wow, so much of detailing....... loved it.........
tc
divya
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 1st Oct '25
DADI AS BOOTH 1.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 1, 2025 Episode Discussion Thread
HEY JINDAGI 2.10
Swara Bhaskar..someone who dared to say it out loud #respect
Budget Single Digit : 7 cameo openings.
My Box Office Prediction for Sunny Ki....jo bhi hai.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 2, 2025 Episode Discussion Thread
What are the professional achievements of gabhira
Gen 5- Major Discussion Thread
Sonam Kapoor is in her family way ? (2nd baby)
Deepika & Farah Khan; Some Serious Tension !!! 👀
Mihir extra marital affair
Gen 5 News article Mila
Himesh - no more breaking news
The Wanderer Planet
SRK Enters Billionaire Club
🏏India vs West Indies, 1st Test: N M Stadium, Ahmedabad🏏
🎉 New Fun Quizzes Are Live on India Forums! 🎉
The Manuscript Marauders Bingo Challenge Thread
Ch54
Dutta looked at the small steamer that was signaling the men on the shore with his own personal sign-the blinking of the torch three times and then the red light. Dutta and baaji had used this signal for past 7years of their smuggling life. Now these men were using Duttta's signature mark and his shore to smuggle things that he had never allowed on them-Drugs and ammunition. Dutta threw a sideways look to baaji. Baaji nodded slightly and signaled his men to spread out and take positions. Dutta saw the man get down from steamer and walk towards the shore. Sudarshan came out to greet him and his men began offloading the crates. Dutta signaled his men and they came into action in fraction of seconds. The fight was over before it even began. Sudarshan grabbed the bag in his hand and pushed the men coming towards him and made a run for his jeep. Dutta and baaji got into their car and chased after him. Dutta called Waqis on his cell,"Sunn Waqis,Sara maal. Drugs, nakli sharab sab jaala dena…puri tarah…khaak ho jaana chahiye…aur police se sambhal ke…forensics bahut tej hotey hai." Waqis-Bhaijaan,asla-baarood ka kya karna hai. Dutta-Wo humare godown mein rakhna aur us par tum log nazar rakhna. Wo mere liye chetawani thi mere purane guru ki.
Hearing his words Baaji braked the car forgetting the chase. He looked at Dutta and mumbled-Yogi mama! Dutta nodded- tune dekha nahi Baaji. Smuggle karne ka tareeka apne purane tareeke jaisa tha. Ek ship se maal leke steamer par leke zameen tak fir zameen se manzil tak. Yahan tak ki crates ka make bhi wahi purana hai…aajkal is tarah ki packing nahi hoti…waterproof packaging ki jaati hai…samandar ke kharey paani se maal ko bacchane ke liye..koi pichrey huye tareeke se smuggle karke apna crore ka nukshan nahi karega. Yogi mama ka haath hai is mein wo mujhe batana chahtey hai ki wo jald mujhse millne ayenge.
Baaji-wo abhi bhi murgjalgad ke peeche parde hai tereko lagta hai. Abhi bhi usko us purane qilley ki jarurat hai maal chupane ke liye. Dutta-baaji,wo jagah duniya se aisi chuppi hui hai jaise wo ho hi nahi. Itihaas mein bhi wo bas kahani hai..ek mangarat kahani. Par main jaanta hoon wo sacgh hai. wahi chuppa tha main 7 saal pahele. Achanak samne nazar aya fir gayab ho gaya tha wo gad..murgjalgad-shivaji raje ka adrishya qilla jisse unhone dushmano se chipkar samandar mein hi khatam karne ke liye banya tha. Par uska pata unke sirf kuch wafadaro ko tha. Ek-ek karke jaise jaise unke wafadar marte gaye us qille tak pahuchne ka raj bhi khatam ho gaya. Kabhi koi naksha nhi banaya tha un logo ne…sabke dimag mein chappa tha nakksha…is liye kabhi aaj tak kitne khoji gaye par unhe samandar mein wo qilla nahi milla. Main wahan pahuchne ke baad samjha ki aisa kyun hai. Baaji us jagah ke charo aur nikile pattar aur chattan hai. unke paar jane ka kaam bada jahaz nahi kar sakta. Aur steamers wahan tak jatey jatey doob sakta hai chataan se takra ke.
