab plan ho gaya, ab tum jaao bhi! Uday utavla ho raha hoga.
Vatsala: haan, us din note bhi likhke diya tha par wo class me mila hi nahi. Benji, wo mana toh nahi kar dega na?
Benji: arey nahi, Dodo ke liye idli sambhar se better kya ho sakta hai?
Vatsala: idli sambhar? Tum khaane ki baat kar rahe ho ya meri?
Benji: arey ek hi baat hai babes, ab tum please jaao. Uday ko kal music room me aane ke liye keh diya hai Chacko ne. Tomorrow is D day, ok?
Vatsala: ok. Thanks Benji.
Benji: haan bye bye!
(He heaves a sigh of relief after she has left.)
Benji: chalo, Uday ka kaam kar diya. Ab shayad mera dimaag khaana band kar dega.
Cut to: Mayank's home
He has just returned from college and as he gets in, he sees his Mom sitting in front of the televison, in a relaxed and happy mood.
Mayank: Ma! Tum ab tak tayyar nahi hui?
Mom: Mayu, TV dekhne ke liye bhi tayyar hona padhta hai kya?
Mayank: arey tumhari meeting nahi hai 6 baje? Jaana nahi hai kya?
Mom: acha woh. Kya baat hai, aaj meri meeting ki itni fikar? Actually wo cancel ho gayi hai, tabhi toh aaram se baithi hu. Tu bhi fresh hoke aa ja. For a change, aaj padhai chod – movie dekhte hai.
Mayank: Ma aap bhi na. (He is irritated and goes into his room.)
Mom: yeh isko kya ho gaya?
Cut to: Gunjan and Nupur – Home
Nupur is getting ready to go to Mayank's place. Gunjan is watching her, wondering how to tell her about the date.
Nupur: acha Gunjan, is suit ke saath red wale earrings better lagenge na? Pata nahi kaha rakh diye maine!
Gunjan: main dekhti hu. Shayad cupboard me ho. (She goes to look and finds the earrings hidden on a shelf.)
Nupur: arey wah, tune toh jhat de nikal diye! (Trying them on) Pyare lag rahe hai na?
Gunjan: haan di. Aaj tum bahut pyari lag rahi ho.
Nupur: thank u Gunjan! Acha yeh bata, tu aise kyun khadi hai? Koi baat hai kya?
Gunjan: wo actually di, mujhe bhi bahar jaana hai.
Nupur: kaha?
Gunjan: wo Samrat ne date – wo matlab padhai –
Nupur: Gunjan, seedha seedha bol na Samrat se milne jaana hai.
Gunjan: haan di.
Nupur: toh jaldi se tayyar ho ja na. Saath chalte hai, thik hai?
Gunjan: nahi, wo shayad Samrat bike pe aayega.
Nupur: oye hoye, kya baat hai. Arey toh darwaze tak toh chalna padega na? Ya room tak aa jayega bike pe?
Gunjan: tum bhi na. Main 5 minute me tayyar ho jaati hu, thik hai?
Nupur: haan, ja Gunjan jaldi kar!
Cut to: Mayank's room
He is walking about, getting nervous and fidegety.
Mayank: yeh Ma ki meeting bhi aaj hi cancel honi thi. Ab main Ma ke saamne Nupur se kya baat karunga? Use ghar bhi bula liya hai. Ab kya karun?
(Just then, the phone rings. He rushes to pick it up but his Mom gets to the phone first.)
Mom: hello! Jee Sir.. are you sure? Thik hai, I'll be there. (She keeps the phone down.)
Mayank: kya hua Ma?
Mom: hoga kya. Yeh mere office wale bhi teri party me aa gaye hai. Jab dekho kaam kaam. Wo meeting ho rahi hai after all. Jaana padega.
Mayank is in the seventh heavens of delight but tries to make a glum face.
Mayank: ab kya kare Ma, tum hi toh kehti ho work is worship? Ab jaana toh padega hi.
Mom: haan, koi option bhi toh nahi hai.
(She goes off to get ready.)
Mayank: shukar hai, ab Ma toh nahi hogi. I hope ab main usse baat kar paayu.
Cut to: Samrat's home
He is getting ready for his date with Gunjan. Benji and Radz observe him as he cant stop combing his hair and adjusting his jacket.
Benji: kya baat hai dude? Itni preparation karte hue super cool Sam ko kabhi dekha nahi.
Radz: haan, lagta hai Gunjan ka asar hai. Sam perfect impression banana chahta hai.
Benji: arey wo toh bana hua hai, nahi toh Gunjan date ke liye maan jaaye? By God!
Radz: mere bhai ka jadoo hai Benji, chalega kaise nahi?
Benji: tere bhai ka nahi, yeh toh pyar ka jaadu hai.
(Samrat throws the comb at Benji, who is stunned.)
Samrat: faltu baato ke expert team se ab main alvida chahunga. I am getting late.
Benji: han han. Time pe jana important hai, zyada waqt milega bitane ko.
(As Samrat gives him a stern look, they both flee from the room.)
Cut to: Mayank's home
His Mom has now left and he is ready to meet Nupur. He has got tired of fidgeting and sits down on the sofa. Suddenly there is a bell at the door. Mayank opens the door only to see Nupur, looking more beautiful than ever.
Mayank: Nupur, tum bahut khusbsurat lag rahi ho.
(Nupur's face turns into a scowl and she lashes out at Mayank.)
Nupur: by God! Andaza toh mujhe pehle hi tha par bas sure hona chahti thi. Tumne aisa soch bhi kaise liya Mayank? Aaj ke baad mujhse kabhi baat nahi karna.
Mayank: lekin maine kaha kya?
Nupur: mujhe aisa compliment dene ka haq sirf Rajkumar ko hai.
Mayank: Rajkumar?
Nupur: haan. Morena ka hero, mere dil ki dhadkan. Mere sapno ka raja. Khaer tumhe kyun batayu? Main ja rahi hu. Bye. (She turns and begins to walk away while he keeps calling her to stop. Suddenly there is the ringing of the telephone. Mayank sees himself still sitting on the sofa. He had been dreaming! Taken aback completely, he goes to pick up the phone. It is Nupur, this time in reality.)
Mayank: hello!
Nupur: hello Mayank, main keh rahi thi ke Gunjan ko bhi bahar jaana hai. Toh main akele bore ho jayungi. Kya main tumhare ghar thoda jaldi aa jayu?
Mayank: han? Kya?
Nupur: so rahe the kya? Tumne ghar bulaya tha, yaad hai?
Mayank: haan wo – Nupur, actually aaj ghar mat aana. Main tumhe phone karne hi wala tha. Achanak kuch kaam –
Nupur: kya kaam? Mayank main kabse tayyar ho rahi thi.
Mayank: sorry Nupur. Main –
Nupur: jahannum me jaayo! Mujhe tumse koi baat nahi karni.
(She slams the phone down.)
Mayank: oh God. Lagta hai main bilkul pagal ho gaya hu. Nupur bhi naraaz ho gayi. Way to go Mayank Sharma!