Originally posted by: ZubyDutta
"Niklete thhe kahaan jaane ke liye, pahunche hai kahaan maalum nahin
Ab apne bhatakte quadmon ko, manzil ka nishaan maalum nahin
Barbaad wafa ka afsaana hum kis se kahen aur kaise kahen
KHaamosh hain lab aur duniya ko, ashkon ki zubaan maalum nahin
Dil shola-e-GHam se KHaak hue ya aag lagi armaanon me
Kya cheez jali, kyun seene se uTHta hai dhuaan maalum nahin
Humne bhi kabhi is gulshan mein ek KHwaab-e-bahaaran dekha thha
Kab phool jhaRe, kab gard uDi, kab aaee quizaan maalum nahin"
😭
Dekha Chanda kya kya kiya gaya mere saath? Aapke Lappy & pyare Bandwaale Didi ne?
Tousled hair, black vest, ghadi & to rub in a bori full of salt joining the Zebra woman on the hanging balcony in "Titanic' act.😭
Phir kehti hain Nakku jaise embroidery waali kapde pehno!Haye!Haye!
But ab promise kiya hain ki Nakku's Day Out khatam Usko ghuma phirake, khila pilaike ghar bhej denge Patil Saab & Monday onwards "Zuby Ko Khush Karo" Abhiyaan chaaloo