Baaji-par tu wahan pahucha bhau! Dutta smiled and looked at him-main wahan pahucha…aur jab wahan pahucha to un crates ko theek karne deck ke nichey gaya…kuch crates tooti hui thi..unme asla barood tha..guns the…RDX tha…Mujhe samajh nahi aya ki kya hua…kaha gaya tha ki electronics ka saman hai. Main steamer ko waha se nikal laya…badi mushkil se…yaad hai tu dund raha tha mujhe…samandar mein ….AS ko bola tha main goa mein hoon kaam se…tab wapas jaake Yogi mama se baat ki aur tab pata chala ki mama ye sab smuggle karke terrorists ke hath pahucha te hai….keral aur Bengal ke naxal,assam ke maowadi…aur na jaane kya kya….main unse alag ho gaya…unhone tab kaha tha ki kahani baaki hai…ab lagta hai..
Baaji-unhe pata hai us qille ke bare mein? Dutta-Haan! Main unka maal unhe pahuchatey waqt bata diya tha ki main kaise bacha..kabhi socha nahi tha mama is had tak jaa saktey hai..bacchey the na baaji apne dhandey mein naya aur mama to apna mama tha…purana khiladi..
Baaji-ab kya karne ka hai bhua..sudarshan to haath se nikal gaya! Main to teri sunnke aise rokk diya gaadi..Dutta laughed ruffling baaji's hair-gadha! Aaj tak aapne haath se koi nikala hai…Kale ko pahele hi lagaya tha Sudarshan ke peechey…godhbharai ki rasam ke baad hi Jijaji gayab ho gaye the…Hotel Radison chal. Room 512.
Baaji started and footed the accelerator-Leelatai ko kaya bolna hai. Dutta-Sudarshan ullu hai Baaji,Dhandey ki samajh nahi phir bhi bahut jaldi hai dhanda karne ki…ussey kissi ne bahkaya hai..chinna ya koi aur..sudarshan to bas humey us tak lejayega…thodi maramat karke thoda haath-taang tor ke ghar pe bitha na hai..leela tai marham lagayengi bas aur kya? Baaji-bhau, ek haath mereko tordne ka hai…please! Dutta-saale,wo ab bhi tera-mera jija hai…samjha!
*************************************************************************************************
Harsh made a irritated sound on the phone- Madhu, main ye nahi bardasht kar sakta ki meri behan ek mujrim ke sath yun sabke samne…naach gaana kare. Madhu's angry voice came from the other end.
Madhu-Ek baat samajh lo Harsh..mere bhai tab tak mujrim nahi hai..jab tak police ke paas sabot nahi hai..aur tum aur main acchey se jantey hai ki bhaiyya aur baaji ke khilaaf department ke paas sabot to kya complains bhi nahi hai..so basically wo log is desh ke utnehi sharif citizens hai jitney tum aur main.
Harsh-madhu, how could you say that? Tum ek ex police officer ho! Tum jaanti ho ki department kitney dinno se in logo ko nazar mein rakhey huye hai..mujhe Commisioner ne is shaher mein is case ki liye..DSP ko pakkad ne ke liye bulaya hai..Tum ne khud us din us rocky ke banglow ke heist mein Dutta ko sekha tha..tum..
Madhu-paheli baat…main ex-officer hoon…mujhe ab iss purey "case" ya uske circus se koi lena dena nahi…dusri baat…tumhe ya mujhe kyun bulaya gaya ye baat saaf hai..yahan koi Dutta ke kilaaf khade hone ko tayaar nahi tha..in fact iss se bada bakwaas case koi hai hi nahi..hum..nai..tum aise aadmi ke picchey padey ho jo logo ke hisaab se exists hi nahi karta..uske khilaaf complains nahi hai…proof nahi hai..witness nahi hai..wo tax pay karata hai…legal business hai uske..basically he is clean…teesri baat maine kab kaha ki meri last heist mein maine tumhare alawa kissi ko dekha..bhaiya wahan kaise ho sakte hai..jab wo us waqt bhabhi ke saath ghar par the?
Harsh- I can't believe this..you are trying to protect him. Tum jhoot bol rahi ho,Madhu.Madhu-agar tumhe lagta hai ki bhaiya ko meri jarurat hai aapne aap ko bachane kle liye Harsh to I am sorry tum bhaiya ko nahi jante..par ek baath samajh lo..agar tum mera haath maangne patil niwas aa rahe ho to is tayyari se aao ki tumhari behan ki doli bhi yahi aaney wali hai…
Harsh-Main dutta se kabhi kuch nahi maangunga…aur meri behen us baaji ke sath to bikul nahi..
Madhu- theek hai mat mango..go to hell! Agar tumhe lagta hai ki bina mera haath maangey main tumhe mill jaungi to dream on…aur haan main mere bhai ke khilaaf to nahi jaungi par Shamaika jaroor baaji ke liye tumhe chod sakti hai…ab tuim socho Harsh tum apna pyar apni behen ka pyar dono khona chahtey ho ya ek sachai maan kar sab kuch paana chahtey ho..
