Part 12
Nidhi in hotel room at night
Nidhi: Anji kal me aa rahi hoo.Lekin sach kahoo,muze yeh judai ka dar lagta hai.Kya karoo?
Anji: nidhi,thode dino ki baat hai na?kya kar sakte hai?ab tumhare major saheb shararati ya naughty bhi nahi hai ki achanak se khidaki se kud ke aa sake.Warna tere sapno ka Rajkumar toh chanchal aur shararati tha na?
Nidhi:ha Anji,Lekin muze yeh Rajkumar jyada pasand hai.shararati nahi hai lekin pyare hai.Meri parwaah karte hai.Bus thoda express kam karte hai.
Anji: Achha apne unki tasveer lana mat bhulna.
Nidhi: Tasveer dil me basi hai kaise sambhaloo
Takdeer se paya hai paagal dil ko kaise samazaoo?
Anji:haye unke pyaar ne tumhe shayar bana diya meri jaan.
Nidhi: achha chal raat bahoot ho gai hai kal toh main aa hi rahi hoo.
Anji: i am waiting for you dear
Nidhi fir udaas ho gai aur apne room ke balcony me jake chand ko dekhne lagi.
Tabhi uska phone baja aur Ashutosh ka naam display hua woh daudke aayi aur usne phone uthaya.
Nidhi: hello,aap ab tak jaag rahe hai?
Ashutosh: Yeh raat badi lambi hai Nidhi.Katti hi nahi.Aur tumse judaai ka khayal aate hi kambakht neend hi ud jati hai.
Nidhi:yeh aap keh rahe hai?sochiye mera kya haal hota hoga?aap toh strong hai fir bhi
Ashutosh: ab tak dil laga nahi tha kisi se toh dil muthhi me reh sakta tha.Ab toh main aur mera dil dono bechain ho rahe hai.
Nidhi: subah muzse milne aayenge na?
Ashutosh:yeh bhi koi kehene ki baat hai Nidhi?main yahaa hu aur tumhe see off karne na aaoo aisa ho sakta hai kya?
Nidhi: theek hai toh fir aap jaldi se so jaiye.Kal Armaan jiju bhi aayenge toh unke saath aap bhi aaiye.Main aapka wait karoongi.
Ashutosh: Nidhi,neend nahi aa rahi hai.
Nidhi: toh kya puri raat bate karne ka khayal hai?
Ashutosh: main toh taiyaar hu agar aapko koi problem na ho toh.
Nidhi:[dheere se] main toh aapse kabhi bichhadana hi nahi chahti.Kaash aap abhi muzse mil pate.
Ashutosh: kya?
Nidhi: kuchh nahi.Chaliye aap so jaiye.Good night.
Nidhi ne phone rakha aur fir se balcony me khadi ho gai.
Thodi der me woh wapis aayi aur bed pe jaise hi sone ki koshish karne lagi uska phone baja.
Nidhi: aap ab tak jaag rahe hai?
Ashutosh: sirf jaag hi nahi raha hoo aapke hotel ke neeche aa gaya hoo.
Nidhi: kya?suchmuch?
Ashutosh: yakeen nahi hota toh aake dekh lijiye.Aapne kitna bhi dheere se kahaa ho lekin agar main aapke dil ki aah sun sakta hoo toh bole alfaaz toh sar aankho par.
Nidhi ki aankh se aasoo nikal aaye aur woh turant neeche bhagi.
Nidhi ashutosh ke pas aake baithi aur ashutosh ne car start ki.
Nidhi : are aap yeh kya kar rahe hai?
Ashutosh: tumhe bhaga ke le ja raha hoo.
Nidhi: aap aisa kar hi nahi sakte.
Ashutosh:fauji aadmi hu chalenge mat karo.Kuchh bhi kar sakta hu main.
Nidhi: Itna toh bharosa hai aap pe muze.Lekin abhi please aap jaiye.
Ashutosh: tum suchmuch chahti hu ki main chala jaoo?
Nidhi: agar mera bas chalta toh main aapse dur kabhi nahi jati na apko jane deti.
Aur Nidhi ki aankhose aasoo aa gaye.