Harsh-kaisi sachai? Madhu-Dutta sriram patil aur Baajirao Sriram patil imaandar sharif log hai….bas!
Harsh-tum..He stopped at the sound of his landline's ring. Harsh- hold on! Ek aur call hai. He came back from taking the call and said in a calm voice-Madhu tumahare Sharif imandar bhaiyon ko Hotel radison mein dekha gaya hai..
Madhu sounded bored-toh? Harsha- Wo dono room 512 mein gaye aur unkey wahan se nikalne ke baad…wahan ke busboy ne wahan do dead bodies dekhi hai..a woman who was staying in that room and uska male friend who used to visit her everyday…his driver's license says his name was Sudarshan…aa…I think you know one of the victims…what say?
**********************************************************************************************
Baaji-bhau! Yeh kya loccha ho gaya? Apan ke aaney se pahele wahan kaun aa gaya? Aur sudarshan?
Dutta was sitting with his face resting on his palms in the basement of one of his nightclubs. He had always been careful of not leaving any proofs of his work and it was an irony that now there was ample reason for some police dog to sniff him out for something he had not even committed. Dutta- Baaji, apne vakil ko bol preemptive bail ka intezam kar ke rakhe raaton raat..wahan hotel mein kai log hume dekh chuke hai…reception mein jaake ussi room ka raasta puccha tha…darwaze pe unglion ke nishaan hai..samajh nahi aa raha wahan hua kyat ha…hum sudarshan ke picche the…wo humse kuch 10-15 minute pahele pahucha hoga wahan..in 10-15 mintuton mein uska khoon kaun karega…koi aur uske picche tha?
Baaji-mera bheja to saala ye soch ke chakra raha hai ki Sydarshan ke saath wahan Roxy thi…matlab bhau jis haalat mein wo thi…matlab..ki dono…matlab aap pe doorey daalne ke baad usne sudarshan ko jaal mein fasa liya…ab kya karenge bhau? Ye khabar ghar mein pata chalegi toh…matlab..leelatai..Aaisaheb…Nakku..bhau..nakku ko pata chal jayega…uski tai ke bare mein….matlab is waqt is halat mein.
Dutta-Baaji! Ghar chal abhi. Jab kal ye khabar ghar pahuchey to humara wahan hona jaroori hai…wo job hi hai…jaanta hai ki mere ghar mein is baat ka kitna bada asaar hoga..tu vakil se bol…so raha to saale ko bol utke payjaame mein bhaagey…samjha!
Baaji-ji Bhau! Aur us maal ka ya karna hai? abhi jalaya to…sab garboard ho jayega…itni badi aag wo bhi aapne property pe…holi ka dehen to nahi bol sakte bhau..
Dutta kicked his chair and got up and cursed loudly. He had never felt this trapped in his whole life…things were not shaping up as he had ever thought they would. He thought how his morning had started with teasing nakku in her sleep. How radiant and happy she was in godhbharai. He thought of Leelawati, his sister and Pari her three year old daughter.
He had always played with fire and now the fire was fast approaching his family and he felt helpless to fight it.
Dutta-rokk unhe! Sab chuppa do…aapney property mein nahi..raaton raat kahi gayab karo…harsh pahela kaam karega hum dono ke khilaaf warrant nikal ke….dusra kaam humare saare aaddo par properties par chappa maarke….jitne bhi legal properties..tere naam pe, mere naam pe,roop,kala,leela,nakku,Aaisaheb,madhu..sabki talashi hogi…waqt kum hai…aapna koi bhi sabot koi bhi paper,cd,pendrive wahan nahi hona chahiye..chal kaam pe laga sabko..
Baaji-Kishore bhau ko bolta hoon sare legal documents haazir rakhne ko…wohi sab kala kaam saaf kartey hai na aapna..
Dutta nodded-chala aata aplyala gharat chalachey hai(come! Let's go home!)
******************************************************************************************
Nakku was sitting on the bed still singing luulaby to her baby. Her voice had taken a desperate tone as her heart was jumping in her chest with fear for him. She could feel a storm approaching her home and she felt torn and weak without him beside her. A tear rolled down her cheeks on her hand on the bump when he slowly opened the door and sneaked in.
Dutta froze as his eyes met hers. She was up, he had thought she would be tired and asleep. Dutta- tu jag rahi hai? Kyun? Bhook lagi hai kya? Kuch laun tere liye? Nakku's lips trembled and a sob escaped her lips as she stretched out her arms for him. He rushed to take her in his arms in three strides. Dutta- Nakku, kya hua? Koi sapna dekha? Ro kyun rahi hai? Nakku- aap….aap kahan gaye the? Mujhe chodd ke kahan gaye the? She grabbed his shoulders and buried her tear sodden face on his dark kurta coat.
Dutta- kahan gaya tha matlab? Kahin nahi. Ghar par hi to tha. Neend nahi aa rahi thi to office mein kuch kaam dekh raha tha. Bas! Arey ab kuch mahino mein meri chotti guddiya ayegi..tab to kaam nahi kar paunga..tu aur guddiya kaha chain se baitne denge mujhe bol. Aur waise bhi main tujhe chodd ke kahan jaunga? Nakku looked up at him with anger in her eyes-Jhoot! Mujhse jhoot bol rahe hai,saab? Aisa kya hua ki aap mujhse chuppa rahe hai. Main aap ko jaanti hai saab…kuch hua hai na. aap mujhse jhoot bol rahe hai matlab kuch hua hai..kuch bahut bura hua hai.
Dutta- nakku..main…nakku, meri taraf dekh. Sunn! kal agar kuch bhi ho..koi kuch bhi kahe bas ek baat samajh le…main jo hoon jaisa hoon….qatil hoon…mujrim hoon..gunda hoon…jo hoon..tera hoon aur tere samne hoon. Bas tu mere sath hai..aur kuch nahi chahiye..sahi kaha tune kuch hua kuch aisa hua hai..jo shayad kal is ghar ki har eet patthar hilla dega..
Nakku-kya hua hai Saab? Dutta looked in her eys and gave up. He told her everything that had happened in past few days..his meeting with Chinna and his getting captured and help in escape by Roxy..he told her about roxy..her roopa tai..he told her about Sudarshan being instrumental in bringing drugs and bad alcohol in patilwadi…he told her about the chase and subsequent hotel scene.
Nakkusha couldn't believe the enormity of the situation. She felt numb inside. For a second her heart had lifted at the thought that her tai was alive and here in same city nad had saved her husband and his friend from enemies by helping them to escape. Then she had felt sad and wounded at what tai had proposed to her younger sister's husband even when she was aware that , she nakku was Dutta's wife. But even after knowing the truth she felt broken at her death. She wanted to met her tai one last time and ask her, why she had done what she had done. Didn't she ever consider that it could have hurt their mother, her sister?
Dutta cupped her face in his palms and wiped her tears-Nakku, main jaanta hoon tujhe bahut chot pahuchi hai..par main sach kah raha hoon..wo aurat tere behen kahlane ke layak nahi thi..shayad teri tai ki maut bahut pahele huyi thi…aaj jiski laash main hotel mein dekhi hai…wo sirf Roxy thi..jiska koi nahi hai…na maa na behen.
Nakkusha- kaise na sochu saab? Ek tarah se tai ke karan hi hum milley ..agar wo nahi chali gai hoti to naa aai kabhi mera rang chuppati aur shayad na kabhi main us morey ke changul mein phasti na kabhi aapse milti….Khoon ka rishta usne todd diya saab..par mere dil mein to wo ab bhi wo Roopa tai hai Roxy nahi.
Dutta pulled her in his arms and held her as she mourned her sister's death. One sister was spending her tears now..yet he had another sisters whose lose was equal..he had to hold her too, if she would let him. Leela…his sister….sudarshan's widow….his leelatai.
***********************************************************************************************
Dutta and nakku were still locked in an embrace when there was a knock on the door.
Dutta opened the door to see his servant standing girdhar there looking worried and scared. Dutta-kai zala? Ab kya hua? Itne raat ko…he looked at the watch and amended.."itni subha kya hua?"
Girdhar-bhau, wo madhu tai ke dost wo police wale saab aaye hai..kafi sare hawaldar leke. Bola aapko bulla du.
Dutta threw a glance at nakku-theek hai. kaho main aa raha hoon.
Dutta went and knocked on baaji door. Baaji who was about to hit the bed was surprised to see dutta at the door- bhau?
Dutta-tera hone wala saala aaya hai…barat leke. Jo kaha tha ho gaya? Sab theek hai?Baaji- laga diya hai logo ko bhau. Sab control mein hai. pan aagey kya karna hai?Dutta- socha nahi hai..filhaal to yahan jayada kuch hone pahele harsh ko rawana kar na hai. her signaled him to follow him.
As Dutta came down to meet Harsh he found that whole family was awake by the ruckus and were gathered down.
AS-Dutta baaji..ye sab kya ho raha hai? harsh keh raha hai ki tujhe girftaar karne aaya hai..kissi ke…kissi ke khoon ke jurm mein. Harsh- jee, aaisaheb…kissi ke nahi..aapke damad sudarshan aur unki khaas dost roxy ke khoon ke ilzaam mein.
……………………..To be continued.