Ashutosh ne apne hathose nidhi ke aasoo pochhe.
Ashutosh: Nidhi,yeh humare liye tough periad hai.Lekin yeh time bhi nikal jayega.
Aur usne apni dono bahe khol di aur Nidhi un do bahome sama gai.
Uske aasoo the ke rukne ka naam nahi le rahe the.Ashutosh ne use kaske pakda.Thodi der tak dono aise hi rahe.
Ashutosh: sari raat aise hi rehena hai kya?
Aur nidhi muskura di.
Ashutosh ne nidhi ka chehera apne dono hatho me liya aur bola,"Bus yahi muskaan muze chahiye.Humesha aise hi rehena.Main tumse milne aata rahoonga."
Nidhi: aap Lucknow nahi aayege muze pata hai.
Ashutosh: Lucknow kya nidhi main tumse milne kahi bhi aa sakta hoo.Aajma lena kabhi bhi.Lekin ab tum jao.Warna tumhari di aur meri bhabhi hum dono ka warrant nikal degi.Aur ab no rona dhone ok.Promise me
Aur Nidhi ne ashu se na rone ka promise kiya
Dusre din subah Nidhi,Mallika,jyotika,Rohan,aur Aman sare saman lekar neeche aaye.
Bahar Armaan aur Ashutohs car lekar aaye.
Nidhi: di aap in logo ke saath chaliye main jyotika,rohan aur aman dusri car me aa jayenge.
Jyotika: Are Nidhi tu apne jiju ke saath ja na?hum log station pe milenge na?
Ashutosh ka udaas chehera ekdum se khil gaya.
Ashutosh: bhabhi aap bhai ke saath baithiye.Main peechhe baith jata hoo.
Mallika: are nahi,aap baithiye na aage.
Ashutosh: main toh roj bhai ke saath hi baithta hoo.Ab toh yeh seat khali rakhni padegi.
Armaan hairat bhari najaro se ashu ko dekh raha tha.
Armaan car chala raha tha lekin uski najare ashu aur nidhi par teeki hui thi.Use thoda shaq hone laga tha.Dono ek dusre ko dard bhari najaro se dekh rahe the.Armaan se yeh chhupa nahi tha.
Thodi dur aane ke baad Armaan ne car roki aur mallika se puchha ki,"ice cream khaogi."
Mallika: theek hai chalo.Bichhadne se pahele muh meetha kar lete hai.Nidhi ka strawberry flavour muze pata hai.
Armaan: ashu ko ice cream pasand nahi hai.
Ashutosh: aaj ek kha loonga bhaiya.Bhabhi ke liye.
Armaan: mallika,chalo hum dono le aate hai.
Ashutosh: main bhi aata hu bhaiya.
Armaan: tu kyon kabab me haddi ban raha hai?baith chupchap.
Armaan aur mallika ice cream shop par gaye.
Armaan ki parkhi najaro ne nidhi aur ashu ke beech ka rishta samaz liya tha.
Yahaa car me ashutosh nidhi ko sab samza raha tha aur Armaan chori se unke chehere padh raha tha.Ab toh use yakeen ho gaya tha ki Ashu aur nidhi ke beech me kuchh connection hai.Usne socha ki ashutosh se main baad me puchh loonga.
Armaan aur Mallika ice cream lekar aaye.
Armaan ne Nidhi ko strawberry wala flavour diya aur ashu ko kahaa,"sorry meri jaan,tere liye bhi strawberry wala hi lekar aaya hoo."
Ashutosh:koi baat nahi bhai,pahli baar kha raha hoo toh yahi sahi
Ab Armaan sab samaz gaya.
Armaan : Mallika,apna dhyan rakhana aur main jitne jaldi ho sake baba ko bhejoonga baat karne ke liye.Aur humesha khush rehena.No udaasi.ok.
Aur mallika ne haa me sar hilaya
Armaan aur Ashutosh ne Mallika aur Nidhi ko train me bithaya aur train wapis Lucknow ki aur ka rasta katne lagi.
I am extremely sorry for very very late.
But i will give my update regularly.I promise
Thank you all for your support in this tough period
Edited by parmarA - 11 years ago